Feb 12, 2014

Bhoolna bhi nemat hai khuda ki



Bhoolna bhi nemat hai khuda ki

warna insan ko pagal bana dain yadain

koi hamdarad na tha koi bhi dard na tha


-1-
koi hamdarad na tha ,
koi bhe dard na tha,

Achanak ik hamsafar mila,
phir usi se har dard mila,
 
 
-2-
Maray he hathoon par
Mare taqdeer likhi hai

Aur mare he taqdeer par
Mera bas nahin chalta

Naqsh yaadon ka mitaati hai to ro parti hay




Naqsh yaadon kay mitaati hai to ro parti hay
wo mera khatt jo jalati he to ro parti hay

khoon dikhta he mery marty hoye supno ka
khuwab ankhon main basati he to ro parti hay

log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab
baat logon se chupaati hay to ro parti hay

yaad karti he mujhy toot kar us lamhe
shaam chehra jo dikhaati hai to ro parti hai

wo bary zubt bhary hosly wali lerki
ghum ko tahreer banati he to ro parti hai

Na gharaz kissi say, na waasta, mujhay kaam apnay hi kaam say


Na gharaz kissi say, na waasta, mujhay kaam apnay hi kaam say

Tere zikr say, teri fikr say, teri yaad say, tere naam say

Waqif e gham , mutabasam , mutakalm, mager khamosh

 

Waqif e gham , mutabasam , mutakalm, mager khamosh

tum ne dekhi  hain kahin asi khamosh aankhen

Qadam ruk se gaye hain phool biktey dekh kar

Qadam ruk se gaye hain phool biktey dekh kar

Woh aksar kaha krta tha muhabbat phool jaisi hai

Ilhaam ki rim jhim kahin bakshish ke ghata hai .!

 

Ilhaam ki rim jhim kahin bakshish ke ghata hai
 ye dik ka nagar hai k madinay ki fiza hai

rag rag ne sameti hai tere naam ki faryad
 jab jab bhe pareshan mujhay duniya ne kiya hai

suraj ko ubharnay nhin deta tera habshi
 be zar ko abu-zar teri bakshish ne kiya hai

saqlain ke qismat teri dehleez ka sadqa
 Aalam ka muqadar tere hathon me likha hai

Ay gumbad-e-khizra k makeen meri madad kar
ye phir yeh bata kon mera tere siwa hai

bakshish teri ankhon ki taraf dekh rahi hai
'Imran' tere darbar main chup chap khara hai



Leta hon tera naam tu ulaj jata hon sanso'on se

Leta hon tera naam tu ulaj jata hon sanso'on se

smjh nahi ata zindagi sanso se hai ya tere naam se

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...