Jun 8, 2014

Shab wohi Lakin sitara aur hai

Shab wohi Lakin sitara aur hai 
Ab safar ka ista'ara aur hai 

Moj kay murrnay main kitni dair hai
Nayo daali aur dhara aur hai 

Sukh ky mousam ungliyon pe gin liye
Fasl-e-gham ka goshawara aur hai 

Dair se palkain nahin jhapakti meri 
tesh-e-jaan ab ky nizara aur hai 

Aur kuch pal us ka rasta dekh loon 
Asmaan par ik sitara aur hai 

Sath to mera zameen deti magar
Asmaan ka her ishaara aur hai

Be'basi aakhri hadon par hai


Be'basi aakhri hadon par hai 
Zindagi aakhri hadoon  par hai

Janay ab dil ka kiya banay yaroo
Be'kli aakhri hadon par hai 

Sang honay main koi dair nahin 
Be'hissi aakhri hadon par hai 

Roshni loatney wali hai 
tairagi akhri hadoon par hai 

Is se barh ky kiya karay farhat 
Mout bhi aakhri hadoon par hai

Sochti hoon tujhay ab ky baras kiya bhaigon


Sochti hoon tujhay ab ky baras kiya bhaigon 
Jaan bhaigon tujhay yeh dil ka dhrakna bhaigon

Maang loon apney khuda se koi lamha aisa
Jis pe tu aa keh ther jaye woh rasta bhaigon 

Sakhat sardi main mohabbat ki samoo doon garmi 
Aur garma main khunk Mousam -e-aasa bhaigon 

Chaand raton ka fasoo ab ky teray naam likhon 
Din ki hiddat ky liye shajar ghana sa bhaigon 

Tashnagi ab keh baras tujh se bhout door rahay
Pyaas umron ki bujha de woh maseeha bhaigon 


Tu chalay gar to chiragaan sitaray sath chalay 
Dil se jo nikli dua us ka khazana bhaigon 

Umri khwaish keh bahaar aa ke teray ghar main rahay 
Aur barsaat main rim jhim ka sandesaa bhaigon 

Kaash koi aisi kramat ho meray meray paas keh main 
Door tak mousam-e-gul na ho main tujhay guncha bhaigon 

gul-e-zubaan py wohi sardiyon ka mousam hai


gul-e-zubaan py wohi sardiyon ka mousam hai 
Tumharay haan py wohi sardiyon ka mousam hai 

Drakhat pe kabhi jo Chooriyon se dala tha 
us aik nishaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Yeh aik hum keh nayi boliyaan sada bolain 
Teray zabat pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Sulag rahay hain dehaan main qabaein lafzon ki 
Meray zubaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Her ik simat pighlaney lagay hain snatay 
Teray biyaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Jahan jahan teri kushboo ky rang bikhray hain 
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Teri judai kay pal say hua hai askh kanoot
Keh is jahan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Woh haan karay gi baharon main us ka wada tha 
Us  aik haan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Woh mujh ko somp gaya fraq'tein december main 
Drakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Hamaray lab to dhuwan jalaye rakhtay hain 
Par asmaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Tera hijar mera naseeb hai tera gham hi meri hayat hai


Tera hijar mera naseeb hai tera gham hi meri hayat hai 
Mujhay tero doori ka gham ho kyn to kabhi bhi meray sath hai

Meray wastay teray naam par koi harf aya nahin nahin 
Mujhay khauf-e-duniya nahin Magar meray ru'baru teri zaat hai 

Tera wasal aye meri dilruba nahin meri qismat to kiya hau 
Meri maah'jabeen yehi kaam hai kiya teri hasraton ka to sath hai

Tera ishq mujh pe hai mehrbaan meray dil ko hasil hai do jahan 
Meri jaan-e-jaan isi baat par meri jaan jaye to baat hai

Ishq karo to yeh bhi socho Arz-e-sawaal se pehlay

Ishq karo to yeh bhi socho Arz-e-sawaal se pehlay
Hijar ki poori raat aadhi hai Subh-e-wisaal se pehlay

Dil ka kiya hai Dil ne kitnay manzar dekhaye hain lakin
Aankhain pagal ho jati hain Aik khyal se pehlay

Kaar-e-mohabbat aik safar hai is main aa jata hai
Aik zawaal asar se raasta baab-e-kamaal se pehlay

Kis ne rait urai shab main aankhain khol ky rakain
Koi aik misaal to do na , us ki misaal se pehlay

Ishq main raisham jaisay waday aur khabon ka rasta
Jitna mumkin ho teh kar lain Gard-e-malaal se pehlay

Teri umeed tera intizaar jab se hai


Teri umeed tera intizaar jab se hai 
Na shab ko din se shkayat na din ko shab se hai

Kisi ka dard ho karta hai tera naam raqam
Gila hai jo bhi kisi se teray sabab se hai 

Hua hai jab se dil-e-nasabur be'qabu
Klaam tujh se nazar ko badi adab se hai

Agar shrar hai to barh kay jo phool hai to khil a
Tarah tarah ki talab teray rang-e-lab se hai 

Kahan gaye shab-e-furqat ka jaagney wala
Sitara-e-sehar hum klaam kab se hai

Meray naseeb ka yeh almiya bhi kaisa hai

Meray naseeb ka yeh almiya bhi kaisa hai 
Keh jis se pyaar karo ajnabi nikalta hai 

Kahin se shaam utarti hai  , kahin se din yeh charhta hai
Kahan se roz yeh suraj bhala ugalta hai 

Koi to ho kahoon yah mera sathi hai 
Meray mizaaj ki sab uljhanain samjh ta hai 

Kisi ka gham hi to karta hai kho'kla is ko 
Shajar wajood ka aisay to kab ujarta hai 

Milay kushi bhi agar yeh to kush nahin  hota 
Milay ho zakham to yeh dil bara chhikta hai

Woh jis ne beech bhanwar main akela chora tha 
Yeh dil aaj bhi is kay liye mach'chalta hai

Hamhi se door woh rehta hai dushman-e-jaan 
Wagarn abaat sabhi se woh hans kar karta hai 

Kiya tha tu ne kabhi jis main aaitraaf-e-wafa
Woh khat to main ne aaj bhi sambhaal rakha hai 

Hajoom sath ho phir bhi woh khoya rehta hai 
Suna hai shaher main Mojood sa ik tanha hai 

Koi ghazal suna kar kaya karna


Koi ghazal suna kar kaya karna 
Youn baat barha kar kya karna 

Tum meray thay tum meray ho
Duniya ko bata kar kiya karna 

Tum ehad nibayo chahat se 
Koi rasam nibha kar kiya karna 

Tum khafa bhi achay lagtay ho 
Phir tum ko mana kar kiya karna 

Teray dar pe aa kay baithay hain 
Ab ghar bhi jaa kay kya karna 

Din yaad se acha guzray ga 
Phir tum ko bula kar kya karna

Her shaam tum se milnay ki aadat si ho gayi


Her shaam tum se milnay ki aadat si ho gayi 
Phir rafta rafta tum sy mohabbat si ho gayi

Shayed yeh taza si judai ka tha asar 
Her shakal bas kuch teri surat si ho gayi

Ik naam jhil'milanay laga dil ky taar par
Ek yaad haisay baaise raahat si ho gayi

Khud ko saja sanwaar kar rakhnay ka shouq tha 
Phir apnay aap se mujhay nafrat si ho gayi

Main ne kuch biyaan safaai main nahin diya 
Bas chup raha to khud hi wzahat si ho gayi 

Ek ajab si be'tabi reh gayi us ky janay kay baad


Ek ajab si be'tabi reh gayi us kay janay kay baad 
Bheer main bhi tanhai reh gayi us ky janay kay baad

Bhala bura jaisa bhi kaha us ne phir kabhi 
Uski khwaish reh gayi us kay janay kay baad

Kuch bhi tha meray chaharay ki ronqain thein us se bar'qarar 
Ab kuch nahin baqi us kay janay kay baad

Meri duniya mujh main simat kar reh gayein hain 
Hoon main bhout tanha us kay jaanay kay baad 

Zindagi main kushiyaan jin ki tallab mujhay rahi sari umar 
Ab ujar gayi hain sab umang'gain us ke janay kay baad 

Khud se karon shikwa ya apnay naseeb se
MAin to jaisay bikhar gaya hoon us ky janay kay baad

Dhokha kahon ya be'wafai ka naam doon main 
Kuch bhi kar loon ho gaya hoon ruswa bhout us kay janay kay baad 

Ehad kiya tha main ussay bhula doon ga us ky janay kay baad 
Woh aur hi ziada yaad ayi jab kiya irada us ko bhulanay ka us kay janay kay baad 

Paana bhout kuch chahata hoon magar


Paana bhout kuch chahata hoon magar 
Bas aj khud ko kahin khoney do

Karnay ko batain hain bhout magar
Bas aaj mujhay chup honay do

Jhin'jhor dia hai aaj zindagi ne itna 
Yeh toofan shaant honay do

APnay hi jeevan ki raahon main kaantay 
Apnay hi hathon phir bonay do

Phir se bachpan jeen ahai mujh ko 
Koi meray woh tootay khilonay do

Tootay huye khabon ko samiton to kaisay 
Mujhay naya kuch swapan salonay do

Pyaar to khud se bhout kiya hai 
Aaj khud se nafrat bhi honay do

Inaan tha shayed , yeh kiya ban gaya 
Kuch dair to is ka ehsaan to hanay do

Sapnay dekhnay hain phir se mujhay 
Kuch dair kay liye bas sonay do

Jeena main bhi chahta hoon shayed 
Aaj magar mujhay ronay do

Kya sarokaar ab kisi se mujhay


Kya sarokaar ab kisi se mujhay 
Wasta tha to tha tujhi se mujhay

Be'hisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kiya hua teri be'rukhi se mujhay 

Mout ki arzoo bhi kar dekhon 
Kiya umeedain thein zindagi se mujhay

Phir kisi par na aitabaar aya
Youn utarao na apnay jee se mujhay

Tera gham bhi na ho to kiya jeena
Kuch tasali hai dard hi se mujhay

Kar haya kis qadar tabbah 
Dushman , Andaaz-e-dosti se mujhay


Tujhay bhoolnay ki koshish main


Tujhay bhoolnay ki koshish main 
Jab dil yeh zid pe aa gaya
Main aankh moond ky baith gayi
Tu khyaal pe phir chaa gaya
Yeh dharkhan kahin ruk jaye na 
Meri nabaz tehar na jaye kahin 
Tu ne waqat kiya mera lamha lamha
Magar mout ko asaan bana gayi
Meri her dallel ko kiya unsuni
Meri fariyaad bhi to suni nahin 
Main hairaan hoon , Haan kuch parishaan hoon 
Aisa faisala to mujhay suna gayi
Mujhay chaand ki kabhi talab na thi 
Mujhay suraj ki bhi fikar na thi 
Bas aankh kholna hi chahtay thay hum 
Magar tu roshni hi bujha gayi
Be'shak bhoolna tujhay chaha bhout
Hans kar kabhi , Ro kar kabhi
De kar yeh aanso'on ki soghat mujhay 
Tu daman apn abacha gaya

Tujhay izhaar-e-mohabbat se agar nafrat thi


Tujhay izhaar-e-mohabbat se agar nafrat thi
Tu ne honton ko larazney se to roka hota 

Be'niazi se magar kaampti awaaz ky sath 
Tu ne ghabra ky mera naam na poocha hota

Teray bus main thi agar Mishal-e-jazbaat ki kau 
 Teray ruksaar main gulzaar na bharka hota 

Youn to hawaein Mujh se bas Aa-o-hawa ki batein 
APnay tootay huye fiqron ko to parkha hota

Youn hi be'waja hi thakney ki zaroorat kiya thi
Dm-e-ruksat agar kuch yaad aya na hota

tera ghamaaz bana jo tera andaaz-e-juram 
Dil nahin sambhla tha to qadmon ko sambhala hota

Apnay badlay meri tasveer nazar aa jati 
Tu ne us waqat agar aaina dekha hota

Hosla tujh main na tha mujh se juda honay ka 
Warna kajal teri aankhon main na phaila hota

Mujhay kitnay hi barson se agarcha janta hai woh


Mujhay kitnay hi barson se agarcha janta hai woh
Yeh kaisa zulam hai keh ajnabi gardanta hai woh

Meray hathon ne jis ko chaand jaisa roop bakhsha tha
Mujhay tareek lamhon main kahan pehchanta hai woh

Magar phir bhu ussay apna bananay ky gumaan main hoon
Mujhay maloom hai keh kab kisi ki manta hai woh

Sahara mangta hai sirf tanhi ky lamhon main
Mohabbaton ka ta'aluq kab kisi se barhata hai woh

Main is duniya ky her ik jabar ko phir bhool jata hoon
JAb apnay qurb semeray din ko dhampay hai woh 

Mera dil chahta hai us ko seenay se laga loon main 
Rida-e-gham ko apni rooh pe tannta hai woh

Mujhay jab dukh milain tu kis qadar kushiyaan manata hai 
Chalo wasiq kisi tarah to manta hai hay woh

Meray paas dard-e-dil ky siwa kuch bhi nahin


Meray paas dard-e-dil ky siwa kuch bhi nahin 
Rakh sakon in zakhmon pe marham 
aisi dawa kuch bhi nahin 
Mujh se na kr phoolon ki umeed 
Meray daman main kanton ky siwa kuch bhi nahin 
Na kar shikwa meri tanhai ka kbahi 
Meray paas gham-e-judai ky siwa kuch bhi nahin 
Tu rahay hamesha ujalon main sanam 
Meri zindagi main andheron ky siwa kuch bhi nahin 
Kyon karon main ab tujh se wafa ae zalim 
Teray paas be'wafai ky siwa kuch bhi nahin 
Ab to na ayein gy teri mehfil main kabhi
Teray paas meray liye ruswai ky saiwa kuch bhi nahin 
Tu ne na jana meray pyaar ko kabhi 
Teray seenay main pathar dil ky siwa kuch bhi nahin 
Kiy acheer ky bataon main apn adil tujh ko
Meray dil main teray zakhmon ky siwa kuch bhi nahin 
Ab aur na jala khud ko Ae imran us kay liye
Woh to be'wafa hai us kay pyaar main tujhay hasil
Kuch bhi nahin

Teri tarah mal'lal mujhay bhi nahin raha


Teri tarah mal'lal mujhay bhi nahin raha
Ja ab tera khyal mujhay bhi nahin raha

Tu ne bhi mousamon ki paziraai chor di
Ab shouq-e-maah-e-wisaal mujhay bhi nahin raha

Mera jawaab kiya tha tujh bhi khabar nahin 
Yaad ab tera sawaal mujhay bhi nahin 

Jis baat ka khyaal n atu ne kabhi kiya 
Us baat ka khyal mujhay bhi nahin raha

Tora hai jab se tu ne meray dil aaina 
Andeza-o-jamaal mujhay bhi nahin raha

Naam lay lay keh na meray shaher ki nazar main aa


Mujh se milna hai to 

Naam lay lay keh na meray shaher ki nazar main aa
Mujh se milna hai to meray dil ky sehra'on main aa

Is safar main dekh ghul jata hai matti ka badan 
Mujh se milnay ki na khwaish kar na barsaton main aa

Log tujh ko gun'gunaein meri khwaish ki tarah 
Ik achootay shair ki surat meri ghazlon main aa

Be'hunar logon ne phir manga  meray fun ka saboot
Aa meri sachai ki kushboo meray lafzon main aa

Ghar ky darwaze pe aa kar kyun qadam ruknay lagay 
Aa meri tanhai , meri muntazir banhon main aa

Her taraf gham-e-hijraan ky toofan hain saqi


Her taraf gham-e-hijraan ky toofan hain saqi
Mat pooch keh hum kitnay parishaan hain saqi

Her chahera nazar ata hai tasveer ki surat 
Hum shaher ky logon se bhi anjaan hai saqi

Jis shahaer-e-mohabbat ne hamain loot liya hai 
Us shaher se ab kooch ky samaan hain saqi

Kashti abhi umeed ki doobi to nahin hai 
Phir kyon teri aankhon main yeh toofan hain saqi

Gar un ka adab , rakh inhain seenay se laga kar 
Yeh dard , yeh tanhayan , mehmaan hain saqi

Meri mout ki hasrat kiyon hai


Meri mout ki hasrat kiyon hai

Aakhir itni nafrat kiyon hai 

Tum ne bola tha mar jana 

Mar janay pe hairat kiyon hai 

Itn ato samjha do jana 

Itni pyaar main wehshat kiyon hai 

Tum jano gy tanha ho kar 

Ghma main itni lazat kiyon hai 

Mera naam bhi phoolon jaisa 

Phir phoolon se chahat kiyon hai 

Zarra tum se pooch araha hai 

Tum ko sab se ulfat kiyon hai

Mohabbat chor di hum ne


Yeh tum se keh diya kis ne
Keh tum bin reh saktay nahin hum 
Yeh dukh hum seh nahin saktay 
Chalo hum maan letay hain 
Keh tum bin hum bhout roye
Keh raton ko na soye
Magar afsos hai jana 
Keh agar ab ky tum jo loat ky ayo gy
Hamain badla hua pa'o gay
Bhout mayoose ho gy tum 
Keh agar poochna chayo keh 
Aisa kyon kiya hum ne
to sun lo ghour se jana 
Purani aik aadat se tang aa kar chor dia hum ne
Mohabbat chor di hum ne

Ab jo rotho gy haar jayo gy


Ab jo rotho gy haar jayo gy

Hum mananay ky gur , bhula baithay

Ussay kehna ke loat aye sulagti shamon se pehlay


Ussay kehna ke loat aye sulagti shamon se pehlay 

Kisi ki muntazir aankhon main sada'ein raqas karti hain

Qatal pe aitbaar kiya hai kabhi kabhi


Qatal pe aitbaar kiya hai kabhi kabhi 

Youn khud ko be'qaraar kiya hai kabhi kabhi 

Yadon ky phool sookh najayein isi liye

Aankhon ko ashk'baar kiya hai kabhi kabhi 

APnay chraagh auron ky gham main jala diye

Youn roshni se pyaar kiya hai kabhi kabhi 

Hum se junoon-e-ishq ka aalam na poochiye

Apna hi intizaar kiya hai kabhi kabhi

Meray maseeha , khabar bhi lo ab






Meray maseeha  , khabar bhi lo ab !

Mata-e-jaan hai keh lut rahi hai !

Woh aik baat bhout talkh kahi thi us ne


Woh aik baat bhout talkh kahi thi us ne 

Baat to yaad nahin ! yaad hai lehja us ka

Zakhmi hai ham'raah bhi magar woh dawa nahin karti


Zakhmi hai ham'raah bhi magar woh dawa nahin karti
Mohsin hai zindagi magar dawa nahin karti

Main kon hoon kiy ahoon yeh janti to hoon 
Lakin main kisi cheez ka dawa nahin karti 

Main shola ro bhi hoon , aur kuch shola khoo bhi 
Lakin main koi jalaney ka dawa nahin karti 

Pholon ki koi kali hoon , na koi chaand ki kiran 
Lakin main kho ky honay ka dawa nahin karti

Kartay hain aitraaf-e-mohabbat woh kis jafa ky sath 
Sab ilam hai magar jananay ka dawa nahin karti 

Detay hain jaan woh meri sadgi pe kyoun 
Main harf-e-sada honay ka dawa nahin karti 

Likhto ho tum khoob kehtay hain dost log 
lakin hum tu us ka bhi dawa nahin karti 

Woh meray dil ki manzal tha to meray rastay jee leta


Woh meray dil ki manzal tha to meray rastay jee leta 
Mujhay pyaar ka amrat de deta phir jeena mera jee leta

Main manind-e-shamma pighal jati , woh parwana sa na bhi jalta
Itna to sath hi de deta , in aankhon ky dard pee leta 

Main koi amawas ki shab na thi mujha main diaye si loo bhi thi
Bas main andar se tanha thi , meri tanhai woh jee leta 

Main mann hi mann ghul jati , kuch na kehti par woh samjh leta 
Meri rooh ky her aik ghayo ko woh bin mangay hi si leta 

Main dewani bas us ki thi , aur dil ki ik tamana thi 
Woh koi sadhoo, sodai na tha , Woh meray rang to jee leta 

Main doobi rahi chup ky sagar main woh pass aa kar chala bhi gaya
Meray zabat ko woh samjh leta , phir so judaiyan  jee leta

Hum apnay aasmano pe rehtay hain


Hum apnay aasmano pe rehtay hain 
Tum apnay aasman kay suraj 
Hum apnay aasman kay chand 
Kuch hum apnay madaar se nahin hat'tay 
Kuch tum apni had se nahin nikaltay 
Sadiyan lamhay ban kar urti hain 
Lamhay dhund ban kar chatay hain 
LAkin hum ne yeh nahin socha kabhi 
Chand aur suraj ka bhala 
Kabhi milan bhi hota hai ?
Tabhi "Wapsi zaroori hai "

wapsi zaroori hai


Hum apney asmano pe rehtay hain 

Tum apnay asmaan ky suraj

Hum apnay asmaan ky chaand

Kuch hum apnay madaar se hat'tay nahin 

Kuch tum apni had se nikaltay ho 

Sadiyaan lamhay ban kar urti hain 

Lamhay dhund ban ky cha'tay hain 

Lakin hum ne yeh nahin socha kabhi 

Chaand aur suraj ka bhala 

Kabhi milan bhi hota hai 

Tabhi ' wapsi zaroori hai 


Barishon ky mousam main waqat kay andheron main


Barishon kay mousam main 
Waqat kay andheron main 
Main ne us se poocha tha 
Chor to na jao gay ?
Haath thaam kar us ne 
Kaan main bola tha 
Kaisay chor sakta hoon ?
Aur aaj aisa hai ...?
Waqat ki tamazat main 
Wehshaton kay mousam main 
Main ne us se poocha tha 
Chor kar jana tha ?
Muskurati galiyon main 
Aas kiyon dilaai thi ?
Pyas kiyon jagaai thi ?
Meray in sawalon par 
Chaltay chaltay woh bola 
Mousamon kay khel main sab 
Jo badaltay rehtay hain

Apni sochon ko tehreer main laney se pehlay


Apni sochon ko tehreer main laney se pehlay
main kiya thi is manzal tak aanay se pehlay

KAbhi khwabon ko taraptay huye jo dekha to
Neend hi urr gayi hosh main anay se pehlay 

Kuch is tarah se baharon se nibha rakhi hai 
Kaliyaan sab noch dein khizaan ky anay se pehlay 

Hua hai waqat bhi aandhiyon ka hamsafar aisay 
Tinkay bikhair diye ashiyaan ko bananay se pehlay 

Wafa kamaal ki thi hum main keh teri yaad ko woh 
Kho chuki thi teray shaher main anay se pehlay

Badalti ruton kay mousam main


Badalti ruton kay mousam main 
Kushbo'on kay aangan main 
Lamha lamha bheegti yeh raat 
keh rahi hai afsana 
Dil se dil kay mousam ka 
ik rishta ulfat ka 
Ik risaee qurbat ki 
Ru'baru ishq kay hai hussan 
Rashk-e-hoor gar hai hussan
Tu ishq hai bas yousaf
Ghalbann in sab se ghafil 
Ik cham'makta hua koi jugnoo
Ik kush'rang titli se
Kisi bhanwaray ki dil-lagi ki koi
Dastaan sun ke chup baitha tha
Lamha lamha bheegti yeh raat

Daagh-e-dil youn qalam main bharay keh chalni ho gaya kaaghaz


Keh chalni ho gaya kaaghaz

Daagh-e-dil youn qalam main bharay keh chalni ho gaya kaaghaz
Harfon main aisi be'hissi keh chalni ho gaya kaaghaz

Baray dino se kuch likhney ki naa'kaam saee main 
Kuch ablay youn phootay keh chalni ho gaya kaaghaz

Is daastan-e-zindagi main hain kuch safar-e-raigaan 
Kuch qaflay youn chootay keh chalni ho gaya kaaghaz

Dil se nazuk shai hai jo thokron pe hai 
Kuch zakhmon si tehreerain hain keh chalni ho gaya kaaghaz

Naam-e-nami gul , aur phir woh bhi gul-e-ra'ana 
Kaantay hain sath us ky youn keh chalni ho gaya kaaghaz

Ae meri palko jhuki hi rehna


Ae meri palko ! jhuki hi rehna 

Kahin pe koi jaan na ly 

Woh aks jo in main aa chup ahai 

Ufaq se poocho 

Yeh hai shafaq ya keh 

Us ne mera bhaid pa liya hai

Youn loat ayo keh ek baar phir se mera dil


Youn loat ayo keh ek baar phir se mera dil 
tumharay sath ki kushboo se kuch is tarah mehkay
Keh jaisay raat ki rani ki dheemi naram kushboo se
Khwaab lamhon main ik khumaar ik nasha behkay 

Youn loat ayo keh ik baar phir se mera wajood 
tumharay sath ky rangon main kuch is tarah rangay 
keh jaisay raat main phailay sagar ki koi tarapti lehar 
haseen chaand ki naram main behkay 

Youn loat ayo keh ik baar phir se mera ehsaas 
Tumharay sath ky naghmon ky sehar main doobay 
Keh jaisay madhur sargoshi ka koi khoya hua saaz
apnay sur'ron ky jal'tarang se khud hi lehkay 

Youn loat ayo keh ek baar phir se mera jeevan 
Tumharay sath ki naram loa se youn chamkay 
keh jaisay kohi hui titli ky udaas jeewan main 
Kahin se aas ka ek jugnoo sitara sa chamkay

Youn loat aao ik baar phir huma kay rang 
tumharay sath ky haseen palon se youn munawar hon 
KEh jaisay shaam ky asmaan pe phaili hui shafaq 
Zameen-o-aftaab ky milan se sharma kay damkay

Mujhay tum se koi gila nahin


Mujhay tum se koi gila nahin

Mujhay tum se koi gila nahin
Yeh dard tum se to milan hain
Meri zindagi ka hai yeh almiya
Jo silay , woah zakham milay nahin

Mujhay yaad hain woh sitam bhi
Woh gham abhi woh karam sabhi
Jin se mujh ko tum ne nawaaz diya
Aur woh jo kabhi tum se mila nahin

Mujhay chaon main bhi tapish mili
Mujhay phool se bhi chubhan mili 
Mujhay doston ne hi gham diye
Mujhay dosron se koi gil anahin 

Main mohabbaton ki ameen thi 
To chahaton ko palney diya
Mujhay kiya mila hai jawaab main 
Yeh naseeb hai , koi sila nahin 

Meri tarz-e-gufat ka hai yeh sila
Keh dost bana jo ajnabi mila 
Magar us ki bhi baat kiya karon  biyaan 
Woh jo dost mujh ko mila nahin 

MAin gul-o-bahar ki aseer hoon 
Main kushboo'on ki hoon dewani 
MAin luti to mousam-e-bahar main 
Mujhay khizaan se koi gila nahin 

Meri baat ki had hay bas tahi huma 
Jo tha dil main woh kar diya biyaan 
Sad shukar keh meray ehsaas ko 
Khud mujh se koi gila nahin 

Apni ruswai teray naam ka charcha dekhon


Apni ruswai teray naam ka charcha dekhon 
Ik zara shair kahon aur main kiya kiya dekhon 

Neend aajaye to kiya mehfalein barpa dekhon 
Aankh khul jaye to tanhai ka sehra dekhon 

Shaam ho gai dhund la gayi aankhain meri
Bhoolney wale main kab tak tera rasta dekhon 

Tu mera kuch nahin lagat hai magar jaan-e-hayaat 
Janey kyn teray liye dil ko dhar'rakta dekhon 

Band kar ky meri aankhain woh shrarat se hansay 
Boojhay janey ka main her roz tamasha dekhon 

Mujh pe cha jaye woh barsaat ki kushboo ki tarah 
Ang ang apna usi rut main mehkata dekhon

Aankhon main jal raha hai kyon bujhta nahin dhu'an


Aankhon main jal raha hai kyon bujhta nahin dhu'an 

Uth'ta to hai ghta sa , brasta nahin dhu'an 

Choolhay nahin jalay hain ya basti hi jal gayi

Kuch roz ho gaye hain ab uth'ta nahin dhu'an 

Aankhon se poonchanay pe laga aanch ka pata

Youn chahera phair lenay se  , chupta nahin dhu'an 

Aankhon se aanso'on ky mrasam puranay hain 

Mehmaan yeh gham main ayein to Chupta nahin dhuan

Aaj bhi waisa hi mousam hai


Aaj bhi waisa hi mousam hai 

Aaj bhi waisay hi badal hain 

AAj bhi waisi hi barish hai

JAb hum pehli baar milay thay

Yaad hai hum ne yeh socha tha 

Hum ko multay dekh ky mousam

Itna kush hai , itna kush hai keh

Us ki aankhain bheeg gayi hain 

Aaj mgar hum jaan gaye hain 

Mousam us din kyon roya tha

Mohabbat Hadsa hai


Mohabbat hadsa hai 

Mohabbat hadsa hai
Hadsay se bach nikalney ki
Koi tadbeer kar lo is se pehlay khwaab ho jayo
Jissay hum hadsa kehtay hain 
Jeevan ko ghari bhar main 
Mitta kar khaak karta hai 
Koi ilzaam dharta hai 
KAbhi mazoorion ky jaal main qaidi
BAna ky chor deta hai
Yeh bandhan tor deta hai
Mohabbat hadsa hai 
Hadsay se bach nikalney ki koi tadbeer kar lo 
Is se pehlay khwaab ho jao

Na koi soch lafaz banti hai


Na koi soch lafaz banti hai
koi khwaab yaad rehta hai
Na koi baat guzaray waqton ki 
Dil ko dheeray se gud'gudati hai 
Na mohabbat sujhai deti hai
Na mohabbat dekhai deti hai 
Na mohabbat sunai deti hai
Na koi ashk dil main girta hai
Na koi dard muskurata hai 
Aur judai ki her azieat bhi 
Ik kitabi si baat lagti hai
Ik ajab si be'kali si rehti hai
Dil ki baton main dil nahin lagta 
Shaam ka lams kuch nahin kehta
Chaand raton main dil nahin lagta
Qisa-e-wasal nahin likhtay
Hijar ki baat keh nahin saktay 
Ishq se door ho nahin saktay
Ishq ky sath reh nahin saktay
Is tarah be'basi ky aalam main 
Sach kahon main to aisay mousam main 
Khaas chahera bhi aam lagta hai
Shair kehna bhi kaam lagta hai

Her ghari achi aas rakha kar


Her ghari achi aas rakha kar 

Achi yadon lo pass rakha kar

Dil mera doob doob jata hai 

Youn na aankhain udaas rakha kar
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...