Safar ki khwaish kissay nahin hai
Safar ki khwaish kissay nahin hai
Koi parindon ki tarah urnay ka arzoo mand hai
Koi daak kay lifafay ki tarah mohtaat, pa-ba-manzil
Kisi ki parwaaz ta'ufaq
Aur kisi ki maktoon alye tak hai
Yeh apnay apnay iraday aur tosha-e-safar par bhi munhasir hai
Parindon aur jugnoo kay air titliyon kay hamraah
Bhaagna
Bhaagtay hi rehna
Ajeeb romaan to hai lakin
Safar ki lazat ko apni poron main
Shahed ban kar utartay tab dekh payein gay hum
Keh jab kahin par qayam bhi ho
Aur is khabaer kay liye
Hawa ki muzahamat ka
Badan ko mamnoon hona ho ga
Parveen Shakir