Nov 1, 2016

Her dharkan heejani thi her khamoshi toofani thi


Her dharkan heejani thi her khamoshi toofani thi 
Phir bhi mohabat sirf musal'sal milnay ki asaani thi 

Jis din us se baat hui thi us din bhi be'kaif tha 
Jis din us ka khat aaya hai us din bhi veerani thi 

Jab us ne mujh se yeh kaha tha ishq rafaqat hi to nahin 
Tab main ne her shakhs ki surat mushkil se pehchani thi 

Jis din woh milnay aayi hai us din ki ru'daad yeh hai 
Us ka bala'oz narangi tha us ki saari dhaani thi 

Uljhan si honay lagti thi mujh ko aksar aur woh youn 
Mera mizaaj-e-ishq tha shaheri us ki wafa deh'kaani thi 

Ab to us kay baray main tum jo chaho woh keh dalo 
Woh angraai meray kamray tak to bari roohani thi 

Naam pe hum qurbaan thay us kay lakin phir yeh tor hua 
Us ko daikh kay ruk jana bhi sab se bari qurnabi thi 

Mujh se bichar kar bhi larki kitni khush rehti hai 
Us larki ne mujh se bichar kar mar janay ki thaani thi 

Ishq ki halat kuch bhi nahin thi baat barhanay ka fun ka 
Lamhay la'faani thehray thay qatron ki tughyani thi 

Jis ko khud main ne bhi apni rooh ka irfan samjha tha 
Woh to shayed meray piyasay honton ki shaitani thi 

Tha dar'baar-e-kalaan bhi us ka nobat khana us ka tha 
Thi meray dil ki raani , amroo ki raani thi 

Mehak se apni gul-e-taza mast rehta hai


Mehak se apni gul-e-taza mast rehta hai 
Woh rang-e-rukh hai keh khud ghaaza mast rehta hai 

Nigah se kabhi guzra nahin woh mast andaaz 
Magar khayal se , andaza mast rehta hai 

Kahan se hai rasad-e-nasha , us ki khilwat main 
Keh rang-e-mast ka andaza mast rehta hai 

Yahan kabhi koi aaya nahin magar sar-e-shaam 
Bas ik gumaan se darwaza mast rehta hai 

Mujhay khayal ki masti main kis ka andaza 
Khuda nahin jo baandaza mast rehta hai 

Kab pata yaar ko hum apna likha kartay hain


Kab pata yaar ko hum apna likha kartay hain 
Janay hum khud main keh na khud main raha kartay hain 

Ab to tum shaher kay Adaab samjh lo jaani 
Jo mila hi nahin kartay woh mila kartay hain 

Lamhay lamhay main jeeo jaan agar jeena hai 
Yehni hum hirs-e-baqa ko bhi fanaa kartay hain 

Main jo kuch bhi nahin karta hoon yeh hai mera sawal 
Aur sab log jo kartay hain woh kya kartay hain 

Ab yeh hai halat-e-ehwaal keh ik yaad se hum 
Shaam hoti hai to bas rooth liya kartay hain 

Jis ko barbaad kiya us kay fida kaaron ne 
Hum ab is shaher ki ru-daad suna kartay hain 

Jin ko mufti se kadurat ho na saqi se gila 
Wohi khush waqat meri jaan rihaa kartay hain 

Ik pehna-e-abas hai jissay aalam kahein 
Ho koi us ka Khuda hum to dua kartay hain 

Aaish-e-umeed hi se khatra hai


Aaish-e-umeed hi se khatra hai 
Dil ko ab dil wohi se khatra hai 

Hai kuch aisa keh us ki jalwat main 
Hamein apni kami se khatra hai 

Jis ki aaghosh ka hoon dewana 
Us ki aaghosh se hi khatra hai 

Yaad ki dhoop to hai roz ki baat 
Haan mujhay chandni se khatra hai 

Hai ajab kuch maamla dar'paish 
Aqal ko aagahi se khatra hai 

Shaher ghadaar jaan lay kay tujhay 
Aik amroohi sa khatra hai 

Hai ajab tor halat-e-giriya 
Keh masa ko nami se khatra hai 

Aasmano main hai Khuda tanha 
Aur her aadmi se khatra hai 

Main kahoon kis tarah yeh baat us se 
Tujh ko jaanam mujh hi se khatra hai 

Aaj bhi Aye kinar-e-baan mujhay 
Teri ik sanwli se khatra hai 

In labon ka lahoo na pee jaon 
Apni tishna labi se khatra hai 

Jon hi to hai , Jon kay dar pay 
Mir ko Mir hi se khatra hai 

Ab nahin koi baat khatray ki 
In sabhi ko sabhi se khatra hai 

Dil jo dewana nahin aakhir ko dewana bhi tha


Dil jo dewana nahin aakhir ko dewana bhi tha 
Bhoolnay par us ko jab aaya to pehchana bhi tha 

Jaaniye kis shouq main rishtay bichar kar reh gaye 
Kaam to koi nahin tha par hamein jaana bhi tha 

Ajnabi sa aik mousam aik be'mousam si shaam 
Jab ussay aana nahin tha jab ussay aana bhi tha 

Jaaniye kiyon dil ki wehshat darmiyan main aa gayi 
Bas youn hi hum ko behakna bhi tha beh'kaana bhi tha 

Ik mehakta sa woh lamha tha keh jaisay aik khayal 
Ik zamanay tak ussi lamhay ko tarpana bhi tha 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...