Mar 12, 2015

Khuda woh waqat na laye keh so'gawaar ho tum


Khuda woh waqat na laye keh so'gawaar ho tum

Sukoon ki neend tujhay bhi haraam ho jaye

Wafa ka naam suna tha puranay logon se


Wafa ka naam suna tha puranay logon se 

Hamaray waqat main yeh hadsa hua hi nahin

Ek shakhs paband kar gaya mujhay lamhon ki qaid main


Ek shakhs paband kar gaya mujhay lamhon ki qaid main

Aankhon main apni yaad kay pehray bitha gaya

Baqi hum ehal-e-dil se yeh duniya bhi khush nahin


Baqi hum ehal-e-dil se yeh duniya bhi khush nahin 

Jayein kahan keh sar pe falak uss taraf bhi hai

Dushman ho to ishq jaisa


Dushman ho to ishq jaisa 

Seedha dil pe waar karay

Bol do dil ki baat hum tera naaz rakhein gay


Bol do dil ki baat hum tera naaz rakhein gay 
Keh do aaj her ik baat hum tera raaz rakhein gay 

Tum ko hum se chahat hai ya nafrat kya pata 
Kar do apnay jazbaat ka izhaar hum tera raaz rakhein gay 

Mat samjhna keh tum ko ruswa karain gay zamanay main 
Qasam hai hum ko teri yaar hum tera raaz rakhein gay 

Mat ghabraao zamanay ki uljhano se 
Bata do aaj her ik raaz hum tera raaz rakhein gay

Teray jalway ab mujhay her su nazar aanay lagay


Teray jalway ab mujhay her su nazar aanay lagay 
Kaash yeh bhi ho keh mujh main tu nazar aanay lagay 

Ibtada yeh thi keh dekhi thi khushi ki ik jhalak 
Intaha yeh hai keh gham her su nazar aanay algay 

Be'qaraari barhtay barhtay dil ki fitrat ban gayi 
Shayed ab taskeen ka pehlu nazar aanay lagay 

Khatam kar de Ae saba ab shaam-e-gham ki daastan 
Dekh un aankhon main bhi Aansoo nazar aanay lagay

Jinhain chaha bhout hum ne magar apna nahin paye


Jinhain chaha bhout hum ne magar apna nahin paye
Bhout aankhon ne baarish ki mujhay woh yaad jab aaye 

BAray dawey thay hamein tum se juda ho kar bhi jee lain gay 
MAgar ik lamha bhar ki hum judai seh na paye 

MAin jin ki raah takta hoon na janay kitnay arsay se 
Koi un se zara poochye woh milnay kiyon nahin aaye 

NA janay kab se apnay aap ko hum to badal baithay 
YEh qismat kay sitaaray kiyon badalnay ko nahin aaye 

Ae qasid tum kaho un se woh larna chor dain hum se 
Woh jab se rooth baithay tab se hum bhi so nahin paye 

Khudaya shukar hai tera keh yaadon par nahin pehra 
Agar yaadon pe pehra ho to phir Aashiq kahan jaye 

Jo kehtay hain mohabbat kuch nahin hoti zamanay main 
Woh khud bhi to mohabbat kay bina kiyon reh nahin paye

Wahan nahin waqat to hum bhi hain Adeem-ul-fursat


Wahan nahin waqat to hum bhi hain Adeem-ul-fursat 

Us se kya kehiye jo her roz kahay kal milna

Kon sunta hai bhala ab yeh kahani meri




Kon sunta hai bhala ab yeh kahani meri 
Heer jaisi thi woh ik larki dewani meri 

Charhtay suraj ki maanind tha us ka husn-o-jamaal 
Khilti hui dhoop kay jaisi thi jawani meri 

Phool aur kaanton kay jaisa tha pal bhar ka saath 
Zid thi us main bhout , baat na maani meri 

Ab dareechon main kahin baith kay roti ho gi 
Haath main thaam kay woh koi nishaani meri 

Taptay sehra main ho jaisay akela musafir "Mohsin"
Youn guzarti hai ab zind'gaani meri  

Faqat itni guzarish thi


Faqat itni guzarish thi 
Mujhay kuch roshni dena 
Tumhain kis ne kaha tha yeh 
Meri basti jala dena 

Jissay baarish kay paani main 
Baha kar muskuratay thay
Mujhay kaaghaz ki woh kashti 
Zara phir se bana dena 

Tumhara raasta phir umar bhar thakan se acha hai 
KEh tum janay se kuch pehlay 
Meri aankhein bujha dena

Main ne ik umar kay khawabon ko teray naam kiya


Main ne ik umar kay khawabon ko teray naam kiya 

Apnay ehsaas ko kar meray hawalay tu bhi

Na jala itnay diye meri raah'guzar main


Na jala itnay diye meri raah'guzar main 

Keh manzil ko bhool kay mujhay raahon se pyaar ho jaye

Kya lagay raat keh phir dil main samaya koi


Kya lagay raat keh phir dil main samaya koi 
Raat bhar phirta hai is shaher main saya koi 

Fikar yeh thi keh shab-e-hijar kattay gi kiyon kar 
Lutf yeh hai keh hamein yaad na aaya koi

Shouq yeh tha keh mohabbat main chalain gay chup chaap 
Ranj yeh hai keh tamasha na dikhaya koi 

Shaher main hum'dam dereena bhout thay 
Waqat parnay par meray kaam na aaya koi

Lehja aisa keh mut'maein kar dy


Lehja aisa keh mut'maein kar dy 

Kitna sacha hai meray yaar ka jhoot

Shaamat meri dil un ko dikhaya nikaal kar


Shaamat meri dil un ko dikhaya nikaal kar 
Chaltay huye woh jaib main chupkay se daal kar 

MArg-e-raqeeb ka na ziyada malaal kar 
Tera kidhar khayal hai , ? apna khayal kar 

Ulfat ki hum balaa main phansay daikh bhaal kar 
Dil ko ghazab main daal diya aankh daal kar 

Mujh ko diya hai garcha lab-e-yaar ne jawaab 
Aankhein yeh keh rahi hain dobaara sawal kar

Liya koi us kanaaye ko pechaanta nahin 
Detay ho gaaliyaan mujhay ghairon pe daal kar  

Apni her baat bhool gaya woh guzray huye kal ki tarah


Apni her baat bhool gaya woh guzray huye kal ki tarah 
Toot kar jissay chaha tha pagal ki tarah 

Agar meri hasti bhi mit jaye to zara gham nahin 
Bas do pal aankh main saja loon kajal ki tarah 

Raat dhaltay hi seenay main dard ki lehar uth'ti hai 
Thehray huye pani man kisi hal'chal ki tarah 

Mujhay kis taraf jana hai kuch khabar nahin 
Meray raastay bhi kho gaye meri manzil ki tarah 

Zara si thokar lagi to tukray tukray ho gaya 
Aaina bhi nikla bilkul saahil ki tarah

Tum hi tum yaad rehtay ho



Tum hi tum yaad rehtay ho 

Kisi bhi moj melay main 
ya duniya kay jhamailay main 
Her ik shay chor kar bilkul 
Main jab bethon akelay main 
Tum hi tum yaad rehtay ho 

Zamana bhool jaata hai 
Khushi ki baat ho koi 
Ghamon ki raat ho koi 
Kisi se jeet jaaon main 
Ya meri haar ko koi 

Main jab bhi sonay lagta hoon 
To aksar ronay lagta hoon 
Jo dukh main bhool aaya tha 
Phir un main khonay laga hoon 
Meray tann main , meray mann main 
Meri rag rag main behtay ho 

Tum hi tum yaad rehtay ho 

Dil ne gham kay pahaar ko dekha


Dil ne gham kay pahaar ko dekha 
Main ne khud main daraar ko dekha 

Dasht kehta hai mujh se hairat se
MAin ne tujh main ujaar ko dekha 

Khouf Aasaib ban kay aa baitha 
Dil ne khud ro se jhaar ko dekha 

Ban gaya hai khala meray andar 
Main ne apni pichaar ko dekha 

MAin khudi se nikal gaya baahir 
Joun hi nafrat ki Aar ko dekha 

Naqsh chehray kay dhul gaye 
Jab bhi dil main bigaar ko dekha

Chaltay hain ab hum ghar ko keh raat bhout ho gayi


Chaltay hain ab hum ghar ko keh raat bhout ho gayi 

Kal phir milain gay iss tanhai kay meh'khanay main

Harf dar harf khwaab un ka hai


Harf dar harf khwaab un ka hai 
Kya kahon kya sabab un ka hai 
Zulf, phir us main phool , uff Allah 
Rukh, rukh-e-mahtaab un ka hai 

Hont barg-e-gulaab bheega hua 
Jism , jaam-e-sharaab un ka hai 
Haath se khol di hai kacchi kali 
Kitna roshan jawaab un ka hai 

Ik hi waar , woh bhi dil pe karo 
Seedha saadha hisaab un ka hai 
Aqal to meri ek bhi sunti nahin 
Dil bhi kahan khraab un ka hai 

Woh jo phoolon main chup kay baithay hain 
Kitna acha hijaab un ka hai

Toba woh geelay lab , woh Aankhein


Toba woh geelay lab , woh Aankhein 

Woh ghazab ka kajal 

Tu hi bata Ae mohabbat 

YEh dil marta na to kya karta

Andhera ho raha hai




Andhera ho raha hai 

Chalo ab dil jalatay hain

Kaanton main guzaar deta hai gulaab apni zindagi


Kaanton main guzaar deta hai gulaab apni zindagi 

Kon kehta hai keh phoolon ko koi gham nahin hota

Jaan tu kis kay liye apni ganwaata hai "Adeem"


Jaan tu kis kay liye apni ganwaata hai "Adeem"

Khoobsurat hai woh lakin tera kya lagta hai

Neend Aai na, na khul'la raat ka bistar mujh se



Neend Aai na, na  khul'la raat ka bistar mujh se 
Guftagoo karta raha chand barabar mujh se 

Apna saaya ussay khairaat main de aaya hoon 
Dhoop kay dar se jo lipta raha din bhar mujh se 

Kon si aisi kami meray khad-o-khaal main hai ?
Aaina khush nahin hota kabhi mil kar mujh se 

Kya museebat hai keh her din ki mushaqat kay Evaz 
Baandh jaata hai koi raat ka pathar mujh se 

Apnay haathon ko jo kash'kol banaya main ne 
Gir para janay kahan mera muqaddar mujh se 

Zakham ko bharnay main kuch dair to lagti hai


Zakham ko bharnay main kuch dair to lagti hai 

Jis zakham main shaamil ho apno ki Enayat

Woh preshan kahin na ho jaye


Woh preshan kahin na ho jaye 

Mera poochay to kehna "Haan Khush Tha"

Woh bhi dil se karti hain , main bhi dil se karta hoon


Woh bhi dil se karti hain , main bhi dil se karta hoon 

Woh nafrat mujh se , main mohabbat uss se

Tum ne zindagi ka naam to suna ho ga


Tum ne zindagi ka naam to suna ho ga 

Hum ne rakha hai dil main Essi naam se tumhain

Koi aur kaam somp do mujhay ab tum


Koi aur kaam somp do mujhay ab tum 

Yeh kya tujhay sochna aur sochtay hi rehna

Kisi ghreeb qabeelay ki Aabru ki tarah


Kisi ghreeb qabeelay ki Aabru ki tarah 

Hamara dard , kisi dard main shumaar nahin

Iss kay aanay se huwey zakham haray kitnay


Iss kay aanay se huwey zakham haray kitnay 

Eid se keh do meray shaher main aaya na karay

Shokhi to dekhiye zara janab-e-haseen ki


Shokhi to dekhiye zara janab-e-haseen ki 

Apnay labon ko Aainay main khud choomnay lagay

Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main


Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main 
Lakin yeh sochta hoon keh ab kya tera hoon main 

Bikhra para hai meray hi ghar main tera wajood
Be'kaar mehfalon main tujhay dhoondta hoon main 

Main khud'kushi kay jurm ka karta hoon ehtraaf 
Apnay badan ki qabar main kab se parra hoon main 

Kis kis ka naam loon main zuban par keh teray saath 
Her roz naya shakhs kharra dekhta hoon main 

Kya janay kis ada se liya tu ne mera naam 
Duniya samjh rahi hai keh sab kuch tera hoon main 

Poncha jo teray dar pe to mehsoos yeh hua 
LAmbi si ik qataar main jaisay kharra hoon main 

Lay meray tajarbon se sabaq Ae meray raqeeb 
Do chaar saal tujh se umar main bara hoon main 

Jaaga hua zameer hai woh Aaina "Qateel"
Sonay se pehlay roz jissay dekhta hoon main 


Suna hai aur koi bhi chahnay laga hai tumhain



Suna hai aur koi bhi chahnay laga hai tumhain

Hum se ziyada agar toot kay chahye to us kay ho jana

Hum ne tumhari yaad main Aansoo kay dariya baha diye

Uss ki aankh main narmi bhi aa jaye to uss kay ho jana

Hum ne tumhari khaatir khud ko jala diya

Uss ne agar chragh bhi jala diya to uss kay ho jana

Hum ne tumharay liye apni neend qurbaan kar deen

Woh ik shab bhi teray liye jaagay to tum uss kay ho jana

Bas agar koi mujh se ziyada tum ko chaahy to us kay ho jana

Kuch waday qasmein , yaadein thein


Kuch waday qasmein , yaadein thein

Kuch qeh'qahay thay , fariyadain thein

Kuch aansoo thay jo bahaye thay

Kuch dhokay thay , jo khaye thay

Kuch lehjon ki parchaiyan thein

Kuch dil ko rog lagaye thay

Ab paas hamaray kuch bhi nahin

Ab aas kay maaray kuch bhi nahin

Bas yaadon ki zanjeerain hain

Kuch rog utri tasveerain hain

Kuch lafz miti tehreerain hain

Ek dil ko deed ka payasa hai

Bas yehi Mera Asasa hai

Yeh lamhon ki nahin hai yeh to sadiyon ki musafat hai



Yeh lamhon ki nahin hai yeh to sadiyon ki musafat hai

Kisi ki yaad ka sehraa, mohabbat hamsafar meri

Ghubaar-e-raah main kuch door tak hi saath deta hai

Wohi ik main wohi tanha , mohabbat hamsafar meri

Wohi her waqat sochon par kisi ki yaad ka pehra

Wohi din raat ka jalna , mohabbat hamsafar meri

Apna Aanchal meray chehray pe bikhar janay do


Apna Aanchal meray chehray pe bikhar janay do 
Main keh jaaga hoon bhout , aaj to mar janay do 

Aaj sharma kay meray shaanay pe tum sar rakh do 
Husan yeh shaam ka kuch aur nikhar janay do 

Mujh pe jhuk janay do kinaron se bana yeh chehra 
Meray chehray pe husan-e-dhoop utar janay do 

Ungliyan meri hatao na , labon se apnay 
In chraghon ko zara aur sanwar janay do 

Tum jo aaye ho to tehra hai do Aalam ka samaa
Waqat ka kya hai , guzarta hai , guzar janay do 

Meray shaanay pe bikhar janay do apni zulfain 
Reshmi jheel ki lehron main utar janay do 

Ek mohabbat kay saaye kay taqub main guzri hai hayat 
Ab to hum pe rangon ko bikhar janay do

Nadi ka pani behta jaa raha hai


Nadi ka pani behta jaa raha hai 
Ya phir aanchal tera lehraa raha hai 

Fiza main kaisi hai khushboo si phaili 
Woh shayed mujh ko sochay jaa raha hai 

Meri Aankhon main pattay urr rahay hain 
Koi patt jhar ka mousam aa raha hai 

Suna hai raat bhar rota raha woh 
Idher bhi aik sanaata raha hai 

Ajab hain teri duniya kay yeh melay
Yahan her shakhs hi tanha raha hai 

Bhout veeran hai yeh dil ki galiyan 
YAhan ik shor sa barpaa raha hai 

Woh koi ajnabi khushboo ka jhonka 
Mera sara badan mehak raha hai 

Koi rootha hai kuch youn mujh se 
Zamana mujh se rootha jaa raha hai 

Zakham dil kay naqaab kholain gay


Zakham dil kay naqaab kholain gay 
Wehshaton kay azaab kholain gay 
Harf saaray hamein pukaarain gay 
Jab woh dil ki kitaab kholain gay 
Kya tamana rahi , mila kya kya 
Zindagi ka hisaab kholain gay 
Fikar kiyon hamein musaafat ki 
Raastay khud saraab kholain gay 
Bhoolnay ko gham-e-mohabbat ko 
Hum sharaabi sharaab kholain gay 
Laakh guzro nazar bacha kay tum 
Bhaid tera gulaab kholain gay 
Raaz dil ka sada likho na youn 
Log ji bhar utaab kholain gay 

Ae meray pyaaray "Insha" jee !!!


Na gori hoon 
Na sajni hoon 
Na roop sa'roop ki devi hoon 
Par teray lafzon ki narmi se 
Jazbon ko garmi deti hoon 
Ae kaash keh tum bhi dekh sako 
Ae meray pyaaray "Insha" jee !!!

Akelay lawn kay goonjtay sanatay main


Akelay lawn kay goonjtay sanatay main 
Chandani ki mar mar'ein baarish main bheegti hui 
Ik tanha afsurda larki 
Apnay phailay huye haath ko takti hai 
Takti hai aur sochti hai 
Woh naam , , ,
Jo us kay liye raha zeest ka unwaan hai 
Shariyano main jo lahu ki jaga rawan hai 
Woh naam , , ,  ,
Jis ki chandani dasht-e-zaat pe ehsaan hai 
Jis ki asaaib ab bhi wehshaton ka samaan hai 
Woh naam , , , ,
In lakeeron main kahan hai ? !!

Chand kay saath meri baat na thi pehli si


Chand kay saath meri baat na thi pehli si 
Raat aati thi magar raat na thi pehli si

Hum teri yaad se kal shab bhi milay thay lakin 
Yeh mulaqaat , mulaqaat na thi pehli si 

Aankh kiyon loat gayi khouf se sehraaon ko 
Kiyon keh is baar to barsaat na thi pehli si 

Ab kay kuch aur tarah ki thi udaasi in main 
Chaand taaron ki yeh baraat na thi pehli si

Ishq ne pal main badal di meri saari duniya 
Main ne dekha keh meri zaat na thi pehli si  

Hamein bhi pyaar karnay ka khayal aaya



Hamein bhi pyaar karnay ka khayal aaya 
Jab bhi yeh kahyal aaya khud ko tanha paya

Dhoondtay rahay hum is duniya main dost 
Kisi ko ajnabi to kisi ko be'wafa paya

Paro diye meray Aansoo hawa ne shaakhon main


Ghazal

Paro diye meray Aansoo hawa ne shaakhon main 
Bharam bahaar ka baaqi rahay nigahon main 

Saba to kiya keh mujhay dhoop tak jaga na saki 
KAhan ki neend utar aayi hai in aankhon main 

Kuch itni tez hai surkhi keh dil dharakta hai 
Kuch aur rang pas-e-rang hai gulaabon main 

Supurdagi ka nasha tootnay nahin paata 
Anaa samai hui hai wafa ki baanhon main 

Badan pe girti chali jaa rahi hai khwaab si barf 
Khunak supaidi ghulli jaa rahi hai saanson main

Ae chaand si pyaari larki meri yaadon ko tum zara sambhalay rakhna


Yaadon ko sambhalay rakhna 

Ae chaand si pyaari larki
Meri yaadon ko tum zara 
Sambhalay rakhna 
Khud se juda na karna 
KEh her guzartay lamhay kay saath 
Meri yaadon ka samandar 
Apnay saahil se nikalnay kay liye 
Be'taab sa rehta hai
Suno ! meri yaadon ko 
Khud se juda mat karna

Tum mujhay gurriya kehtay ho


Tum mujhay gurriya kehtay ho 
Theek hi kehtay ho !!
Khailnay walay sab haathon ko main gurriya hi lagti hoon 
Jo pehnaa do , mujh pe sajay ga 
Mera koi rang nahin 
Jis bachay kay haath thamma do 
Meri kisi se jung nahin 
Soti jaagti aankhein meri 
JAb chahye beenai lay lo
Kook bharo aur baatein sun lo 
Ya meri goya'ei lay lo
Maang bharo , sindoor lagaao
Pyaar karo , aankhon main basaao 
Aur jab dil bhar jaye to 
Dil se utha kay taaq pe rakh do 
Tum mujhay gurriya kehtay ho 
Theek hi kehtay ho !!!

Mujhay tum se mohabbat hai


Aakhri khwaish 

Meray saathi
Meri yeh rooh meray jism se parwaaz kar jaye
To loat aana 
Meri be'khwaab raaton kay azaabon par 
Siskatay shaher main tum bhi 
Zara si dair ko rukna 
Meray be'noor honton ki dua'on par 
Tum apni sard paishaani ka pathar rakh kay ro dena
Bas itni baat keh dena
Mujhay tum se mohabbat hai 

Khullay paaniyon main ghirri larkiyan


Khullay paaniyon main ghirri larkiyan 
Narm lejron kay cheentay uraati hui 
Baat be baat hansti hui 
Apnay khwabon kay shehzadon ka tazkara kar rahi thein
Jo khamosh thein 
Un ki aankhon main bhi muskurahat ki tehreer thi 
Door saahil pe baithi hui ik nanhi si bachi 
Hamari hansi aur mojon se be'khabar 
Rait se ik gharonda bananay main masroof thi 
Aur main sochti thi 
Khudaya ! yeh hum larkiyan kacchi umaron se hi kiyon 
Khwaab dekhna chahti hain , , , , !!!

Rait hi rait hai is dil main musafir meray


Rait hi rait hai is dil main musafir meray 

Aur yeh sehraa tera naqsh-e-kaf-e-paa chahta hai 

Meray Aansoo bhi teri chahat ko khareed na sakay


Meray Aansoo bhi teri chahat ko khareed na sakay 

Logon ki hansi ne tujhay apna bana liya

Na woh khwaab hain na khayal hain koi zindagi ki sada nahin


Na woh khwaab hain na khayal hain koi zindagi ki sada nahin 
Kya sunaaon main tum ko daastan meray paas kuch bhi raha nahin 

KAbhi raaston se na'ashnaa main chala tha qurbatein dhoondnay 
Mujhay manzilon ne sikha diya kuch faaslon kay siwa nahin 

Kai rang thay jo bikhar gaye kuch log thay jo guzar gaye 
Woh dariya saray utar gaye ab un ruton ki fiza nahin 

Meray lab pe harf-e-gila nahin yeh naseeb-e-jaan kay hain silsalay 
Mujhay jo mila meri be'basi meri zindagi main wafa nahin 

Woh jo teray meray tha darmiyan ik khwaab tha keh saraab tha 
Jo suna woh tum ne kaha nahin jo kaha woh tum ne suna nahin 

Meri zindagi ki kitaab main baray hasraton kay hain tazkaray 
Mera hamsafar jo kahayl tha sar-e-warq us ko likha nahin 

Ab kya kahon keh woh kon tha koi saath tha meray paas tha 
Mujhay yaad hai woh zara zara woh kahan gaya yeh pata nahin

Bari hairat se arbaab-e-wafa ko dekhta hoon


Bari hairat se

Bari hairat se arbaab-e-wafa ko dekhta hoon 
Khatta ko dekhta hoon aur saza ko dekhta hoon 

Abhi kuch dair hai shayed meray mayoos honay main 
Abhi kuch din faraib-e-wafa reh'numa ko dekhta hoon 

Khuda maloom dil ko justagoo hai kin jazeeron ki 
NA janay kin sitaron ki Zia ko dekhta hoon 

YEh kya gham hai meray Ashaar ko nam kar diya jis ne 
YEh dil main kis samandar ki ghatta dekhta hoon 

Zameer ik qaid-e-na'mehsoos ko mehsoos karta hai 
Kisi na'deed'ni zanjeer-e-paa ko dekhta hoon 


Main woh larki hoon jis ko pehli raat


Muqaddar

Main woh larki hoon 
Jis ko pehli raat 
Koi ghoongat utha kay yeh keh dy 
Mera sab kuch tera hai , dil kay siwa

Parveen Shakir

Khawab nagar hai aankhein kholay dekh raha hoon


Khawab nagar hai aankhein kholay dekh raha hoon 
Us ko apni jaanib aatay dekh raha hoon 

Kis ki Aahat qariya qariya phail rahi hai 
Dewaron kay rang badaltay dekh raha hoon 

Kon meray jaadu se bach kar jaa sakta hai 
Aaina hoon Sab kay chehray dekh raha hoon 

Darwaze par tez hawaon ka pehra hai 
Ghar kay andar chup kay saaye dekh raha hoon 

Jaisay mera chehra meray dushman ka ho 
Aainay main khud ko aisay dekh raha hoon 

Manzir manzir veerani ne jaal tany hain 
Gulshan sulshan bikhray pattay dekh raha hon

Manzil manzil hole main doobi awazein hain 
Rasta rasta khouf kay pehray dekh raha hoon 

Shaher-e-sang'dilan main "Amjad" her rastay par 
Awazon kay pathar chaltay dekh raha hoon

Jab tujhay meri chah thi janaa


Jab tujhay meri chah thi janaa

Bas wohi waqat tha karra mera

Na Ishq-e-hussain , na zouq-e-shahadat


Na ishq-e-Hussain , na zouq-e-shahadat 

Ghafal samjh baitha hai maatam ko ibaadat

Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi se


Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi se

Yeh woh wafaat hai jis ki khabar nahin hoti

Janay kyn pandra ka tanha


Janay kyn pandra ka tanha

Aur udasi pehnay chaand

Mujh ko acha lagta hai

Shayed youn

choda to ab meri zid hai

Kyn keh choda ka kush chaand 

us ko acha lagta tha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...