Jun 4, 2014

Ta'aluq torta hoon to mukamal tor deta hoon


Ta'aluq torta hoon to mukamal tor deta hoon
Jissay main chor deta hoon mukamal chor deta hoon

Mohabbat ho keh nafrat ho bhara rehta hoon shiddat se 
Jidhar se aye yeh dariya Udhar hi mor deta hoon

Yakeen rakha nahin hoon main kisi kachay ta'aluq par 
Jo dhaga tootney wala ho us ko tor deta hoon

Meray dekhay huye sapney kahin murda na ho jaein
Ghronday rait ky tameer kar ky phor deta hoon

Adeem ab tak wohi bachpan wohi takhreeb kari hai
Qafas ko tor deta hoon parinday chor deta hoon

Kaash main teri haseen aankh ka kajal hota


Kaash main teri haseen aankh ka kajal hota


Kaash main teri haseen aankh ka kajal hota
Bheegti aankhon ka her ik raaz chupaney ky liye
Pyaar main guzray woh lamhaat bhulaney kay liye
Apni aankhon main sar-e-shaam lagati mujh ko

Kaash main teray haseen kaan ki bali hota

bikhri bikhri hui yadon ko bulaney kay liye
Apn aizhaar-e-wafa tujh ko sunaney kay liye
Apni aaghosh-e-mohabbat main bulata tujh ko

Kaash main teri haseen aankh ka kajal hota
Pyaar hota to teri ishq main pagal hota

MAin hoon tera khyal hai aur chaand raat hai


MAin hoon tera khyal hai aur chaand raat hai
Dil dard se nidhal hai aur chaand raat hai

Aankhon main chubh gayi teri yadon ki kirchiyan
Kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai

Dil tor ky khamosh nizaron ka kiya mila
Shabnam ka yeh sawaal hai aur chaand raat hai

Campus ki nehar par hai tera hath , hath main
Mousam bhi la'zawaal hai aur chaand raat hai

Her ik kali ne oorh liya matami libaas
Her phool par malaal hai chaand raat hai

Chalka sa par raha hai wasi wehshaton ka rang 
Her cheez par zawaal hai aur chaand raat hai

Tab yaad bhout tum atay ho


Tab yaad bhout tum atay ho

JAb raat ki nagan dasti hai
Nas nas main zehar utar'ta hai
JAb chaand ki kirnain tezi se
Is dil ko cheer ky ati hain
Jab aankh ky andar hi aansoo
Zanjeeron main bandh jatay hain 
Sab jazbon pe cha jatay hain 
Tab yaad hout tum atay ho
Jab dard ki jhanjar najti hai
Jab raqas ghamon ka hota hai
Khwabon ki taal pe saray dukh
Wehshat ky saaz bajatay hain 
Gatay hain khwaish ki lay main
Masti main jhoomtay jatay hain
Sab jazbon pe cha jatay hain 
Tab yaad bhout tum atay ho
Tab yaad bhout tum atay ho

Mujhay her kaam se pehlay


Mujhay her kaam se pehlay
Sehar se shaam se pehlay
Yahi ik kaam karna hai 
Tumhara naam lena hai
Tumhi ko yaad karna hai
Keh jab bhi dard peena hai
Keh jab bhi zakham seena hai
Gham-e-duniya se ghabra kar
Mujhay jab jaam lena hai
Tumhara naam lena hai
Tumhi ko yaad karna hai
Tumhari yaad hai dil main
Keh ik siyaad hai dil main 
Koi barbaad hai dil main 
Ussay abaad karna hai
Tumhara naam lena hai
Tumhi ko yaad karna hai

Aankhain hain keh khali nahin rehtein lahoo se


Aankhain hain keh khali nahin rehtein lahoo se 
Aur zakhm-e-judai hai keh bhar bhi nahin jata

Woh raaht-e-jaan hai magar is dar'badri main
Aisa hai keh ab dehaan udhar bhi nahin jata

Hum dohri aziyat ky giriftaar musafir
Poan bhi hain shall , shouq-e-safar bhi nahin jata

Dil ko teri chahat pe bhrosa bhi bhout hai
Aur tujh se bichar janay ka dar bhi nahin jata

Pagal huye jatay ho faraz us se milay kiya
Itni si kushi se koi mar bhi nahin jata

Teri janib agar chalay hotay


Teri janib agar chalay hotay
hum na dar ba'dar huye hotay

Sari duniya hai meri muthi main
Kon aye ga ab teray hoty

Aur ab kyn nahin nibhtay tum 
Itnay waday na kiya hotay

Paal liya main ne sari duniya ko
Koi khwaish nahin teray hotay

Us ki aankhon main baar paney ko
Kaash hum khwaab ban gaye hotay

Khud apney liye Baith ky sochain gy kisi din


Khud apney liye Baith ky sochain gy kisi din
Youn hai keh tujhay bhool ky dekhain gy kisi din

Bhataktay huye phirtay hain kai lafaz jo dil main 
Duniya ne diya waqat to likhain gy kisi din

Ae jaan teri yaad ky be'naam prinday
Shakhon pe meray dard  ky utrain gy kisi din

JAti hai kisi jheel ki gehrai kahan tak
Aankhon main teray doob ky dekhain gy kisi din 

Kushboo se bhari shaam main junoo ky qalam se
Aik nazam teray wastay likhain gy kisi din

Soein gy teri aankh ki khilwat main kisi raat
saye main teri zulf ky jagain gy kisi din

Us ko bhi meri tarah neend kidhar ati hai


Us ko bhi meri tarah neend kidhar ati hai
Raat bahr roshni khirki se nazar ati hai

be'khyali main jo dewaar pe ruk jaye nazar
Baat karti hui tasveer ubhar ati hai

Coat ki jaib main khil jatay hain romaal ky rang
Us ky kalar pe kali khoob nikhar ati hai

Mujh ko ata hai kisi dil ky sulagney ka khyal
Jab shrar urtay hain jab aag nazar ati hai

Deep jaltay hi sulag uthti hain yadain teri
Phir udasi bhi lagaye huye par ati hai

Kon chup chaap dar aya hai nazar main naina
Main to sunti thi dabay paon sehar ati hai

Basi hai yaad koi aa kay meray kajal main


Basi hai yaad koi aa kay meray kajal main 
Lipat gaya hai adhoora khyal aanchal main 

Main aik seep abhi mujh ko teh main rehnay do
Ghehr bana nahin kartay hain aik do pal main 

Isi chraagh ki loo se yeh dil dhar'rakta hai 
Jal'laye rakhti hoon jis ko shab-e-musalsal main 

Tapak rahay hain dar-o-baam se meray ansoo
chupay huye thay abhi tak woh jaisay badal main 

MAin zindagi ky liye phool chunana chahti hoon
Kahin udaas na ho woh kizaan zada kal main 

Khizaan ka dour hai lakin kisi ki chahat se 
Dharak rahi hai bahaar ik ik kompal main 

Yeh titliyon ki tarah sogawaar do naina
Bhatak rahay hain abhi zindagi ky jungle main

Ghazab kiya teray waday py aitabaar kiya


Ghazab kiya teray waday py aitabaar kiya
Tam'maam raat qayamat ka intizaar kiya

Hansa hansa ky shab-e-wasal ashk baar kiya
Tasaliyaan mujhay de de ky be'qaraar kiya

Tarap phir ae dil-e-nadaan keh ghair kehtay hain
akheer kuch na bani , sabar ikhtiyaar kiya

na pooch dil ki haqeeqat magar yeh kehtay hain
Woh be'qaraar rahay jis ne be'qaraar kiya

Fasana shab-e-gham un ko ik kahani thi
Kuch aitabaar kiya , kuch na aitbaar kiya

Banay ga mehar-e-qayamat bhi ik khaal siyaah
Jo chahera daagh seh'roo ne ashkaar kiya

Sab choorian tumhari samandar ko sonp dein


Sab choorian tumhari samandar ko sonp dein
Aur kar diye hawa ky hawalay tumharay khat

Meray lahoo main goonj raha hai her aik lafz
Main ne ragon ky dasht main palay tumharay khat

Youn to hain be'sumaar wafa ki nishanian
Lakin her ik shy se niralay hain tumharay khat

Jaisay ho umar bhar ka asasa ghreeb ka
Kuch isi tarah se main ne sambhalay tumharay khat

Ehal-e-hunar ko mujh pe wasi aitraaz hai
MAin jo apney sher main dhalay tumharay khat

Parwa mujhay nahin hai kisi chaand ki wasi
Zulmat ky dasht main ujalay hain tumharay khat

Ishq ki ibtida thi guftagoo main jhig'ghak thi


Ishq ki ibtida thi guftagoo main jhig'ghak thi
Dilon main halchal takhatab main lachak thi

Bikhray huye daman behki behki batein
Zabaan main lar'kharaht aankhon main chamak thi

Labon pe muskurahat abroo ky isharay thay
Her cheez haseen tar seenay main mohabbat ki dhamak thi

Do dharkty dilon main mohabbat ki phooti kompal
Masroor shab-o-roz chaheron pe pyaar ki jhalak thi

Ishq ki intiha do qalib ka yak jaan ho jana
aur do roohon ka mil jana mohabbat ki dhanak thi

Mohabbat amar hai mohabbat mehkta shajar sada bahaar
Do dilon main mohabbat ka qayaammohabbat ki kasak thi

Aur ishq ka injaam do ajnabi roohon ka milaap
Phoolon se ladi do shakhain zindagi main mohabbat ki damak thi

Chaand se ab ky to meri bhi adawat nikli


Chaand se ab ky to meri bhi adawat nikli 
Chaar soo chandani ban kar meri chahat nikli

Hijar ki shab bhi qayamat se bhala kiya kam hai ?
Kitni boseeda meray tan ki to emaarat nikli

Dil ne samjha tha dil ki riazat ko fazool
Woh to meray liye her pal ki ibadat nikli

Ab nahin shikwa koi ehad-e-guzishta se mujhay 
Zindagi apni to khawabon ki amant nikli

YEh jas'sat to faqat us ky naseebon main rahi
Choona malboos ko purwa ki shrarat nikli

Umar kaati teri furqat main bahatay aansoo
Youn hi ujray huye rehna meri aadat nikli

Woh meray lafzon ka mafhoom samjh hi na saka
Ae saba raigaan yeh meri mohabbat nikli

Jab bhi jazbon ky liye alfaaz nashtar hon gy


Jab bhi jazbon ky liye alfaaz nashtar hon gy
kaisay kaisay phool jaisay hath khanjar hon gy

dewo qamat woh shajar jab tez aandhi main gira 
pasta qad jitney thay poaday sab qad awar ho gaye

Rafta rafta hum ko jeenay ka hunar aa hi gaya
Pathron main rehtay rehtay hum bhi pathar ho gaye

Aa paray jis din se hum dariya-e-jdo-jehad main
Is tarah se jaan pe ban ayi shnawar ho gaye

Neem faqa neem ariyani ko andar chor kar
Ghar se bahir jab qadam rakha sikandar ho gy

paikar-e-targheeb thay saray khiloney door se
Choo liya hum ne to sab yaklakht pathar ho gaye

Aalam-e-takhiyal main muslam hu akis ka guzar
Meri yadon ky kai lamhay moatar ho gy

Hum musafr youn hi masroof-e-safar jaein gay



Hum musafr youn hi masroof-e-safar jaein gay
be'nishaan ho gaye jab shaher to ghar jaein gay

Kis qadar ho ga yahan mehr-o-wafa ka matam
Hum teri yaad se jis roz utar jaein gay

Joh'hari band kiye jatay hain bazaar-e-sukhan 
Hum kissy baichney almaas-o-gohar jaein gay

Neamat-e-zeest ka yeh qarz chuky ga kaisay
Laakh ghabra ky yeh kehtay rahein , mar jaein gay

Shayed apn abhi koi bait-e-hadi khwaan ban kar
Sath jaye ga meray yaar jidhar jaein gay

Faiz atay hain roz ishq main jo sakhat maqaam
Anay walon se kaho hum to guzar jaein gay

Meri khamshi main bhi ejaaz aye



Meri khamshi main bhi ejaaz aye
Kisi simt se koi awaaz ay

Woh chahera na janay kahan kho gaya hai
Kahin se kabhi koi dam'saaz ay

Kisi ne trasha na is dil ka pathar
Meray shaher main kitney but'saaz ay

Woh urr jaye neeli ragon se nikal kar
Meray dard ko itni parwaaz ay

Saza be'gunahi ki main kat'ti hoon
Kahan mujh ko jeenay ky andaaz ay

Mohabbat ay be'deed pagal mohabbat 
Hamain chor de dekh hum baaz ay

Aik pagal si larki aksar


Aik pagal si larki
Poocha karti hai yeh mujh se
Kyon itni mohabbat kartay ho tum
Us ko kaisay yeh samjhaon 
Aankhain jheel samandar hon to
Doobna acha lagta hai
Chahera ho jab ghazal ki manind 
Parhna acha lagta hai
Miltay rehna , batain karna
Hansana acha lagta hai
Aisay main to jeena acha
Marna acha lagta hai
Aik pagal si larki aksar
Poocha karti hai yeh mujh se
Kyon itni mohabbat kartay ho tum
Main us ko yeh kaisay samjhaon

Mera rona meray jazbaat ka aaina hai


Mera rona meray jazbaat ka aaina hai
Yeh khamoshi meri her baat ka aaina hai

Kis tarah kar doon ussay khud se juda
Woh jo ik shakhs meri zaat ka aaina hai

Aankh main phir koi dariya na utar aye kahain
Meri aankhain kisi barsaat ka aaina hain

Be'basi meri teri tishna labi jaisi hai 
Meri her baat teri baat ka aaina hai

Jo bho chah'o meri surat main dekh lo
Mera chahera meray halaat ka aaina hai

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...