Meray sabar ka na lay intihaan
Meri khamoshi ko sadaa na day
Jo teray bin jee na sakay
Ussay jeenay ki dua na day
Meray jisam-o-jaan ka yeh faasala
Kahin waqat aur barhaa na day
Tujhay bhool kar na bhula sakoon
Tujhay chah kar bhi na paa sakoon
Meri hasraton ko shumaar kar
Meri chahaton ka sila na day
Woh tarap jo shoola-e-jaan main thi
Meray tan badan se lipat gayi
Jo bhujha sakay to bhuja issay
Na bhujha sakay to hawa na day
Tujhay gar milay kabhi furstain
To meri shaam phir se sanwaar day
Gar qatal karna hai to qatal kar youn
Par judaiyon ki saza na day