Feb 25, 2016

Mata-e-kosar-o-zam zam kay paimanay teri aankhein


Mata-e-kosar-o-zam zam kay paimanay teri aankhein 
Farishton ko bana deti hain dewane teri aankhein 

Jahan rang-o-bu uljha hau hai in kay doron main 
Lagi hain ka'kal-e-taqdeer suljhanay teri aankhein 

Isharon se dilon ko chairr kar iqraar karti hain 
Luta'ti hain bahar-e-no kay nazranay teri aankhein 

Woh dewanay zama'may-e-lala-o-gul thaam letay hain 
Jinhein mansoob kar deti hain veeranay teri aankhein 

Shagufon ko shararon ka machalta roop deti hain
Haqeeqat ko bana deti hain fasanay teri aankhein 


Gadaa qana'at ko bechtay hain


Gadaa qana'at ko bechtay hain 
Khuda ki doulat ko bechtay hain 

Yeh husn walay qadam qadam par 
Qaraar-o-rahat ko bechtay hain 

Ajeeb hain baagh'ban chaman kay 
Gulon ki nikhat ko bechtay hain 

Watan main aisay bhi reh'numa hai 
May qayadat ko bechtay hain 

Yeh wa'iz-o-parsa Khudaya !
Teri fazeelat ko bechtay hain 

Khird ka letay hain naam "Saghar"
Junoon ki azmat ko bechtay hain

Her marhala-e-shouq se lehraa kay guzar jaa


Her marhala-e-shouq se lehraa kay guzar jaa
Asaar-e-tala'tum hoon to bal kha kay guzar jaa

Behki hui makh'moor ghatta'on ki awaz sun !
Firdos ki tadbeer ko behlaa kay guzar jaa

Mayoos hain ehsaas ki uljhi hui raahein 
Payal dil-e-majboor ki chhan'ka kay guzar jaa

Yazdaan-o-ehar mann ki hikayat kay badlay 
Insaan ki riwayaat ko dohraa kay guzar jaa

Kehti hain tujhay meh'kada-e-waqat ki raahein 
Bigri hui taqdeer ko suljha kay guzar jaa

Bujhti hi nahin tishnagi-e-dil kisi surat 
Ae abar-e-karam aag hi barsaa kay guzar jaa

Kaantay jo lagein haath to kuch gham nahin "Saghar"
Kaliyon ko her gaam pe bikhraa kay guzar jaa

Haadsay kya kya tumhari be'rukhi se ho gaye


Haadsay kya kya tumhari be'rukhi se ho gaye 
Sari duniya kay liye hum ajnabi se ho gaye 

Gardish-e-doran , zamanay ki nazar , aankhon ki neend 
Kitnay dushman aik rasam-e-dosti se ho gaye 

Kuch tumharay gaiso'on ki bar'hami ne kar diye 
Kuch andheray meray ghar main roshni se ho gaye 

Youn to hum Aagaah thay siyaad ki tadbeer se
Hum aseer-e-daam-e-gul apni khushi se ho gaye 

Banda parwar ! khul gaya hai Aastano ka bharram 
Aashna kuch log raaz-e-be'khudi se ho gaye 

Ab kahan ae dost ! chasham-e-muntazir ki aabru 
Ab to un kay ehad-o-paymaan her kisi se ho gaye 

Her qadam "Saghar" ! nazar aanay lagi hain manzilein 
Marhalay kuch teh meri awargi se ho gaye

Ru'daad-e-mohabbat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye


Ru'daad-e-mohabbat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 
Do din mussarat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Jab jaam diya saqi ne  , jab dour chala tha mehfil main 
Ik hosh ki sa'at kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Ab waqat kay nazuk honton par majrooh taranum raqsan hai 
Be'daad-e-mash'eeat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Ehsaas kay meh'khanay main kahan ab fikar-o-nazar ki qandeelain 
Aalaam ki shiddat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Kuch haal kay andhay sathi thay , kuch mazi kay ayaar sajan 
Ehbaab ki chahat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Kaanton se bharra hai daman , shabnam se sulagti hain palkein 
Phoolon ki sakhawat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye 

Ab apni haqeeqat bhi "Saghar" be'rabt kahani lagti hai 
Duniya ki haqeeqat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Ae dost ! yahan veerano ko gulzaar samjhna parta hai


Ae dost ! yahan veerano ko gulzaar samjhna parta hai 
Kuch oonchi neechi raahon ko hum'waar samjhna parta hai 

Ehsaas kay ultay paaon se jab chaltay chaltay thak jayein 
To raah'guzar ko ae rahi dewar samjhna parta hai 

Majrooh ma'eeshat kay haathon insan ka ab yeh aalam hai 
Her zakham laganay walay ko gham'khwar samjhna parta hai 

Jab shahi qabaon ki khatar kuch jism bar'hana ho jayein 
Us waqay ghulamon ko "Saghar" mukhtaar samjhna parta hai

Meri nigah-e-shouq se her gul hai devta


Meri nigah-e-shouq se her gul hai devta 

Main ishq ka Khuda hoon mujhay yaad keejiye

Bhuli hui sada hoon mujhay yaad keejiye


Bhuli hui sada hoon mujhay yaad keejiye 
Tum se kahin mila hoon mujhay yaad keejiye 

Manzil nahin hoon , khizer nahin , raah'zan nahin 
Manzil ka raasta hoon mujhay yaad keejiye 

Meri nigah-e-shouq se her gul hai devta 
Main ishq ka Khuda hoon mujhay yaad keejiye 

Naghmon ki ibtida thi kabhi meray naam se
Ashkon ki intihaa hoon mujhay yaad keejiye 

Gum sum kharri hain dono jahan ki haqeeqatein 
Main in se keh raha hoon mujhay yaad keejiye 

"Saghar" kisi kay Husan-e-taghafal shiyaar ki 
Behki hui adaa hoon mujhay yaad keejiye

Her shay hai pur'malaal bari tez dhoop hai


Her shay hai pur'malaal bari tez dhoop hai 
Her lab pe hai sawal bari tez dhoop hai 

Chakraa kay gir na jaon main is tez dhoop main 
Mujh ko zara sambhaal bari tez dhoop hai 

De hukam badalon ko khayaban-e-nash-e-man hoon 
Jaam-o-sabu uchaal bari tez dhoop hai 

Mumkin hai abar-e-rehmat-e-yazdan baras paray 
Zulfon ki chaaon daal bari tez dhoop hai 

Ab shaher-e-aarzoo main woh ra'naiyan kahan 
Hain gul'kaday nidhaal bari tez dhoop hai 

Samjhi hai jis ko saaya-e-umeed aqal-e-khaam 
"Saghar" ka hai khayal bari tez dhoop hai  

Chot kha kar khud shanas-o-khud'nigar ho jaaiye


Chot kha kar khud shanas-o-khud'nigar ho jaaiye
Kiyon kisi kay ishq main shoreeda-e-sar ho jaaiye

Apnay dil kay daagh bhi lo de uthein to kam nahin 
Apni amnzil kay liye khud rah'bar ho jaaiye

Chor deejiye ! azmat-e-yazdan ki jhooti dastaan 
Aaj insan ki nazar main moh'tabar ho jaaiye

Aap bhi do chaar qatray pee kay meray jaam kay 
Ehal-e-dil , ehal-e-wafa , ehal-e-nazar ho jaaiye

Sirf toofan main yahi bachnay ki tadbeer hai 
Jis taraf mojein umadti hon udher ho jaaiye

Phir zara chalkaiye ! Saghar may dedaar kay 
Phir niqab-e-rukh ulat kar jalwa'gar ho jaaiye

Bar'gashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai


Bar'gashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai 
Bhatkay huye insaan se kuch bhool hui hai 

Taray se chamak uthay hain saqi ki jabeen par 
Shayed meray emaan se kuch bhool hui hai 

Ta'had-e-nazar sholay hi sholay hain chaman main 
Phoolon kay nigheban se kuch bhool hui hai 

Shakhon pe chataktay huye ghunchon ko mubarak 
Is zulf-e-parishan se kuch bhool hui hai 

Jis ehad main lut jaye faqeeron ki kamai 
Us ehad kay sultan se kuch bhool hui hai 

Hanstay hain meri surat-e-mufton pe shagoofay 
Meray dil-e-na'daan se kuch bhool hui hai 

Hooron ki talab aur meh-o-saghar se nafrat 
Zahid teray irfan se kuch bhool hui hai

Zouq-e-tugi'yan main dhal kay dekh kabhi


Zouq-e-tugi'yan main dhal kay dekh kabhi  
Moj ban kay ucchal kay dekh kabhi  

Tu sadaf hai to is samandar main 
Sang'rezay nigal kay dekh kabhi  

Aatish-e-aarzoo ajab shai hai !
Is ki thandak main jal kay dekh kabhi  

Dekh khushk sehra bhi rashk-e-gulshan hai 
Apnay ghar se nikal kay dekh kabhi  

Ae giraftaar-e-rehbar-o-manzil !
Be'irada bhi chal kay dekh kabhi  

Zindagi ki mithaas kay ham'raah 
Zehar-e-gham ko nigal kay dekh kabhi  

Hai baharon ki justagoo  "Saghar"
Khaar zaaron main chal kay dekh kabhi 

Waqat kay rangeen guldastay ko yaad aaye ga thanda haath


Waqat kay rangeen guldastay ko yaad aaye ga thanda haath 
Jab bikhrein gay woh gaiso . to mar jaye ga thanda haath 

Bheegi palkein soch ki uljhan daman thamay pooch rahi hai 
Kab tak taar-e-giribaan yaaro ! sujhaye ga thanda haath 

Saz-e-ta'ghazal chairnay walo ! Ae afsanay likhnay walo !
Aaj lakeeron ki tafseerain dohraaiye ga thanda haath 

Garam lahu ki boondein , tanhai ki matti daalein 
Patt jhar aaye in shaakhon par ugg aaye ga thanda haath 

Pathar pathar jot jalay gi , sahil sahil sholay hon gay 
Bheegi bheegi sard hawa main sharma'iye ga thanda haath 

Baagh kay maali ! Meray gunchay ghairon ne pa'maal kiye hain 
Phir bhi teri phul'wari ko mehkaa'iye ga thanda haath

Nigaar-e-ma'eeshat lahu ro rahi hai


Nigaar-e-ma'eeshat lahu ro rahi hai 
Tasawur ki azmat lahu ro rahi hai 

Shagufon ki izzat pe chappay paray hain 
Chaman ki latafat lahu ro rahi hai 

Pila saqia ! koi jaam-e-ghazali 
Bhat'takti baseerat lahu ro rahi hai 

Faqeeron kay ikhlaas ki be'zubani 
Baro-e-jahalat lahu ro rahi hai 

Na sajday , na sajdon ki tabeer "Saghar"
Jabeen-e-shahadat lahu ro rahi hai

Teray gham ko mata-e-husan-e-insaan kar liya main ne


Teray gham ko mata-e-husan-e-insaan kar liya main ne 
Nigar-e-Admiyat ko ghazal khawan kar liya main ne 

Tarap kar soz-e-dil ko jalwa-e-saman kar liya main ne 
Bhout be'noor thi duniya chraghan kar liya main ne 

Kisi kay ik tabasum par asaas-e-zindagi rakh li 
Shararon ko nashaiman ka nighiban kar liya main ne 

Utha kar choom li hain chand mur'jhai hui kaliyan 
NA tum aaye to youn jasan-e-baharan kar liya main ne 

Khuda rakhye yeh uzar-e-jor baqi tum na sharmao !
Ab apni Aarzo'on ko pash-e-maan kar liya main ne 

Abhi tak be'kafan si hai meri wehshat ki ur'yaani 
YEh ksi umeed par ghar ko biyabaan kar liya main ne 

Kabhi "Saghar" agar main wajd main aaya jo lehraa kar 
to apnay saath duniya ko bhi raqsan kar liya main ne  

Hum khaak nasheen , khak basar shaher main teray


Hum khaak nasheen , khak basar shaher main teray
Kar lain gay isi tarah guzar shaher main teray

Jab tak teri galiyon se raha  hum ko taaluq 
Hum raqs rahay shams-o-qamar shaher main teray

Kuch log tamana'on ka khoon chehray pe mal kar
Baithay hain sar-e-raah'guzar shaher main teray

Uth'tay rahay kaliyon ki jawani kay janazay 

Jaltay rahay phoolon kay nagar shaher main teray

Palti hai taqadus kay libaday main haqarat 
Bajhtay hain hawadas  kay gajar shaher main teray

"Saghar" ki nigahon main khat'taktay hain abhi tak 
Kaj'laye huye sham-o-sehar shaher main teray

Kaliyon ki mehak hota , taaron ki zia hota


Kaliyon ki mehak hota , taaron ki zia hota 
Main bhi teray gulshan main , phoolon ka khuda hota 

Her cheez zamanay ki Aaina-e-dil hoti 
Khamosh mohabbat ka itna to sila hota 

Tum haal-e-parishan ki pur'sish kay liye aatay 
Sehra-e-tamana main mela sa laga hota 

Her gaam pe kaam aatay zulfon kay teri saa'iye 
YEh qaafla-e-hasti be'rahnuma hota 

Ehsaas ki daali par ik phool mehakta hai 
Zulfon kay liye tum ne ik roz chuna hota

Ehtiyatan fuqar ka her mar'hala kat'ta raha


Ehtiyatan fuqar ka her mar'hala kat'ta raha 
Itafaqan aap ki khairaat ka dharka raha 

Aaj phir shabnam kay qatron ne bajaya jal'ta'rang
Aaj phir daman meri awaz ka bheega raha 

Koi aaya hai na aaye ga dil-e-na'daan kabhi 
Meray darwaze ka parda to sada hilta raha 

Raat ki rani ka jhonka tha kisi ki yaad bhi 
Dair tak Aangan meray ehsaas ka mehka raha 

Tez ro chaltay hain "Saghar" qaaflay is naam se 
Reh'numaon se hamesha raah'zan acha raha 

Sitam jaagtay hain , karam so rahay hain


Sitam jaagtay hain , karam so rahay hain 
Mohabbat kay jaah-o-hasham so rahay hain 

Meray nikta sazo ! Sukhan kay khudao !
Pukaro ! KEh loh-o-qalam so rahay hain 

Her ik zehan main hai khudai ka dawa 
Her ik Aasteen main sanam so rahya hain 

Yahan khawab-e-rahat faraib-e-yaqeen hai 
NA tum so rahay ho , na hum so rahay hain 

Wahan chandani kay qadam doltay hain 
Jahan teray naqsh-e-qadam so rahay hain 

Ta'khiyal main hain gaiso'on kay bahanay 
Nigahon main rangeen bharram so rahay hain 

Meri ujri ujri si aankhon main "Saghar"
Zamanay kay ranj-o-alam so rahay hain  

Dastoor yahan bhi goongay hain , farmaan yahan bhi andhay hain


Dastoor yahan bhi goongay hain , farmaan yahan bhi andhay hain 
Ae dost ! Khuda ka naam na le , emaan yahan bhi andhay hain 

Taqdeer kay kalay kambal main , azmat kay fasanay liptay hain 
Mazmoon yahan bhi behray hain , unwaan yahan bhi andhay hain 

Zar'daar tawaqo rakhta hai , Na'daar ki gaarhi mehnat par 
Mazdoor yahan bhi dewane , zeeshan yahan bhi andhay hain 

Kuch log bharosa kartay hain tasbeeh kay chaltay dano par 
Be'chain yahan yaz'daan ka junoon , insaan yahan bhi andhay hain 

Be'naam jafa ki raahon par , kuch khaak se urti dekhi hai 
Hairaan hain dilon kay aainay , Na'daan yahan bhi andhay hain 

Be'rang shafaq se dhalti hai , be'noor saweray hotay hain 
Shair ka tasawur bhooka hai , Sultan yahan bhi andhay hain

Haazir sharab-o-jaam hain , tu jaag to sahi


Haazir sharab-o-jaam hain , tu jaag to sahi 
Iltaaf-e-khaas-o-aam hain , tu jaag to sahi

Hain ikhtiyar-e-shouq main taaron ki manzilein 
Behkay huye maqaam hain , tu jaag to sahi

Kaantay bhi aik cheez hain ,  tu dekh to sahi 
Gul bhi shara'ra faam hain , tu jaag to sahi

In shab ki zulmaton main kahin aas paas hi 
Subhon kay eh'tamaam hain , tu jaag to sahi

Afsurdagi gunnah ki tamseel hai Nadeem !
Be'chainiyan haram hain , tu jaag to sahi

Saghar ! Qareeb'tar hai , diyaar-e-maah-o-najoom
Bas aur chand gaam hain , tu jaag to sahi 

Umeed kay moti arzan hain , darwaish ki jholi khaali hai


Umeed kay moti arzan hain , darwaish ki jholi khaali hai 
Phoolon se mehaktay daaman hain , darwaish ki jholi khaali hai 

Ehsaas-e-safaai pathar hai , emaan sulagti dhooni hai 
Be'rung mizaaj-e-doran hain , darwaish ki jholi khaali hai 

Be'noor murawat ki aankhein , be'kaif inayat kay jazbay 
Her simat badaltay un'wan hain , darwaish ki jholi khaali hai 

Gudri kay phattay tukray "Saghar" Ajsaam-e-takhiyul kya dhampein  
Fariyad kay nuqtay hairan hain , darwaish ki jholi khaali hai

Tadbeer ka kaasa hai , taqdeer gada'gar hai


Tadbeer ka kaasa hai , taqdeer gada'gar hai 
Ewaan-e-sakhawat ki tameer gada'gar hai 

So rang bharray is main phir bhi yeh rahi moorat 
Ehsaas-e-musawur main tasveer gada'gar hai 

Halaat kay daman main aflaas-e-taghi'yur hai 
Is dour main insan ki toqeer gada'gar hai 

Ab shaher-e-baseerat ki oonchi hui deewarein 
Chartay huye suraj ki tanveer gada'gar hai 

Her daagh-e-tamana hai , kash'kol-e-gham-e-hasti 
Aahon se shikayat hai taseer gada'gar hai 

Jhankaar ki her surat dar'yooza-e-naghma 
Hai "Saghar" dar-e-zindaan par zanjeer gada'gar hai 

Sab dil rakhnay ki baatein hain


Sab dil rakhnay ki baatein hain 
Sab asli roop chupatay hain 

Ikhlaq se aari log yahan 
Lafzon kay teer chalatay hain 

Hum khushbu kay soda'gar hain
Aur saccha soda kartay hain 

Jo gaahak khud phoolon jaisa ho 
Hum bin daamon bik jaatay hain 

Hum shaher-e-wafa kay logon ka 
Tum haal bhala kya jano gay 

Hum dil ka dard chupatay hain 
Aur aansoo tak pee jaatay hain

Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jaata


Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jaata 
Woh shakhs koi faisala kar bhi nahin jaata 

Aankhein hain keh khaali nahin rehti hain lahu se 
Aur zakham-e-judai hai keh bhar bhi nahin jaata 

Hum doh'ri aziyat kay giraftaar musafir 
Paon bhi hain shal , shouq-e-safar bhi nahin jaata 

Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bhout hai 
Aur tujh se bichar janay ka dar bhi nahin jaata 

Pagal huye jaatay ho "Faraz" us se milay kya 
Itni si khushi se koi mar bhi nahin jaata

Ki hai koi haseen khata her khata kay saath


Ki hai koi haseen khata her khata kay saath 
Thora sa payar bhi mujhay de do saza kay saath 

Gar doobna hi apna muqaddar hai to suno 
Doobain gay zaroor hum magar na'Khuda kay saath 

Manzil se woh bhi door tha aur hum bhi door thay 
Hum ne bhi dhool uraai bhout reh'numa kay saath 

Raqs-e-saba kay jashan main hum tum bhi naachtay 
Ae kaash tum bhi aa gaye hotay saba kay saath 

Aisa laga ghreebi ki raikha se hoon buland  
Poocha kisi ne haal kuch aisi adaa kay saath

Ronaqein thein jahan main kya kya kuch


Ronaqein thein jahan main kya kya kuch 
Log thay raftagaan main kya kya kuch 

Ab kay fasal-e-bahar se pehlay 
Rang thay gulistaan main kya kya kuch 

Kya kahon ab tumhein khizan walo 
Jal gaya Aashiyaan main kya kya kich 

Dil teray baad so gaya warna 
Shor tha is makaan main kya kya kuch 

Mohabbaton main her ik lamha wisal ho ga yeh teh hua tha


Mohabbaton main her ik lamha wisal ho ga yeh teh hua tha 
Bichar kay bhi aik doosray ka khayal ho ga yeh teh hua tha 

Yeh kya saansein ukhar gayi hain safar kay aaghaz se hi yaaro 
Koi bhi thak kar na raastay main nidhaal ho ga yeh teh hua tha 

Wohi hua na badaltay mousamon main tum ne hum ko bhula diya 
Koi bhi rut ho na chahaton ko zawal ho ga yeh teh hau tha 

Juda huye hain to kya hau phir yahi to dastoor-e-zindagi hai 
Judaiyon main na qurbaton ka malaal ho ga yeh teh hua tha 

Chalo keh "Fezan" kashtiyon ko jala dain gum'naam saahilon par 
Ab yahan se na wapsi ka sawal ho ga yeh teh hua tha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...