May 29, 2014

Jitnay zakham bhi thay dil ki zameen par sajay


Jitnay zakham bhi thay dil ki zameen par sajay 

Aayi jab bahar ti sab gulaab ho gaye

ayo chup ki zubaan main



Ayo chup ki zuban main 

Itni batein karein , keh thak jayein

Teri ik nigha pyaar ki


Teri ik nigah pyaar ki 
Tera lams woh pyaar bhara 
Mujhay kis jahaan main lay gaya 
Main bikhar gaye hawa kay sang 
Youn nikhar gaye pyaar kay rang 
Meri saans saans mehak gayi 
Baar ha raahon main , main behak gayi 
Main jaan gayi , main maan gayi keh ab talak
Mujhay teri deed ki pyaas thi 
Mujhay teray milan ki aas thi 
Faqat ik nigah pyaar ki 
Mujhay kainaat baksh gayi

Ab kay youn takmeel husan-e-meh'khana hui hai


Ab kay youn takmeel husan-e-meh'khana hui hai 
Us zulf-e-ambreen ki ik boond nazrana hui hai 

Rubab-e-hasti , abar-e-junoon mehka hai 
Gosha-e-mushk-e-fasoon mehka hai 
Saman-e-hazrat-e-hijar hua hai 
Rindan-e-guzishta ka kahin khoon mehka hai 

Khaak-e-ru'ami lab zara si tar hi to hui hai 
Dil ki wadi main lahu kiyon mehka hai 
pata pata teri umeed ka neh'laya gaya hai 
Ku-ba-ku teri yaadon ka sakoon mehka hai 

Chatt kay bada jo zara, su'ey shaher utra hai 
daali daali pe naya deeda'war utra hai 
Be'rang-o-be'kaif-o-be'dar utra hai 

Shokhi naqsh-e-tehreer youn numayan hai 
Jaisay falak se zameen ka sukhan'war utra hai 

Dasht walay issay mousam ki khabar kehtay hain 
Ya keh baarish kai ehal-e-fikar kehtay hain 

Haan magar 
Teri furqat main kisi raat jo hum roye hain 
IS barasnay ko hum 
Us barasnay ka asar kehtay hain

Khuda ka bhi imtihaan laney ki zid ajab thi


Khuda ka bhi imtihaan laney ki zid ajab thi

bichar ke us se dua ke lehjay ki zid ajab thi

hawa'ye shafaqat churi bhi walid se cheen lati

pe sabaz mousam ke aik baitay ki zid ajab thi

khilona aisa jo ghar ke boorhon ke kaam aye

nayi nazar ke ghreeb bachay ki zid ajab thi

youn koi shayed mizaaj hi pooch le hamara

musaraton main udaas rehnay ki zid ajab thi

main jis ki khatar nimaaz parhta raha hamesha

ussay duaon main bhool janey ki zid ajab thi

bas ik lamhay ki mout achi bhali thi aazr

magar tujhy qist qist marney ki zid ajab thi


Mujhay koi rang dia hota

Mujhay koi rang dia hota

Kitna be'bas kar detay ho 
mujhay koi rang diya hota
main in ki be'rang aankhon main bharta 
mujhay koi chahera dia hota
main in be'chaheron ko sonp deta
mujhay marham dia hota
main in ke zakhmon par lagata na thakta
mujhay maseehei di hoti 
main apnay aap ko waqaf kar deta
mujhay beenaei di hoti
main shaher bhar main taqseem kar ata
mujhay hosla dia hota 
main tasali denay ke qabal to hota
mujhay mohabbat di hai
aur...
aur kamzor kar dia hai


Kis ko khabar thi


Kis ko khabar thi

kis ko gumaan tha ik nuqtay ki aagosh itni kashada ho gi

jis main ant siray tak rang bhari pehnaei

ghul mil ke reh jaye gi

kis ko khabar thi anjanay pan ki gard libada ho gi

jis ke sadiyon ki sar basta da'naei

apni chup dikhlaye gi

kis ko yaqeen tha door ke lams ki taseer itni

ziada ho gi

jis se sangeen paikar main jamad-e-ra'naei

rooh ki nidrat paye gi

aisi anhoni bataon main sach ki kirnain taank chuki hoon

main in jagti aankhon ke ghambeer talisam main 

jhaankh chuki hoon

Hamaray darmiyaan aisa koi rishta nahin tha


Hamaray darmiyaan aisa koi rishta nahin tha


Hamaray darmiyaan aisa koi rishta nahin tha

teray shano pe koi chup nahin thi

meray zimay koi aangan nahin tha

koi wada teri zanjeer pa ban'nanay nahin paya

kisi iqrar ne meri kalaei ko nahin thama

hawa ne dasht ki manindtu azad tha

rastay teri marzi ke tabeh tahy

mujhay bhi apni tanhai par dekha jaye to

poora tasaraf tha magar janb aaj tu ne

rasta badla to kuch aisa laga mujh ko 

keh jaisay tu ne mujh se be'wafaei ki


Maqrooz ke bigray huye halaat ki manind


Maqrooz ke bigray huye halaat ki manind
majboor ke honthon pe sawalaat ki manind

dil ka teri chahat main ajab haal hua hai 
sailaab se bar'baad makanaat ki manind

main in main bhatkay huye jugno ki tarah hoon
is shaks ki aankhain hain kisi raat ki manind

dil roz sajata hoon main dulhan ki tarah 
gham roz chalay atay hain baraat ki manind

ab yeh bhi nahin yaad kiya naam tha us ka
jis shaks ko manga tha manajaat ki manind

kis darja muqada hai teray qarb ki khwaish 
masoon se bachay ke khayalaat ki manind

us shaks se milna mera mumkin hi nahin 
main pyaas ka sehra woh barsaat ki manind

Zindagi tum ko milay

Zindagi tum ko milay

Suno..

gar...

zindagi tum ko milay

to us se keh dena

keh hum ne us ko thukra kar 

faqat sanson ko jhaila hai

kabhi hum jee nahin paye

saza-e-umar kaati hai

riha bhi ho nahin paye

Ba'zahir kitna asaan hai



Ba'zahir kitna asaan hai 
kisi se baat kar lena
kisi ki baat sun lena
inhi baton ke daghon se 
rida ke khwaab bun lena
magar tujh ko khabar hai kiya
keh is kaar-e-khraabi main
mohabbat ka qasoor kiya hai
bhout si qeemti cheezain 
yahan par toot jati hain
hamari khwaishain hum par
pas-e-lab muskurati hain
hamara khoon jalta hai
hamara dam nikalta hai
hamara dil mach'chalta hai 
her ik sha ke hotay bhi
her ik manzar badal'ta hai
kisi se baat mat karna
kisi ki baat mat sun'nana 
kisi ki baat mat sun'nana

Teri ik nigha pyaar ki


Teri ik nigha pyaar ki 

tera lams woh pyaar bhara

mujhay kis jahan main le gaya

main bikhar gayi hawa ke sang 

youn nikhar gaye piyaar ke rang 

meri saans saans mehak gayi

baar ha rahon main , main behak gayi

main jaan gayi , main maan gayi keh ab talak

mujhay teri deed ki piyaas thi 

mujhay teray milan ki aas thi

faqat ik nigha piyar ki 

mujhay kainaat baksh gayi 

Hamsafar koi bhi nahin ab to


Hamsafar koi bhi nahin ab to

chara gar koi bhi nahin ab to

yaar kitnay thay achay waqton main

haan ! magar koi bhi nahin ab to

main ne dil ko teray hawale kiya

mujh ko dar koi bhi nahin ab to

shaher main tera chahney wala

tha magar , koi bhi nahin ab to 

dil ki sab narmiyaan tamaam huein 

chasham-e-tar koi bhi nahin ab to 

Ik mud'dat baad aaj aik dost purana mila


Ik mud'dat baad

Ik mud'dat baad

aaj aik dost purana mila

poochnay laga , kaho kaisay ho ?

Zindagi..

us ke bichar ney ke baad kaisi guzarti hai

main ne kaha

zindagi ka kiy apoochtay ho dost ?

woh to is ke sath hi guzar gayi

ab to bas

us ki kuch yadain bikhri pari hain

inhain chun raha hoon...

yeh jo do chaar sansain baqi hain 

yeh gin raha hoon ...!


Hum itney anmol na thay



Hum itney anmol na thay

Aankhon main jo tehreer thein 

honthon par woh bol na thay

hum thay teray piyaar ke aashiq

bas hathon main kash'kol na thay

hum ne is ko toot ke chaha 

yeh us ka haq tha lakin

woh bhi hum ko toot ke chahay 

hum itney anmol na thay

Main ne kabhi hathon par mehndi nahin lagai


Aaitbaar

Main ne kabhi hathon par

mehndi nahin lagai

aur na hi dil main kisi mard ki 

mohabbat bas'saei

mujhay hath aur dil

dono saaf achay lagtay hain

aur youn bhi 

mehandi ke rang 

aur mard ki mohabbat ka

kiya aitbaar

Woh mujh se poochti hai , main us se poochta hoon


Mohabbat chup nahin rehti 

Woh mujh se poochti hai , be saro samaan kab se ho

main us se poochta hoon , is qadar nadaan kab se ho

woh mujh se poochti hai , kon la'waris hai maqtil main 

main kehta hoon , wohi jo qatal karnay kay liye aye hain

woh mijh se poochti hai , shaher ki halat ka kiya ho ga

main kehta hoon , koi din main bla'ein loat jaein gi

woh mujh se poochti hai , karbala kiya phir barpa ho ga

main kehta hoon , nahin , ab is qadar tanha nahin koi 

woh boli , dard ke is paar bhi ik dard hota hai 

main is ke baad kitni der tak kuch bhi nahin bola

Mujhay is zindgani se koi shikwa nahin lakin


Zara si be'sakooni hai

Mujhay is zindgani se koi shikwa nahin lakin
Zara si be'sakooni hai 
najanay kyn meray dil main
ajab ik khauf rehta hai
mujhay mehsoos hota hai
keh meray dil ke darwaze pe
teri yaad ki dastak main woh shid'dat nahin baqi
bhout si khaas batain hain
jo mujh ko aam lagti hain
meray dil main inhain sun kar
koi toofan nahin uth'ta
teri aankhain , tera chehra
teri awaz ki rim jhim
sabhi kuch khwaab lagta hai 
mujhay mehsoos hota hai

sunehri titliyaan jaisay 
woh sab kush rang se sapnay
meray lafzon ke phoolon par
bhout din se nahin baithay
mujhay mehsoos hota hai
samay ki tez lehron ne 
hamaray rait ke kacahay gharonday
tor dalay hain
mujhay un tez lehrojn se 
sunehri titliyon jaisay
sabhi kush rang  sapno se 
 koi shikwa nahin lakin
zara si be'sakooni hai

mujhay mehsoos hota hai 
tumharay dil ke darwaze pe 
meri yaad ki dastak
meri jaan ab nahin hoto  !!
meri jaan ab nahin hota
keh meri yaad aye to
tumhari aankh bhar aye
dua'ein mangtay lamhay
mujhay tum bhool jati ho
magar phir bhi mujhay tum se 
koi shikwa nahin lakin
Ajab se be'sukooni hai
ajab ik khauf hai dil main 
main tum ko bhool jayon ga

Is zindagi ki bheer main


Is zindagi ki bheer main 

koi ajnabi raah chaltay jo hum se poochay

keh aankhain hain surkh kyn

kyn aag bhari hai aankhon main

kyn aag bahri hai aankhon main 

bikhri hain yeh nazrain kyn

to kiya bataein ussay

keh kyn kai raaton se so na paye hum

rona jo chaha in aankhon ne 

to kyn ro na paye hum..........

 

Us se main aksar kehta tha


Us se main aksar kehta tha
jana! apni gari badlo
tum pe yeh choti sheerad bilkul suit nahin karti
dekho is ke pehy'ye dekho dekho dekho yeh daish bord dekho
kitna halka kitna sasta
waisay bhi tum sach poocho to yeh jo ungli main diamond hai
 yeh bhi is se mehnga ho ga
is main aisi do, do karain aa sakiti hain
us se main aksar yeh kehta tha
yaar ! tum apni gari badlo
jaray anay wale hain
aur yeh heetar kaam nahin karta
yeh a/c bhi theek nahin hai tum ko lu bhi lag sakti hai
aur yeh dekho
itni achi composition aur bosida sound system
meri aqal se sab bahir hai
main to public transport pe aa jata hoon
bachpan se is ka aadi hon
lakin tum yeh kaisay ! kyn kar itni chori gari toba
meri aqal se sab bahir hai
us se main aksar  kehta tha 
yaar ! tum apni gari badlo

Ik din woh zich ho kar boli
janey kiya hai kuch arsay se 
jab se tum jeevan main aye
choti gari , choti cheezain
2 kamron ke chotay ghar aur chota aangan
choti moti hansti duniya, choti galiyan
choti basti
nanhay munhay mehkay khwaab
aur kuch choti choti kushiyaan
mujh ko ab achi lagti hain
janay kiya hai lakin sab kuch
choti choti khwaish ban kar
mujh main raqas kiya karta hai 

main nadaan tha yeh samjha woh meri gurbat main
asani se reh lay gi
phir kuch urtay lamhay aye
college ke 2 saal youn guzar gaye
jaisay saans guzar jati hai
2 salon main mousam badlay , faishon aur se aur hua to
sochon main tabdeeli ayi
hum chotay se baray huye aur
jeenay ko pehlay se barh kar mushkil paya
is ki her choti khwaish ka qad nikla aur 
us ki nanhi sochon ne bhi karwat badli
ik din us ne apnay ghar ki sari choti choti cheezain 
apnay mali ke chotay bachay ko de dein
choti galiyan , chotay aangan , choti basti
yeh sab to waisay bhi us ko ik ghar main hi mil sakta tha
us ne choti gari badli
tark kiye woh saray dost
sab rishtay aur sab sathi 
jo chotay thay
aur un sab choton main main sab se ziada chota tha
us se main khud hi kehta tha 
Yaar ! tum apni gari badlo 

Hoon na pagli


Hoon na pagli

hoon napagli ?

main us se keh rahi thi

be'wafaon kay liye 

roya nahin kartay

yeh kehtay sath

main khud ro pari....

hoon na pagli


Nazam uljhi hui hai seenay main


Nazam uljhi hui hai seenay main

sheair atkay huye hain honthon pe

lafaz kaghz pe baith'tay hi nahin

urtay phirtay hain titliyon ki tarah

kab se baitha hua hoon main janam

sada kaghaz pe likh ke naam tera

bas tera naam hi mukam'mal hai

is se behtar bhi nazam kiya ho gi

Yeh khu'baru log jin ki aankhain


Yeh khu'baru log jin ki aankhain

tumharay ujlay badan pe chipsaan

tumharay naqsh-e-qadam ki kushboo main 

sibat aisay

bhanwar main jaisy hina ke patay

main sochta hoon

keh itni aankhon ke da'iray main

meri akeli

udaas aankhon ki 

hasiyat kiya hai

meri wafa ka maqaam kiya hai

meri mohabbat ka naam kiya hai 

Kabhi yeh socha hai


Kabhi yeh socha hai

kiya tum ne 

kabhi yeh socha hai

tabeer jinhain mil jati hai

woh khwaab fana ho jatay hain

aur milti nahin tabeer jinhain

woh khwaab amr ho jatay hain

Yeh ashk teri aankh ke udaas shaam ki tarah


Udaas mat hua karo

Yeh ashk teri aankh ke 
udaas shaam ki tarah
barha rahay hain dukh meray
adhooray jaam ki tarah
yeh khwaab to azaaab hain 
jo aankh main sajaye hain 
jo ranj-o-gham ke saye hain
yeh hum ne khud banaye hain
yeh dard dhul hi jaye ga
yeh waqat beey hi jaye ga
jo hum nahin to na sahi
koi to jeet jaye ga
jo tez kar de dharkanain 
woh naam mat liya karo
jo ho sakay sanam to 
hansi kushi jiya karo
udaas mat hua karo 
udaas mat kiya karo

Ussay kehna yahan sab kuch



Sandesa

Ussay kehna 

yahan sab kuch

tumharay bin adhoora hai

gay lamhon ki yadain hain

azaab-e-zindgani hai

firaaq-e-na'gahani hai

ussay kehna

keh loat aye

Na wada hai koi tum se , koi rishta nibhaney ka


Inkishaaf

Na wada hai koi tum se , koi rishta nibhaney ka

na koi aur hi dil main ta'hiya ya irada hai

kai din se magar dil main

ajab uljhan si rehti hai

na tum is dastaan ke sar'sari kirdaar ho koi

na qissa itna sada hai

ta'aluq jo main sajh tha  kahin us se ziada hai 

Poet : Amjad Islam Amjad

Ae ajnabi shaks bata tu mera kiya lagta hai ?


Ajnabi 


Ae ajnabi shaks bata

tu mera kiya lagta hai ?

tera andaaz-e-biyaan

teri yeh shokiyan 

mera her gham mera her dard

mita detay hain

meray in zakhmon par 

marham si laga detay hain

Ae ajnabi shaks bata

yeh kaisa rishta hai keh 

tujh se milney ki

meray dil ko aas rahay

tu mujh se door hai lakin

tera wajood meri

dharkano ke pass rahay

Ae ajnabi shaks bata

yeh kaisa jazba hai

keh tum se mohabbat hai

ulfat hai na koi chah

na paney ki hasrat hai

na khoney ka gila

na mohabbat hai

na ulfat 

to yeh jazba kaisa


Tu mujh se kyn yeh chahay


Khadsha


Tu mujh se kyn yeh chahay

meri zaat ke aainay main

tera hi aks nazar aye

sochain teri , alfaaz mera

khaka tera , naqash meray

pasand teri ho mehar meri 

tu manzar ho nazar meri

meri zaat ke aainay main

tera hi aks nazar aye

yahi mohabbat ki mairaaj hai

yeh mohabbat ka sheva ho ga

par sheeshay main badal para to

teray aks ka kiya ho ga ?

Bichar jayein to behtar hai


Bichar jayein to behtar hai


Woh mera ho bhi sakta hai 

main us ko pa bhi sakta hoon

magar woh itna sada hai 

mujhay apna bhi kehta hai

magar phir bhool kar sab kuch

woh kehta hai !

bichar jayein to behtar hai


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...