Usey apney farda ki fiker thi wo jo mera wakif-e-haal tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha
Kahan jao gay mujhe chor kar main ye pooch pooch k thak gaya
Wo jawab bhi na de saka wo to khud sarapa-e- sawaal tha
Wo jo us ke samne aa gaya wohi roshni mein naha gaya
Ajab us ki haibat-e-husan thi ajab uska rang-o-jamal tha
Dam-e-wapsi pe kia hua na wo roshni na wo taazgi
Wo sitara kaise bikhar gaya wo to ap apni misaal tha
Sadion k baad mila b to merey lab pe koi gila na tha
Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha
Wo mujhe se mil k ro diya faqat itna wo keh saka
Jise jaanta tha wo zindagi wo to bas wahm-o-khayaal tha