Feb 3, 2015

Iqbaal ka gham tum kiyon samjho , aur us ka dilaasa kiya jaano


Tum naghma-e-maah-o-anjuman ho , tum soz-e-tamana kiya jaano

Tum dard-e-mohabbat kiya samjho , tum dil ka tarapna kiya jaano

KAb dard barha , kab hook uthi , kiyon ashk baha , kiyon aah khichi

Tum gum ho bahaaron main apni , tum gham ka fasaana kiya jaano

Ik moj-e-tabasam honton par , ik naghma rangeen aankhon main

Tum raqs-e-suriyaa kiya jaano , tum barbat-e-zohra kiya jaano

Tum rooth gaye jab jab hum se , hum tum ko manaa hi letay thay

Ik baar agar hum rooth gaye , tum hum ko manaana kiya jaano

Takhreeb-e-mohabbat asaan hai , tameer-e-mohabbat mushkil hai

Tum aag lagaana seekh gaye , tum aag bhujaana kiya jaano

Tum door kharay dekha hi kiyea aur doobnay wala doob gaya

Saahil hi ko tum manzil samjhay , tum lazat-e-dariya kiya jaano

Iqbaal ka gham tum kiyon samjho , aur us ka dilaasa kiya jaano

Tum husan-e-sraapa apni jaga aur husan-e-sraapa khud daari

Main tabasum hoon tu honton pe saja lay mujh ko


 Kar na duniya-e-gham kay hawalay mujh ko
MAin tabasum hoon tu honton pe saja lay mujh ko

Tu mila hai to yahi khouf laga rehta hai
Mera milna kisi uljhan main na dalay tujh ko

Is yaqeen par hi andheron main safar jaari hai
Mil hi jayein gay kisi roz ujalay mujh ko

Teri nafrat ne to majboor kiya jeenay par
Ab tera pyaar kahin maar na daalay mujh ko

Be'niazi ka yeh andaaz nahin kuch bhi "Nazar"
Baat to tab hai keh tu dil se nikalay mujh ko

Waqat ki gardish-e-ayaam main beh jaanay do


Waqat ki gardish-e-ayaam main beh jaanay do
Zindagi jaisay guzarti hai guzar janay do

Meray dil ne kabhi phoolon ki tamana ki thi
Aaj kaanton hi ko daman se lipt janay do

Kitna acha ho keh baazi palat jaye saari



Kitna acha ho keh baazi palat jaye saari 

US ko meri yaad sataye aur main masroof rahoon

Udaas dil ki viraniyon main Bikhar gaye hain khawaab saaray


Udaas dil ki viraniyon main
Bikhar gaye hain khawaab saaray

YEh meri basti se kon guzra
Nikhar gaye hain gulaab saaray

NA janay kitni shikayatein thein
Na janay kitnay gilay thay tum se

Jo tum ko dekha to bhool baithay
Sawaal saaray jawaab saaray

Is behtay dard ko mat roko


Is behtay dard ko mat roko
Yeh to saza hai kisi kay intizaar ki

Log inhain Aansoo kahain ya dewaangi
PAr yeh to nishaani hain kisi kay pyaar ki

Mohabbat mil nahin sakti mujhay maloom hai


Mohabbat mil nahin sakti mujhay maloom hai 

Magar khamosh rehta hoon mohabbat kar jo baitha hoon 

Bheer main bhi mil jaaon gi Aasaani se tumhain


Bheer main bhi mil jaaon gi Aasaani se tumhain 

Khoyi khoyi se rehna nishaani hai meri

Jism main dard ka bahana sa bana kar


Jism main dard ka bahana sa bana kar 

Hum bhout toot kay rotay hain teri yaad main aksar

Kaash keh koi hamara bhi wafa'daar yaar hota


Kaash keh koi hamara bhi wafa'daar yaar hota 

Seena taan kay chaltay be'wafaon ki galiyon main

Zakham pe zakham de kar na pooch dard ki shiddat


Zakham pe zakham de kar na pooch dard ki shiddat

Dard to dard hota hai phir thora kiya aur ziyada kya

Mujhay yaqeen hai mohabbat usi ko kehtay hain faraz


Mujhay yaqeen hai mohabbat usi ko kehtay hain faraz

Keh zakham taaza rahay aur nishaan chala jaye

Pyaar karna her kisi kay bas ki baat nahin


Pyaar karna her kisi kay bas ki baat nahin

Saccha pyaar karnay walay to duniya se lar jaatay hain

Sab had'dain torr kar aaj


Sab had'dain torr kar aaj 

Hadd kar di teri yaad ne

Us ki aankhon main aansoo thay meri khaatir


Us ki aankhon main aansoo thay meri khaatir

Bas wohi ik lamha mujhay zindagi se bhi pyaara laga

Ghurbat ki aar main rishtay dosti mohabbat sab ganwa baithay hain



Ghurbat ki aar main rishtay dosti mohabbat sab ganwa baithay hain

Ae doulat agar tu meray dar par hoti to sab apnay hotay

Achay log to sab ko hi pasand hotay hain


Achay log to sab ko hi pasand hotay hain 

Hai koi talab'gaar , bhout buray hain hum

Itna be'taab na ho mujh se bicharnay kay liye


Itna be'taab na ho mujh se bicharnay kay liye 

Tujhay aankhon se nahin , dil se juda karna hai

Bhout mushkil se hota hai teri yaadon ka karo'baar



Bhout mushkil se hota hai teri yaadon ka karo'baar 

Munaafa kam hai lakin guzaara ho hi jaata hai

Logon ne apna hunar dikhaya bhi bhout hai


Logon ne apna hunar dikhaya bhi bhout hai
Jaa jaa kay ussay manaya bhi bhout hai

Sach poocho to dil ko acha bhout lagta hai
Woh shakhs jis ne dil dukhaya bhout hai

Kaash mujhay maloom ho jaye teri soch ka mehwar



Kaash mujhay maloom ho jaye teri soch ka mehwar

To main khud ko taraashon teray andaaz-e-nazar se

Poocha jo hum ne kisi aur kay honay lagay ho kiya


Poocha jo hum ne kisi aur kay honay lagay ho kiya

Woh muskuraa kay bolay pehlay tumharay thay kiya

Samandar ki rait haathon main samai nahin jaati


Samandar ki rait haathon main samai nahin jaati
Dilon ki mohabbat labon se bataai nahin jaati

Ki jaati hai sirf un se mohabbat
Jin se dil ki koi baat chupaai nahin jaati

Toot jaye gi un ki zid ki aadat ab



Toot jaye gi un ki zid ki aadat ab

Jab milay gi khabar un ko keh Yaad karnay wala ab yaad ban gaya hai

Zara dekho ! to darwazay pe dastak kon deta hai



Zara dekho ! to darwazay pe dastak kon deta hai

Mohabbat ho to keh dena yahan ab hum nahin rehtay

Kuch log aansoo ki tarah hotay hain


Kuch log aansoo ki tarah hotay hain

Pata hi nahin lagta saath de rahay hain ya chor kay jaa rahay hain

Main kabhi khud baicha karta tha dard-e-dil ki dawa


Main kabhi khud baicha karta tha dard-e-dil ki dawa 

Aaj waqat lay aaya hai mujhay meri her dukaan par

Mujhay meray kal ki fikar aaj bhi nahin hai


Mujhay meray kal ki fikar aaj bhi nahin hai

Par khwaish ussay paanay ki qayamat tak rahay gi

Her raat ro ro kar tujhay bhulanay lagay


Her raat ro ro kar tujhay bhulanay lagay
Aanso'on main teray pyaar ko bahanay lagay

Yeh dil bhi kitna ajeeb hai
Hum roye to tum aur bhi yaad aanay lagay

Raat gehri thi dar bhi saktay thay


Raat gehri thi dar bhi saktay thay
Hum jo kehtay thay woh kar bhi saktay thay

Tum jo bichray to yeh bhi na socha
Hum to pagal thay mar bhi saktay thay

Weeraan wajood lay kar chalna para hamein


Weeraan wajood lay kar chalna para hamein
Apnay lahu ki aag main jalna para hamein

MAnzil bhout hi door thi raastay thay ajnabi
Taaron kay saath saath nikalna para hamein

Saaye ki misal aaye thay us ki gali main hum
Dhalnay lagi jo shaam to dhalna para hamein

Her charhtay suraj ki salaami na de sakay
So dopehar ki dhoop main jalna para hamein

Kisi taraf bhi sahara na tha koi
Jab bhi giray to khud hi sambhalna para hamein

Tum se na kat sakay ga Andheron ka yeh safar


Tum se na kat sakay ga Andheron ka yeh safar

Ab raat ho rahi hai mera thaam lo

Tum nahin kartay yaad is se hamein koi farq nahin parta


Tum nahin kartay yaad is se hamein koi farq nahin parta 

Dil is liye jalta hai keh hum tumhein bhula nahin saktay

Tera khayal agar juzo-e-zindagi na rahay


Tera khayal agar juzo-e-zindagi na rahay
Jahan main meray liye koi dil'kashi na rahay

Main aa gaya hoon wahan tak teri tamana main
Jahan se koi bhi imkaan-e-wapsi na rahay

Hazoor ! yaad hai maidaan-e-hashar ka wada ?
Kahin wahan bhi meri aankh dhoondti na rahay

Mera to khair azal hi se gham muqaddar hai
Teri nigaah ki pehchaan be'rukhi na rahay

Teray firaaq ka mousam azaab hai mohsin
Kabhi kabhi to main kehta hoon zindagi na rahay

Is zindagi ka kiya bharosa jo do pal ki hai



Is zindagi ka kiya bharosa jo do pal ki hai

Hum bhi un lamhon ki tarah guzar jayein gay jo loat kar nahin aatay

Duniya main to koi aur bhi ho ga teray jaisa


Duniya main to koi aur bhi ho ga teray jaisa

Par hum tujhay chahtay hain teray jaison ko nahin

Kisi ki aas ban kar phir ussay tanha nahin kartay


Kisi ki aas ban kar phir ussay tanha nahin kartay
Bhala kitni bhi mushkil ho magar aisa nahin kartay

Mohabbat main shikayat ka kahan dastoor hota hai
Gila kar kay mohabbat ko kabhi ruswa nahin kartay

Wafaein dar'haqeeqat main bari anmol hoti hain
KAbhi apni wafaon ka sila maanga nahin kartay

Hasrat bhari nigahon ko Aaraam tak nahin


Hasrat bhari nigahon ko Aaraam tak nahin
Woh youn badal gaya keh ab salaam tak nahin

Jis ki talab  main zindagi apni guzaar di
US be'wafa kay lab pe mera naam tak nahin

Jo keh gaye thay shaam ko baithain gay aaj phir
Kuch saal ho gaye koi paighaam tak nahin

Madfoon hoon teray hijar ki ik aisi qabar main
Kutbay pe jis kay aaj koi naam tak nahin

Be'ikhtiyaar uth'tay hain meray qadam udhar
Haalan keh us gali main mujhay kaam tak nahin

Apnay hi shaher kay log satanay lagay


Apnay hi shaher kay log satanay lagay
Yaar apni mehfil se uth kar janay lagay

JAb bhi izhaar-e-jazbaat chaha main ne
Log apna apna dard sunaa'nay lagay

Hamaray naam se chalti thi jin ki saansein kabhi
Aaj wohi hum se nazrein churaanay lagay

Kiya khabar thi keh ik pal main bichar jaye ga woh
Jissay apna bananay main zamanay lagay

Kya karoon nazron se hat'taa hi nahin woh manzar
Jo haath chura kar mera woh janay lagay

Kiyon hum kisi ki yaad main kho jaatay hain


Kiyon hum kisi ki yaad main kho jaatay hain
Ek pal ki doori main ro jaatay hain

Koi hamein bas itna bata de , hum hi aisay hain
Ya mohabbat kay baad sabhi aisay ho jatay hain

Koi rooh ka talab'gaar milay to hum bhi mohabbat karein


Koi rooh ka talab'gaar milay to hum bhi mohabbat karein 

Yahan dil to bhout miltay hain bas koi dil se nahin milta

Dil ki qeemat to mohabbat kay siwa kuch na thi


Dil ki qeemat to mohabbat kay siwa kuch na thi

Jo bhi milay surat kay kharidaar milay

Apni wafa se un ko be'wafa kar diya


Apni wafa se un ko be'wafa kar diya
Itna diya pyaar keh pagal kar diya

Nadaan thay woh log jo samjh na sakay hamein
Is liye hum ne khud ko tanha kar diya

NA janay kab tak hamain is ishq ka dard staa'ta rahay ga


NA janay kab tak hamain is ishq ka dard staa'ta rahay ga

Kya hamaray liye yeh kaafi nahin keh hum apnay mehboob se juda hain

Yeh jo doobi hain meri ungliyaan apnay hi khoon main


Yeh jo doobi hain meri ungliyaan apnay hi khoon main

Yeh kaanch kay tukron par bharosay ki saza hai

Ussay main dil main rakh leta , agar hota meray bas main


Ussay main dil main rakh leta , agar hota meray bas main

Ussay to sab dekhtay hain , mujh se yeh dekha nahin jaata

Adalat ishq ki ho gi muqadma mohabbat ka ho ga


Adalat ishq ki ho gi muqadma mohabbat ka ho ga

Gawahi mera dil de ga mujrim tera pyaar ho ga

Khud hi masroof rehtay ho shbha se shaam dhalnay tak



Khud hi masroof rehtay ho shbha se shaam dhalnay tak

Aur phir na yaad karnay ka gila bhi hum se kartay ho

Bhula dain gay tumhain bhi zara sabar to keejiye


Bhula dain gay tumhain bhi zara sabar to keejiye 

Rag rag main basay ho thora waqat to lagay ga

Tum subha aur shaam ki tarah


Tum subha aur shaam ki tarah
Tum khushiyon kay paighaam ki tarah

Hum ne tum ko kab bhulaya ,Ae meray hamsafar
Tum yaad ho mujhay meray naam ki tarah

Ehsaas ka sangeet sunaai nahin deta


Ehsaas ka sangeet sunaai nahin deta
Honton pe kabhi dohaai nahin deta

Shayed ussay maloom nahin raaz-e-mohabbat
Yeh pyaar ka soda hai dikhaai nahin deta

Tum ishq ko choro apni baat karo



Tum ishq ko choro apni baat karo

Mujhay ishq ne nahin tum ne tarpaya hai

Fitrat-e-Aadam main jab mohabbat kam par jaye


Fitrat-e-Aadam main jab mohabbat kam par jaye

Phir chah kar bhi , apno kay liye waqat nahin milta

Talaash hai ek rooh ki jo mujhay dil se pyaar karay


Talaash hai ek rooh ki jo mujhay dil se pyaar karay

Jisam to paison se bhi mil jaaya kartay hain

Nafrat ko hazaar moqa do keh woh mohabbat ban jaye


Nafrat ko hazaar moqa do keh woh mohabbat ban jaye

PAr mohabbat ko aik bhi moqa na do keh woh nafrat ban jaye

Woh aaj barson baad mila to galay lag kar khoob roya


Woh aaj barson baad mila to galay lag kar khoob roya 

Jaantay ho dost yeh wohi tha jis ne kaha tha teray jaisay hazaron milein gay

Samnay manzil thi aur peechay us ki awaaz


Samnay manzil thi aur peechay us ki awaaz
Rukta to safar jaata , chalta to bichar jaata

Meh'khana bhi us ka tha , mehfil bhi us ki thi
Agar peeta to emaan jaata , na peeta to sanam jaata

Saza aisi mili mujh ko , zakham aisay lagay dil par
Chupaata to jiger jaata , sunaata to bikhar jaata

Jazbay sachay hon to mohabbat mil hi jaati hai



Jazbay sachay hon to mohabbat mil hi jaati hai

Khuda khud hi sun leta hai khamosh dilon ki iltaja'ein

Tum bhi kar kay dekh lo mohabbat kisi se


Tum bhi kar kay dekh lo mohabbat kisi se

Jaan lo gay keh hum muskurana kiyon bhool gaye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...