Jul 29, 2015

Me'khanay main baitha her shakhs saqi nahin hota


Me'khanay main baitha her shakhs saqi nahin hota 
Hazaron jaam peenay se koi sharabi nahin hota 

Baarishon , nehron se fasal to ugg jaati hai 
Zameen khud na chahye koi ilaaqa sairaabi nahin hota 

Koi yahan chotay gunnah se pakra jaata hai 
Koi hazaron gunnah kar kay bhi azaabi nahin hota 

"Zain" ek riwayat suuni thi magar maanta na tha 
Milay tum se , ehsaas huwa her shakhs wafa ka Aadi nahin hota

Youn dil ko her shakhs pe wara nahin kartay



Youn dil ko her shakhs pe wara nahin kartay 
Aankhon main her ik aks utaara nahin kartay 

Honi hai to ik baar hi ho jaye mohabbat 
YEh bhool hai aisi keh dobara nahin kartay 

Acha huwa main ne hi faqat dekha magar youn 
Mehfil main kisi ko bhi ishaara nahin kartay 

Mil jaye sar-e-raah jo bichra huwa koi 
Chup chaap hi taktay hain pukara nahin kartay 

Kiyon pyaar ki baazi se huwa is darja guraizan 
Kehtay hain keh badal haar kay haara nahin kartay 

Kajal se bhi ab koi kaam lay na sahaili 
Youn dard se aankhon ko sanwara nahin kartay

Subha safar ki raat thi , taray thay aur hawa



Subha safar ki raat thi , taray thay aur hawa 
Saaya sa aik , dair tak , baam par raha 

Meri sada hawa main bhout door tak gayi 
Par main bula raha tha jissay be'khabar raha 

Guzri hai kiya mazay se kya khayalon main zindagi 
Doori ka yeh talisam bara kar'gar raha 

Khouf Aasman kay saath tha sar par jhuka huwa 
Koi hai bhi ya nahin hai yahi dil main dar raha 

IS aakhri nazar main ajab dard tha "Munir"
Janay ka is kay ranj mujhay umar bhar raha 

Main kissay suna raha hoon yeh ghazal mohabbaton ki



Main kissay suna raha hoon yeh ghazal mohabbaton ki 
KAhin aag sazishon ki kahin aanch nafraton ki 

Koi baagh jal raha hai yeh magar meri dua hai 
Meray phool tak na ponchay yeh hawa tamazaton ki 

Mera kon sa hai mousam meray mousamon kay waali 
YEh bahaar be'dili ki yeh khizaan murawaton ki 

Main qadeem baam-o-dar main inhain jaa kay dhoondta hoon 
Woh diyaar nikhaton kay woh fizaein chahaton ki 

Kahin chaand ya sitaray huye hum'kalaam mujh se 
Kahin phool sehriyon kay kahin jhaariyan chatton ki 

Meray kaaghzon main shayed kahin ab bhi so rahi ho 
Koi subha gulistaan ki koi shaam parbaton ki 

Aik bas tu hi nahin mujh se khafa ho baitha



Aik bas tu hi nahin mujh se khafa ho baitha 
MAin ne jo sang traasha woh khuda ho baitha 

Uth kay manzil agar aaye to shayed kuch ho 
Shouq-e-manzil to mera Aabla paa ho baitha 

MAslihat cheen lay quwat-e-guftaar magar 
Kuch na kehna hi mera meri sada ho baitha 

Shukriya Ae meray qatil , Ae maseeha meray 
Zehar jo tu ne diya tha woh dawa ho baitha

Thi jis se roshni woh diya bhi nahin raha


Thi jis se roshni woh diya bhi nahin raha 
Ab dil ko Aetabaar-e-hawa bhi nahin raha 

Tu bujh gaya to hum bhi farozan na reh sakay 
Tu kho gaya to apna pata bhi na raha 

Kuch hum bhi teray baad zamanay se kat gaye 
Kuch rabt-o-zabt khuda se bhi na raha 

Goya hamaray haq main sitam dar sitam hua
Harf-e-dua bhi dast-e-dua bhi nahin raha 

Kya shairy karain keh teray baad shaher main 
Lutf-e-kalaam kaif-e-nawa bhi nahin raha

Hadees-e-ishq yahan moh'tabar nahin rehti



Hadees-e-ishq yahan moh'tabar nahin rehti
Nazar main ho jo khiyanat , nazar nahin rehti

Mareez-e-gham pe ik aisi bhi shaam aati hai
KEh chara gar ko umeed-e-sehar nahin rehti

MAreez un ki sada sun kay chonk uth'ta hai
Phir is kay baad kisi ki khabar nahin rehti

Hazaar baagh-e-mohabbat pe Aaftein tootein
YEh shaakh nakhl-e-wafa be'samar nahin rehti

Tamaam ehal-e-gulistan ne koshishein kar lein 
Bahaar had se ziyada magar nahin rehti

Wadi-e-ishq se koi nahin aaya jaa kar



Wadi-e-ishq se koi nahin aaya jaa kar 
Ayo awaz lagaein sar-e-sehraa jaa kar 

Bazam-e-janaa main to sab ehal-e-talab jaatay hain 
KAbhi maqtal main bhi dikhlaein tamasha jaa kar 

Kin zameeno pe meri khaak kahoo roye gi 
Kis samandar main girain gay meray dariya jaa kar 

Aik marhoom si umeed hai tujh se warna 
Aaj tak aaya nahin koi maseeha jaa kar 

Dekh yeh hosla mera meray buz'dil dushman 
Tujh ko lashkar main pukaara tan-e-tanha jaa kar 

US sheh-e-husan kay dar pe hai faqeeron ka hajoom 
yaar hum bhi na karain arz-e-tamana jaa kar 

Hum tumhain manah to kartay nahin  janay se "Faraz"
Jaa usi dar pe magar haath na phailaa jaa kar

Sab ka dard december tha



Sab ka dard december tha
Bas ik meri baat nahin thi sab ka dard december tha
Barf kay shaher main rehnay wala ik ik fard december tha
Pichlay saal kay aakhir main bhi hairat main hum teeno thay 
Ik main tha , ik tanhai thi , ik be'dard december tha 
Apni apni himmat thi aur apni apni qismat thi 
Haath kisi kay neelay thay aur peela zard december tha 
Phoolon pe taari tha sakta aur khushboo sehmi sehmi thi 
Khouf'zada tha gulshan sara aur dehshat'gard december tha 
Yeh jo teri aankh main pani yeh jo teri baat main sardi 
Itna hamein batao tum , kya hamdard december tha 

Zakhm yaadon kay nahin mit'tay hain asaani se



Zakhm yaadon kay nahin mit'tay hain asaani se
Daagh dhultay hain kahan behtay huye paani se 

Dekhti jaati hoon mailay ka tamasha chup chaap 
Kya pata bol paray aankh hi veerani se 

Roshni ka yeh khazana meri aankhein hi na hon 
Shamma to main ne bhujha di hai parishaani se 

Meray chehray pe jhalakta hai kisi aur ka aks
Aaina dekh raha hai mujhay hairaani se

Baandh li main ne dua rikhat-e-safar main "Naina"
Dar jo lagta hai mujhay be'sar-o-samani se

Mohabbat rog ban jaati hai



Mohabbat rog ban jaati hai 

Jab seenay main utar jaye 

JAb khil kar bikhar jaye 

Jab had se guzar jaye 

Dilon ka sog ban jaati hai 

Mohabbat rog ban jaati hai

Kabhi khamosh baitho gay , kabhi kuch gun'gunao gay



Kabhi khamosh baitho gay , kabhi kuch gun'gunao gay
Main itna yaad aayon gi mujhay jitna bhulao gay

Koi jab pooch baithay ga khamoshi ka sabab tum se
Bhout samjhana chaho gay magar samjha na paao gay

Kabhi duniya mukamal ban kay aaye gi nigahon main
Kabhi meri kami duniya ki her shai main paao gay

Kahin par bhi rahain hum aur tum mohabbat phir mohabbat hai 
tumhain hum yaad aayein gay hamein tum yaad aayo gay

Teri dua se qaza to badal nahin sakti



Teri dua se qaza to badal nahin sakti 
Magar hai is se yeh mumkin keh tu badal jaye

Teri khudi main agar inqalaab ho paida 
Ajab nahin hai keh yeh chaar soo badal jaye

Wohi sharab, wohi haye-o-hoo rahay baaqi 
Tareeq-e-saqi-o-rasam kadu badal jaye 

Teri dua hai keh ho teri aarzoo poori 
Meri dua hai teri aarzoo badal jaye

MAin ne sab chragh bujha diye


MAin ne sab chragh bujha diye 
Meray ghar main ho chahye raat bhi 
Teray ghar main rahay sada roshni 
Teray sab andheray milain mujhay 
Meri roshni teray naam ho 
Teray rat'jagay main ne lay liye 
Meri neend tujh ko naseeb ho
Chahye dooriyan rahain mera muqaddar 
Tera pyaar teray qareeb ho

Aaj bhi waisa hi mousam hai



Aaj bhi waisa hi mousam hai 
Aaj bhi waisay hi badal hain 
Aaj bhi waisi hi baarish hai 
JAb hum pehli baar milay thay 
Yaad hai , hum ne yeh socha tha 
Hum ko miltay dekh kar mousam 
Itna khush hai , itna khush keh 
Is ki aankhein bheeg gayi hain 
Magar aaj yeh jaan gaye hain 
Mousam us din kiyon roya tha

YEh lamhon ki nahin hai yeh to sadiyon ki musafat hai



YEh lamhon ki nahin hai yeh to sadiyon ki musafat hai 

Kisi ki yaad ka sehraa, mohabbat hamsafar meri

Ghubaar-e-raah main kuch door tak hi saath deta hai 

Wohi ik main wohi tanha , mohabbat hamsafar meri 

Wohi her waqat sochon par kisi ki yaad ka pehra 

Wohi din raat ka jalna , mohabbat hamsafar meri

Ibtida-e-ishq hai rota hai kya



Ibtida-e-ishq hai rota hai kya 
Aagay aagay dekhiye hota hai kya 

Qaaflay main subha kay ik shor hai 
Yehni ghafil hum chalay sota hai kya 

Sabz hoti hi nahin yeh sar zameen 
Tukham-e-khwaish dil main to hota hai kya 

Yeh nishaan-e-ishq hain jaatay nahin 
Daagh chaati kay Abs dhoota hai kya

Chaak daman ko dekha to mila Eid ka chaand


Chaak daman ko dekha to mila Eid ka chaand 
Apni tasveer kahan bhool gaya Eid ka chaand

Un kay Aabro-e-khameeda ki tarah teekha hai 
Apni aankhon main bari dair chubha Eid ka chaand 

Door veeran basairay main diya ho jaisay 
Gham ki dewaar se dekha to laga Eid ka chaand 

LAy kay halaat kay sehraaon main aa jaata hai 
Aaj bhi khald ki rangeen fiza Eid ka chaand 

Talkhiyan barh gayein jab zeest kay paimanay main 
Ghoal kay dard kay maaron ne piya Eid ka chaand 

Chasham to wusat-e-aflaak main khoyi Sagar 
Dil ne ik aur jaga dhoond liya Eid ka chaand

Aaj bhi shaam udaas rahi



Aaj bhi shaam udaas rahi 

Aaj bhi tapti dhoop ka sehraa !
Teray narm labon ki shabnam 
Saaye se mehroom raha 
Aaj bhi pathar hijar ka lamha 
Sadiyon se be'khwaab ruton ki 
Aankhon ka mafhoom raha 
Aaj bhi apnay wasal ka taara 
Raakh uraati shokh shafaq ki 
Manzil se madoom raha 
Aaj bhi shaher main pagal dil ko 
Teri deed ki aas rahi 
Muddat se gum sum tanhai 
Aaj bhi meray paas rahi 
Aaj bhi shaam udaas rahi

Chiriya poori bheeg chuki hai



Chiriya poori bheeg chuki hai 

Aur darakhat bhi pata pata tapak raha hai 

Ghonsala kab ka bikhar chuka hai 

Chiriya phir bhi cheh'hek rahi hai 

Ang ang se bol rahi hai 

Iss mousam main bheegtay rehna kitna acha lagta hai

Kabhi zindagi main agar akelay ho



Kabhi zindagi main agar akelay ho 
Aur dard had se guzar jaye 
Aankhein teri 
Baat'be'baat ro parein 
TAb koi ajnabi 
Teri tanhai kay chaand ka narm haala banay 
Teri qamat ka saaya banay 
Teray zakhmon ka saaya banay 
Teri palkon se shabnam chunay 
Teray dukh ka maseeha banay 

Parveen shakir

Tum se bichar kar pehron sochta rehta hoon



Tum se bichar kar pehron sochta rehta hoon 
Ab main kiyon aur kisi ki khatir zinda rahoon

Ae khamosh khalla ka6y maalik teri qasam 
Bazam-e-jahan main tujh se ziyada tanha hoon 

Jeeti jaagti duniya kay hangamon main 
Youn lagta hai jaisay main ik saya hoon 

Khoya hai woh jaisay haath ki lakeeron main 
Aisay apnay haath ko takta rehta hoon 

Reza reza toot chuka hoon andar se
Ghar se baahir gardan taan kar chalta hoon 

Janay jis ka naam hai Amjad kon hai woh 
Sach poocho to main ik jhoota chehra hoon

Aks-e-khushboo hoon , bikharnay se na rokay koi



Aks-e-khushboo hoon , bikharnay se na rokay koi 
Aur bikhar jaaon to mujh ko na samaitay koi 

Kaamp uth'ti hoon main yeh soch kay tanhai main 
Meray chahray pe tera naam na parh lay koi 

Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza 
IS tarah se na kabhi toot kay bikhray koi 

MAin to uss din se haraasan hoon keh jab hukam milay 
Khushk phoolon ko kitabon main na rakhye koi 

Ab to is raah se woh shakhs guzarta bhi nahin 
Ab kis umeed pe darwaze se jhankay koi 

Koi aahat , koi awaz, koi chaap nahin 
Dil ki galiyaan bari sunsaan hain aaye koi

Tu badalta hai to be'sakhta meri aankhein


Tu badalta hai to be'sakhta meri aankhein 

Apnay haathon ki lakeeron se ulajh jaati hain

Meray shaher se guzra hai woh badal ki tarah



Meray shaher se guzra hai woh badal ki tarah 
Dast-e-gul phaila hua hai meray aanchal ki tarah 

Keh raha hai kisi mousam ki kahani ab tak 
Jism barsaat main bheegay huye jungle ki tarah hai 

Oonchi awaz main us ne to kabhi baat na ki 
Khafgiyon main bhi woh lehja komal ki tarah 

Mil kay us shakhs se main laakh khamoshi se chalon 
Bol uth'ti hai nazar paaon kay cha'ghal ki tarah 

Paas jab tak woh rahay dard tham'ta rehta hai 
Phailtaa jata hai phir Aankh kay kajal ki tarah 

Ab kisi tor se ghar janay ki surat hi nahin 
Raastay meray liye ho gaye daldal ki tarah 

Jism kay tehra-o-asaib zada mandir main 
Dil sar-e-shaam sulag uth'ta hai sandal ki tarah

Baad muddat ussay dekha logo



Baad muddat ussay dekha logo 
Woh zara bhi nahin badla logo

Khush na tha mujh se bichar kar woh bhi 
Us kay chehray pe likha tha logo 

US ki aankhein bhi kahay deti thein 
Raat bhar woh bhi na soya logo 

Ajnabi ban kar jo guzra hai abhi 
Tha kisi waqat main apna logo

Dost to khair koi kis ka hai 
US ne dushman bhi na samjha logo 

Raat woh dard meray dil main utha 
Subha tak chain na aaya logo

Khoi khoi aankhein Bikhray baal




Ajnabi 

Khoi khoi aankhein 
Bikhray baal 
Shikan alood qaba 
Luta luta insaan 
Saaye ki tarah se meray saath raha karta lakin 
Kisi jaga mil jaye to
Ghabra kay murr jata hai 
Aur phir door se jaa kar mujh ko taknay lagta hai 
Kon hai yeh ?

Parveen shakir

Baja keh aankhon main neend kay sil'salay bhi nahin



Baja keh aankhon main neend kay sil'salay bhi nahin

Shakist-e-khwaab kay ab mujh main hoslay bhi nahin 

NAhin nahin ! yeh khabar dushmano ne di ho gi 

Woh aaye aa kay chalay bhi gaye milay bhi nahin 

YEh kon log andheron ki baat kartay hain 

Abhi to chand teri yaad kay dhalay bhi nahin 

Khafa agarcha hamesha huye magar ab kay 

Woh bar'hami hai keh hum se unhain gilay bhi nahin

Ab kay rutt badli to khushboo ka safar dekhay ga kon



Ab kay rutt badli to khushboo ka safar dekhay ga kon 
Zakham phoolon ki tarah mehkain gay par dekhye ga kon 

Dekhna sab raqs-e-bismal main magan ho jayein gay 
Jis taraf se teer aaye ga udhar dekhye ga kon 

Zakham jitnay bhi thay sab mansoob qatil se huye 
Teray haathon kay nishaan Ae chara gar dekhye ga kon 

Woh hawas ho ya wafa ho baat mehroomi ki hai 
Log to phal phool dekhein gay shajar dekhye ga kon 

Hum chragh-e-subha hi tehray to phir kya sochna 
Raat thi kis ka muqaddar aur sehar dekhye ga kon 

Aa faseel-e-shaher se dekhein ghaneem-e-shaher ko 
Shaher jalta ho to tujh ko baam par dekhye ga kon 

Her koi apni hawa main mast phirta hai  "Faraz"
Shaher-e-na'parsaan main teri chashme-e-tar dekhye ga kon

Harf-e-taza nayi khushboo main likha chahta hai



Harf-e-taza nayi khushboo main likha chahta hai 
Baab ik aur mohabbat ka khulla chahta hai 

Ik lamhay ki tawajo nahin hasil us ki 
Aur yeh dil keh ussay had se siwa chahta hai 

Ik hijaab teh-e-iqraar hai maaneh warna 
Gul ko maloom hai kiya dast-e-saba chahta hai 

Rait hi rait hai is dil main musafir meray 
Aur yeh sehraa tera naqsh-e-kaf-e-paa chahta hai

Yahi khamoshi kai rang main zahir ho gi 
Aur kuch roz keh woh shokh khila chahta hai 

Raat ko maan liya dil ne muqaddar lakin 
Raat kay haath pe ab koi diya chahta hai 

Parveen shakir

Hamara saahil se koi wasta nahin raha



Hamara saahil se koi wasta nahin raha 
Manzil ko janay ka koi raasta nahin raha 

Talaash kar kay thak gaye hain us haseena ko 
Us ka bhi hum se koi raabta nahin raha

Sitam yeh hai keh hum bhi rahay naqas-ul-aqal 
Shayed isi liye us ka koi aasra nahin raha

Dil to karta rehta hai Aah-o-fagaan aksar 
Magar is se milnay ka koi dilaasa nahin raha 

Ab bujh gaya hai umeedon ka chragh Anjum
Hamara apna bhi koi laadla nahin raha 

Hamaray darmiyaan aisa koi rishta nahin tha



Hamaray darmiyaan aisa koi rishta nahin tha 
Teray shaano pe koi chatt nahin thi 
Meray zimay koi aangan nahin tha 
Koi wada teri zanjeer-e-paa bananay nahin paya 
Kisi iqraar ne meri kalaai ko nahin thaama 
Hawa-e-dasht ki manind 
Tu azaad tha 
Raastay teri marzi kay tabeh thay 
Mujhay bhi apni tanhai pe
Dekha jaye to 
Poora tasraf tha 
Magar jab aaj tu ne rasta badla
To kuch aisa laga mujh ko 
Keh jaisay tu ne mujh se be'wafai ki !!

Mohabbat ka meri mujh se hisaab manngta hai



Mohabbat ka meri mujh se hisaab maangta hai 
Tamaam umar ka mujh se nisaab maangta hai 

Jin logon ko main jaanta nahin 
Un logon kay mujh se Alqaab maangta hai 

Un kay qadmon main khushiyon ko dhair kar diya 
Pagal un cheezon ka jawaaz maangta hai 

Hazaar baar kaha sirf tum se pyaar hai 
Meray pyaar ka mujh se oqraar maangta hai 

Her sawal kay jawaab ko jaantay huye bhi 
Apnay her sawal ka jawaab maangta hai 

Ajeeb shakhs hai khushiyon ko daman main lay kar 
Khushiyon ki bheek sar-e-bazar maangat hai 

Hum mout ki dehleez par hain janta hai , jana hai hamein 
Pagal hai meray ruknay ki dua maangta hai 

Jab shab kay shakista zeeno se Mehtaab ubharnay lagta hai





Jab shab kay shakista zeeno se Mehtaab ubharnay lagta hai
Jab gham kay sard Alaao main umeedain bujhnay lagti hain 
Jab dil kay shoreeda samandar main awazein marnay lagti hain 
Jab mousam haath nahin aatay jab titli baat nahin karti
Jab zinda rehna ik be'mehni kaam dikhai deta hai 
Jab aanay wala her lamha dishnaam dikhai deta hai 
Jab yaad kay gehray sanaatay main chehray gum ho jatay hain 
Jab dard se bojhal aankhon main gardaab se parnay lagtay hain
Jab shammein gul ho jati hain jab khwaab bikharnay lagtay hain 
Uss waqat agar tum aa jaao

Hum aaj bhi hain , soch main doobay huye Mohsin



Hum aaj bhi hain , soch main doobay huye Mohsin 
Khud se kabhi duniya se hain roothay huye Moshin

Denay kay liye us ko jo hum ne sambhalay thay
Woh phool kitabon main hain , sookhay huye Mohsin

Woh apni jafaon main kuch kami to karain aaj 
Ik umar hui shaher woh choray huye Mohsin 

Hum ne yeh kaha tha keh inhain pyaar hai hum se 
hum aaj bharri bazam main jhootay huye Mohsin 
Aagosh main in ki hamein rahat jo mili hai 
Hum aaj kuch andar se hain tootay huye Mohsin 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...