Feb 24, 2014

Aah ko chahiy ik umar asar honay tak

 
Aah ko chahiy ik umar asar honay tak
kon jeeta hai tere zulf ke sar honay tak

hum ne mana keh tagafal na karo ge tum lakin
khaak ho jayen ge hum tum ko khaber honay tak

Woh Aksar Mujh se kehte the

 

Woh Aksar Mujh se kehte the

Wafa hai zaat Aurat ke
Magar jo mard hotay
hain
Bhout be-dard hote
hain
kisi Bhanware ke surat
Gul ki khushboo
loot jatay hain,,
Suno
Tum ko kasam meri,
riwayat tor dena tum
na tanha chor k jana,,,,
na ye dil tor k jana,,,,,,
Magar phir youn huwa Mohsin,,
Mujhay anjaan raste par
Akela chor kar usne
meradil tor kar usne
MOHABAT
chor de us ne

wafa hai zaat aurat ke riwayat tor di usne.........!!!!I

Woh to sadiyoon ka safar kar kar ke yahan pooncha tha


Woh to sadiyoon ka safar kar kar ke yahan pooncha tha !

To ne munh phair ke jis shaks ko dekha bhe nahin ! ! !

Mushkil kahan thay tark-e-taulaq ke Marhalay


Mushkil kahan thay tark-e-taulaq ke Marhalay

ae dil magar sawal tare zindgee ka tha ...... !

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey


Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey

Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey

Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey

Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey

Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey

Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey

Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
es dil kay hathon bohat majboor rahey

suno iltija hai itni


Suno iltija hai itni
Jab meri sansein
Mera jism chor dain
Jab ankhain veeran ho jayein
Jab main thak jayon or gir jayon
Jab main tumhein pukaroon
Or aawaz na day payon jab mujhay jana ho
Loatna hoo apnay khuda kay pass
Aisay lamhay tum anjaan  ik
Lamhay kay liye hi per dua kay liye
Hath uthana meri sard
Paishani pay apna hath rakhna
Tasuf say sir hilana phir
Mairy jinazay ko kandha daina
Or apni dunia say door choor aana
Bus sirf in chand lamhon ka sakoon meri
Zaindagi pay tumhara ehsan ho ga
kay tumhary hathoon ka
Lams qaber main bhi mujh say juda na ho ga

Tum ko sochon ibadaton ke tarah

Tum ko sochon ibadaton ke tarah 

teri yadain sawab jaisi hain

Yeh aalam shauq ka dekha na jaye






Yeh aalam shauq ka dekha na jaye
wo butt hai ya khuda dekha na jaye

yeh kin nazroon say tu nay aaj dekha
keh tera dekhna dekha na jaye

hamesha kay liye mujh say bichar ja
yeh manzar baar'ha dekha na jaye

ghalat hai suna par aazma kar
tujhe ay be-wafa dekha na jaye

ye mehroomi nahin paas-e-wafa hai
koi aur tare siwa dekha na jaye

yehi to aashna bantay hain aakhir
koi na aashna dekha na jaye

faraz apne siwa hai kon tera
tujhay tujh se juda dekha na jaye

jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla


jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla  
 sehan-e-gul chod gaya dil mera pagal nikla
 
jab use dhoondne nikle to nishaan tak na mila
dil mein maujood raha aankh se oojhal nikla

ik mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi
hum jise umar samjhate the woh ik pal nikla

woh jo afsana-e-gam sun ke hansa karte the
itna roye hain k sab aankh ka kajal nikla

hum sakoon dhoondne nikle the pareshaan rahe
shahar to shahar hai jungle bhi na jungle nikla

kon “Ayub” pareshaan nahi tareeki mein
chand aaftaab pe dil seene mein bekal nikla

poet: Ayub Romani

Tumhare shaher ka mausam bara suhaana lagay




Tumhare shaher ka mausam bara suhaana lagay
main eik shaam chura loon agar bura na lagay


tumhare bas mein agar ho to bhul jao mujhay
tumhe bhulane mein shayad mujye zamana lagay


humare pyaar se jalne laggi hai eik duniya
duwa karro kissi dushman ki bad duwa na lagay


jo dub na hai to itne sakoon se dubbo
ke ass paas ki lehroon ko bhi pata na lagay


kuch is aadha se mere saath bewafai kar
ke tere baad mujye koi bewafa na lage

kisi ki aankh jo purnam nahi hai.


kisi ki aankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gham nahi hai


sawad-e-dard main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai


samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai


sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai


ye basti hai sitam parvar digan ki
yahan koi kisi se kam nahi hai


kinara dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai


dilon ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai


main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai


jo koi sun sake Amjad to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gham nahi hai

Poet: Amjad Islam Amjad

honton pe kabhi un kay mera naam hi aaye


honton pe kabhi un kay mera naam hi aaye
aaye to sahi bar-sar-e-ilzam hi aaye


hairan hain labbasta hain, dilgeer hain ghunchay
khushbu ki zubani tera paigham hi aaye


lamhat-e-masarrat hain tasawur se gurezan
yaad aaye hain jab bhi gham-o-alam hi aaye


taaron se saja len ge rah-e-shahar-e-tamanna
maqadur nahi subho chalo sham hi aaye


yaadon ke, wafaon ke, aqeedon ke, ghamon ke
kam aaye jo duniya mein to is naam hi aaye


kya rah badalne ka gila hamsafaron se
jis rah se chale tere dar-o-bam hi aaye


thak har ke baithe hain sar-e-ku-e-tamanna
kam aaye to phir jazba-e-nakam hi aaye


baqi na rahe sakh “ada” dasht-e-junun ke
dil mein agar andesha-e-anjam hi aaye

Poet: ada jaferi

Hungama Hai Kyon Barpa, Thodi Si Jo Pii Lii Hai





Hungama hai kyon barpa, thodi si jo pi li hai
Daakaa toh nahin daalaa chori toh nahi ki hai

Naa tajurbakaari se vaaiz ki ye baatein hai
Is rang ko kyaa jaane puchho toh kabhi pi hai

Us may se nahi matlab, dil jis se hai begana
Maqsood hai us may se dil hi mein jo khinchati hai

Har zarra chamaktaa hai anwar-e-ilaahi se
Har saans ye kehati hai hum hai to khuda bhi hai

Suraj mein lage dhabba fitrat ke karishme hai
Baat hum jo kahi kaafir allah ke marzi hai 



Yeh aarzoo thi tujhay gul ke ru-ba-ru kartay


Yeh aarzoo thi tujhay gul ke ru-ba-ru kartay
Hum aur bul bul-e-betaab guftagu kartay

Payaam bar na muyassar hua to khoob hua
Zabaan-e-ghair se kya shar ki aarzoo kartay

Meri tarah se maah-o-mehar bhi hain awara
Kisi habib ko yeh bhi hain justajoo kartay

Jo dekhte teri zanjeer-e-zulf kaa aalam
Aseer hone ke azaad aarzoo kartay

Na pooch aalam-e-baragashtaa taali-e-aatish
Barasati aag main jo baaraan ki aarzoo kartay


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...