Jul 8, 2014

So jaate hain zameen par akhbaar bicha kar


So jaate hain zameen par akhbaar bicha kar 

Mazdoor kabhi neend ki goli nahin khaatay 


Dekho ge hamain roz magar baat na ho gi


Dekho ge hamain roz magar baat na ho gi

Ek shaher main reh kar bhi mulaqaat na ho gi

Kehna hai jo keh daalo abhi waqat hai baaqi 

Kal hum to hon gy , magar surat-e-halaat na ho gi

Jo poochna hai tum ko abhi pooch lo warna 

kal shaher main phir rasm-e-sawalaat na ho gi 

Din itne huye taveel hijar ke logo 

Tarpo ge sar-e-shaam magar raat na ho gi 

Yeh soch ke bhi dil tarap utha hai jana 

Bichrain ge is tarah , keh kabhi mulaqaat na ho gi

Poet : Wasi Shah

Woh khamosh hi raha aur hum muntazir rahay


Woh khamosh hi raha aur hum muntazir rahay

Keh kabhi woh bhi kahay , keh tere bin kahan hum se kiya jaye ga

Hajoom main tha woh , khul kar na ro saka ho ga


Hajoom main tha woh , khul kar na ro saka ho ga 

Magar yaqeen hai shab bhar na so saka ho ga 

Woh shakhs jis ko samjhnay main mujh ko umar lagi 

Bichar ke mujh se kisi ka na ho saka ho ga

Honton pe kabhi un ke mera naam hi aye


Honton pe kabhi un ke mera naam hi aye 
Aye to shi , bar sar-e-ilaam hi aye

HAiraan  hain lab basta hain dil'geer hain gunchay
Kushboo ki zubaani , tera paighaam hi aye

Lamhaat musarat hai tasveer se guraizan 
Yaad aye hain jab bhi gham-o-alaam hi aye

Taron se saja lain ge ' raah-e-shaher-e-tamana 
Maqdoor nahin subho chalo shaam hi aye

Yaadon ke 'wafaon ke 'aqeedon ke , ghamon ke 
Kaam aye jo duniya main to asnaam hi aye 

Kiya raah badalnay ka gila hamsafron se 
Jis raah se chale teray dar-o-baam hi aye

Thak haar ke baithay hain sar-e-koo-e-tamana 
Kaam aye to phir jazba-e-na'kaam hi aye 

Baaqi na rahay saakh , ada dasht-e-junoon ki 
Dil main agar andesha-e-anjaam hi aye

Bhout maghroor hote jaa rahye ho



Bhout maghroor hote jaa rahye ho 

Mohabbat main kami karni paray gi

Woh mujh ko chor ke jis aadmi ke paas gaya


Woh mujh ko chor ke jis aadmi ke paas gaya 

Bra'bari ka bhi hota to , sabar aa jata

Kin lafzon main bayan karon apne dard ko



Kin lafzon main bayan karon apne dard ko 

Sunnanay wale to bhout , samjhanay wala koi nahin

Woh tabeeb misaal-e-husan


Woh tabeeb misaal-e-husan 

Hum ghreeb mareez-e-ishq

Mashwara hai yeh un ka , hum ko ghalib 

Ishq la'ilaaj hai , bad ehtiyaat kijiyee

Abhi ikhtiayari hai to yeh aalam hai


Abhi ikhtiayari hai to yeh aalam hai 

Mohabbat farz hoti to kiya hota

Na'jaane us par itna yaqeen kiyon hai


Na'jaane us par itna yaqeen kiyon hai 
Us ka khyal itna haseen kiyon hai 

Suna hai dosti ka dard meetha hota hai 
To phir aankh se niklay aansoo namkeen kiyon hote hain 

Youn to koi bhi tanha nahin hota 
Chah kar kisi se juda nahin hota 

Mohabbat ko majbooriyan hi le doobti hain 
Warna koi khushi se be'wafa nahin hota 

Kisi ki chahat pe zinda rehne waale hum na thay
Kisi par marne mittnay wale hum na thay 

Mujhe to aadat hai ap ko yaad karne ki 
Agar hichkiyaan ati rahain to maaf karna 

Yaadon ke haseen naqsh mitaye nahin jaate 
Guzray huye lamhaat bhulaye nahin jaate 

Saray waadon ko bhula sakti hoon , Lekin rehnay do.....


Saray waadon ko bhula sakti hoon 
Lekin rehnay do.....

Main tumhain chor ke jaa sakti hoon 
Lekin rehnay do.....

Tum jo her mor pe keh detay ho khuda hafiz
Faisala main bhi suna sakti hoon 
Lekin rehnay do.....

Tum ne jo baat ki dil ko dukhanay wali 
Us par main muskura to sakti hoon 
Lekin rehnay do.....

Shram aye gi tumhain 
Warna tumharay waade 
Main tumhain yaad dila sakti hoon 
Lekin rehnay do.....

Ajeeb cheez hai Daastaan-e-mohabbat


Ajeeb cheez hai Daastaan-e-mohabbat 

Kaho to haqeeqat , suno to fasana

Mohabbaton main hisaab kaisa


Mohabaton main shumaar kaisa

Yakeen kaisa 

Gumaan kaisa 

Urooj kaisa 

Zawaal kaisa 

Sawaal kaisa 

Jawaab kaisa 

Mohabbatain to mohabbatain hain 

Mohabbaton main hisaab kaisa

Teri yaad ka meri aankhon se kuch rishta zaroor hai



Teri yaad ka meri aankhon se kuch rishta zaroor hai 

Main jab tujhay yaad karti hoon yeh ro parti hain

Tum mujhe kabhi dil kabhi aankhon se pukaaro


Tum mujhe kabhi dil kabhi aankhon se pukaaro 

Yeh honton ka takaluff to zamanay kay liye hai

Wahan tak le gayi mujhe meri ana mohsin


Wahan tak le gayi mujhe meri ana mohsin 

Jahan jaa ke muqadar ke sitaray toot jaate hain

MAin jis ki khatar mohabbat ki har had se guzar gayi hoon


MAin jis ki khatar mohabbat ki har had se guzar gayi hoon 

Woh ab bhi mujh se poochta hai keh sach batayo wafa karo gi

Manaten kiyon mangtay ho auron ke darbaar se "Iqbal"


Manaten kiyon mangtay ho auron ke darbaar se "Iqbal"

Kon sa kaam hai jo nahin hota teray parwardigaar se

Us ki aankhain sawaal karti hain


Us ki aankhain sawaal karti hain 

Meri himmat jawaab deti hai

Sirf main hi thaam sakon haath us ka


Sirf main hi thaam sakon haath us ka 

Mujhe pe itni inayat si kar de 

Woh reh na paye ik pal bhi meray bina 

Ae khuda ussay meri aadat si kar de

Dikhawe ki mohabbat se behtar hai nafrat hi karo hum se


Dikhawe ki mohabbat se behtar hai nafrat hi karo hum se

Hum sachay jazbon ki bari qadar kiya kartay hain

Mujhe bhi yaad rakhna jab likho tareekh-e-wafa


Mujhe bhi yaad rakhna jab likho tareekh-e-wafa 

Keh main ne bhi lutaya hai mohabbat main sakoon apna

Ae chaand ki kirnoon jaao na


Ae chaand ki kirnoon jaao na 
Tum us ko choo kar ayo na 
Woh kab kab kiya kiya karta hai 
Woh jaagta hai ya soota hai 
Woh kis se baatain karta hai 
Woh shaam ko kaisa lagta hai 
Woh raat ko kaisa dikhta hai 

Ae chaand ki kirnoon jaao na 

Jab woh soye kaisa lagta hai 
Jab jaagay kaisa dikhta hai 
Tum chupkay chupkay jaao na 
Tum us ko choo kar aao na 
Main us ke bin adhoori hoon 
Aur jeena dushwaar lagta hai 
Tum kaan main us ke keh dena
Koi yaad ussay bhout karta hai 
Ae chaand ki kirnoon jaao na 

Tumhari aankhon ki shararat saaf saaf keh rahi hai


Tumhari aankhon ki shararat saaf saaf keh rahi hai 

Tumhain mohabbat nahin mujh se , faqat dil'lagi hai

Youn na mil mujh se khafa ho jaisay


Youn na mil mujh se khafa ho jaisay 
Saath chal mauj-e-saba hi jaisay 

Log youn dekh kar hans detay hain 
Tum mujhe bhoo gaye ho jaisay 

Ishq ko shirk ki had tak na barha 
Youn na mil hum se khuda ho jaisay 

Mout bhi ayi to is naaz ke saath 
Mujh pe ehsaan kiya ho jaisay 

Aisay anjaan banay baithay ho 
Tum ko kuch bhi na pata ho jaisay 

Hichkiyaan raat ko aati hi rahein 
Tum ne phir yaad kiya ho jaisay 

Yaqeenan yeh gardish-e-kainaat tehar jaye gi


Yaqeenan yeh gardish-e-kainaat tehar jaye gi 

Ab agar kahin jo hum raqs main aye

Wehmoon ke tu jaal na bun


Wehmoon ke tu jaal na bun 

Dil ki dharkan ko bhi sun 

Mujh se mera yar milaa de 

"Mola" ab to keh de "Kun"

Hairaan hoon tum ko "Masjid" main dekh kar


Hairaan hoon tum ko "Masjid" main dekh kar 

Aisa bhi kiya hua keh "Khuda" yaad aa gaya

Is dais main lagta hai adalat nahin hoti


Is dais main lagta hai adalat nahin hoti 
Jis dais main insaan ki hifazat nahin hoti 

Makhlooq-e-khuda jab kisi mushkil main phansi ho 
Sajday main paray rehna ibaadat nahin hoti

Hum khaak'nasheeno se hi kiyon kartay hain nafrat 
Kiya parda'nasheeno main ghalazat nahin hoti 

Yeh baat naye nasal ko samjhani paray gi 
Ariyaani kabhi bhi sqaafat nahin hoti 

Sar aankhon par hum is ko bethaa letay hain aksar
Jis ke kisi waade main sadaaqat nahin hoti 

Pooncha hai agarcha bara nuqsaan hamesha
Phir bhi kisi banday ki ata'aat nahin hoti 

Her shakhs sar pe kafan baandh ke niklay 
Haq kay liye karna to baghawat nahin hoti 

 

Kehnay ko zindagi thi , bhout muktasar magar


Kehnay ko zindagi thi , bhout muktasar magar 

Kuch youn basar hui , keh khuda yaad aa gaya

Hum ne suna tha sehan-e-chaman main kaif ke badal chaaye hain


Hum ne suna tha sehan-e-chaman main kaif ke badal chaaye hain 
Hum bhi gaye thay jee behlanay  ashk baha kar aye hain 

Phool khilay to dil murjhaye shamma jale to jaan jale 
Aik tumhara gham apna kar kitnay gham apnaye hain 

Aik sulagti yaad , chamakta dard , firoozan tanhai 
Pooch na is ke shaher se hum kiya kiya soghatein laye hain 

Soye huye jo dard thay , dil main ansoo ban kar beh niklay
Raat sitaaron ki chaayon main yaad woh kaya kaya  aye hain 

Aaj bhi suraj doob gaya be'noor ufaq ke sagar main 
Aaj bhi phool chaman main tujh ko bin dekhay murjhaye hain 

Aik qayamat ka snaata aik bala ki tareeki 
In galiyon se door na basna chaand na roshan saaye hain 

Pyaar ki boli bol na "jalab" is basti ke logon se 
Hum ne sukh ki kaliyaan kho kar dukh ke kaantay paaye hain

Mousam ke is snaatay main


Mousam ke is snaatay main 
Jab khamoshi chilaati hai 
Mujhe teri yaad dilaati hai 
Aur dil ko bhi tarpaati hai 
Ik kora kaghaz leta hoon 
Likh kar naam tera is par 
Main dil ke haal ko likhta hoon 
Main aaj bhi tujh ko chahta hoon 
Bas itna hi likh paata hoon 
Baaqi ki kahani in aankhon main 
Main kuch aisay chupata hoon 
Keh her lafaz ko biyaan ik qatray main 
Kar ke main zameen pe bahata hoon 
JAb jab woh qatra girta hai 
To arsh bhi roya karta hai 
Muqadar se gila youn karta hai 
Aakhir kiyon youn karta hai 
Jab dard hi tu ne dena hai to 
Kiyon in be'bas aankhon main 
Tu khwaab suhanay sajata hai 
Nadaan sy is dil ko aakhir
Tu kiyon itn atarpata hai 

Poet : syed kashaan ali shah

Na aya hoon na main laya gaya hoon


Na aya hoon na main laya gaya hoon 

Main harf-e-kin hoon farmaya gaya hoon 

Meri apni nahin hai koi surat 

Her aik surat se behlaya gaya hoon 

Bhout badlay meray andaaz lakin 

Jahan khoya wahin paya gaya hoon 

Wajood-e-ghair ho kaisay gawara 

Teri raahon main basaya gaya hoon 

Na'janay kon si manzil hai "wasif"

Jahan nehlaa ke bulwaya gaya hoon

Ussay mujh se mohabbat hai


Ussay mujh se mohabbat hai 

Wohi takraar lafzon ki 
Wohi andeshay furqat ke 

Wohi anjaan si dastak 
Wohi gum'naam si kasak 

Wohi har baat pe larna 
Wohi likhna hamaray naam ko be'reham mojon par 

Hamaray samnay kachay ghronday tor kar hansana 
Wohi apni kitaabon main ghulabi titliyaan rakhna

Wohi be'mahni baaton main hamara zikar le ana 
Hamain parde main chup kar dekhna aur muskura dena 

Wohi muskaan dheemi se
Wohi  chup chaap sa lehja 

Wohi be'cahin si halchal 
Wohi saaye se ghabrana 

Wohi kehnay se kuch darna 
Wohi be'waja uth'lana 

Sab hi aksar kehtay hain 
Ussay mujh se mohabbat hai 


Yaar ishq ho gaya hai


Yaar ishq ho gaya hai 

Main bach to jaaon ga na

Meray rat'jagon ke hisaab main


Meray rat'jagon ke hisaab main 

Koi aik neend ki raat de

Rafaqaton main waqaar khona , koi sunay ga to kiya kahay ga


Rafaqaton main waqaar khona , koi sunay ga to kiya kahay ga
Yeh din ka sona ,yeh shab ko rona , koi sunay ga to kiya kahay ga

Beech bhanwar main chor atay , to baat tum par youn na ati 
Yeh saahilon pe hamain daboona , koi sunay ga to kiya kahay ga

Jo jee main aya to khoob khaila , jo jee se utra to tar dala 
Mera dil bhi tha ik khilona , koi sunay ga to kiya kahay ga

Kaha jo us se keh dar khuda se , tumhain kiya khudai ka dar nahin hai 
Hans ke bolay keh chup raho ge, koi sunay ga to kiya kahay ga

Be'dili is qadar hai keh ab hamain tum se


Be'dili is qadar hai keh ab hamain tum se

Kuch nahin chayea, htta keh mohabbat bhi nahin

Us khushi ka hisaab kaisay ho


Us khushi ka hisaab kaisay ho 

Tum jo poocho janaab ... kaisay ho

Ae chaand yahan na nikla kar



Ae chaand yahan na nikla kar 
Be'naam se sapnay dikhla kar 

Yahan ulti ganga behti hai 
Is dais main andhay hakim hain 

Na dartay hain , na nadam hain 
Na logon ke woh khadim hain 

Hai yahan pe karo'baar bhout 
Is dais main gurday biktay hain 

Kuch log hain aali shaan bhout 
Aur kuch ka maqsad roti hai 

Woh kehtay hain sab acha hai 
Maghrab ka raaj hi sacha hai

Yeh dais hai andhay logon ka 
Ae chaand yahan na nikla kar

Bichartay waqat in aankhon ka bhar jana zaroori tha


Bichartay waqat in aankhon ka bhar jana zaroori tha 
Tumharay bin mera chup chaap mar jana zaroori tha 

Main hans ke jhail leta dil pe saary waar qismat ke
Mujhe ba'khabar kar detay agar jana zaroori tha 

Meri aankhon main apnay aks ko tum dekh na paaye
So mera be'niazi se guzar jana zaroori tha 

Qabal is ke dono bad'gumaani main ulajh jaatay 
Meray ham dam mera tujh se bichar jana zaroori tha 

Main jeevan ke safar main hans ke sab kuch seh gaya lakin 
Jo tum bichray to phir, mera bikhar jana zaroori tha 

Ajnabi shaher ke ajnabi raastay , meri tanhai par muskurate rahay


Ajnabi shaher ke ajnabi raastay , meri tanhai par muskurate rahay

Main bhout dair tak youn hi chalta raha ,tum bhout dair tak yaad atay rahye

Zehar milta raha , zehar peetay rahay, roz martay rahay, roz jeetay rahay

Zindagi bhi hamain azmaati rahi , aur hum bhi issay azmaatay rahay

Zakham jab bhi koi zehan-o-dil pe laga , zindagi ki taraf ik dareecha khula

Hum bhi gaya kisi saaz ke taar hain , chot khatay rahay , gungunaatay rahay 

Sakhat halaat ke tez toofan main , ghir gaya tha hamara junoon-e-wafa 

Hum chragh-e-tamana jalatay rahay , woh chragh-e-tamana bujhatay rahaye

Aik sitara haath pakar kar door kahin le jata hai


Aik sitara haath pakar kar door kahin le jata hai 

Roz khala main kho jane ki aaj bhi aadat baaqi hai

Suna tha hum ne logon se mohabbat cheez aisi hai


Suna tha hum ne logon se
Mohabbat cheez aisi hai 
Chupaye chup nahin sakti 
Yeh chehron pe damakti hai
Yeh lehjon main jhalakti hai 
Dilon tak ko ghulati hai 
Lahoo eandhan banati hai 
Agar sach ahi , to phir aakhir hamain 
Us zaat-e-haq se yeh bhala kaisi mohabbat hai 
Yeh aankhon se chalakti hai 
Na chehron pe tapakti hai 
Na lehjon main sulagti hai 
Dilon ko azmaati hai 
Na raaton ko rulaati hai 
Lahoo eendhan banati hai 
Na faaqon hi stati hai 
na khaak alood karti hai 
Na kantoon pe chalati hai 
Na yeh majnoo banati hai 
Ajab, aisi mohabbat hai 
Faqat dawa samjhati hai 
Yeh to kaisi mohabbat hai 
Na kaabay ki gali main tan pe angaaray bhujhati hai 
Na ghaar-e-sor main chupkay sakeenat ban kar ati hai
Hira tak le bhi jaati hai 
Qudas se nazrain churaati hai
Bhala kaisi mohabbat hai 
Hum apne dawa-e-haq-e-mohabbat par huye naadim 
To palkon ke kinaron se jharri si lag gayi aur phir
Kahin se bijliyaan koodein 
Sada ayi 
Zara si aankh ki bandish ke dam bhar muntazir rehna 
Wahan khud jaan jaao gy
Mohabbat ki haqeeqat ko

Meray haath main jo hota suraj ka nizaam


Meray haath main jo hota suraj ka nizaam 

Terat raastay main kabhi dhoop na anay deta

Suno acha nahin lagta,mujhe acha nahin lagta


Suno acha nahin lagta 
Keh koi doosra dekhay
Tumhari sharbati aankhain 
Lab-o-rukhsaar aur palkain 
Siyaah ghani lambi zulfain 
Srahaye doosra koi 
Mujhe acha nahin  lagta 
Suno acha nahin lagta 
Kare jab tazkara koi 
Kare jab tabsara koi 
Tumhari zaat ko khojaye
Tumhari baat ko sochay 
Mujhay acha nahin lagta 
Suno acha nahin lagta 
Tumhari muskurahat par 
Hazaron log martay hain 
Tumhari aik aahat par 
Hazaron dil dharaktay hain 
Kisi ka tum pe youn marna 
Mujhay acha nahin lagta 
Suno acha nahin lagta 
Hawa guzray tumhain choo kar 
Na ho ga yeh zabt mujh se
Kare gustakhi tum se
Tumhari zilfain buikar jayein 
Tumharay lams pe jayein 
mujhay acha nahin lagta 
Suno acha nahin lagta 
Keh tum ko phool bhi dekhain 
Tumharay paas se mehkain 
Ya chanda ki guzarish ho 
Keh apni roshni bakhsho
Rukh-e-jana koi dekhay
Mujhay acha nahin lagta 
Suno acha nahin lagta 

Apni khrabiyon ko pas-e-pusht daal kar


Apni khrabiyon ko pas-e-pusht daal kar 

Her shakhs keh raha hai zamana khraab hai

Hawa ban kar bikharne se ussay kiya faraq parta hai


Hawa ban kar bikharne se
Ussay kiya faraq parta hai 

Mere jeenay ya marne se 
Ussay kiya faraq parta hai

Ussay to apni khushiyon se 
Zara bhi fursat nahin milti

Mere gham ke ubharney se
Ussay kiya faraq parta hai

Faiz us shakhs ki yaadon main 
Tum chahay rotay raho lakin 

Tumharay aisa karnay se 
Ussay kiya faraq parta hai

Bicharna hai to khushi se bichro


Bicharna hai to khushi se bichro 
Sawaal kaisay , jawaab choro 
Kissay mili hain jahan ki khushiyaan 
Milay hain kis ko azaab choro 

Naye safar pe jo chal paray ho 
Mujhe khabar hai keh khush baray ho 
Hai kon ujraa tumhare peechay 
Ya kis ke tootay hain khwaab choro 

Mohabbaton ke tamaam waday 
Nibhaye kis ne , bhulaye kis ne 
Tumhain pashemani ho gi jaana
Jo meri mano hisaab choro

Dukhi dilon ki pukaar sun'nana
Bana lo daa'yamm amal yeh apna 
Hai si main tum ko gunnah kitna 
Ya kis qadar hai sawaab choro

Aao keh tujh ko dekh kar aftaar kar lain


Aao keh tujh ko dekh kar aftaar kar lain 

Muddat hui aankh ka roza rakhye huye

Kahin koi taluq to hai rooh ka tujh se


Kahin koi taluq to hai rooh ka tujh se

Yeh dil-e-be'taab , muztarib youn hi to nahin

Ku-ba-ku phail gayi baat shanasai ki


Ku-ba-ku phail gayi baat shanasai ki 

Us ne kushboo ki tarah meri pazirai ki 

Kaisay keh doon keh mujhe chor diya hai us ne 

Baat to sach hai magar baat hai ruswaai ki

Woh kahin bhi gaya loata to mere paas aya 

Bas yahi baat hai achi mere harjai  ki

Tera pehlu tere dil ki tarah abaad rahe 

Tujh pe guzray na qayamat  shab-e-tanhai ki 

Us ne jalti hui paishani pe jo hath rakha 

Rooh tak aa gayi taseer masihai ki


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...