Aug 28, 2014

Shaam ho jaam ho subha bhi ho

Shaam ho jaam ho subha bhi ho 

Tujh ko paanay ki justagoo bhi ho 

Dil se dil ki kahaniyaan bhi sunay 

aankhon aankhon main guftagoo bhi ho 

Jheel se gehri sabz nokon main 

Doob janay ki aarzoo bhi ho 

Sirf teray badan ki shamma jalay 

Aur andhera sa chaar su bhi ho

Tujh ko paanay ki justagoo bhi ho

Shaam ho jaam ho subha bhi ho 

Tujh ko paanay ki justagoo bhi ho 

Dil se dil ki kahaniyaan bhi sunay 

aankhon aankhon main guftagoo bhi ho 

Jheel se gehri sabz nokon main 

Doob janay ki aarzoo bhi ho 

Sirf teray badan ki shamma jalay 

Aur andhera sa chaar su bhi ho

Lamha bahr apna hawaon ko bananay walay

Lamha bahr apna hawaon ko bananay walay 
Ab na ayein gay palat kar kabhi janay walay

Kia milay ga tujhay bikhray huye khwaabon kay siwa 
Rait par chaand ki tasveer bananay walay 

Sab ne pehna tha baray shouq se kaghaz ka libaas 
Jis qadar log thay baarish main nahanay walay 

Mar gaye hum to yeh kutbay pe likh jayein gay 
So gaye aap zamanay ko jaganay wale

Dar-o-dewaar pe hasrat si barasti hai qateel 
Janay kis dais gaye pyaar nibhanay wale

Dil kay ufaq main gumshuda sitaara mil jaye

Shab-e-gham main koi jeenay ka ishara mil jaye

Woh jo ik shakhs bhout kam hai myussar hum ko 

Aarzoo hai keh kisi roz woh sara mil jaye 

Ain mumkin hai keh tabeer bhi aik jaisi ho 

Teray khwaabon se agar khwaab hamara mil jaye 

Ussay kehna woh mulaqaat adhoori thi hamari 

Ussay kehna keh kabhi aa kay dobara mil jaye 

Yeh teray ishq ka hi kamaal hai

Yeh teray ishq ka hi kamaal hai 

Muqadar samjh liya hai main ne 

Jo aankh bahaata nahin dil ko pasand nahin 

Apnay ashkon main bigho diya main ne

Es shaher ki shab-e-be'noor ko 

Shabnam samjh kar log nangay niklay 

Meray her khwaab main tu hota hai 

Magar zindagi main mera nahin ho ga 

Ulti hoti hai her khwaab ki tabeer 

Mujh se kuch karnay ki tawaqo na rakh 

Karna' zindagi se mansoob hota hai 

Khouf ki fasal bo kar 

Ehal-e-shaher se sonay ki tawaqo 

Dimaagh ka khal'lal lagta hai 

Jo tum aayo gay phir aankhon kay dariya nam nahin hon gay

Khuda shahid hai sab kuch ho ga lakin hum nahin hon gay 

Yaqeen jaano tumhari qurbatein bhi hashar dhaein gi 
Keh armaano kay angaaray to hargiz kam nahin ho gay 

Ghamon ki taan tootay gi na ubray gi na phailay gi 
Yeh hai saaz-e-mohabbat is main zar-o-baam nahin hon gay 

Tumhari yaad se khailain gay tanhai ki mehfil main 
Wohi utray huye lamhay jo sirf-e-raam nahin hon gay 

Mera maslak khloos-e-ishq ka mafhoom rakhta hai 
Mere sagar main sab kuch ho ga lakin hum nahin hon gay 

Wafa ne ik hayat-e-mustaqbil hum ko atta ki hai 
Keh hum zinda rahain gay garchay baaqi dam nahin hon gay

Kab us ka wisaal chahiye tha

Kab us ka wisaal chahiye tha 
Bas ik khyal chahiye tha 

Kab dil ko jawaab se gharz thi
Honton ko sawaal chahiye tha 

Shouq ek nafs tha aur wafa ko 
paas-e-maah-o-saal chahiye tha 

Ek chehra-e-sadaa tha jo hum ko 
Be'misal-o-misaal chahiye tha 

Ek qarb main zaat-o-zindagi hain 
Mumkin ko mohaal chahiye tha

Bas ik khyal chahiye tha

Kab us ka wisaal chahiye tha 
Bas ik khyal chahiye tha 

Kab dil ko jawaab se gharz thi
Honton ko sawaal chahiye tha 

Shouq ek nafs tha aur wafa ko 
paas-e-maah-o-saal chahiye tha 

Ek chehra-e-sadaa tha jo hum ko 
Be'misal-o-misaal chahiye tha 

Ek qarb main zaat-o-zindagi hain 
Mumkin ko mohaal chahiye tha

Un'dekhi un'chahi mohabbat

Un'dekhi un'chahi mohabbat 

Usi raat dosti shuroo hui 

Us raat zindagi ne ek naya mor liya 

Jis raat roshni ka sal'sala shuroo hua 

JAb roshni ne hansana shuroo kiya 

Us raat sitaaron ne sada;ein dein 

Un'dekhi un'chahi mohabbat

Hum kehtay rahay woh suntay rahay 

Woh suntay rahay hum kehtay rahay 

Us chaand ne bhi dekha 

Aur taaray bhi sharmaa gaye

Un'dekhi un'chahi mohabbat

Na un socha tha , na hum ne socha tha 

Keh dosti main pyaar ho jaye ga 

Jab kaha us paagal ne 

Hum aap kay talab'gaar ho gaye

Hum ne kaha hum bhi aap par nisaar ho gaye 

Us ne kaha bin'dekhye hum pyaar kar baithay 

Hum ne kaha aap par aitabaar kar baithay 

Hum ne kaha us kay siwa koi mere jazbaat main nahin 

Aankhon main woh nami hai jo barsaat main nahin 

Ussay paanay ki khwaish bhout thi magar 

Shayed woh lakeer mere haath main nahin 

Bachpan main to jee bhar kay roya kartay thay

Bachpan kay dukh kitnay achay hotay hain
Tab dil nahin khilonay toota kartay thay

Woh khushiyaan bhi na;janay kaisi khushiyaan thein
Titli pakar kar uchala kartay thay

Chotay thay to makr-o-fraib bhi jhootay thay
Apnay jal jaanay ka bhi ehsaas na tha

Jaltay sholon ki taraf lipta kartay thay
Ab ik aansoo giray to ruswaa kar deta hai

Aap ko daikh kar dekhta reh gaya

Aap ko daikh kar dekhta reh gaya

Kiya kahon aur kehnay ko kiya reh gaya 

Un ki aankhon main kaisay chalaknay laga 

Mere honton pe jo maaj'raa reh gaya 

Aisay bichaa di sabhi raah kay mor par 

Aakhri hum'safar raasta reh gaya 

Soch kar aao ku-e-tamana hai yeh 

Jaan-e-man jo yahan reh gaya reh gaya

Aap main gum hain magar sab ki khabar rakhtay hain

Ghar main bithay hain zamanay pe nazar rakhtay hain 

Nukta'cheen dekhiye kis kis pe nazar rakhtay hain 
Hum bhi ae deeda'waron aib-o-hunar rakhtay hain 

Hum se ab ayi gardish-e-douraan , tumhain kiya lena hai 
Ek hi dil hai so woh zer-o-zabar rakhtay hain 

Jis ne is tarah ujaalon ka bharam rakha hai 
Apnay seenay main woh na'deeda sehar rakhtay hain 

Reh'numa kho gaye manzil to bulaati hai hamain 
Pawan zakham hain to kiya zouq-e-safar rakhtay hain 

Woh andheron ko pyaam'bar hain to kiya gham hai "Sahil"
Hum bhi aankhon main kai shaam-o-qamar rakhtay hain 

Kabhi gham ki aag main jal uthaye

Kabhi gham ki aag  main jal uthaye 
Kabhi dil ka daagh jala dia 

Ae junoon-e-ishq bata zara 
Mujhay kiyon tamasha bana diya 

Gham-e-ishq kitna ajeeb hai 
Yeh junoon se kitna qareeb hai 

KAbhi ashk palkon pe ruk gaye 
Kabhi main ne dariya baha diya 

Mera jazba-e-shouq to dekhiye 
Meri bandagi hai woh bandagi 

JAhan tera naqsh-e-qadam mila 
Wahin kaaba main ne bana diya

Abhi kar rahay ho tum ibtidaa
Mara keh raha hai yeh tajurba 

Tumhain zindagi ki hai aarzoo
Mujhay zindagi ne mitta diya 

JAhan tera naqsh-e-qadam mila

Kabhi gham ki aag  main jal uthaye 
Kabhi dil ka daagh jala dia 

Ae junoon-e-ishq bata zara 
Mujhay kiyon tamasha bana diya 

Gham-e-ishq kitna ajeeb hai 
Yeh junoon se kitna qareeb hai 

KAbhi ashk palkon pe ruk gaye 
Kabhi main ne dariya baha diya 

Mera jazba-e-shouq to dekhiye 
Meri bandagi hai woh bandagi 

JAhan tera naqsh-e-qadam mila 
Wahin kaaba main ne bana diya

Abhi kar rahay ho tum ibtidaa
Mara keh raha hai yeh tajurba 

Tumhain zindagi ki hai aarzoo
Mujhay zindagi ne mitta diya 

Bhout hi yaad aata hai mere dil ko tarpaata hai

Woh tera paas na hona bhout mujh ko rulaata hai 

Woh mera teri aankhon kay samandar main utar jaana 
Aur teri muskurahat kay bhanwar main doobtay jaana 

Teri awaaz kay sehar se na nikal paana
Tujh ko dekhna aur be'khudi se dekhtay jaana

Bhout chaha in guzray huye lamhon ko na sochna 
Na teri yaad main reh kay teray saath ka sochna 

Bhulaa doon sari yaadon ko keh jin se dil tarapta hai 
Keh jin se tees uth'ti hai keh jin se dard hota hai 

Tum mohabbat bhi mousam ki tarah nibhaatay ho

Kabhi barastay ho kabhi ek boond ko tarastay ho 

Pal main kehtay ho zamanay main faqat teray hain 
Pal main izhaar-e-mohabbat se mukar jaatay ho

Bhari mehfil main dushmano ki tarah miltay ho
Aur duaaon main mera naam liye jaatay ho

Dyaar-e-ghair main mujh ko talaash kartay ho
Milon to paas se chup chaap guzar jaatay ho

Laakh mousam ki tarah rang badaltay raho
Aaj bhi toot kay shiddat se hamain chahatay ho

Jissay chaha tha raaton kay andheron se ziada

Jis ki muskaan ki chamak thi suraj ki roshni se juda 

Jis ne kiya tha kabhi mujh se aik wada 

Keh meri sirf meri rahay gi woh sadaa

Toot gaye kaanch ki tarah sab waday 

Ab to sirf bachi hain sirf mere aansoo aur us ki yaadain 

Kabhi baithay baithay youn hi khooklay pan ka ehsaas hota hai 

Keh aisa mera hi haal hai ya waisa us kay saath bhi hota hai 

Ab to nazar aata hai sirf aik hi chehra , teray door janay se pehlay 

Keh yeh khwaish , meri poori ho jaye 

Us kay badlay main meri her saans chali jaye

Ikhlaaq na bartain gy mudara na karain gay

Ab hum kisi shakhs ki parwaah na karain gay 

Kuch log kai lafz ghalat bol rahay hain 

Islaah magar hum bhi ab islaah na karain gay 

Kam'goai kay ik wasf-e-himaaqat hai bahaar to 

KAm'goai ko apnaein gay cheh'ka na karain gay 

Ab sehal'pasandi ko banain gay wateera 

Ta'dair kisi baab main socha na karain gay 

Meri jaan wapsi ka aik raasta rakhna parta hai

Taaluq toot bhi jaye to rishta rakhna parta hai 

Jinhain hum dil ki gehraiyon se savha pyaar kartay hain 
Jab us se baat ho to khaas lehja rakhna parta hai 

Hamari rooh ki hiddat ko jo na sard parnay dy 
Hamain apnay badan main aisa shola rakhna parta hai 

Tujhay gar apni baatein na sunaaon ! to kahan jaaon 
Keh tere samnay isi dil ka sheesha rakhna parta hai 

Sada abaad rakhaye jo teri yaadon ko is dil main 
Keh anay saath ik aisa bhi lamha rakhna parta hai 

Hamaray dil main chahaye chaand jaisi laakhon galiyaan hon 
Andheray kay liye bhi aik raasta rakhna parta hai 

Bhalay jitnay bhi dukh , jitnay bhi gham hum ko milain 
Mizaaj apna her ik surat shagufta rakhna parta hai

Never Try To Defeat People

Never Try
To Defeat People
Try To Win Them
Count your blessings
Not Ur problems ,
Always Love People
by your Heart
not by Ur Mood & need
Kill the tension Before
Tension kills U
Live your life Before
Life leaves U
&
MOST IMPORTANT
Turn to ALLAH before you
Return to ALLAH

DiL-e-nadan to mohabbat ki sada deta hai

Jise chaho wohi dagha deta hai

Phir mein qun os se mohabbat ki tawaqo rakhun

Jo har bat raqeebon ko bata deta hy

Tum agr bewafa ho to kya gham hy

DiL to phir bhi tujhe jeene ki dua deta hy

Tum samjhty ho k har sakhas na samjh hy

waqt ustad hy har baat sikha deta hy

Tum agr zakham par chirko gy nimak to kia hy

Waqt marham hai har cheez bhula deta hy

Kuch din sy tery saath, koi baat nahi hy

Youn lagta hy sadiyoon sy, mulaqat nahi hy

Dukh dard sunaao mujhy, har baat bataao

Ye dil ki khawahish hy, meri baat nahi hy

Jab yaad teri aaye to, aa jaaty hen aansu

Men kesy kahoon, aankh men barsaat nahi hy

Sookhy huye kuch phool hen, aur ashak hen tazaa

Kuch aur mery paas to, saughat nahi hy

Waqif hy mery dard sy, sub'ha ka ujalaa

La'ilm mery gham sy, meri raat nahi hy

Men jiss ki muhabbat men, yun be'haal hon Saad

Wo hanss k ye kehta hy, koi baat nahi hy

Tujhay orrhon ya tera libaas ho jaon

Tujhay orrhon ya tera libaas ho jaon

Teri ragon main dhal kar ik,ehsas ho jaon

Ik raat jo milay mujhay teri zaat say

Tu sumandar bane aur main piyas ho jaon 

Teray wojood say hi mere chehray pe hai khushion ki dhanak

Tera chehra na dekhon to udaas ho jaon

Faqt itni si khuwahish hai k teri zindagi men shamil hon

Phir bhaly qissa banoon ya qiyaas ho jaon

Tere lab,tere hath, mera ik ik naqsh amar kr lain

Tu mujhay bhool na paey main itna khaas ho jaon

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...