Showing posts with label Hasrat Mohani Poetry. Show all posts
Showing posts with label Hasrat Mohani Poetry. Show all posts

Mar 9, 2015

Geeli zulfon ko jab chehray pe sajaya us ne


Geeli zulfon ko jab chehray pe sajaya us ne 
Jaisay mehtaab ko badal main chupaya us ne 

Ruk gayi gardish-e-duniya bhi us kay jalwey ki khatir
Jaisay hi baalon ko chehray se hataya uss ne 

Moo-e-be'niaz jabeen par bikhray jis waqat 
Chaand roshan ko girhan jaisay lagaya uss ne 

Woh jo rukhsaaron pe gaysoo se giri thi shabnam 
Boond ko moti ki surat main banaya uss ne 

Tab mera hosla-e-emaan dag'magaata raha 
Jab bhi zulfon ki chaaon main sulaya uss ne 

Lay chali aankhon se neendain woh churra kar "Hasrat"
Jab baalon ko gira kay meray chehray par , jagaya uss ne

Jul 10, 2014

Chupkay chupkay raat din aansoo bahana yaad hai


Chupkay chupkay raat din aansoo bahana yaad hai 
Hum ko ab tak aashqui  ka woh zamana yaad hai 

Ya hazaron iztraab-o-sad  hazaraan ishtiaaq 
Tujh se woh pehlay pehal dil ka lagana yaad hai 

Baar baar uthna usi jaanib nigah-e-shouq ka 
Aur tera ghussay se woh aankhain larana yaad hai 

Tujh se miltay hi woh kuch be'baak ho jana mera 
Aur tera daanton main woh ungli dabana yaad hai

Kheench lena woh mera parday ka kona dafatann 
Aur dopatay se tera woh munh chupana yaad hai 

Tujh ko jab tanha kabhi paana to Az'raah-e-lihaaz 
Haal-e-dil baaton hi baaton main jatana yaad hai

Ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi kay khilaaf 
Woh tera chori chupay raaton ko ana yaad hai 

Dopehar ki dhoop main meray bulaanay kay liye 
Woh tera koothay pe nangay paaon ana yaad hai 

Aaj tak nazron main hai woh soohbt-e-raaz-o-niyaaz
Apna jana yaad hai , tera bulaana yaad hai

Poet : Hasrat Mohaani

Feb 26, 2014

Chupkey chupkey raat din ansoo bahana yaad hai


Chupkey chupkey raat din ansoo bahana yaad hai
hum ko ab tak aashqui ka woh zamana yaad hai 

ya hazroon aztraab -o-sad hazaroon ishtiaq!!!!
tujh se woh pehlay pehal dil ka lagana yaad hai

bar bar uthna isi janab nigha-e-shauq ka
aur tera ghusay se woh Aankhain larana yaad hai

tujh se miltay he woh kuch betaab ho jana mera
aur tera dantoon main woh ungli dabana yaad hai

kheench lena woh meray parday ka kona dfatan
aur dupatay se tera woh munh chupana yaad hai

tujh ko jab tanha kabhi pana to az rah lihaz
haal-e-dil baton he baton main jatan yaad hai

ghair ke nazroon se bach kar sab ke marzi ke khlaaf
woh tera choori chupay ratoon ko ana yaad hai

dopehar ke dhoop main meray bulanay kay liye
woh tera khotay pe nangay paon aana yaad hai

Aj tak nazroon main hai woh sohbate raaz-o-niyaaz
apna jana yaad hai, tera bulana yaad hai

Poet: Hasrat mohani
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...