Jun 12, 2014

Aik baar hum se piyaar kar ky to dekho


Hamari nazar bhout kuch keh dati hai
Kabhi hamain nazron se samjh kar to dekho

Hum se dosti ka rishta hai tumhara
Kabhi hum se dil laga kar to dekho

Her mushkal raah bhi asaan ho jaye gi bas
Hum par aik baar aitabaar kar ky to dekho

Hum tumhain zindagi main her kushi dain gy
Bas aik baar hum se piyaar kar ky to dekho 

Tujh se juda ho jane se dar lagta hai


Tujh se juda ho jane se dar lagta hai 
Ulfat na'kaam ho janay se dar lagta hai 

Nahin hai mumkin jeena teray bin 
Tujh bin mar janay se dar lagta hai 

Kissay hai fikar duniya ki , zamanay ki 
Teray mukar janay se dar lagta hai 

NAhin koi aarzo zindagi main teray siwa
Tujh se bichar janay se dar lagta hai 

Tujh bin saansain haraam , dharkan gunnah 
Tujh bin jiye janay se dar lagta hai

Agar jo demaagh ki suno gi to haar jayo gi

Agar jo demaagh ki suno gi to haar jayo gi 
Hum jaisa piyaar phir kahan payo gi 

Jaan dainay ki baat to her koi karta hai 
Zindagi bananay wala kahan sy layo gi 

Jo ik nazar daikh lo tum hamain dil se
To her taraf hum hi ko payo gi 

Yaqeen apni mohabbat par itna hai mujhay 
Meri chahat ko dekho gi to loat ayo gi 

Meri aankhon ky samandar main doob gay agar jo 
Kahin jana bhi chahyo gi to na ja payo gi

Dil ki dharkan ki tarah dil main basa loon tum ko


Dil ki dharkan ki tarah dil main basa loon tum ko 

Koi ehsaas judai k ana rehnay paye

Is tarah khud main meri jaan basa loon tum ko 

Tu jo roothay kabhi mujh se meray dil ky maalik 

Sari dunia se khafa ho kar mana loon tum ko 

Jab bhi dekhon teray chahray par udaasi ka samaa 

YAhi chahon keh kisi tarah hansaa loon tum ko 

Tu jo thak haar ky lootay to yahi khwaish ho 

Paas in palkon ki chayon main sulaon tum ko

Hamain khabar hai hum ehal-e-dil ka mohabbaton main yeh haal ho ga


Hamain khabar hai hum ehal-e-dil ka mohabbaton main yeh haal ho ga 
Bahar main bhi woh habas ho ga , keh saans lena mohaal ho ga 

Naqoosh dhundla gaye hain jis ky , khyaal jis ka dhuwan dhuwan hai
Woh zard patton ky koray kaaghaz pe likhi koi misaal ho ga 

Jo naaptay hain musaafton ko , lateef jazbon ki shiddatein hain 
Kahin sadii sa'aton ki had main 'kahin pe lamha bhi saal ho ga 

Mujhay hai siyaad se woh nisbat keh mujh ko manzoor hai aseeri 
Qafas ki aaghosh se jo nikla to wua'aton ka wabaal ho ga 

Tumharay lehjay ki talkiyon ko bhula ky ek baar mil to loon main 
Magar ho itn ayaqeen mujh ko , bichar ky tum ko malaal ho ga 

Her khushi main koi kami si hai


Her khushi main koi kami si hai 
Hansti aankhon main bhi nami si hai

Din main chup chaap sar jukaye tha 
Raat ki nabaz bhi thami si hai 

Kis ko samjhein kisi ki baat nahin 
Zehan aur dil main phir thani si hai 

Khwaab tha ya ghubaar tha koi 
Gard in palkon pe jami si hai 

Keh gaye hum kis se dil ki baat 
Shaher main aik san'snni  si hai 


Meri zindagi ho tum meri bandagi ho tum


Meri zindagi ho tum 
Meri bandagi ho tum 
Meri rooh ka qaraar ho tum 
Meray khyalon ka inhaar ho tum 

Meray her dard ki dawa ho tum 
Meray liye aab-e-shifa ho tum 
Meri her kushi ki intiha ho tum 
Meray her gham ky agay dewaar ho tum 

Meray andheron main roshni ho tum 
Meray raastay main subha ho tum 
Meri umeed ho tum 
Meri tamheed ho tum 

Meray dil ki dharkan ho tum 
Meri sansoon ki thandak ho tum 
Meray chaharay ki muskurahat ho tum 
Meri zubaan ki awaaz ho tum 

Meri nas nas main ho tum 
Jidhar jayon nazar atay ho tum 
Meray qalam ki jaan ho tum 
Meray kaaghaz par wahid nishaan ho tum 

Meri gum'shuda pehchaan ho tum 
Meri gumsuda mehmaan ho tum 
Meri nighaon ki talash ho tum 
Meray gulshan ki bahaar ho tum 

Meray khawabon ki tabeer ho tum 
Meri sochon ki tasveer ho tum  
Tapti dhoop main chayon  ho tum 
Garam sehra main nakhlistaan ho tum 

Asmaan pe chamakta sitara ho tum 
Bhatkay musafir ka aakhari sahara ho tum 

Baja hai keh aankh main needon ky silsalay bhi nahin


Baja hai keh aankh main needon ky silsalay bhi nahin 
Shakist-e-khwaab ky ab mujh main hoslay bhi nahin 

Nahin nahin yeh khabar dusmano ne di ho gi
Woh aye aa ky chalay bhi gaye mile bhi nahin 

Yeh kon log andheron ki baat kartay hain 
Abhi to chaand teri yaad ky dhalay bhi nahin 

Abhi se maray rafogar ky hath thaknay lagay 
Abhi to chaak meray zakham ky silay bhi nahin 

Khafa agarcha hamesha huwey magar ab 
Woh barhami hai keh hum se unhain gilay bhi nahin

Woh meri bachpan ki yaadain bari sohani


Woh meri bachpan ki yaadain bari sohani
Woh dil ka behalna sun ky koi kahani 

Woh be'fikri ky din woh be'fikri ki ratain 
Woh masoomiyat ki rutain thein bari dewani

Woh khauf se kampana kabhi sardi se tht'tahrna 
Woh badal ka garajna woh barsaat ka pani 

Woh maktab ka pehla din woh nayi disti 
Woh sab ko mera taa'aruf meri hi zubaani

Woh khoob tha mustaqbil ky khwabon ky sunana
Woh kabhi maan to kabhi baba ki zubani 

Woh awargi pe pabandi woh ghar ki qaid
Woh chori se nikalna woh apas ki raaz'dani

Woh baray bhai ki daant woh us ka rouab 
Woh mera sochna keh kab aye gi jawani

Woh matti main khailna woh doston ki narazgi 
Woh apas main larna aur phir woh soch intaqami 

Woh din loatein gy nahi woh pal ayein gy
Woh yadain ho gayi hain bhout hi purani

Gum sum huwa , awazon ka dariya tha jo ik shakhs


Gum sum huwa , awazon ka dariya tha jo ik shakhs
Pathar bhi nahin ab woh , sitara tha jo ik shakhs

Shayed woh koi harf-e-wafa dhoond raha tha 
Chaharay ko baray ghour se pathta tha jo ik sakhs

Sehra ki tarah dair se piyasa tha jo ik shakhs
Badal ki tarah toot ky barsa yha jo ik shakhs

Hathon main chupaye huwey phirta tha kai zakham 
Sheesahay ky khilonay se behalta tha jo ek shakhs

Mujhay acha lagta hai


Tera dekhna aur shrmana mujhay acha sa laga 
Aur phir dil main basana mujhay acha sa laga 

Kabhi kabhi kehta hoon dil se main 
Tera youn dil lagana mujhay acha sa lagta hai 

Roz-o-shab ka milna kuch theek nahin 
Duniya walon se chupana mujhay acha lagta hai 

Koi nahin is duniya main teray jaisa 
Teri tasveer se batain karna mujhay acha lagta hai

Mera baat-be-baat rooth jana shakir
Aur tera her baar ka manana mujhay acha lagta hai 


Jo ghair thay woh isi baat par hamaray huwey


Jo ghair thay woh isi baat par hamaray huwey
Keh hum se dost bhout be'khabar hamaray huwey

Kisay khabar keh woh mohabbat thi keh raqabat thi
Bhout se log tujhay dekh ky hamaray huwey

Ab ik hajoom shakista dila'an hai sath apnay 
Jinhain koi na mila humsafar hamaray huwey

Kisi ne gham to kisi ny mizaaj-e-gham bakhsha
Sab apni apni jaga chraagh ghar hamaray huwey

Bujhay keh taak ki shamein na dekh taron ko 
Isi junoon main to barbaad ghar hamray huwey 

Woh aitamaad kahan se faraz lain gy 
Kisi ko chor ky woh ab agar hamaray huwey

Yeh chup rehna theek nahin koi meethi baat karo


Yeh chup rehna theek nahin koi meethi baat karo
Moor, chakor , papeha , koyal , sab ko maat karo

Sawan to man bheegay se bin barsay beey gaya 
Ras main doobay naghmay ki ab tum barsaat karo

Hijar ki aik lambi manzal ko janay wala hoon
Apni yadon ky kuch saye meray sath karo

Meri kirno ki kaliyaan chun kar saig bana loon ga
Tum mujhray ka chaand jalao roshan raat karo 

Piyaar buri shai nahin hai likn phir bhi yaar qateel
Gali gali Taqseem na tum apnay jazbaat karo

Yeh ajeeb meri mohabbatain


Koi poochay ly to main kiya kahoon 
Usay kiya bataon 
Yeh roz-o-shab to jnam jnam pe moheet hai 
Meray zakham zakham dil-o-nazar 
Mujhay is jnam main nahin milay 
Meray rat'jagay meray hamsafar 
Meray sathi aaj nahin chalay 
Yeh moheeb-o-jast-e- fikar jo
Meray naqash naqash ki rooh hai
Koi be'sabaat bayaan nahin 
Yeh aatmaon ka aks hai
Yeh to Deva'taon ka dehaan hai
Yeh to janay kaisi 
Sadi sadi ki aziyaton ka giyaan hai 
Yeh ajeeb meri Mohabbatain 
Yeh ajeeb meray gham-o-alam 
Yeh naseeb sang-e-siyaah par
Yeh warq warq pe gehray qalam 
Yeh karra hissar naya nahin 
Mera intizaar qadeem hai 
Mera us se piyaar qadeem hai 
Yeh ajeeb meri mohabbatain 

Tu jo roothi meri palkon pe nami reh jaye gi


Tu jo roothi meri palkon pe nami reh jaye gi
Zindagi bas naam hi ki zindagi reh jaye gi

Tark-e-ulfat ky iraday par zara phir sochiya
Main chala jaon ga tu dekhti reh jaye gi

Yeh nahin kehtay keh tujh bin jee nahin payein gy hum 
Haan hamari zindagi main ik kami reh jaye gi

Piyaar ky sadqay yeh lagta hai hamaray darmiyaan 
aur kuch na bhi raha yeh dosti reh jaye gi 

MAin to teh kar ky chala jayon ga duniya ka safar 
Meray baray main yeh duniya sochti reh jaye gi

Zaat se barh kar hai apni mujh ko apna payara fun 
Main agar na bhi raha yeh shairy reh jaye gi

Mera dost jo mujh se hua tha khafa


Mera dost jo mujh se hua tha khafa

Mudaton baad woh mujh se khud aa kar mila 

Jhooti nafrat ky pathron se jo bana tha qilha

Mohabbat ki kankar;rion ne kiya aaj is ko faana 

Ab qilha koi na tameer ho aisa yahan 

Rab se mangi hai main ne ab yahi dua

Lagay teray bina mujhay saray mousam khizaan 

Kyon keh main tha yahan , aur tu tha wahan 

Ab nazar na lagay hamari dosti ko Ae khuda 

Koi silsala dil main aisa mohabbaton ka chala

Koi kuch bhi kahay hun ne hi suna nahin hai

Bas yahi kamyaab dosti ka hai behtareen dawa
 

Meri nazar se kabhi jo ek dafa dekho

Meri nazar se kabhi jo ek dafa dekhon
Apnay liye pyaar hi pyaar chahat to dekho

Tum ko sab batanay main lagaye gi muddat mujhay 
Ho sakay to her lamhay ko mehsoos kar kay to dekho

Dhoondti hai her taraf dil-e-be'qarari jissay
Aye dil main uss ko kidher kidher ko dekho

Hona na kabhi juda tum mujh se kabhi 
Qabool hotay huye kaash meri dua ko dekho

Nahin chaha hum ne apni chahat ka koi sila 
Bas teri nazar main apnay aap ko dekho

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa


Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
Aur jab tujh se mila toot ky roya  kaisa

Zindagi main bhi ghazal hi ka qareena rakha 
Khwaab-dar-khwaab teray gham ko paroya kaisa

Ab to chaheron pey bhi kutbon ka gumaan hota hai 
Aankhain pathrai hui hain  lab-e-goya kaisa

Dekh ab kurab ka mousam bhi na sar'sabaz lagay 
Hijar hi hijar marasam main samoya kaisa

Aik ansoo tha keh dariya-e-nadamat tha faraz 
Dil se be'baak shanawaar ko doboya kaisa

Youn us dil'ruba se meri nazar milay kabhi


Youn us dil'ruba se meri nazar milay kabhi
Apni zubaan se mujhay dil'bar kahay kabhi

Woh meray weham main ,meray gumaan main rahay
Jo raat ky pehar se sehar milay kabhi

Woh mera to kabhi na tha magar aisa laga 
Keh us ky bina zeest bhi abtar lagay kabhi

Yak'sar gum sum hoon apni yaad dashton main 
Us ki gali tak us ka dar youn dikhaye kabhi

Us ka wajood meri rooh main mehlool ho gaya
Rooh ab sab arwaah se akbar lagay kabhi

Kia kushboo ki rangon sy baat ho


Kia kushboo ki rangon sy baat ho
Jo woh na kabhi meray sath ho
Dil na dharkay aur saans tham jaye
Jis shab na tujh se mulaqaat ho

Kitni hi kushiyan aur be'hisaab jashan mana chukay
Youn hum khud ko hi apnay aap se ganwa chukay

MAin aur kiya kahoon
Kon hai jo sunay ga 
Jo bhi nazron se guzar chuka
Woh sab is dil main jazab ho chuka hai 
To dil ko Kuraidoon kis ky liye
Us ky liy jo qadar'daan hai 
Ya un ky liye jo anjaan hain 
Main aur kiya kahoon

Tum chaho to mujhay apnay seenay main chupa saktay ho


Tum chaho to mujhay apnay seenay main chupa saktay ho 
Tum chaho to mujhay apnay dil ki her baat bata saktay ho 
Tum chaho to mujhay sehra se nikaal saktay ho 
Tum chaho to mujhay saiybaan de saktay ho 

Tum chaho to mujhay tapti dhoop se bacha saktay ho 
Tum chaho to mujhay apnay wajood main chupa saktay ho 
Tum chaho to andhairi raat ki chadar parh kar
Tum chaho to ik dia roshni ka jala saktay ho 
Tumhain maloom hain keh yeh zindagi kuch dino ki hai 
Tum chaho to issay hans ky guzaar saktay ho 

Tum chaho to mujhay apni zindagi bana saktay ho
Tum chaho to mujhay apnay seenay main chupa saktay ho 
Tum chaho to mujhay apnay dil ki her baat bata saktay ho

Tum chaho tokiya nahin kar saktay ho 
Tum chaho to sab kuch kar saktay ho

Kar ky mujhay barbaad jo hans rahi thi


Kar ky mujhay barbaad jo hans rahi thi 
Tanhai main baithi woh ro rahi thi

Maloom tha hamain tumhari be'loas mohabbat ka
Rasm-o-riwaaj ki woh laaj rakh rahi thi

Shayed mohabbat main is ky bhool ho gayi
Apni na'dani par shram'saar to thi 

Shayed duniya ne issay sochnay ki mohlat na di 
Mohabbat ky liye bagawaat par tayaar to thi

Kyon hotay hain mohabbat pe rasm-o-riwaaj 
Do dewano ky darmiyaan yeh takraar to thi

Kyon chupkay se woh log dil main utar jatay hain


Kyon chupkay se woh log dil main utar jatay hain 
Jin se qismat ky sitaray nahin miltay

Kyon hamain us logon ki aadat si ho jati hai
Jinhain hum pehli nazar main apna sab kuch maan letay hain 

Jinhain hum na dekhain to hamara din nahin guzarta
Jinhain hum dekhain to hamara dil qaboo main nahin rehta 

Jin ky hum qareeb ho ky bhi un ky hotay nahin 
Aur jin se door ho kay hum juda hotay nahin 

Jo door reh kar bhi kushi detay hain 
Aur jo pass ho kar bhi ghum detay hain 

Phir wohi baat aa jati hai

Kyon chupkay se woh log dil main utar jatay hain 
Jin se qismat ky sitaray nahin miltay


 

Na fikar-e-farda na yaad-e-mazi


Na fikar-e-farda na yaad-e-mazi 

Na chain dil ko na be'qarari

Na wasal ki larzish nazar main 

Na be'basi hijar ky samay ki

Na had se guzar jayein woh

Na be'kali woh pehlay jaisi 

Bas ik udasi hai dheemi dheemi 

Bas ik khamoshi hai be'kraan si

Bas ik be'naam jalan hai 

Bas ik be'dard se thakan hai 

Jo zindagi ky adhooray pan ko

Hadon se aagay barha rahi hai


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...