Feb 27, 2015

In qurbaton ne aur bhi tanha sa kar diya


In qurbaton ne aur bhi tanha sa kar diya 

Ab darmiyan hamaray koi faasla nahin

Youn koi chor kar nahin jaata


Youn koi chor kar nahin jaata 

Dosti bojh ban gayi ho gi

Youn hi tanhai main khud ko saza detay hain


Youn hi tanhai main khud ko saza detay hain 

Naam likhtay hain tera , likh kar mitta detay hain

Aray Sahib !! tanhai ka ik alag hi maza hai


Aray Sahib !! tanhai ka ik alag hi maza hai 

Is main dar nahin hota kisi kay chor janay ka

Jab main dooba to samandar ko bhi hairat hui mujh par


Jab main dooba to samandar ko bhi hairat hui mujh par 

Ajeeb shakhs hai kisi ko pukaarta hi nahin

Rukhsat Ae bazam-e-jahan soo-e-watan jaata hoon


Rukhsat Ae bazam-e-jahan soo-e-watan jaata hoon 

Aah ! is abaad veeranay main ghabrata hoon main 

Bas keh afsurda dil hoon dar khour-e-mehfil nahin 

Tu meray qabil nahin , main tera qabil nahin

Chal dost, kisi anjaan basti main chalain


Chal dost, kisi anjaan basti main chalain 

Is nagar main to sabhi hum se khafa rehtay hain

Main kissay suna raha hoon yeh ghazal mohabbaton ki


Main kissay suna raha hoon yeh ghazal mohabbaton ki 
KAhin aag sazishon ki kahin aanch nafraton ki 

Koi baagh jal raha hai yeh magar meri dua hai 
Meray phool tak na ponchay yeh hawa tamazaton ki 

Mera kon sa hai mousam meray mousamon kay waali 
YEh bahaar be'dili ki yeh khizaan murawaton ki 

Main qadeem baam-o-dar main inhain jaa kay dhoondta hoon 
Woh diyaar nikhaton kay woh fizaein chahaton ki 

Kahin chaand ya sitaray huye hum'kalaam mujh se 
Kahin phool sehriyon kay kahin jhaariyan chatton ki 

Meray kaaghzon main shayed kahin ab bhi so rahi ho 
Koi subha gulistaan ki koi shaam parbaton ki 

Subha safar ki raat thi , taray thay aur hawa


Subha safar ki raat thi , taray thay aur hawa 
Saaya sa aik , dair tak , baam par raha 

Meri sada hawa main bhout door tak gayi 
Par main bula raha tha jissay be'khabar raha 

Guzri hai kiya mazay se kya khayalon main zindagi 
Doori ka yeh talisam bara kar'gar raha 

Khouf Aasman kay saath tha sar par jhuka huwa 
Koi hai bhi ya nahin hai yahi dil main dar raha 

IS aakhri nazar main ajab dard tha "Munir"
Janay ka is kay ranj mujhay umar bhar raha 

Youn dil ko her shakhs pe wara nahin kartay


Youn dil ko her shakhs pe wara nahin kartay 
Aankhon main her ik aks utaara nahin kartay 

Honi hai to ik baar hi ho jaye mohabbat 
YEh bhool hai aisi keh dobara nahin kartay 

Acha huwa main ne hi faqat dekha magar youn 
Mehfil main kisi ko bhi ishaara nahin kartay 

Mil jaye sar-e-raah jo bichra huwa koi 
Chup chaap hi taktay hain pukara nahin kartay 

Kiyon pyaar ki baazi se huwa is darja guraizan 
Kehtay hain keh badal haar kay haara nahin kartay 

Kajal se bhi ab koi kaam lay na sahaili 
Youn dard se aankhon ko sanwara nahin kartay

Dard-e-Ehsaas kis ko dikhaein


Dard-e-Ehsaas kis ko dikhaein 

Kuch to pathar thay , kuch khuda niklay

Kon jeetay ga un se baaton main


Kon jeetay ga un se baaton main 

Jin ki aankhein kalaam karti hain

Shab dhali chand bhi niklay to sahi


Shab dhali chand bhi niklay to sahi 
Dard jo dil main hai chamkay to sahi 

Hum wahin par hi basa lain khud ko 
Woh kabhi raah main rokay to sahi 

Sab se hat kar hi manaana hai ussay 
Hum se ik baar woh roothay to sahi 

US ki nafrat bhi mohabbat ho gi 
Meray baaray main woh sochay to sahi 

Us kay sab jhoot bhi sach hain Mohsin
Shart itni hai woh bolay to sahi 

Poet : Mohsin Naqvi
 

Haseen aankhon ko parhnay ka abhi tak shouq hai mujhay


Haseen aankhon ko parhnay ka abhi tak shouq hai mujhay 

Mohabbat main ujar kar bhi meri Aadat nahin badli

Me'khanay main baitha her shakhs saqi nahin hota


Me'khanay main baitha her shakhs saqi nahin hota 
Hazaron jaam peenay se koi sharabi nahin hota 

Baarishon , nehron se fasal to ugg jaati hai 
Zameen khud na chahye koi ilaaqa sairaabi nahin hota 

Koi yahan chotay gunnah se pakra jaata hai 
Koi hazaron gunnah kar kay bhi azaabi nahin hota 

"Zain" ek riwayat suuni thi magar maanta na tha 
Milay tum se , ehsaas huwa her shakhs wafa ka Aadi nahin hota

Ussay safar main dhoka to hum bhi dy saktay thay


Ussay safar main dhoka to hum bhi dy saktay thay 

Magar ragon main dorti wafa se bagawat nahin hoti

Khud pe maan itna hai kabhi murr kay nahin dekha


Khud pe maan itna hai kabhi murr kay nahin dekha 

Jissay keh doon keh mera hai , ussay hona hi parta hai

Aafat ki shokiyaan hain tumhari nigah main


Aafat ki shokiyaan hain tumhari nigah main 

Mehshar kay fitnay kehlaatay hain jalwa'gaah main 

Woh dushmani se dekhtay hain , dekhtay to hain 

Main shaad hoon keh , hoon to kisi ki nigah main 

Aati baat baat mujhay yaad baar baar 

Kehta hoon da'ood , daood kay qasid se raah main 

IS toba par hai naaz mujhay zahid is qadar 

Jo toot kar shareek hoon haal-e-tabah main 

Mustaq is ada kay bhout dard'mand thay 

Ae "Dagh" tum to baith gaye ik aah main

Mera seedha sadha mizaaj tha , mujhay ishq honay ki kya khabar


Mera seedha sadha mizaaj tha , mujhay ishq honay ki kya khabar 

Teri ik tabasum-e-naaz ne mera sara zouq badal diya

Her baar Abaas ilzaam ishq par hi acha nahin


Her baar Abaas ilzaam ishq par hi acha nahin 

Wafa khud se khoti nahin khafa mohabbat se ho jatay hain log 

Mumkin nahin mujh se yeh tarz-e-munafqat


Mumkin nahin mujh se yeh tarz-e-munafqat 

Duniya teray mizaaj ka banda nahin hoon main

Shaher bhar main jis ne ruswa kiya


Shaher bhar main jis ne 

Ruswa kiya hamein be'wafa kay naam par

Khud us ka daman 

Wafa se khaali tha ... !

Meri Aankhon ko dekh kar aik sahib-e-ilm bola


Meri Aankhon ko dekh kar aik sahib-e-ilm bola 

Teri sanjeedagi bata'ti hai ,,,, tujhay hansanay ka shouq tha

Ghar apna baan letay hain jo dil main hamaray


Ghar apna baan letay hain jo dil main hamaray 

Hum se woh prinday uraa'ey nahin jaatay

Khairaat main mili khushi hamein achi nahin lagti


Khairaat main mili khushi hamein achi nahin lagti 

Hum apnay dukhon main rehtay hain nawabon ki tarah

Bhout takleef deti hain teri yaadein woh sab baatein


Bhout takleef deti hain teri yaadein woh sab baatein 

Faqat itna hi kehna tha keh tum loat aayo to acha hai

Kitni mehdood si hai duniya meri


Kitni mehdood si hai duniya meri 

Ik main hoon , ik mohabbat teri

Itnay chup chaap keh rastay bhi rahain la'ilm


Itnay chup chaap keh rastay bhi rahain la'ilm 

Chor jayein gay kisi roz yeh nagar shaam kay baad 

Dil karta hai teray qadmon pe jaan qurban kar doon


Dil karta hai teray qadmon pe jaan qurban kar doon 

KEh tu is be'wafai kay dour main meray saath chal raha hai

Tumhain tar'teeb dy raha hoon main


Tumhain tar'teeb dy raha hoon main 

Meray andar bikhar gaye ho tum

Zindagi yeh to nahin tujh ko sanwara hi na ho


Zindagi yeh to nahin tujh ko sanwara hi na ho 
Kuch na kuch tera ehsaan utaara hi ho 

Koo-e-qatil ki bari dhoom hai , chal kar dekhein 
Kya khabar koocha-e-dil'daar se payara hi na ho 

Dil ko choo jaati hai raat ki awaz kabhi 
Chonk uth'ta hoon kahin tum ne pukara hi na ho 

KAbhi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakeer 
Sochta hoon teray aanchal ka kinara hi na ho 

Zindagi ik khalish de kay na reh ja mujh ko 
Dard woh dy jo kisi surat gawara hi na ho 

Sharam aati hai keh us shaher main hum hain keh jahan 
Na milay bheek to laakhon ka guzara hi na ho 



Hawa ki mojon main aaj ghazab ki nazakat hai


Hawa ki mojon main aaj ghazab ki nazakat hai 

Zaroor aaj us ne mujhay dil se yaad kiya ho ga

Nahin hota kisi tabeeb se is marz ka ilaaj


Nahin hota kisi tabeeb se is marz ka ilaaj

Ishq la'ilaaj hai bas ehtiyaat keejiye

Youn bhi to raaz khul hi jaye ga ik din hamari mohabbat ka


Youn bhi to raaz khul hi jaye ga ik din hamari mohabbat ka 

Mehfil main jo hum ko chor kar sab ko salam kartay ho

Laaon ga kahan se judai ka hosla


Laaon ga kahan se judai ka hosla 

Kiyon is qadar meray qareeb Aa gaye ho tum

Band kitabon main urti hui titliyaan daal dein


Band kitabon main urti hui titliyaan daal dein
Kis ne rasmon ki jalti hui aag main lakriyaan daal dein 

Khouf kaisa hai yeh naam us ka zer-e-lab bhi nahin 
Jis ne haathon main meray haray kaanch ki chooriyan daal dein 

Hont pyaasay rahay hoslay thak gaye umar sehra hui 
Hum ne pani kay dhokay main phir rait par kashtiyaan daal dein 

Mousam-e-hijar ki kaisi sa'aat hai yeh dil bhi hairan hai 
Meray kaano main kis ne teri yaad ki baaliyan daal dein

Tumhara saath tasal'sul se chahiye mujh ko


Tumhara saath tasal'sul se chahiye mujh ko 

Thakan zamano ki lamhon main kab utar'ti hai

Hum ne sookhi hui shaakhon pe lahu chirka tha


Hum ne sookhi hui shaakhon pe lahu chirka tha 

Phool agar ab bhi na khiltay to qayamat hoti

Dar lagta hai hum ko un aankhon se


Dar lagta hai hum ko un aankhon se

Jo niqaab main reh kar hum par waar karti hai

Uthnay do aaj pardon ko zara hum bhi to dekhein


Uthnay do aaj pardon ko zara hum bhi to dekhein 

Kon sa chand chupa hai is niqaab kay peechay

Phir youn huwa teri yaad ne ghungroo pehan liye


Phir youn huwa teri yaad ne ghungroo pehan liye 

Aur dil tamaam umar mehav-e-raqs reh gaya

Tujh ko maloom bhi hai keh kitnay talab'gaar hain hum teray


Tujh ko maloom bhi hai keh kitnay talab'gaar hain hum teray 

Pooch un farishton se jo roz likhtay hain dua meri aur naam tera

Kaash keh woh loat aaye mujh se yeh kehnay


Kaash keh woh loat aaye mujh se yeh kehnay 

Tum kon hotay ho mujh se bicharnay walay

Na'umeed shakhs her acha moqa ganwa deta hai


Na'umeed shakhs 

Her acha moqa ganwa deta hai 

Aur 

Pur'umeed shakhs 

Parishaani main bhi moqa talaash kar leta hai 

Hum se kya poochtay ho hijar main kya kartay hain


Hum se kya poochtay ho hijar main kya kartay hain 
Teray loat aanay ki din raat dua kartay hain 

Ab koi hont nahin in ko churanay aatay 
Meri aankhon main agar ashk huwa kartay hain 

Teri tu janay , par ae jaan-e-tamana hum to 
Saans kay saath tujhay yaad kiya kartay hain 

Teri tasveer laga letay hain hum seenay se 
Phir teray khat se teri baat kiya kartay hain 

GAr tujhay chornay ki soch bhi aaye dil main 
Hum to khud ko bhi wahin chor diya kartay hain

Chand meri khirki main aaye


Chand meri khirki main aaye

Chaand kabhi to taaron ki bheer se niklay 
Aur meri khirki main aaye 
Bilkul tanha aur akela
MAin is ko baanhon main bhar loon 
Aik hi saans main sab ki sab woh baatein kar loon 
Jo meray taalu se chimti 
Dil main simti rehti hain 
Sab kuch aisay ho jaye , jab hai na !
Chand meri khirki main aaye ,tab hai na !


Arsa beeta , zindagi beeti , sab kuch beeta lakin phir bhi


Arsa beeta , zindagi beeti , sab kuch beeta lakin phir bhi

Jo ishq main beeti , ishq hi janay ya woh janay , jis par beeti

Barish hui to ghar kay dareechay se lag kay


Barish hui to ghar kay dareechay se lag kay 

Chup chaap so'gawaar tujhay sochtay rahay

Mat pooch keh kis tarah se chal rahi hai zindagi


Mat pooch keh kis tarah se chal rahi hai zindagi

Is dour se guzar rahay hain jo guzarta hi nahin

Aadat us ki mujhay achi lagti hai jab youn hi


Aadat us ki mujhay achi lagti hai jab youn hi 

Nazrain jhuka kar kehti hai tumhain haq hai

Her khamoshi ka matlab inkaar nahin hota


Her khamoshi ka matlab inkaar nahin hota 

Her na'kaami ka matlab haar nahin hota 

To kya huwa agar hum tumhain paa na sakay 

Sirf paanay ka matlab pyaar nahin hota
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...