Feb 12, 2016

Sarapa-e-haqeeqat , mujasam fasana


Sarapa-e-haqeeqat , mujasam fasana
Mohabbat ka Aalam , junon ka zamana 

Woh pehlay pehal dono jaanib yeh Aalam 
Ada-e-be'taaluq , nazar mehar',mana

Nazar uth'tay uth'tay , nazar miltay miltay 
Dharaktay dilon ka woh nazuk zamana

Tabiyat shagufta magar khoi khoi 
Her andaz dil'kash magar wali'hana 

Woh shair-o-taranum ka pur'kaif mousam 
Woh ashk-o-tabasum ka rangeen zamana 

Ghroor-e-ta'jamul magar zakham khurda 
Shakist-e-mohabbat magar fati'haana  

Dastak kisi ki hai keh gumaan , dekhnay to de


Dastak kisi ki hai keh gumaan , dekhnay to de
Darwaza hum ko tez hawa kholnay to de 

Soda hai umar bhar ka , koi khail to nahin 
Ae chasham-e-yaar , mujh ko zara sochnay to de 

Shayed kisi lakeer main likha ho mera naam 
Ae dost apna haath mujhay dekhnay to de 

Yeh saat Aasmaan kabhi mukh'tasar to hon 
Yeh ghoomti zameen kahin theharnay to de 

Kaisay kisi ki yaad ka chehra bana'on main 
"Amjad" woh koi naqsh mujhay bhoolnay to de

Khawabon ki ik basti thi




Khawabon ki ik basti thi 
Aik larki us main rehti thi 

Apnay ghar kay Aangan main
Kuch sapnay boya karti thi 

Apnay kamray ki khirki main 
Bondon se khaila karti thi 

Sab kay samnay hansti thi 
Aur chup chup kar roya karti thi 

Chand ko kahin dair tak ghura karti thi 
Phir khud se baatein karti thi 

Dekhnay wali sab aankhon ko 
Kaanch ki guriya lagti thi 

Toot gayi to sab ne jana 
Woh pagli  ! pyar kisi se karti thi 

Bikharna kaar-e-hunar nahin hai


Bikharna kaar-e-hunar nahin hai 
Fagh'aan ka koi asar nahin hai 

Hain rat'jagon ki hazaar raatein 
Magar muqabil-e-sehar nahin hai 

Main Aaina hoon keh aks koi 
Mujhay khud apni khabar nahin hai 

Utaaray koozay ko chaak-e-jaan se
Kahin woh dast-e-hunar nahin hai 

Ajab safar hai ajab musaafat 
Makaan bhout hain par ghar nahin hai 

Us ki tasveer kya nazar aayi


Us ki tasveer kya nazar aayi 
Keh'kishaan aankh main utar aayi 

Main wahan khud ko yaad aaya hoon 
Woh jahan khud ko bhool kar aayi 

Janay kya keh diya hai main ne ussay 
Kuch dino main hi woh nikhar aayi 

Main prindon kay paas baitha tha 
Kal woh jis waqat meray ghar aayi 

Ajnabiyat ki tez baarish main 
Woh meray haath mukh'tasir aayi 

Aaj muddat kay baad us kay saath 
Khud ko dekha to aankh bhar aayi 

Sakhat be'simat zindagi thi "Hasan"
Us kay aanay se raah par aayi

December Tum na jaao na


December Tum na jaao na 

Abhi lamhay nahin bikhray 
Abhi mousam nahin bichray 
Meray kamray ki thandak main 
Abhi kuch dhoop baaqi hai 
Meri dairy kay kuch safhay 
Abhi kuch keh nahin paaye 
Meray aangan kay sab poday 
Abhi bhi gun'gunatay hain 
Meray be'jaan honton par 
Abhi muskaan baaqi hai 
Kisi kay loat aanay ka 
Abhi imkaan baaqi hai 
December baat ik sun lo !
Suno ! tum maan jaao na 
Keh jab tak woh nahin aata 
December tum na jaao na

Qariya qariya basti basti jashan manaya kartay thay


Qariya qariya basti basti jashan manaya kartay thay 
Tez hawa main pyar kay sachay deep jalaya kartay thay 

Shaakh shaakh main ab bhi teray payr ka dheema lehja hai 
Jin pairon kay saaye hum ko geet sunaya kartay thay 

Aaj ruton kay saath jo badla hum ko tanha chor gaya 
Kal tak to us pairr kay pattay hum pe saaya kartay thay 

Boorhay bargad ki shaakhon par jhooltay thay hum rozana 
Sapno kay kya sundar mehal banaya kartay thay 

Khoye khoye rehnay walo ! raaz-e-mohabbat faash hua 
Bheegi aankh ne keh daala jo raaz chupaya kartay thay 

Meri tarah woh pairr bhi ab tak tanha rehta hai 
Jis ki thandi chaayon main tum preet jataya kartay thay 

Shahbaz tum to itni jaldi saath hamara chor gaye 
Kal tak pyar ki kaisi kaisi qasmein khaya kartay thay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...