Mar 12, 2017

Insaan ko zaib hi nahin deta junoon-e-mout


Be'wajah Dushmani 

Insaan ko zaib hi nahin deta junoon-e-mout 

Insaniyat to laaiq-e-sad ehtraam hai 

Tehzeeb kay khilaaf hai be'wajah dushmani 

Bhai ka khoon bhai pe youn bhi haraam hai 

Youn hi lakeer kurachtay hain apni qismat ki


Khawab 

Youn hi lakeer kurachtay hain apni qismat ki 

Wa'garna un ki hatheli main darj hi kya hai ?

Kuch iss liye bhi woh aankhon ko band rakhtay hain 

Keh khawab daikhtay rehnay main harj hi kya hai ?

Badli jo rutt gharoor kay gard-o-ghubaar ki


Udhaar 

Badli jo rutt gharoor kay gard-o-ghubaar ki 

Dastaar khull gayi teray jhootay waqar ki 

Hum ne kaha na tha keh na bad'mast ho kay chal 

Mehangi bhout paray gi yeh "izzat udhaar ki"

Soi hui qismat ko jagaana hi paray ga


Lahu

Soi hui qismat ko jagaana hi paray ga 

Zaalim ka her ik naqsh mitana hi paray ga

Ik umar se roshan hain jo muflis kay lahu se

Ab aisay chraghon ko bujhana hi paray ga 





Ik roz to kashmir ki kaliyan bhi khilein gi


Ik Roz

Ik roz to kashmir ki kaliyan bhi khilein gi 

Ik roz to dharkay ga yahan zouq-e-namu bhi 

Ik roz to mehkay gi mussarat se yeh wadi 

Ik roz to dehkay ga "Musalmaan" ka lahu bhi 

Yeh jehd-e-musal'sal jo lahu pee kay pali hai


Yeh jehd-e-musal'sal jo lahu pee kay pali hai 

Aqwaam ki tareekh main ghar kar kay rahay gi 

Azadi-e-kashmir kay sholon ki bulandi 

Ik roz "Hamala" ko bhi sar kar kay rahay gi 

Khayal-o-khawaab kay manzir sajana chahata hai


Khayal-o-khawaab kay manzir sajana chahata hai 

Yeh dil jeenay ka ik taza bahana chahata hai 

Aaj dekho zameen kay seenay par


Aaj dekho zameen kay seenay par 

Uss kay chehray ki dhoop phaili hai 

Qareeb tha to kissay fursat-e-mohabbat thi


Qareeb tha to kissay fursat-e-mohabbat thi 

Hua hai door to uss ki wafa'ein yaad ayein 

Soch rahay hain subha talak , ik baar bhi aankh nahin jhapki


Soch rahay hain subha talak , ik baar bhi aankh nahin jhapki 

Abhi to teray hijar main hum ne pehli raat guzaari hai 


Dil par hotay jabar abhi daikhay hi nahin hain


Dil par hotay jabar abhi daikhay hi nahin hain 

Tum ne ehal-e-sabar abhi daikhay hi nahin hain 

Woh tairagi thi keh lafzon ko raasta na mila


Woh tairagi thi keh lafzon ko raasta na mila 

Koi chragh qabeela meray hunar kay liye 


Raaston main rahay na ghar main rahay


Raaston main rahay na ghar main rahay 
Umar bhar halat-e-safar main rahay

Lafz saray chragh ban jayein 
Wasf aisa meray hunar main rahay 

Zehar sara shajar main aa jaye 
Ae Khuda zindagi samar main rahay 

Iss liye gardishon ko pala hai 
Koi to halqa-e-asar main rahay 

Ik zamana gharon main tha Aabaad 
Be'ghari hum teri nazar main rahay 


Her ik lamha naya ik imtihaan hai


Her ik lamha naya ik imtihaan hai 
Bhout na'meharbaan yeh aasmaan hai 

Dilon par barf girti jaa rahi hai 
Badan ka tajurba bhi rai'gaan hai 

Main uss se baat karna chahati hoon 
Batao to sahi woh ab kahan hai 

Anaa ki rait shamil ho gayi hai 
Hawa se guftagoo ab rai'gaan hai 

Mujhay iss ka yaqeen har'giz nahin tha 
Meri jaanib se itna bad'gumaan hai 

Mohabbat ik nadamat ban gayi hai 
Hamari mukh'tasir si daastaan hai 

Haqeeqaton ka tasawur mohaal lagta hai


Haqeeqaton ka tasawur mohaal lagta hai 

Kisi ki yaad main rehna kamaal lagta hai 

Koi nazam aisi likhon kabhi


Koi nazam aisi likhon kabhi 

Koi nazam aisi likhon kabhi 
Teri baat baat ki roshni 
Meray harf harf main bharray sikkay 
Teray lams ki yeh shaguftagi 
Meray jism-o-jaan main utar sakay 
Koi chandni kisi gehray rang kay raaz ki 
Meray raaston main bikhar sakay 
Teri guftagoo se banaon main 
Koi daastaan , koi keh'kishaan 
Hon mohabbaton ki tamazatein bhi 
kamaal tarah se meharbaan 
Teray bazu'on ki bahaar main 
Kabhi jhooltay huye gaon main 
Teri justagoo kay chragh sar-e-shaam dil main jalaon main 
Issi jhil'milati si shaam main 
Likhon nazam jo tera roop ho 
Kahin sakhat jaaron main aik dam jo chamak uthay 
Koi khush'gawaar si dhoop ho 

Jo wafa ki taal kay raqs ka 
Koi jeeta jaagta aks ho 

Koi nazam aisi likhon kabhi 
Keh her ik lafz kay haath main 
Teray naam kay 
Teray harf taza kalaam kay 
Kai raaz hon 

Jinhein mun'kashif bhi karon agar 
To jahan-e-shair kay baab main 
Meray dil main rakhi kitaab main 
Teray chashm-o-lab bhi chamak uth'ein 
Mujhay roshni ki fizaon main kahin ghair lain 
Koi nazam aisi likhon kabhi 


Badan ki sar'zameen par to hukam'raan aur hai


Badan ki sar'zameen par to hukam'raan aur hai 
Magar jo dil main bas raha hai meharbaan aur hai 

Jo mujh se munsalik huyein kahaniyan kuch aur thein 
Jo dil ko paish aayi hai woh daastaan aur hai 

Yeh mar'hala to sehal tha mohabbaton main wasal ka 
Abhi tumhein khabar nahin ik imtihaan aur hai 

 Woh din kidher gaye meray woh raat kya hui meri 
Yeh sar zameen nahin hai woh yeh aasmaan aur hai 

Woh jis ko daikhtay ho tum zarooraton ki baat hai 
Jo shairy main hai kahin woh khush biyaan aur hai 

Jo saa'iye  ki tarah se hai woh saya daar bhi to hai 
Magar hamein mila hai jo woh saye'baan aur hai 



Janay kaisay sambhaal kar rakhay


Janay kaisay sambhaal kar rakhay 
Sab iraday sambhaal kar rakhay 

Kuch naye rang hain mohabbat kay 
Kuch puranay sambhaal kar rakhay 

Mousam-e-ishq teri baarish main 
Khatt jo bheegay sambhaal kar rakhay 

Jin ki khushbu udaas karti thi 
Woh bhi gajray sambhaal kar rakhay 

Tujh se milnay kay aur bicharnay kay 
Saray khad'shay sambhaal kar rakhay 

Jab hawa ka mizaaj barham tha 
Hum ne pattay sambhaal kar rakhay 

Aarzu kay haseen pinjray main 
Kuch prinday sambhaal kar rakhay 

Hum ne dil ki kitaab main teray 
Saray waday sambhaal kar rakhay 

Teray dukh kay tamaam hi mousam 
Ae zamanay sambhaal kar rakhay 

Meray khawabon ko raakh kar dala 
Aur apnay sambhaal kar rakhay 

Yeh gaye dino ka malaal hai


Yeh gaye dino ka malaal hai 

Meray dushmano se kaho koi 
Kisi gehri chaal kay ehtamaam ka silsala hi fazool hai 
Keh shakist youn bhi qabool hai 
Kabhi hoslay jo misaal thay 
Woh nahin rahay 
Meray harf harf kay jism par 
Woh mahni kay par-o-baal thay woh nahin rahay 
Meri shairy kay jahan ko 
Kabhi titliyon , kabhi jugnu'on se sajaye phirtay 
Khayal thay 
Woh nahin rahay 
Meray dushmano se kaho koi 
Woh jo shaam shaher-e-wisaal main 
Koi roshni si liye huye 
Kisi lab pe jitnay sawal thay 
Woh nahin rahay 
Jo wafa kay baab main wehshaton kay kamaal thay 
Woh nahin rahay 
Meray dushmano se kaho koi 
Woh kabhi jo ehad-e-nishaat main 
Mujhay khud pe itna gharoor tha 
Kahin kho gaya 
Woh jo fatihaana khumaar main 
Meray saray khawaab nihaal thay 
Woh nahin rahay 
Kabhi dasht lashkar-e-shaam main 
Meray sur'khu'ru mah-o-saal thay 
Woh nahin rahay 
Keh bas ab to dil ki zubaan par 
Faqat ik qissa-e-haal hao ...............jo 
Nid'haal hai 
Jo gaye dino ka malaal hai 
Meray dushmano se kaho koi  


Lafz bhi koi uss ka saath na deta tha


Lafz bhi koi uss ka saath na deta tha 
Jaisay koi wasal ki raat ka qissa tha 

Basti kay uss paar kahin par raat dhalay 
Lambi cheekh kay baad koi sanata tha 

Jis ko apna ghar samjhay thay woh to mehz 
Dewarein thein aur un main darwaza tha 

Hum ne ussay bhi lafzon main zanjeer kiya 
Badal jaisa jo awara phirta tha 

Manzil ko sar karnay walay logon ne 
Raston ka bhi her andesha daikha tha 

Kaisay din hain uss ka chehra daikh kay hum 
Soch rahay hain pehlay kahan pe daikha tha

Ashk apni aankhon se khud bhi hum chupa'ein gay


Ashk apni aankhon se khud bhi hum chupa'ein gay 
Teray chahnay walay shor kya macha'ein gay 

Subha ki hawa tujh ko woh milay to keh dena 
Shaam ki mundairon par hum diye jalayein gay 

Hum ne kab sitaron se roshni ki khawaish ki 
Hum tumhari aankhon se shab ko jag'maga'ein gay 

Tujh ko kya khabar jaana hum udaas logon par 
Shaam kay sabhi manzir ungliyaan utha'ein gay 

Hum teri mohabbat kay jugnu'on ki aamad par 
Titliyon kay rangon se raastay saja'ein gay 

Kharch itna bhi na kar mujh ko zamanay kay liye


Kharch itna bhi na kar mujh ko zamanay kay liye 

Kuch to reh jaon main kaam apnay bhi aanay kay liye 

Yeh kya be'naam uljhan hai


Be'naam uljhan 

Yeh kya be'naam uljhan hai 
Na'janay aagahi aur khawab kay ma'bain kaisa masla hai 
Keh her takhleeq se pehlay 
Ajab ik khouf dil ko ghair leta hai 
Mujhay mehsoos hota hai 
Main apni aakhri tehreer likhnay jaa rahi hoon 

Sukhan ki shab kay maathay par 
Woh meray naam kay jitnay sitaray thay 
Wafa kay ista'aray thay 
Sab apni umar poori kar chukay hain 

Yeh hi dharka sa rehta hai 
Keh jitnay shair likhay thay 
Jinhein main 
Apnay honay ki gawahi ki tarah mehsoos karti thi 
Yeh ab likhay na jayein gay 
YEh ab sochay na jayein gay 

Yeh ab sochay na jayein gay 
Meri nazmein 
Jo ab tak aarzu'on ka sunehra aks ban kar jhil'milati thein 
Mohabbat ki zameeno par utar'tay 
Hijar kay aur wasal kay sab mousamon ki baat karti thein 
Inhein tehreer karnay ka hunar bhi bhool jaon gi 

Gumaan yeh be'sabati ka 
Yaqeen ban ban kay her lamha 
Barri shiddat se meray zehan ka daman hilaata hai 
Yeh hi bawar karwata hai 
Keh harf-o-lafz ka jitna asaasa tha 
Fana ki sarhadon par hai 
Sukhan sacchai ka sara tafakhar tootnay ko hai 
Mohabbat roothnay ko hai 

Yeh kya be'naam uljhan hai 
Keh her takhleeq se pehlay 
Ajab ik khouf dil ko ghair leta hai 
Mujhay mehsoos hota hai 
Main apni aakhri tehreer likhnay jaa rahi hoon 

Meri aankhon ko soojhta hi nahin


Meri aankhon ko soojhta hi nahin 
Ya muqaddar main raasta hi nahin 

Woh bharray shaher main kisi se bhi 
Meray baaray main poochta hi nahin 

Phir wohi shaam hai wohi hum hain 
Haan magar dil main hosla hi nahin 

Hum chalay uss ki bazam se uth kar 
Aur woh hai keh rookta hi nahin 

Dil jo ik dost tha magar woh bhi 
Chup ka pathar hai bolta hi nahin 

MAin to uss ki talash main gum hoon 
Woh kabhi mujh ko dhoondta hi nahin 

Main to aik qadam chal kar hi rooh talak thak jaati hoon


Main to aik qadam chal kar hi rooh talak thak jaati hoon 

Sochti hoon tum apnay aap se itna kaisay bhaagtay ho 

Mujhay tum se mohabbat hai


Aakhri Khawaish 

Meray sathi 
Meri yeh rooh neray jism se parwaz kar jaye 
To loat aana
Meri be'khawab raaton kay azabon par 
Sisaktay shaher main tum bhi 
Zara si dair ko rukna 
Meray be'noor honton ki dua'on par 
Tum apni sard paishani ka pathar rakh kay ro dena 
Bas itni baat keh dena 
"Mujhay tum se mohabbat hai "

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...