Feb 23, 2015

Mujh ko yeh hi nahin maloom kahan rehta hai


Mujh ko yeh hi nahin maloom kahan rehta hai 
Jo keh chalti huwi saanson main rawaan rehta hai 

Youn to her tarah se veeran hai dil ki basti 
Bin bataye hi magar koi yahan rehta hai 

Ab kisi raat main jalta nahin koi chragh 
Shaam se bas usi ki yaadon ka dhuwan rehta hai 

Koi do din ko jo ho jata hai mehmaan dil main 
Woh chala jaye to phir us ka nishaan rehta hai 

Aks us ka nazar aata hai her ik cheez main Mohsin 
Raat din bas us ka hi gumaan rehta hai

Teri khushboo meri saanson main basanay aaye


Teri khushboo meri saanson main basanay aaye 
Dil ki duniya main bahaaron kay zamanay aaye 

YEh Aalag baat hai keh tabeer na dy saath mera 
Khwaab to jitnay bhi aaye woh sohaanay aaye 

Woh hai maghroor magar pyaar se majboor bhi 
Khud hi naraz karay khud hi manaa'ny aaye 

Kiyon taras aaya hai ussay meri tanhai par 
Woh mujhay meri nazar se na giraanay aaye 

Woh bataye na mujhay apnay bicharnay ka sabab 
US se keh do woh mera dil na jalaanay aaye 

Pyaar kya hota hai an tak mujhay maloom na tha 
Chott khai to meray hosh thikanay aaye 

Jo mera dil bhi saja dy meray chehray pe Qateel 
Woh musawer meri tasveer banaanay aaye

Ab mohabbat ki wakalat nahin ki jaa sakti


Ab mohabbat ki wakalat nahin ki jaa sakti 
Shaher bhar se to adawat nahin ki jaa sakti 

Mera chehra , meri Aankhein hain salamat ab bhi 
Kon kehta hai wazahat  nahin ki jaa sakti 

Baat yeh hai keh toot kay chahye to sahi 
Her kisi se to mohabbat nahin ki jaa sakti 

Aankh kehti hai kahin aur chalay jayein hum 
Dil yeh kehta hai keh hijrat nahin ki jaa sakti 

Loh-e-dil par yeh hi tehreer likhi hai Mohsin 
Ishq walon ko Naseehat nahin ki jaa sakti

Shamma jalti hai jis aag main nu'maish ki khatar


Garmi-e-hasrat-e-na'kaam se jal jatay hain 
Hum chraghon ki tarah shaam se jal jatay hain 

Shamma jalti hai jis aag main nu'maish ki khatar 
Hum usi aag main Gum'naam se jal jatay hain 

Khud'numaai to nahin shaiwa-e-Arbaab-e-wafa 
Jin ko jalna ho woh armaan se jal jatay hain 

Bach nikaltay hain agar Aatish-e-sayaal se hum 
Shola-e-Aariz-e-gul'faam se jal jatay hain 

Jab bhi aata hai mera naam teray naam kay saath
Na janay kiyon log meray naam se jal jatay hain

Kaash khushboo ki tarah dard bhi hijrat kartay


Laakh pinjray ki shab-o-roz hifaazat kartay 
Panchi urr jatay agar hum na mohabbat kartay 

Qaaflay raah main qadmon kay nishaan chor gaye 
Kaash khushboo ki tarah dard bhi hijrat kartay

woh jo jazbaat ki hurmat se hi na waqif hain 
KAisay mumkin tha keh woh pyaar ki Izzat kartay 

Mil bhi sakti thi hamain us se rafaqat lakin 
Hum baray shaher main kis se adawat kartay

Woh na milein to kya huwa yeh Aashqui hai hawas nahin


Woh na milein to kya huwa yeh Aashqui hai hawas nahin 

Main usi ka tha Main usi ka hoon woh mera nahin to na sahi

Muskura kar dekho to sara jahan haseen ho jata hai


Muskura kar dekho to sara jahan haseen ho jata hai 

Warna bheegi aankhon se to Aaina dhundla nazar aata hai

Meri zindagi ki kitab tu


Meri zindagi ki kitab tu 

Meray her sawal ka jawab tu 

MAin tumhain parhon tamaam umar 

Meri hayat ka nisaab tu 

Meri her dua teray liye 

Meri ibtadaon ka sawaab tu 

MAin sara din tujh main magan 

Meri her raat ka khwaab tu 

Likhon aur kya main teri zaat par 

Meri zindagi meri zaat tu 

Meri sari kainaat tu

Narm seenay main dharaktay hain woh nazuk lamhaat


Narm seenay main dharaktay hain woh nazuk lamhaat 
Jin ki lehron main utar janay ko jee chahta hai 

Tum se mera rishta kiyon hai , kab se hai maloom nahin 
PAr is husan pe mar janay ko jee chahata hai 

Surkh honton tha'rakti hai woh rangeen sharaab
Jis ko pe pe kay bheeg janay ko jee chahata hai 

Sang-e-mar'mar se taraasha hua shafaaf badan 
Itrna dil'kash hai keh apna'nay ko jee chahat ahai 

Jee to yeh chahat ahai keh so jayein teri baanhon main 
Aur phir inhi baanhon main mar janay ko jee chahat hai

Ishq ki raah pe chaltay chaltay shaam ho gayi


Ishq ki raah pe chaltay chaltay shaam ho gayi 
Tu na mila tujhay dhoondtay dhoondtay sham ho gayi 

Jab sakon mila dil ko tera khayal aaya 
Tasawur main tujhay laaya aur sochtay sochtay shaam ho gayi 

Kitni muddat kay baad baithay hain us ki mehfil main 
Bas aaj ussay dekhtay dekhtay shaam ho gayi 

Tu na mila teri yaadein meray paas hain 
Teri un yaadon ko pyaar kartay kartay sham ho gayi 

Tu mera hamsafar hai lakin meray saath to nahin 
Bas itna sochtay sochtay shaam ho gayi 

Woh keh kay chalay itni mulaqaat bhout hai


Woh keh kay chalay itni mulaqaat bhout hai 

MAin ne kaha ruk jaao abhi raat bhout hai 

Aansoo meray tham jayein to phir shouq se jana 

Aisay main kahan jaao gi barsaat bhout hai 

Woh kehnay lagi jana mera bhout zaroori hai 

Nahin chahti dil toron tera par majburi hai 

Gar hui ho koi khata to maaf kar dena 

Main ne kaha ho jaao chup itni kahi baat bhout hai 

Samjh gaya hoon sab aur kuch kaho zaroori nahin 

BAs aaj ki raat ruk jaao , jana itna bhi zaroori nahin hai 

Phir kabhi na aayon ga tumhari zindagi main loat kar 

Saari zindagi tanhai kay liye , aaj ki raat bhout hai

Raat baitha tha meray paas khayalon main koi


Raat baitha tha meray paas khayalon main koi 

Ungliyan phair raha tha meray baalon main koi 

Deeda-e-tar ne bari dair main pehchaana ussay 

Roop kho baitha hai do chaar hi saalon main koi 

Gham'zada shab ki galo'gar hawa kehta hai 

Yaad karta hai mujhay jagnay walon main koi

Mat pooch keh teray hijar main yeh din aur raat


Mat pooch keh teray hijar main yeh din aur raat 

Guzar to jaatay hain magar guzaaray nahin jaatay

Rasm-e-mohabbat zara sarkar nibha kar sona


Rasm-e-mohabbat zara sarkar nibha kar sona 
Meri tasveer ko seenay se laga kar sona 

Mar'mari  baanhain dukh na jayein karwat lenay main 
Reshmi bistar pe phoolon ko bicha kar sona 

Mera dawa hai keh parwanay tumhgain dhoondain gay 
Imtihaan chaho to phir shamma bhuja kar sona 

LAg na jaye kahin be'taab sitaron ki nazar tumhain 
Chnad se chehray ko apnay aanchal se chupa kar sona 

Choom lenay do hamain nargasi aankhein apni 
Phir baray shouq se palkon ko jhuka kar sona 

Subha hotay hi teray shaher se jana hai mujhay 
Aaj ki raat zara mujh ko mana kar sona
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...