Showing posts with label Ahmad Nadeem Qasmi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Nadeem Qasmi Poetry. Show all posts

May 26, 2018

Sep 5, 2017

Mera dard kaisay woh jaanta , meri baat kaisay woh maanta


Mera dard kaisay woh jaanta , meri baat kaisay woh maanta 
Woh khud fanaa kay safar main tha , ussay rokna bhi mohaal tha 

Woh jo uss kay samnay aa gaya , kisi roshi main naha gaya 
Ajab uss ki haybat-e-husan thi ajab uss ka rang-e-jamaal tha 

Dam-e-wapsi ussay kya hua , na woh roshni , na woh taazgi 
Woh sitara kaisay bikhar gaya woh jo aap apni misaal tha 

Woh mila to sadiyon baad bhi meray lab pe koi gila na tha 
Ussay meri chup ne rula diya , jissay guftagoo main kamaal tha 


Raat jal uth'ti hai jab shiddat-e-zulmat se "Nadeem"


Raat jal uth'ti hai jab shiddat-e-zulmat se "Nadeem"

Log uss waqfa-e-maatam ko sehar kehtay hain 

Jul 15, 2014

Kon kehta hai mout ayi to mar jaayon ga


Kon kehta hai mout ayi to mar jaayon ga 

Main to dariya hoon samandar main utar jaaon ga

Jab tera hukam mila , tark mohabbat kar di


Jab tera hukam mila , tark mohabbat kar di 
Dil magar is pe woh dharka keh qayamat kar di 

Tujh se kis tarah main izhaar-e-tamana karta
Lafaz soojha to ma'afi ne baghawat kar di 

Main to samjha tha keh loat atay hain jaane wale 
Tu ne to jaa ke judai meri qismat kar di 

Mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyaar ata hai 
Teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di 

Pooch baitha hoon main tujh se teray koochay ka pata 
Teray halaat ne kaisi teri surat kar di 

Kiya tera jisam , teray husan ki hiddat main jala
Raakh kis ne teri sonay ki si rangat kar di 

Poet : Ahmed Nadeen Qasmi

Gul tera rang chura laye hain gulzaaron main


Gul tera rang chura laye hain gulzaaron main 
Jal raha hoon bhari barsaat ki bocharon main 

Mujh se katra ke nikal jaa magar ae jaan-e-haya 
Dil ki lo dekh raha hoon teray rukhsaaron main 

Husan-e-be'gaana ehsaas-e-jamaal acha hai 
Gunchay khiltay hain to bik jaate hain bazaron main 

Zikar kartay hain tera mujh se be'unwaan-e-jafa
Chara gar phool pro laye hain talwaaron main 

Zakham chup saktay hain lakin mujhe fun ki so'gand 
Gham ki doulat bhi hai shamil meray shahkaaron main 

Mujh ko nafrat se nahin pyaar se masloob karo 
Main to shamil hoon , mohabbat ke gunnah'gaaron main 

Poet : Ahmed Nadeen Qasmi

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...