May 10, 2014

Main is hisaar se niklon to aur kuch sochon




Main is hisaar se niklon to aur kuch sochon
Tumharay piyaar se niklon to aur kuch sochon

Teri gali ke ilawa bhi aur qariye hain
Jo is diyaar se niklon to aur kuch sochon

Tumhay hijar ki sadiyaan tumharay wasal ke din
Main is shumaar se niklon to aur kuch sochon

Racha hua tera ishq meri poron main
Tumharay jism ki kushboo ne kar diya hai mashoor

Is abshaar se niklon to aur kuch sochon
Yeh be-qarari meri rooh ka ujhala hai
MAin is qaraar se niklon to aur kuch sochon

Poet : Wasi Shah

Teri jabeen pe likha tha keh tu bhula de ga


Teri jabeen pe likha tha keh tu bhula de ga
So main bhi bhaamp gaya tha keh tu bhula de ga

Her aik shaks se larta raha main taray liye
Her ne mujh se kaha tha keh tu bhula de ga

YEh teri ankhon pe halkay se par gaye kaisay
Mujhay to tu ne kaha tha keh tu bhula de ga

Nikaal laya hai ilzaam phir puranay tu
Yeh hum ne tah bhi kiya tha keh yu bhula de ga

Kuch is liye bhi keh ik til tha teri ankhon main
Mujhay to tab bhi pata tha keh tu bhula de ga

Poet : Wasi Shah

Tu kahan hai keh teri yaad ke hathon ab to



Tu kahan hai keh teri yaad ke hathon ab to

Hai meray sath parishaan meri tanhi bhi

Mujhay parho to zara ehtiyaat se parhna


Mujhay parho to zara ehtiyaat se parhna 

Khud apni zaat main bikhari hui kitaab hoon main

Haray laan main surakh phoolon ki chayon main bhaithi hui


Haray laan main
Surakh phoolon ki chayon main bhaithi hui
Main tujhay sochti hoon
Meri ungliyan 
Sabaz paton ko chooti hui
Teray hamraah guzray huye mousmon ki mehak
Chun rahi hain
Woh dil'kash mehak
Jo meray honthon pe a keh halki gulaabi hansi ban gaye hai
Woh apnay khyalon main gum hai
Shakh-dar-shaakh
Ik titli kushnuma par samaitay huye ur rahi hai
Mujhay aisay mehsoos honay laga hai
Jisay mujh ko bhi par mil gaye hain

Poet : Parveen Shakir

Tujh se milnay ki dua lab lab par na a jaye kahin



Tujh se milnay ki dua lab lab par na a jaye kahin

Chaand ko dekh kar youn ankh bacha li hum ne

Subha hui to ankhain aisay neend se bhoujhal thein faraz


Subha hui to ankhain aisay neend se bhoujhal thein faraz

Jisay koi jaag raha tha mujh main sari raat

Badbaan khulnay se pehlay ka ishara dekhna


Badbaan khulnay se pehlay ka ishara dekhna
Main samandar dekhti hoon tum kinara dekhna

Youn bichirana bhi bhout asaan na tha us se magar
Jatay jatay us ka woh mur kar dobara dekhna

Kis shabahat ko liye aya hai chaand
Ae shab-e-hijraan ! zara apna sitara dekhna

Kiya qiyamat hai keh jin ke naam par paspa huye
Un hi logon ko muqabal saf-e-araa dekhna

Jeetnay main bhi jahan jee ka ziyaan ziada hai
Aisi bazi harnay main kiya khasara dekhna

Ainay ki ankh main kuch kam na thi meray liye
Janay ab kiya kiya dekhyae ga tumhara dekhna

Aik masht-e-khaak aur woh bhi hawa ki zad main
Zindagi ki be-basi ka istaara dekhna

Poet : Parveen Shakir

Ehsaa-e- mohabat main nazar bad-naam ho jati hai


Ehsaa-e- mohabat main nazar bad-naam ho jati hai

Hum dil main irada kartay hain duniya ko khabar ho jati hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...