Apr 3, 2015

Aisi bhi bhala kya dosti Mohsin



Woh baar baar mujhay Aazmata raha

Meray Aanso'on se shamma bujhata raha

Us ne dost bhi mujhay kaha magar

Dushmano ki tarah rulaata raha

Ungli pakar kar aksar Andheray raaston main

Woh baar baar mujh ko giraata raha

Aisi bhi bhala kya dosti Mohsin

Main doobta raha woh muskuraata raha

Thokrein maar kay mehfil se uthatay hain mujhay


Thokrein maar kay mehfil se uthatay hain mujhay 

Aur aik paaon se daman bhi daba rakha hai

Khawab dekhye hain iss qadar main ne


Khawab dekhye hain iss qadar main ne 

Ab to aankhein bhi tanz karti hain

Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota


Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota 
Main ne auron ko na dukh main pukaara hota 

Jitni shiddat se wabasta tha main tujh se 
Kis tarah mera teray baghair guzara hota 

Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalanay kay liye 
Main na hota  to koi aur tumhara hota 

Aur hum baith kay khamoshi se roye jaatay 
Shaam hoti aur kisi dariya ka kinara hota

Woh baar baar mujhay Aazmata raha


Woh baar baar mujhay Aazmata raha 
Meray Aanso'on se shamma bujhata raha 

Us ne dost bhi mujhay kaha magar 
Dushmano ki tarah rulaata raha

Ungli pakar kar aksar Andheray raaston main 
Woh baar baar mujh ko giraata raha 

Aisi bhi bhala kya dosti Mohsin 
Main doobta raha woh muskuraata raha

Kisi ka ishq kisi ka khayal thay hum


Kisi ka ishq kisi ka khayal thay hum 
Gaye dino main bhout ba'kamaal thay hum 

Hamari khoj main rehti thi titliyan aksar 
Keh apnay shaher ka husn-o-jamal thay hum 

Zameen ki goad main sar rakh kay so gaye aakhir 
Tumharay hijar main kitnay nidhaal thay hum 

Hum aks aks bikhartay rahay is dhun main 
Keh zindagi main kabhi la'zawaal thay hum

Kisi kay ishq ne hum ko nikama kar diya 
Warna aadmi to baray ba'kamaal thay hum 

Koi mera bhi to ho saath nibhanay kay liye


Koi mera bhi to ho saath nibhanay kay liye
Mujhay Khuda se maangay apna bananay kay liye 

Meray Aansoo meri palkon se churanay kay liye 
Bas wohi ho mujhay seenay se laganay kay liye

Youn to chahnay walay bhout se hain duniya main
Nahin hai koi magar saath nibhanay kay liye

Meri saanson ki rawani to faqat dhoka hai
Haan main zinda hoon magar sirf duniya ko dikhanay kay liye

Nazar-e-mohabbat ka kya tawaan chahtay ho


Nazar-e-mohabbat ka kya tawaan chahtay ho 
Dil chahtay ho ya jaan chahtay ho 

Parwah nahin anjaam-e-mohabbat jo bhi ho 
Bas ab faisala suna do jo tum chahtay ho 

Phoolon ki gali ho ya kaanton ki dagar 
Lay jaao jaan wahan jahan tum chahtay ho 

Be'hiss tum nahin to khamosh kiyon ho 
Main ne kar di haan ab aur kya chahtay ho

Titliyan baith gayein haathon pe banay phoolon par


Titliyan baith gayein haathon pe banay phoolon par 

Kitna maahir tha ussay mehndi laganay wala

Alwida keh kar ussay takta raha main dair tak


Alwida keh kar ussay takta raha main dair tak 
Aatish-e-khamosh main jalta raha main dair tak 

Shaher ki veeran galiyon main akela raat bhar 
Ik musafir ki tarah phirta raha main dair tak 

Aasmaan par aik adhoora chand aur bikhray sitaray 
Intizaar-e-subha main ginta raha main dair tak 

Jo zakham rafeeqon kay riwajon se lagay hain 
Woh zakham kisi ko dikhanay se raha main 

Dariya hoon to darya hi ussay paish karon ga 
Pyaasay ko samandar to pilanay se raha main

Woh baat karnay pe nahin mutafiq


Woh baat karnay pe nahin mutafiq 

Aur hum Eid milnay ki hasrat liye bethay hain

Kabhi ruk gaye kabhi chal diye kabhi chaltay chaltay bhatak gaye


Kabhi ruk gaye kabhi chal diye kabhi chaltay chaltay bhatak gaye 
Youn hi umar saari guzaar di youn hi zindagi kay sitam sahay 

Kabhi neend main kabhi hosh main tu jahan mila , tujhay dekh kar 
Na nazar mili na zubaan hili , youn hi sar jhuka kay guzar gaye 

Kabhi zulf par kabhi chasham par kabhi teray haseen wajood par
Jo pasand thay meri kitab main woh shair saray bikhar gaye 

Mujhay yaad hai kabhi aik thay magar aaj hum hain juda juda 
Woh juda huye to sanwar gaye , hum juda huye to bikhar gaye 

Kabhi arsh par kabhi farsh par kabhi un kay dar , kabhi dar'ba'dar 
Gham-e-aashiqi tera shukriya hum kahan , kahan se guzar gaye

Uss ne kaha tum pehlay jaisay nahin rahay


Uss ne kaha tum pehlay jaisay nahin rahay 
Main ne kaha keh zindagi main ab tera saath nahin 

Us ne kaha keh ab bhi kisi ki aankhon main doob jatay ho 
Main ne kaha keh ab kisi ki aankhon main woh baat nahin 

Us ne kaha kiyon toot kar chaha tha mujhay 
MAin ne kaha insaan hoon pathar zaat to nahin 

Uss ne kaha main be'wafa hoon 
Main ne kaha wafa ki ab mujhay talaash nahin 

Us ne kaha bhool ja mujh ko 
Main en kaha tum haqeeqat ho khawaab nahin

Woh tum na thay ik khayal tha


Woh tum na thay ik khayal tha
Meri soch ka ik kamaal tha

Woh mohabbatein , woh chahatein
Meri uljhano ka hi jaal tha

Meray dil main thein jo ronaqein 
Woh tera hi husn-o-jamaal tha

Jawaab jis ka mila nahin
Woh aisa hi ik sawaal tha 

Woh aaj mila to youn laga 
Yehi to hai woh jis ka intizaar tha 

Ussay yaad kaisay na karay koi 
Ussay bhoolna to mohaal tha 

Ab us ki kya main misaal doon 
Woh to aap apni misaal tha

Main Aaina tha us kay haseen haathon main


Main Aaina tha us kay haseen haathon main 

Toot kay bikhra to phir bhi ussay dekhta raha

Yeh jo zindagi ki kitab hai


Yeh jo zindagi ki kitab hai 
Yeh kitab kya kitab hai 

Kahin ik haseen sa khawab hai
Kahin jeen-leva azaab hai 

Kabhi kho liya kabhi paa liya 
Kabho ro liya kabhi gaa liya

Kahin rehmaton ki hain baarishein 
Kahin tishnagi be'hisaab hai 

Kahin chaaon hai , kahin dhoop hai 
Kahin aur hi koi roop hai 

Kahin cheen leti hai her khushi 
Kahin meharbaan be'hisaab hai 

Yeh jo zindagi ki kitab hai 
Yeh kitab kya kitab hai


Meray dil kay ujray Aangan main koi phool khila tum yaad aaye


Meray dil kay ujray Aangan main koi phool khila tum yaad aaye
Teray shaher kay basnay walon main koi shakhs mila tum yaad aaye 

Jo waqat bhi saath main guzra tha kya loat kay phir woh aaye ga 
Sach pooch keh meri aankhon se ek ashk gira tum yaad aaye

Her baar main tujh ko bhoolnay ki jab khud se qasmein khaata hoon 
Phir jab bhi kisi ne hans kay mujhay jab apna kaha tum yaad aaye

Din bhar to main is duniya kay dhandon main uljha khoya sa 
Din guzra aur dewaaron se jab dhoop dhali tum yaad aaye

Apnay asool youn bhi kabhi tornay paray


Apnay asool youn bhi kabhi tornay paray
Khata uss ki thi hath mujhay jornay paray

Aaya na jab qaraar dil-e-be'qaraar ko 
Yaadon kay rukh uss ki taraf mornay paray 

US ko to meri yaad bhi ayi na ik din 
Apnay paraye jis kay liye chornay paray 

Sagar woh shakhs khud bara be'asool tha 
Hamein apnay asool jis kay liye tornay paray

Aatish-e-ishq se seenay ko jalaya kiyon tha


Aatish-e-ishq se seenay ko jalaya kiyon tha
Tum ne yeh rog jawani main lagaya kiyon tha

Kiyon liye phirtay ho ab duniya main purnam aankhein 
Pyar acha tha magar dil main basaya kiyon tha

Jab bichar jana hi taqdeer main likh rakha hai 
Meray khuda mujhay phir us se milaya kiyon tha

Apni taqdeer bana , mera muqaddar na badal


Apni taqdeer bana , mera muqaddar na badal 

Log toofan utha dain gay meray saath na chal

Ho kay rahay ga aaj to zubaan ka istemaal


Ho kay rahay ga aaj to zubaan ka istemaal

Thak gaye hum bhi aankhon se izhaar kartay kartay

Mohabbat bhi ajeeb khel hai khelon main se


Mohabbat bhi ajeeb khel hai khelon main se

Jo jitna acha khelta hai wohi baazi haar jata hai

Tum ne dekhi nahin hamari phoolon jaisi wafa


Tum ne dekhi nahin hamari phoolon jaisi wafa 

Hum jis par khiltay hain ussi par murjhaa jatay hain

Acha huwa jo woh kisi aur ka ho gaya


Acha huwa jo woh kisi aur ka ho gaya 

Khatam to hui fikar ussay apna bananay ki

Ab teray raabtay main woh zouq-e-dosti nahin rahi


Ab teray raabtay main woh zouq-e-dosti nahin rahi 

Lagta hai tu ne bhi hamein chor diya hamari muskurahat ki tarah

Nahin haal hamara kuch tumharay haal se alag


Nahin haal hamara kuch tumharay haal se alag

Tum fursaton main yaad kartay ho 
Hamein tumhari yaad se fursat hi nahin milti 

Bichra hai raat ko mujh se woh khawab main


Bichra hai raat ko mujh se woh khawab main 

Main ne sara din bhi so liya woh loat kay na aaya

Tu shairy kay her hunar se waqif hai


Tu shairy kay her hunar se waqif hai 

Main harf harf zakham tu tehreer kar mujhay

Woh tera gham tha keh taseer meray lehjay ki


Woh tera gham tha keh taseer meray lehjay ki 

Keh jis ko haal sunaatay ussay hi rula detay

Ajeeb andhera hai ishq teri mehfil main


Ajeeb andhera hai ishq teri mehfil main 

Hum ne dil bhi jalaya to roshni na hui

Main ne kaha aaj jhoot bolnay ka din hai


Main ne kaha aaj jhoot bolnay ka din hai 

Woh muskura kay bolay tum meray ho

Batao na kaisay jaan churaai jaye


Batao na kaisay jaan churaai jaye 

Tumhari yaadon ki duniya main Qaid hoon main

Kal raat main ne dekha ik khawab ajeeb sa


Kal raat main ne dekha ik khawab ajeeb sa

Mansoob ho gaye hain kisi be'wafa se hum

Apnay dil ko teray dil se mila baithay hain


Apnay dil ko teray dil se mila baithay hain 

Zindagi ki khushiyaan teray naam laga baithay hain

Teri justagoo main beet jaye gi umar hamari 

Apni aankhon main teri tasveer bana baithay hain 

Zindagi sanwar gayi teray milnay se 

Teri chahat ko apni rooh main samaa baithay hain 

Tu roz roya karay uth kay chand raaton main


Tu roz roya karay uth kay chand raaton main 

Khuda karay tera meray baghair jee na lagay

Kaisay bhoolay ga tu meri barson ki chahat ko


Kaisay bhoolay ga tu meri barson ki chahat ko 

Dariya agar sookh bhi jaye to rait se nami nahin jaati

Kya phir se nahin ho sakta


Kya phir se nahin ho sakta 

Hum jaan mangain aur tum laga kay galay se kaho aur kuch

Apni tabiyat ka bhi ajeeb mizaaj hai


Apni tabiyat ka bhi ajeeb mizaaj hai 

Log mout se dartay hain aur hum teri narazgi se

Mat pooch kay aaj kitnay akelay hain hum


Mat pooch kay aaj kitnay akelay hain hum 

Aaj ronay ko dil kiya to aansoo bhi hum se rooth gaye

Udhar se chand tum dekho idher se chand hum dekhein


Udhar se chand tum dekho idher se chand hum dekhein 

Nigahein youn takraein keh do dilon ki eid ho jaye

Main jo kaanta hoon to chal mujh se bacha kar daman


Main jo kaanta hoon to chal mujh se bacha kar daman 

Main hoon gar phool to Eid kay joray main saja lay mujh ko

Jo aaj tak hua nahin woh honay lag jaye


Jo aaj tak hua nahin woh honay lag jaye 
Ya hawaa chraghon ka dukh sun kar ronay lag jaye 

Zameen ka daaman pakarnay ki Andhi khwaish main 
Yeh falak sarakta sarakta na khonay lag jaye 

Main agar safar par nikal aaya hoon agar 
To saath chalnay walay musafat ko ronay na lag ajyein 

Yeh ghar kaisa virsay main mil gaya mujh ko 
Jo dar jagao'n to dewaar ronay lag jaye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...