Nayi khawaish rachai jaa rahi hai
Teri furqat manaai jaa rahi hai
Nibhaai thi na hum ne janay kis se
Keh ab sab se nibhaai jaa rahi hai
Hamaray dil mohallay ki gali se
Hamari laash laai jaa rahi hai
Kahan lazzat woh soz-e-justagoo ki
Yahan her cheez paai jaa rahi hai
Khosha-e-ehwaal apni zindagi ka
Saleeqay se ganwaai jaa rahi hai
Dareechon se tha apnay , bair hum ko
So khud deemak lagaai jaa rahi hai
Judai mousamon ki dhoop suniyo
Meri kiyaari jalaai jaa rahi hai
Meri jaan ab yeh surat hai keh mujh se
Teri aadat churaai jaa rahi hai
Main peh'ham haar kay yeh sochta hoon
Woh kya shai hai jo haari jaa rahi hai