Jul 14, 2014

Achay essa ho mareezon ka khyal acha hai


Achay essa ho mareezon ka khyal acha hai 
Hum maray jaatay hain tum kehtay ho haal acha hai 

Tujh se mangoon main tujhi ko sabhi kuch mil jaye
So sawalon se yahi aik sawaal acha hai 

Jis ka anjaam museebat woh khushi bhi hai bari 
Jis ka anjaam khushi ho woh malaal acha hai 

Roz ata hai meray dil ko tasali denay 
Tujh se ae dushman-e-jaan tera khyal acha hai 

Kehtay hain aaj to nakhan se meray di tashbeeh 
Kal kaho gay teray abroo se halaal acha hai 

Rashak se bosa-e-abroo nahin woh "Ameer" 
So kaha main ne ghazal main keh halaal acha hai

Apni mohabbat ke afsanay kab tak raaz banao gay


Apni mohabbat ke afsanay kab tak raaz banao gay
Ruswai se darnay walo baat tumhi phailao gay 

Is ka kiya hai tum na sahi to chahnay wale aur bhout 
Tark-e-mohabbat karnay walo tum tanha reh jaao gay 

Hijar ke maaron ko khush fehmi jaag rahay hain pehron se
Jaisay youn shab kat jaye jaisay tum aa jao 

Zakham-e-tamana ka bhar jana goya jaan se jaana hai 
Is ka bhulana sehal nahin hai khud ko bhi yaad ayo gay 

Choro ehad-o-wafa ki baatain kiyon jhootay iqraar karain 
Kal main bhi sharminda hoon ga kal tum bhi pachtaao gay 

Rehnay do yeh pand-o-naseehat hum bhi "faraz" se waqif hain 
Jis ne khud so zakham sahay hon us ko kiya samjhao gay

Poet : Ahemd Faraz

Bhool jaata hoon main us ke sitam


Bhool jaata hoon main us ke sitam 

Woh kuch is saadgi se milta hai

Aray tum bhi niklay ho wafa ki talash main


Aray tum bhi niklay ho wafa ki talash main 

Yaqeen maano nahin milti, nahin milti, nahin milti

KAbhi dekha hai andhay ko kisi ka haath pakar ke chaltay


KAbhi dekha hai andhay ko kisi ka haath pakar ke chaltay

Main ne mohabbat main tum par youn bhrosa kiya hai

Na janay kiyon meeri aankhon se aansoo aa gaye


Na janay kiyon meeri aankhon se aansoo aa gaye

Sikha raha tha bachon ko mohabbat likhna

Kon dekhta hai kisi ko ab seerat0e0ikhlaaq ki nazar se


Kon dekhta hai kisi ko ab seerat0e0ikhlaaq ki nazar se 

Sirf khoob'surati ko poojtay hain naye zamanay ke log

Hai kiya ajab na jaan paayei kiya hai zindagi


Hai kiya ajab na jaan paayei kiya hai zindagi 

Hum log jo hain umar se zarqaab-e-zindagi

Ansoo baha baha keh bhi hotay nahin kam saahib


Ansoo baha baha keh bhi hotay nahin kam saahib 

Kitni ameer hoti hain aankhain ghareeb ki

Woh apnay saath mujhay qaid kar ke le jaye


Woh apnay saath mujhay qaid kar ke le jaye

Khuda kare aisa qasoor ho mujh se

Choori ! Suna hai azal se zubaan daraaz hai


Choori ! Suna hai azal se zubaan daraaz hai 

Keh dijiye ! kalaai ko laray na is ke saath

Mohabbat kar to letay hain nibhana bhool jatay hain


Mohabbat kar to letay hain nibhana bhool jatay hain 

Laga kar aag seenay main bujhana bhool jatay hain

Kuj onj wi raahwaan okhiyaan san


Kuj onj wi rahwan okhiyan san 

Kuj galay wich gham da toq vi si 

Kuj shaher de log vi zaalam san 

Kuj sanu maran da shouq vi si

Munafqat ka nisaab parh kar mohabbaton ki kitaab likhna


Munafqat ka nisaab parh kar mohabbaton ki kitaab likhna

Bara kathan hai khizaan ke maathay par dastaan-e-gulaab likhna

aankhein udaas hon to nizaray ko kya karein


aankhein udaas hon to nizaray ko kya karein 

Jab dil hi bujh gaya to saharay ko kya karein

Apni fursaton main kho kar kahin bhool na jaana hamain


Apni fursaton main kho kar kahin bhool na jaana hamain 

Koi subha se shaam masroof rehta hai teri yaad main aksar

Taras jaao gay hamaray munh se sunanay ko aik aik lafaz


Taras jaao gay hamaray munh se sunanay ko aik aik lafaz 

Pyaar ki baat to kiya , hum shikayat bhi nahin karain gay

Chahat bharay woh lafaz aur her lafaz main dua


Chahat bharay woh lafaz aur her lafaz main dua 

Maqrooz kar diya hamain teray khaloos ne

Teri aankhon main ansoo thay meri khatar


Teri aankhon main ansoo thay meri khatar 

Woh ik lamha mujhe zindagi se pyara laga

Ae sang'dil apna aqeeda to bata'ta jaa


Ae sang'dil apna aqeeda to bata'ta jaa 

Tujh mohabbat pe yaqeen nahin ya mujh pe

Jeet mera naseeb thi lakin


Jeet mera naseeb thi lakin 

Mujh ko le dooba teri maat ka dukh

Yeh mohabbat ka bandahan bhi kitna ajeeb hota hai


Yeh mohabbat ka bandahan bhi kitna ajeeb hota hai 

Mil jayein to baatein lambi, bichar jaayein to yaadain lambi

Jism kitni bari haqeeqat ho


Jism kitni bari haqeeqat ho 

Dil ki taskeen magar hawas main nahin

Mujh se mat jee lagaao keh nahin rehnay ka


Mujh se mat jee lagaao keh nahin rehnay ka 

MAin musaafir hoon koi din ko chala jaaon ga

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Yaar ata nazar nahin ata


Yaar ata nazar nahin ata 

Hum ko hota na intizaar ae kaash

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Hum ishq main tum husan main mashoor hain dono


Hum ishq main tum husan main mashoor hain dono 

Hai zikar hamara kahain azkaar tumhara

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kon se zakham ka khula taanka


Kon se zakham ka khula taanka 

Aaj phir dil main dard hota hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Raahat main dil ke haath na paaon ga aik dam


Raahat main dil ke haath na paaon ga aik dam 

JAb tak keh meray saath yeh khana khraab hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kiya farda ka wada saru qad ne



Kiya farda ka wada saru qad ne 

Qayamat ka jo din suntay thay kal hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Chaak ko taqdeer ke mumkin nahin hargiz raffu


Chaak ko taqdeer ke mumkin nahin hargiz raffu

So'zan-e-tadbeer bhi go so baras seeti hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kiyon nahin leta hamari tu khabar ae be'khabar



Kiyon nahin leta hamari tu khabar ae be'khabar

Kiya teray aashiq huye thay , dard-o-gham khaanay ko hum

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Huye mar ke jo hum ruswaa, huye kiyon na gharq dariya


Huye mar ke jo hum ruswaa, huye kiyon na gharq dariya 

Na kabhi janaza uth'ta na kahin mizaar hota

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Hamain khabar hai hawa ka mizaaj rakhtay hain


Hamain khabar hai hawa ka mizaaj rakhtay hain

MAgar yeh kiya keh zara dair ko rukay bhi nahin

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Wehshatein kuch is tarah apna muqadar ho gayein


Wehshatein kuch is tarah apna muqadar ho gayein 

Hum jahan poonchay hamaray saath veeranay gaye

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Wabasta meri zaat se kuch talkhiyaan bhi hain


Wabasta meri zaat se kuch talkhiyaan bhi hain 

Acha kiya jo tu ne faramosh kar diya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Woh gali hum se choot'ti hi nahin


Woh gali hum se choot'ti hi nahin 

Kiya karain aas toot'ti hi nahin

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Wajib-ul-qatal us ne tehraya


Wajib-ul-qatal us ne tehraya 

Ayaton se , riyaton se mujhe

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Woh baatain teri woh fasanay teray


Woh baatain teri woh fasanay teray 

Shagufta shagufta , bahanay teray

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Woh mujh se huye hum kalaam Allah Allah


Woh mujh se huye hum kalaam Allah Allah

Kahan main kahan yeh maqaam Allah Allah 

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Wasal ki shab aur itni muktaser


Wasal ki shab aur itni muktaser 

Din ginay jaatay thay is din kay liye

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Na jana keh duniya se jaata hai koi


Na jana keh duniya se jaata hai koi 

Bhout dair ki meharbaan atay atay

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki


Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki 

Bari arzoo thi mulaaqat ki

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Nahin ati to yaad un ki maheeno tak nahin ati


Nahin ati to yaad un ki maheeno tak nahin ati 

Magar jab yaad atay hain to aksar yaad atay hain

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Mili gul ko khushboo, mujhe mil gaya tu


Mili gul ko khushboo, mujhe mil gaya tu 

Pasand apni apni , naseeb apna apna

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Mujhe khud apni nigahon pe aitmaad nahin


Mujhe khud apni nigahon pe aitmaad nahin 

Mere qareeb na ayo bara andhera hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Main sach kahoon gi aur phir bhi haar jaaon gi


Main sach kahoon gi aur phir bhi haar jaaon gi 

Woh jhoot bolay ga aur la'jawaab kar de ga

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Mat sehal ussay jaano , phirta hai falak barson


Mat sehal ussay jaano , phirta hai falak barson 

Tab khaak ke parde se insaan nikaltay hain

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Main ne roka bhi nahin aur woh tehra bhi nahin


Main ne roka bhi nahin aur woh tehra bhi nahin 

Hadsa kiya tha jissay dil ne bhulaya bhi nahin

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Matlab nikal gaya hai to pehchantay nahin


Matlab nikal gaya hai to pehchantay nahin 

Youn jaa rahay hain jaisay hamain jaantay nahin

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Mujh ko ik zehar ka chalka hua sagar de do


Mujh ko ik zehar ka chalka hua sagar de do 

Mujh ko is dour ke insaan pe hansi ati hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

MAin kis ke haath pe apna lahoo talaash karoon


MAin kis ke haath pe apna lahoo talaash karoon 

Tamaam shaher ne pehnay huye hain dastaanay

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

MAin akela hi chala tha jaanab-e-manzil magar


MAin akela hi chala tha jaanab-e-manzil magar

Log saath atay rahay aur karwaan banta gaya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Mohabbatein jab shumaar karna to sazashain bhi shumaar karna


Mohabbatein jab shumaar karna to sazashain bhi shumaar karna 

Jo mere hissay  main ayi hain woh azeeatein bhi shumaar karna

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

MAin lafaz lafaz dhoondtay thak bhi gaya "Adm"



MAin lafaz lafaz dhoondtay thak bhi gaya "Adm"

Woh phool de ke baat ka izhaar kar gaya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...