Mar 10, 2015

Wafa kay sheesh mahal main saja liya main ne


Wafa kay sheesh mahal main saja liya main ne 
Woh ik dil jissay pathar bana liya main ne 

Yeh soch kar keh na ho qismat main khushi koi
Ghamon ki oat main khud ko chupa liya main ne 

Kabhi na khatam kiya main ne roshni ka mohaaz
Agar chragh bujha dil jala liya main ne

Kamal yeh hai keh jo dushman pe chalaana tha 
Woh teer apnay kalejay pe kha liya main ne "Qateel"

Jis ki adawat main ek pyaar bhi tha 
Us Aadmi ko galay se laga liya main ne 


Be'rabt husan-o-ishq yeh kaif-o-asar kahan


Be'rabt husan-o-ishq yeh kaif-o-asar kahan 
Thi zindagi aziz magar is qadar kahan 

Teray baghair ronaq-o-dewaar-o-dar kahan 
Shaam-o-sehar ka naam hai ,  shaam-o-sehar kahan 

Kya jaaniye khayal kahan hai nazar kahan 
Teri khabar kay baad khud apni khabar kahan 

Maana keh mohtasib bhi bara ba'shaoor hai 
Lakin ussay nazakat-e-gham ki khabar kahan 

Kehnay ko ehal-e-ilm ki koi kami nahin 
Lakin khud apni fikar , khud apni nazar kahan 

Tark-e-taaluqat ko muddat guzar chuki
Zaalim ! teray khayal se phir bhi mufar kahan 

Arsa hua keh rasm-o-mohabbat badal chuki 
Daaman se woh muaamla-e-chasham-e-tar kahan

Mujh ko shakist-e-dil ka maza yaad aa gaya


Mujh ko shakist-e-dil ka maza yaad aa gaya 
Tum kiyon udaas ho gaye , kiya yaad aa gaya 

Kehnay ko zindagi thi , bhout mukhtasar magar 
Kuch youn basar hui keh , khuda yaad aa gaya 

Barsay bina hi jo ghatta aagay nikal gayi
Ik be'wafa ka , ehad-e-wafa yaad aa gaya 

Youn chonk uthay woh , sun kar mera shikwa
Jaisay unhain bhi koi gilla yaad aa gaya 

Hairat hai tum ko dekh kay masjid main ae sagar
Kya baat ho gayi jo tumhain bhi khuda yaad aa gaya

Shaam ka manzar ,uljha raasta , Ek kahani , tu aur main


Shaam ka manzar ,uljha raasta , Ek kahani , tu aur main 

Dhalta suraj ,barhta saaya , Kashti rani , tu aur main 

Band ik kamra, chup ka manzar , Bhooli bisri , deepak yaad 

Tanhai , dukh , khouf ki lazzattu aur main

Titli , khushboo, rang ki baatein , shabnam se sharmeelay khwaab 

Aas ka panchi  gum sum khwaish , raat ki rani , tu aur main 

Palkein , chilman , sharma sharmi , kam kam goya nazrain

Raaton jaisi seedhi saadhi ik nadaani , tu aur main 

Dastaras main nahin halaat tujhay kya maloom


Dastaras main nahin halaat tujhay kya maloom 
Ab zaroori hai mulaqaat tujhay kya maloom 

Raat kay pichlay pehr neend shikan tanhai
Kaisay karti hai sawalaat tujhay kya maloom 

Tu ba'zid hai keh sar-e-aam parastish ho teri
Main hoon paband-e-riwayaat tujhay kya maloom 

Jashan sawan ka youn barh charh kay mana'nay walay
Zulm kya dhaati hai barsaat tujhay kya maloom 

Shaana-e-waqat pe ab zulf-e-parishaan ki tarah
Bikhri rehti hai meri zaat tujhay kya maloom  

Bana kay banjar yeh dil ki basti ujaar jatay hain soch lena


Bana kay banjar yeh dil ki basti ujaar jatay hain soch lena 

Mohabbaton main to aisay aisay sailaab aatay hain soch lena 

Yeh uljhi zulfain, yeh laal aankhein , yeh mailay kapray , yeh zard chehra 

HAsaas logon ki zindagi main yeh baab aatay hain soch lena 

Aadha din to sulagtay sehra ki jalti raaton pe chal liya kar 

Keh hijraton main to is se barh kar azaab aatay hain soch lena 

Hijar ne meray tabbah kiya hai to chor do na yeh pyaar karna 

KEh un ki jaanib se is tarah bhi jawaab aatay hain soch lena

Uss shakhs se mera bas itna sa talluq hai Dost


Uss shakhs se mera bas itna sa talluq hai Dost

Woh agar parishaan ho to mujhay neend nahin aati

Ishq tha , koi karobaar to na tha !!


Ishq tha , koi karobaar to na tha !!

Phir nuqsaan hua to hua kaisay

Kabhi milay fursat to itna lazmi batana


Kabhi milay fursat to itna lazmi batana

Woh kon si mohabbat hai ? jo hum tumhain de na sakay

Seekh lo kisi kay pyaar ki qadar karna


Seekh lo kisi kay pyaar ki qadar karna

Kahin koi toot na jaye tumhain ehsaas dilatay dilatay

Bhout dar lagta hai mujhay un logon se


Bhout dar lagta hai mujhay un logon se 

Dil main reh kay jo dil pe waar kartay hain

Tumhari janib main kya apna haal bhaigon


Tumhari janib main kya apna haal bhaigon
Apna dukh dard bhaigon 
YA 
Zindagi ka zawal bhaigon 
Bhaigon aankhon se
Giray ashk
Ya ?
Ashkon se bheega 
Woh rumaal bhaigon 
Apni be'basi 
Biyaan kar doon 
Ya
Majbooriyon ka main 
Haal bhaigon 
Dukhon ka 
Ek ek din bhaigon 
YA
Dard ka poora 
Saal bhaigon 
Suno
Mera dil to
Tumharay paas hai 
Kaho to apni 
Jaan bhi nikaal bhaigon  

Aao keh chragh-e-dil ko phir jala dain


Aao keh chragh-e-dil ko phir jala dain

Kuch yaadein phir zinda ho rahi hain

Mohsin hi samjhtay hain gham-e-dost tujhay hum


Mohsin hi samjhtay hain gham-e-dost tujhay hum 

Dushman to kabhi dil main basaaye nahin jaatay 

Kamal-e-zabt to main khud bhi azmaon gi


Kamal-e-zabt to main khud bhi azmaon gi 
MAin apnay haath se us ki dulhan sajaon gi 

Supurd kar kay usay chandani kay haathon 
Main apnay ghar kay andheron ko loat aayon gi 

Badan kay karb ko woh bhi samjh na paye ga 
Main dil main rahon gi aankhon main muskuraon gi 

Woh kya gaya keh rafaqat kay saray lutf gaye 
MAin kis se rooth sakon gi kaisay manaon gi

Woh ik rishta-e-be'naam bhi nahin lakin 
MAin ab bhi us kay ishaaron pe sar jhuka'on gi

Ab us ka fun kisi aur se mansoob hua 
MAin kisi ki nazam   akelay main gun'gunaaon gi 

Samaton main ghannay junglon ki saansain hain 
Main ab kabhi teri awaz sun na paaon gi 

Masti bharri nigaah se lehra kay pee gaya


Masti bharri nigaah se lehra kay pee gaya
Zulfon se khailtay huye behla kay pee gaya 

Un ki nigaah-e-naaz se takraa gayi nigah 
Goya keh jaam jaam se takra kay pee gaya 

Toba ko torta raha sagar kay saath saath 
Youn jurm ko sawaab main  uljhaa kay pee gaya 

Talkhi-e-gham-e-hayat aur talkhi sharaab ki 
Dono ko aik jaam main chhalkaa kay pee gaya 

Jannat main jo halaal hai duniya main kiyon haraam 
Yaaron ko baat raaz ki samjha kay pee gaya

Kabhi to un ki palkon se izhaar ho ga


Kabhi to un ki palkon se izhaar ho ga 
Dil kay kisi konay main hamaray liye pyaar ho ga 

Guzarti hai her shaam un ki yaad main 
Kabhi to un ko bhi hamara intizaar ho ga

Aksar raat ki tanhai main yeh sochtay sochtay subha ho jati hai


Aksar raat ki tanhai main yeh sochtay sochtay subha ho jati hai 

Mohabbat dua hai , saza hai , jaza hai , ya gunnah hai

Khoobsurat wadon ko tor diya us ne


Khoobsurat wadon ko tor diya us ne 
Mujhay yaad rakhna chor diya us ne 

Bhout kiya kartay thay wafa ki baatein 
Lagta hai wafa ka daman chor diya us ne 

Jo kehtay thay keh tum bin jee nahin saktay 
Lagta hai meray bin jeena soch liya uss ne 

Us ko neendon se fursat nahin 
Ab to baat karna bhi chor diya us ne

Main bojh ban jaaon ga apnay hi doston pe ek din Ae dost


Main bojh ban jaaon ga apnay hi doston pe ek din Ae dost

Dekhna woh kaandhay badal rahay hon gay her 2 qadam kay baad

Teri yaadon ki khushboo khirkiyon main raqs karti hai


Teri yaadon ki khushboo khirkiyon main raqs karti hai 
Teray gham main sulagta hoon to aankhein bheeg jaati hain 

Hazaron mousamon ki hukam'raani hai meray dil par
Wasi main jab bhi hansta hoon to aankhein bheeg jaati hain

Jis jaga apni yaadain dafna sakein


Jis jaga apni yaadain dafna sakein 

Shaher main aisa bhi qabristaan hona chahiye 

Un kay janay ka faisala sun kar sawan


Un kay janay ka faisala sun kar sawan 

Dil ne sisak kar kaha aur "Main"

Achi aankhon ka yeh matlab to nahin


Achi aankhon ka yeh matlab to nahin 

Keh jissay dekho ussay hi barbaad kar do

Rafiqon se raqeeb achay jo jal kar naam letay hain


Rafiqon se raqeeb achay jo jal kar naam letay hain 

Gulon se khaar behtar jo daman thaam letay hain

Ja chuka hai woh , us ka safar bhool ja


Ja chuka hai woh , us ka safar bhool ja 
Khaak palkon se dho , rahguzar bhool ja 

Ajnabi ban kay dekh us ki tasveer ko 
Yaad rakhnay kay saray hunar bhool ja 

Phir se abaad kar dil ki patal ko 
US ka gaaon , gali, baam-o-dar bhool ja

Orh lay khud pe duniya ki sab roniqein 
Zid na kar , ab ussay chasham-e-tar bhool ja

Yaad rakh us ki baaton kay sab zaiqay 
Us kay wadon ki lazzat magar bhool  ja 

Palkon palkon bicha pyaas ki teergi
Aankh main chandani kay bhanwar bhool ja 

US kay aanay na aanay se ab dar guzar 
Apnay honay na honay ka dar bhool ja 

Khud se wabasta ruswaiyon ki tarah 
US ki shohrat ki taza khabar bhool ja 

Ab to youn hi keh mohsin her aik yaar ko 
Lamha bhar kay liye yaad kar, bhool ja 
 

Aankhon main thakan dhanak badan par


Aankhon main thakan dhanak badan par 
Jaisay shab-e-awwleen dulhan par 

Dastak hai hawa-e-shab ki tann par
Khulta hai naya dareecha fun par 

Rangon ki jameel baarishon main 
Utri hai bahaar phool ban kar 

Thaamay huye haath roshni ka 
Rakh ayi qadam zameen gagan par 

Guzra tha koi shareer jhonka 
Salwat hai qaba-e-yasmeen par 

Shabnam kay labon pe naachti hai 
Chaya hai ajab nasha kiran par 

Khulti nahin barg-o-gul ki aankhein 
Jaadu koi kar gaya chaman par 

Khamoshi kalaam kar rahi hai 
Jazbaat ki mohar hai sukhan par

Puraani kitaab main rakhi tasveer se baatein


Puraani kitaab main rakhi tasveer se baatein 
Aaj barson kay baad dekha hai 
Ab bhi aankhon ka rang gehra hai 
Aur maathay ki sanwali si lakeer 
Dil main kitnay diye jalaati hai 
Teri qamat kay saaye ki khushboo
Guftagoo main bahaar ka mousam 
Be'sabab Aitabaar ka mousam 
Kiyon mujhay saray dhang yaad rahay 
Kitni hairaan ho gayi khud pe 
Main tujhay aaj tak nahin bhuli
Pichlay mousam ki yaad baaqi hai 

Noshi Gilani

Sardiyon ki raaton main jab samay bhi jam jaye


Sardiyon ki raaton main jab samay bhi jam jaye

Sardiyon ki raaton main 
JAb samay bhi jam jaye 
Aur dil ki baaton main 
Aarzoo tehar jaye 
Ajnabi musaafir kay 
Intizaar ki shammein 
Sard sard jhonkon se 
Phar'pharanay lag jayein 
Apnay sard shaano par 
Rakh kay sar ko mat rona 
Tum udaas mat hona !!!

Zindagi , log jissay marham-e-gham jaantay hain


Zindagi , log jissay marham-e-gham jaantay hain 


Zindagi , log jissay marham-e-gham jaantay hain 
Jis tarah hum ne guzaari hai woh hum jaantay hain 

Dard kuch aur atta kar keh teray dard nawaz
YEh sakhawat teray miyaar se kam jaantay hain 

Sar barhna chalay aaye hain keh pathar barsain 
Hum teray shaher ka Aa'in-e-karam jaantay hain 

Shiddat-e-gham ka yeh aalam hai shab-e-hijar , keh hum 
Her sitaaray ko tera deeda-e-nam jaantay hain 

Hum keh khiltay thay , kabhi zabt-e-junoon ki rutt main 
HArf-e-sheerein ko bhi ab qatra-e-sam jaantay hain 

"Rasam-e-Farhad" pe kehna ho ghazal to "Mohsin"
"Sang-o-Taisha"ko bhi hum loh-o-qalam jaantay hain 
 

Suno mujhay tum dua detay ho na


Suno !!
Mujhay tum dua detay ho na ?
Keh
Khuda tumhain hamesha khush rakhye
Jahan bhi rakhye
Jin kay saath bhi rakhye !!
Par na janay kiyon ?
IS aakhri jumlay par mujhay
Bad'dua ka gumaan hota hai  !!!

Habs-e-duniya se guzar jaatay hain


Habs-e-duniya se guzar jaatay hain 
Aisa kartay hain keh mar jatay hain 

Kaisay hotay hain bicharnay walay 
Hum yeh sochain bhi to dar jatay hain 

Dil jo tootay to sar-e-mehfil bhi 
Baal be'wajah bikhar jatay hain 

Ab na dekho meri  banjar aankhein
Charhtay dariya to  utar jatay hain 

Dhoop ka roop rachanay walay 
Shaam ko aur nikhar jatay hain 

Tum kahan jaayo gay socho Mohsin 
Log thak haar kay ghar jatay hain

Keh dain woh mohabbat se agar Eid Mubarak


Keh dain woh mohabbat se agar Eid Mubarak 
Mil jaye muraadon ka samar Eid Mubarak

Mumkin hi nahin gham se muffr Eid Mubarak 
Halaat mukhalif hain magar Eid Mubarak 

Ae kaash hamain eid ho aisi koi haasil
Kehtay rahain hum shaam-o-sehar Eid Mubarak 

Ho jayein sabhi shikwey gilay door dilon se
Woh keh dain galay mil kay agar Eid Mubarak 

Jab aap hamein apna samjhtay hain to kehiye 
Hansatay huye be'khouf-o-khatar Eid Mubarak 

Mehmood woh hotay hain bhout qabil-e-izzat 
Kehtay hain jinhain Ehal-e-nzar Eid mubarak

Saaya tha mera woh


Saaya tha mera woh 

Dhuwan sa uth raha hai 
Aankhon main bujh raha hai 
Khayal hai ya nashtar 
Seenay main gar gaya hai 
Yaadon kay Aasmaan pe 
Ik taara kho gaya hai 
Saaya tha mera woh 
Jo mujh se bichar gaya hai ..!!

Kon rok sakta hai


Kon rok sakta hai 
Laakh zabat-e-khwaish kay 
Be'shumaar dawaye hon 
Us ko bhool janay kay 
Be'pannah iraaday hon
Aur is mohabbat ko tark kar kay jeenay ka 
Faisala sunaanay ko 
Kitnay lafz sochay hon 
Dil ko us ki aahat par 
Bar'mala dharaknay se kon rok sakta hai 

Noshi Gilani

Dasht-e-ghurbat main jis pairr ne


Dasht-e-ghurbat main jis pairr ne 

Meray tanha musafir ki khatir ghanni chaaon phailaai hai 

Us ki sha'dabiyon kay liye 

Meri sab ungliyaan !!!

Hawa main dua likh rahi hain !!!

Yeh zabt choot gaya to tumhari yaad aayi


Yeh zabt choot gaya to tumhari yaad aayi

Yeh zabt choot gaya to 
Tumhari yaad aayi
Main thak kay toot gaya to 
Tumhari yaad aayi
Tumharay baad na tha koi mera 
Dil kay siwa
Yeh dil bhi rooth gaya to
Tumhari yaad aayi !!!!

Sulah karna to ik bahana tha


Sulah karna to ik bahana tha 
Go keh andaaz qaatlana tha 

Jaan se guzray to bhaid yeh paya 
Woh haqeeqat nahin fasana tha 

Waqat guzra hai aik aisa bhi
Saya-e-zaat jab baigaana tha 

Uss ki manzar kashi pe hairaan hoon 
Kya ta'aruf woh ghaibaana tha 

Dil sulagta tha soz-e-hijran main 
Na'rasa uss ka shaaksana tha 

Ranjishein aur barh gayi hon gi 
Dushman-e-jaan mera zamana tha

Parh kay roya kalam-e-Arif ko
Aik aik harf Arfana tha  

Main kal bhi khaali haath thi


Main kal bhi khaali haath thi


Main kal bhi khaali haath thi
Main aaj bhi khaali haath hoon 
Itna to bata meray hum'dam
Kya main ne kabhi kuch maanga tha ?
Kya tum se mohabbat maangi thi ?
Iqraar aur wafa ka ehad kabhi  ?
Bas aik inayat chahiye thi 
Keh door kabhi na ho jana 
Keh tum se juda ho kar meri
Saanson main kami aa jaati hai

Dil main kisi ki yaad kay nashtar utar gaye


Dil main kisi ki yaad kay nashtar utar gaye 
Kitnay sitaaray Aankh se tootay bikhar gaye 

Aa jaiye keh aap ko tarsay hai ab nigah 
Dekha nahin hai hum ne bhout din guzar gaye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...