Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Oct 2, 2014
Tumharay bin nahin jeena
Mujhay us se yeh kehna tha
Keh mujh ko yaad na karna
Tarap kar tum judai main
Yeh dil barbaad mat karna
Tum honton pe hansi koi
Kahin se qaid kar laina
Jo mujh se door bhi ho jaao
Issay azaad mat karna
Kisi bhi tor jee layein gay
Magar tum zindagi se ab
Koi fariyaad mat karna
Magar yeh sab jo kehna tha
Yeh us se kab kaha main ne
Tumharay bin nahin jeena
Bas itna keh diya main ne
Nafrat si ho gayi hai mohabbat kay naam se
Yeh hussan yeh ada yeh nazakat yeh aankhain
Sab khoobiyaan hain magar be'wafa hai tu
Pichlay baras tha khouf tujhay kho na doon
Ab kay baras yeh hai tera samna na ho
Woh hai salaamat to adaabat ka maza hai
Dushman ko kabhi jaan se maara nahin kartay
Guzray hain hum ishq kay aisay maqaam se
Keh nafrat si ho gayi hai mohabbat kay naam se
Naseeb ki mehfil main be'wafai ka darwaza khul gaya
Galay laga kay kaho kitna pyaar kartay ho
Qaraar de kay kabhi be'qaraar kartay ho
Galay laga kay kaho kitna pyaar kartay ho
Nazar nazar se milay aur khumaar aa jaye
LAbon se kuch na kaho aaitabaar aa jaye
Yeh dil to bharta nahin chand mulaqaaton main
Kitnay tarastay rahay bheegi bheegi raaton main
Taveel raasta kiyon ikhtayaar kartay ho
GAlay laga kay kaho kitna pyaar kartay ho
Kabhi ishq ho to pata chalay
Bisaat-e-jaan pe azaab utartay hain kis tarah
Shab-o-roz dil pe azaab guzartay hain kis tarah
Kabhi ishq ho to pata chalay
Yeh jo log se chuppay huye hain pas-e-dostaan
To yeh kon hain ?
Yeh jo rog se chuppay huye hain pas-e-jisam-o-jaan
To yeh kis liye ?
Yeh jo kaan hain meray aahaton pe lagay huye
To yeh kiyon bhala
Yeh jo log peechay paray huye hain fazool main
Inhain kiya pata , inhain kiya khabar
Kisi raah kay kisi mor pe jo inhain zara
Kabhi ishq ho to pata chalay
Hawaon ki jo saazish hai
Kahan us ne shaakon se
Juda phoolon ko karnay ki
Hawaon ki jo saazish hai
Ussay achi nahin lagti
Faqat ik pal ko jee chaha
Ussay itna to ekh doon aaj
Mohabbat in phoolon ki
Patiyon se barh kay nazuk thi
Jissay qadmon talay us ne
Kabhi ka roond daala hai
Kaisay hua yeh
Ek pal main sab hua khatam
Kaisay hua yeh
Kal khushi aur aaj gham
Kaisay hua yeh
Jo chahat ki tasveer
Buni thi main ne aankhon main
Ek un'chahi taqdeer
Jurri thi meri raahon se
Kal tak thi jis ki chaha
Dil ki chupi panaahon main
Ek shouq sa ubhar kay aya
Us ki sachi wafaon main
Na woh rahi waisay na hum
Kaisay hua yeh
Kal khushi aur aaj gham
Kaisay hua yeh
Meray aur baadal kay darmiyaan koi hai jo
Khirkiyon kay sheehson par
Reengtay huye qatray
Youn phisaltay hain jaisay
Meray aur baadal kay
Darmiyaan koi hai jo
Meray aur baadal kay
Raaz ko samjhta hai
Jab ghattaein chayein to
Sirf woh nahin rotein
Aankhain bhi barasti hain
Khirkiyaan bhi roti hain
Subscribe to:
Posts (Atom)