May 28, 2014

Khyal rakhna adhoori batain hi zindagi hain


Khyal rakhna

Adhoori batain hi zindagi hain

woh guzri batain hi zindagi hain

agarcha dil ki udaas ujri hui ruton main bikhar gayi hai
kai zamano se sari batain
woh guzri batain sulagti shamon ke jaltay bujhtay layo main pighal gayi hai
adoori batain ..... zaroori batain
yeh kushak hoti hui ragon ki siyah qabron main neem murda dasi hui
khwaishon ke hamraah gundhi hui hain
yeh aankh ki putliyon main tahak ke soi hain
tamaam batain darust jana
tamaam khadshy baja hain lakin
her aik imkaan zindagi main inhi ki yadain bhatak rahi hain
inhi ke dam se za'eef jabzon, thtray lafzon
bujhi tamanayon main ramaq hai 
adhoori batain hi zindagi hain 
woh guzri batain hi zindagi hain
khyal rakhna.....................
adhoori batain bhula na dena

zaroori batain....

woh guzri batain bhula na dena

khyal rakhna............!

khyal rakhna ........!

Harf-e-taza naye kushboo main likha chahta hai


Harf-e-taza naye kushboo main likha chahta hai 

baab aik aur mohabbat ka khila chahta hai

aik lamhay ki tawajo nahhin hasil us ki

aur yeh dil keh ussay had se siwa chahta hai

ik hijaab teh-e-iqrar hai manay warna

gul ko maloom hai kiya dast-e-saba chahta hai 

rait hi rait hai is dil main musafir meray

aur yeh sehraa tera naqsh-e-kaf-e-paa chahta hai 

yahi khamoshi kai rang main zahir ho gi 

aur kuch roz keh woh shokh khila chahta hai

raat ko maan liya dil ne muqadar lakin

raat ke hath pe ab koi dia chahta hai

Wafa ke waday woh saray bhula gaya chup chaap


Wafa ke waday woh saray bhula gaya chup chaap

woh meray dil ki dewarain hila gaya chup chaap

gham-e-hayat ke taptay huye byabaan main

hamain chor ke woh tanha chala gaya chup chaap

na janey kon sa woh bad'naseeb lamha tha 

jo gham ki aag main mujh ko jala gaya chup chaap

main jis ko chooti hoon woh zakham deta hai 

woh phool aisay chaman main khila gaya chup chaap

Kitni shafaf hai yeh awaz

Us ki Awaz

Kitni shafaf hai yeh awaz
chashmay ki tarh se jis ne meray
andar ke tamam mousamon ko 
aaina bana ke rakh diya hai

pathar ho keh phool ho keh sabza
taron ki baraat ho keh mehtaab

suraj ka jalal ho keh tan main 
khawabon ki dhanak khinchi hui ho
barish ho , shafaq khili hui ho
her rut ka gawah us ka lehja
teh tak jissy aankh choo ke aye

kitni shafaf hai yeh awaz ! 

Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza





Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza


is tarah se na kabhi toot ke bikhray koi

main to us din se harasaan hon keh jab hukam milay

kushk phoolon ko kitabon main na rakhay koi

Nigah-e-mard-e-moman se badal jati hain taqderain


Koi andaza kar sakta hai us ke zor-e-bazoo ka

nigah-e-mard-e-moman se badal jati hain taqderain

Tum bhi shayed wahin se aye ho



Tum bhi shayed wahin se aye ho 

achay mousam jahan se atay hain

Roshni mera sitara nahin


Doosra aitraaf


Roshni mera sitara nahin

main to

ik umar ki musafat se 

us ki chahat ka aik bhi jugnoo

apni muthi main qaid kar saki nahin

Aisa hai teray meray pyaar ka sangam



Aisa hai teray meray pyaar ka sangam 

kabhi milay kushi , kabhi milay gham

udasiyon ka sabab kiya poochtay ho 

ab to rehti hain aksar palkain meri nam

shab-e-hijar ka kiya haal sunayon

dil main pinhaan hai pat jhar ka mousam

gar hoti milney ki tam'mana 

baant letay hain saray dard sanam

sab mujhay wehmi kehtay hain

sab mujhay wehmi  kehtay hain

lakin koi bhi is ki waja

nahin jaan paya

kaisay unhain bataon main keh

jab se us ne chora hai

her cheez , her rishta

be'wafa sa lagta hai

aur 

jab bhi koi mohabbat ka ehsaas dil'laye to

us ke bichar janey ka 

dharka sa lagta hai

so is dukh se bachney kay liye 

khud hi peechay hat jati hoon 

aur logon se apney liye 

wehmi  larki kehlati hoon

Sada mohtabar wohi chand



Sd'da mohtabar 

wohi chand sar 

jo

ugay hain shaakh-e-saleeb par

Poet : Amjad Islam Amjad

Meray her udaas pal main sath dena tum


Aas

Meray her udaas pal main sath dena tum

gar hath choot jaye to 

issay phir thaam lena tum

maand parhty jazbon ko 

ik nayi aas dena tum 

tum ik din loat ayo ge 

zinda rehney ka naya ehsaas dena tum

Main aaj bhi tanha hoon is raah-e-mohabbat main


Maah-e-december

Main aaj bhi tanha hoon

is raah-e-mohabbat main

bas sard se mousam main

kuch sard se ansoo hain

kuch sard se lamhay hain

kuch sard se aah'hain hain

tareek sa kamra hai

aur sard dewaron pe

yeh naqsh ibarat hai

yadon main tht'tharta sa

yeh maah hai december ka

Saz-e-hasti ka be'sada hona


Saz-e-hasti ka be'sada hona

kitna asaan hai be'wafa hona

teray jany se jaan jati hai

waye hasrat tera juda hona

main keh mehkon gulaab ki manind 

meri qismat tera saba hona

tera yeh shahar aur karam ki talaash

gali gali phirna kabhi gda hona

tujhay parhna nimaaz ki surat

phir to na'mumkin tera qaza hona

duaon main basay logo suno


Dua

duaon main basay logo suno
yeh rabton ki duniya hai
rabton se rishtay hain
chah'haton ke ye sang'gam 
dosti ke yeh bandhan
hum ko yaad ayein gy
aanay walay salon main
kis ke sang hansana hai
kis se mil ke rona hai
kab yeh apney bas main hai
magar....
aasaman ki janab
phailay hayh yeh kehtay hain
dil se dil ka her taa'luq
mohtabar dua se hai
dua main basay ae logo
jahan raho sada raho 
shaad raho abaad raho

faqat tujhi se mohabbat ki hai

Bagawat

Mita ke zindagi apni

ik teri chahat ki hai

youn is tarah se hum ne

khud se bagawat ki hai

bas 

tujhi ko chaha hai

faqat tujhi se mohabbat ki hai

phoolon ki hai mehkaar magar teri kami hai


phoolon ki hai mehkaar magar teri kami hai
chirryon  ki hai chah'kaar magar teri kami hai 

qismat ne keya doulat-e-mamta  se hai mehroom
doulat ka hai inbaar magar teri kami hai 

her dard main, takleef main aur ranj-o-alam main
ae meri madad'gaar magar teri kami hai 

her aan meray sar par duaon ke woh saye
hai saya-e-shajar magar teri kami hai 

gulshan main gulabon ki kami koi nahin hai
kehta hai dil-e zaar magar teri kami hai

Isi umeed par aaj tak jeetay hi rahay hum


Isi umeed par aaj tak jeetay hi rahay hum
hansaney ki aarzoo main rotay hi rahay hum

taptay rahay zeest ke sehra main umar bhar
mae-talkhi halaat ki peetay hi rahay hum

jazbon se kabhi kheala , kabhi mohabaton ne mara
logon ke her sitam ko bas sehtay hi rahay hum

bachpan hamara hum se miltay hi kho gaya
her mor par gali ko taktay hi rahay hum 

dil ne kisi ki yaad ke jalaye thay kuch chragh
umar bhar us aag main khud jaltay hi rahay hum

Main loat ayon ga december main


December


December
Jab bhi ata hai
woh pagli phir se roti hai
puraney khat woh parhti hai
keh jin main us ne likha tha 
Main loat ayon ga december main

naye kapray banati hai
woh sara ghar sajati hai
december ke her aik din ko
woh gin gin ke bita'ti hai
jyun hi pandhra guzarti hai
woh kuch kuch toot jati hai
nahin maloom par us ko
keh beetay waqat ki kushiyan
bhout takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain
youn hi din beet jatay hain
december ! loat jata hai
magar woh kush feham larki
dobara se calander main
december mor lati hai
woh phir se december ky sehar main doob jati hai
likha tha us ne yeh kyn keh
Main loat ayon ga december main

koi kaisay badalta hai



Kabhi manzil , kabhi rsta koi kaisay badalta hai

hamain maloom hi kab tha koi kaisay badalta hai

yaqeen se be'yaqeeni ke safar tak sath tha meray

badal kar us ne dikhlaya koi kaisay badalta hai

December ki pehli shaam


dabeez dhund ki aaghosh main doobti hui shaam

veeran sarrkein, 

peelay patay door kahin udaas darakhat 

nami amaiz sard hawa

purnam aankhain lab khamosh

khali hath , toot'ti umeedain

bikhray sapney

dagmagatay rasty

dhund ki yadain !

aur yeh december ki pehli shaam 

Aap ke naam .....!

Ussay kehna decamber ja raha hai

Ussay kehna decamber ja raha hai

december ke guzartay hi baras ik aur

mazi ki fizaon main doob jaye ga

ussay kehna december ke guzarney se zara pehlay

mohabbat ki kahani ko koi takmeel de jana

ussay kehna december ka maheena jaisay guzray ga

umeedain doob jayein gi , woh sapney toot jayein ge

ussay kehna december ke guzarney se zara pehlay

mohabbat ko koi tabeer de jaye

ussay kehna muqadar ko hamaray doob janey se 

bacha lena

ussay kehna 

december ja raha hai

Faraz zulam hai itni khud aitamadi bhi


Faraz zulam hai itni khud aitamadi bhi

keh raat bhe thi andheri chragh bhi na liya

woh shayed ab koi mujh sa talaash karta hai


Woh rait kar ke meray khwaab ki zameeno ko

meray wajood main dariya talaash karta hai

ganwa ke mujh ko kisi ehad-e-kush gumani main 

woh shayed ab koi mujh sa talaash karta hai

Kuch din sahi tu mera mehmaan to rehta


Kuch din sahi tu mera mehmaan to rehta 

Phir rehat mera dil sada veeran to rehta

phir milney ka wada hi bari baat hai khawar

phir kon mila hai , magar ehsaan to rehta


woh shaks kon tha jo haqarat ki aankh se


Kantay meri ana ke mujhay roktay rahay 

us ki gali se ban ke tamasha guzar gaya

woh shaks kon tha jo haqarat ki aankh se

dariya ko dekhta hua piyasa guzar gaya

Yeh socha tha teri khatar kai moti nikalon ga


Yeh socha tha teri khatar kai moti nikalon ga

main jis rastay main tha , us main samandar hi nahin aya

Hamain zamaney ne sab kuch sikha diya warna


Hamain zamaney ne sab kuch sikha diya warna

hamaray hath main aisi koi kamaal na tha

yeh kiya zulam keh aik dosray ko jaan  gaye

agarcha rabata apna kabhi bahal na tah

Ajab hai raat se aankhon ka aalam


Ajab hai raat se aankhon ka aalam 

yeh darya raat bhar charta raha hai 

suna hai raat bhar barsa hai badal

magar woh shahar jo piyasa raha hai

Hum to samjhay thay chraghon ke ujalay hon ge


Hum to samjhay thay chraghon ke ujalay hon ge

kiya khabar thi dar-o-dewaar bhi kalay hon ge

Is qadar bhi ishq main shoreeda sar koi na ho


Is qadar bhi ishq main shoreeda sar koi na ho

kaan dastak pe lagay hon aur dar koi na ho

Jo aik harf ki hurmat na rakh saka mehfooz



Jo aik harf ki hurmat na rakh saka mehfooz

main us ke hath main sari kitaab kiya deti

Dil mehav-e-guftagoo , aankhain hain farsh-e-raah


Dil mehav-e-guftagoo , aankhain hain farsh-e-raah 

tum ayo to chahaney walon ke shaher main

Hawadas se uljh kar muskurana meri fitrat hai


Hawadas se uljh kar muskurana meri fitrat hai

mujhay nakamiyon pe ashk barsana nahin ata

Yadon ke naye mousam ne yeh ehsaan kiya hai


Yadon ke naye mousam ne yeh ehsaan kiya hai 

ab yaad mujhay dard puraney nahin atay 

urney do prindon ko abhi shokh hawa main

phir loat ke bachpan ke zamaney nahin atay

Harf harf ratt kar bhi agahi nahin milti


Harf harf ratt kar bhi agahi nahin milti 

aag naam rakhney se roshni nahin milti

aadmi se insaan tak ayo ge to samjho ge

kyn chragh ke neechay roshni nahin milti

Jala ke rakhni hain aankhain ujaar raston par


Jala ke rakhni hain aankhain ujaar raston par

phir is ke baad kisi ko pukarna bhi to hai

sambhal rakah ahi sawan sulagti aankhon main

shab-e-du aki fiza ko nikharna bhi to hai

Ab agar yaad dila'oon main ussay beeti batain



Ab agar yaad dila'oon main ussay beeti batain

apney her qoul se woh shaks mukar jaye ga 

main shab-e-hijar main muntazir rahoon ga us ka

aur woh chaand kisi aur ke aangan main utar jaye ga

Hai aaj bi hamari ana ka wohi mizaaj


Hai aaj bi hamari ana ka wohi mizaaj

mushkil hai apney dard ka izhaar aaj bhi

Woh barg jin par ruton ke azaab utray thay



Woh barg jin par ruton ke azaab utray thay

hijar se kat ke bhi mousam ke tarjumaan rahay

tu apnay haq main gawahi kahan se laye ga

teri taraf se agar hum bhi bad'gumaan rahay

Mohabaton ke safar pe hain gaamzan jo log


Mohabaton ke safar pe hain gaamzan jo log

khuda karay keh main un sab ko sur'kuru dekhon

tamaam umar kati hai is aik khyal main

her ik lamha tujhay apney ru'baru dekhon

Phir aaj adm shaam se gham'geen hai tabiyat


Phir aaj adm shaam se gham'geen hai tabiyat 

phir aaj sar-e-shaam teri yaad ayi hai

Kon sa zakham tha jo taza na tha



Kon sa zakham tha jo taza na tha 

zindagi main itnay gham thay keh andaza na tha

hamari jheel si aankhon ka is main kiya qasoor

doobney walon ko gehraei ka andaza na tah

Ae dost na kabhi bhool saki main mela teri basti ka


Ae dost na kabhi bhool saki main mela teri basti ka 

main tujh se kaisay door rahoon tu hissa meri hasti ka 

Ae logo na israar karo woh mujh se mil na paye ga

woh chaand zameen pe kyn utray woh aadi hai kab psti ka

Meray dekhay huye sapnay kahin lehrain na le jaein


Meray dekhay huye sapnay kahin lehrain na le jaein

ghronday rait ke tameer kar ke chor deta hoon

adeem ab tak wohi bachpan , wohi takhreeb kari hai

qafas ko tor deta hoon , prinday chor deta hoon

Bichar ke mujh se agarcha udaas woh bhi tha


Bichar ke mujh se agarcha udaas woh bhi tha

pata chala keh zamana shnaas woh bhi tha

meray zawal se pehlay hi mujh ko chor gaya

ghazab ka sitara-shanaas woh bhi tha

Tha jin se mera aaj tak awaz ka rishta


Tha jin se mera aaj tak awaz ka rishta

de ab meri soch ko alfaaz ka rishta

milney se guraizaan bhi hai aur na milney pe khafa bhi

dam torti chahat hai kis andaaz ka rishta

Ghamon ko mailay dupatay main jazab kar lena


Ghamon ko mailay dupatay main jazab kar lena

yeh hoslay to faqat hain ghreeb maa'on ke

Mukhtasir yeh hai keh do lafzon se ban jata hai dil


Mukhtasir yeh hai keh do lafzon se ban jata hai dil

hai waseeh itna keh is main do jahan ka raaz hai

muthi main samandar karna



khwaishon ke bhi kuch mayaar hua kartay hain

kaisi khwaish keh muthi main samandar karna

milay to mil liye bichray to yaad bhi na kiya


milay to mil liye bichray to yaad bhi na kiya 

taluqaat main aisi rawa'dari bhi na ho


kuch aur barh gaye hain andheray to kiya hua


kuch aur barh gaye hain andheray to kiya hua 

mayoos to nahin hain tulooh-e-sehar se hum

Teri is ada se bhi hoon main aashna


Teri is ada se bhi hoon main aashna

tujhay itna jis pe ghroor hai

main jee'on gi teray bagair bhi 

mujhay zindagi ka sha,oor hai

main nikal ke teray daam se 

na giron gi apnay maqaam se 

mujhay zindagi ka sha'oor hai 

Tabasum gham chupaney kay liye hai


Tabasum gham chupaney kay liye hai
zamaney ko dikhanay kay liye hai

mera youn her ghari masroof rehna 
kisi ko bhool janay kay liye hai

kisi ke kaam kiya aye ga woh to
faqat batain bananey kay liye hai

woh kush guftaar hai auron kay liye
mera hi dil dukhanay kay liye hai

kisi mayaar pe poora nahin jo
mujhay woh azmaney kay liye hai


Bna ik rishta paida kyn karain hum


Bna ik rishta paida kyn karain hum

bichrana hai to jhagra kyn karain hum

khamoshi se ada ho rasm-e-doori

koi hangama barpa kyn karain hum

yeh kafi hai keh hum dushman nahin hain

wafa dari ka dawa kyn karain hum

milay sadiyon ki pyaas aur pani , zara phir se kehna


milay sadiyon ki pyaas aur pani , zara phir se kehna

bari dil ruba hai yeh sari kahani , zara phir se kehna

kahan se chala tha judaei ka saya nahin dekh paya

keh rastay main thi aanson ki rawani , zara phir se kehna

hawa yeh khabar tu sunati rahay aur main sunta rahoon

badalney ko hai ab yeh mousam-e-khazani , zara phir se kehna

mukar janey wala kabhi zindagi main kushi phir na paye

youn hi khtam kar lain chalo yeh kahani , zara phir se kehna

samay ke samandar ! kaha tu ne jo bhi , suna par na samjhay 

jawani ki nadi main tha tez pani ,zara phir se kehna

Poet : Amjad Islam Amjad

Tum ne bhi kon sa chaha tha mujhay


Tum ne bhi kon sa chaha tha mujhay

meri batain bhi ghalat , meray iraday bhi ghalat

be'wafaei ka yeh khud sakhta bohtaan bhi tasleem mujhay

yeh bhi mana keh gham-e-dehar jawaan tha to gham-e-jaan ko

meri aankh ke ansoo na milay

jab zamano ki yeh be'mehar hawaein meri sochon ko jala deti hain

main sochta hoon

tum ne bhi kon sa chaha tha mujhay


lahoo na ho to qalam tarjumaan nahin hota


lahoo na ho to qalam tarjumaan nahin hota
hamaray dard main ansoo zubaan nahin hota

jahan rahay ga wahin roshni lutayae ga
kisi chraagh ka apna makaan nahin hota

bas ik nigha meri raah dekhti ho gi
yeh sara shaher mera mezbaan nahin hota

main us ko bhool gaya hoon yeh kon manay ga
kisi chragh ke bas main dhuwan nahin hota

waseem sadiyon ki aankhon se dekhiyea mijh ko
woh lafaz hon jo kabhi dastaan nahin hota

Mohabbat dard ki surat


Mohabbat dard ki surat 

guzishta mousamon ka ista'ara ban ke rehti hai

shabaan-e-hijar main roshan sitara ban ke rehti hai

mundairon par jab chraghon ki luein jab thar'thrati hain 

nagar main na'umeedi ki hawaein sansanati hain

gali main jab koi aahat , koi sya nahin rehta

dukhay dil kay liye jab koi bhi dhoka nahin rehta

ghamon ke bojh se jab tootney lagtay hain shaanay to

yeh un par hath rakhti hai

kisi hamdard ki surat 

guzar jatay hain saray qafalay jab dil ki basti se

fiza main tehrati hai der tak 

yeh gard ki surat 

mohabbat dard ki surat

junoon se guzarney ko jee chahta hai


junoon se guzarney ko jee chahta hai
hansi zabat karney ko jee chahta hai

woh hum se khafa hain , hum un se khafa hain
magar baat karney ko jee chahta hai

hai mudat se be'rang naqsh-e-mohabbat 
koi rang bharney ko jee chahta hai

fiza muzda zindagi le ke aye
kuch is tarah marney ko jee chahta hai 

nizaame 2 aalam ki ho khair ya-rab
phir ik aah karney ko jee chahta hai

gunnah-e-mukarar , shakeel Allah Allah
bigar kar sanwarney ko jee chahta hai

soch ke aangan main us ka saya phaila to


soch ke aangan main us ka saya phaila to 

kaan idher layo to batayon

tez hawa ne kis ko chaera

chunri , kaan ki bali , zulfaien ?

dheeray se jab palkon ki dehleez pe rakhay 

deep jalay to !

nain'on ne chori se seham ke

paas ki her ik cheez ko dekha

jaldi se phir honthon ne 

bikhri bikhri muskaan samaiti

pagli phir khud hi main hansi aur

ja kar aainay se boli 

kuch bhi nahin

bas is ka saya soch ke aangan se guzra tha

Kho gayi subha ki umeed , aur ab lagta hai


Kho gayi subha ki umeed , aur ab lagta hai

hum nahin hon ge jab hon ge ujalay mohsin

woh jo ik shaks maata-e-dil-o-jaan tha na raha

ab bhala kon meray dard sambhalay mohsin
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...