Aug 23, 2014

Mohabbat hamsafar meri

Kathan hai zindagi kitni 
Safar dushwaar kitna hai 
Kabhi paaon nahin chaltay 
Kabhi raastay nahin miltay 
Hamara saath de paye 
Koi aisa nahin milta 
Faqat aisay guzaaron to 
yeh shab-o-roz nahin kat'tay 
Yeh kat'tay thay kabhi pehlay 
Magar haan ab nahin kat'tay 
Mujhay phir bhi mere maalik 
Koi shikwa nahin tujh se
Main jaan pe khail sakta hoon 
Main her dukh jhail sakta hoon 
Agar tu aaj hi kar day 
Mohabbat hamsafar meri

Safar dushwaar kitna hai

Kathan hai zindagi kitni 
Safar dushwaar kitna hai 
Kabhi paaon nahin chaltay 
Kabhi raastay nahin miltay 
Hamara saath de paye 
Koi aisa nahin milta 
Faqat aisay guzaaron to 
yeh shab-o-roz nahin kat'tay 
Yeh kat'tay thay kabhi pehlay 
Magar haan ab nahin kat'tay 
Mujhay phir bhi mere maalik 
Koi shikwa nahin tujh se
Main jaan pe khail sakta hoon 
Main her dukh jhail sakta hoon 
Agar tu aaj hi kar day 
Mohabbat hamsafar meri

Ek umar namu ki khwaish main

Ek umar namu ki khwaish main 

mousam kay jabar sahay to khula

Her kushboo aam nahin hoti 

her phool gulaab nahin hota 

Her lamha khair-o-shar main 

kahin ik saa'at aisi hai jis main 

Her baat gunnah nahin hoti 

 sab kaar-e-sawaab nahin hota

Aashiyana jala diya hum ne

Aashiyana jala diya hum ne 
Raah ka pathar hata diya hum ne 

Koi ulfat ka na kare char'cha 
Hukam us ka suna diya hum ne 

Aatish-e-ishq thi , bhout munh zor
Lakin us ko bujha diya hum ne 

Yaad teri jo kam hui dil main 
To dard kuch aur barhaa diya hum ne

Thori si bhi jahan mili ulfat 
Khud ko us jaa luta diya hum ne 

Shayed us ka idher se bhi ho guzar 
Apna gulshan saja diya hum ne 

Raazi ho jaye hum se rab-e-qadeer
Sar ko dil bar jhuka liya hum ne

Phir dukh kaisa

Phir dukh kaisa 

Jab tum apnay ho
Aur hum apnay hain 
Phir dukh kaisa 
Jab zameen se ugay fasanay 
Aur dil main chupay khazanay 
Sab aik hain 
Phir dukh kaisa 
Jo us ne lagay tan par 
Aur hum ne sajaye dilmain 
Sab zakham hain 
Phir dukh kaisa 
Jab phoolon kay chehray par 
Aur dil se behtay lahoo main 
Sab rang hain 
Phir dukh kaisa
Jab jheel se behta paani 
Aur aankh se tapka aansoo
Sab aik hain 
Phir dukh kaisa

Naye saal se pehlay

Naye saal se pehlay

Aao aaj kar lain hum 
Dil ki baatein 
Naye saal se pehlay 
Kuch adhoora sa hai , kuch na'mukamal sa hai 
Waqat guzarta jaa raha hai 
Issay kab teharna hai 
Aao kuch adhoora na chorain 
Kuch na'mukamal na rehnay dain 
Chaand sitaaron ko ... phool khushboo ko 
Guzartay din raaton ko .... roti yaadon ko 
Iqraar kay lamhon ko .... guzarnay wale pal ko 
Aao... in sab ko 
Gawaah kar lain ... Apnay dil ki baaton ko 
Kiyon keh mujhay yaqeen hai 
Tapish kisi ko to kisi se bicharna hai 
Naye saal main

Kal raat bar bar tumhain sochtay rahay

Kal raat bar bar tumhain sochtay rahay

Mousam tha be'qaraar tumhain sochtay rahay

Baarish hui to ghar kay dareechay se lag kay hum

Chup chaap so'gawaar sochtay rahay

Hum keh tehray ajnabi itni mulaqaaton kay baad

Hum keh tehray ajnabi itni mulaqaaton kay baad 
Phir banain gay aashna kitni madaraaton kay baad 

Kab nazar main aye gi be;daagh sabzay ki bahaar 
Khoon kay dhabbay dhulain gay kitni barsaaton kay baad 

Thay bhout be'dard lamhay khatam dard-e-ishq kay 
Thein bhout be'mehar subhain meherbaan raaton kay baad 

Dil to chaha par shakist-e-dil ne mohlat hi na di 
Kuch gilay shikway bhi kar letay manajaaton kay baad 

Un se jo kehnay gaye thay "Faiz" jaan sadqa kiye 
Un kahi hi reh gayi woh baat sab baaton kay baad

Hum ne kaati hain teri yaad main raatein aksar

Hum ne kaati hain teri yaad main raatein aksar 
Dil se guzri hain sitaron ki baratein aksar 

Ishq raah'zan na sahi , ishq kay hathon phir bhi
Hum ne lut'ti hui dekhi hain baratein aksar 

Hum se ik baar bhi jeeta hai , na jeetay ga koi 
Woh to hum jaan kay khaa letay hain maatein aksar 

Un se poocho kabhi chehray bhi parhay hain tum ne 
Jo kitabon ki kiya kartay hain baatein aksar 

Hum ne tund hawaon main jalaye hain chragh 
Jin hawaon ne ulat di hain bisaatein aksar 

Aur to koi nahin hai jo mujh ko tasali deta 
Haath rakh deti hai dil par teri yaadain aksar 

Haal kehna hai kisi se to mukhatab hai koi 
Kitni dil'chasp hua karti hain baatein aksar

Poet : Jaan nisaar Ahmed

Soch ka suraj doob raha hai

Aadha raasta teh kar aya 
Ab kiya soch raha hai aakhir
Anjaani manzil ki janib 
Chalta jaye
Ya wapis ho jaye raahi 
Soch kay hi aaghaz kiya tha 
So raston main aik chuna tha 
Aur ab soch hi rok rahi hai
Aagay bhi kuch tareeki hai
Loat kay jana bhi mushkil hai 
Soch ka suraj doob raha hai
Aisay raahi ki manzil hai aada raasta

Kaisay guzartay hain din aur raatein

Kaisay guzartay hain din aur raatein 

Jab apnay bhi praye ho jaate hain 

In lamhon ka karb na pooch imran 

Jab gum apnay hi saye ho jaatay hain

Kitna acha us ka lehja tha

Kitna acha us ka lehja tha 

Acha lagta tha daant'na us ka 

Kiya bataon keh qayamat tha 

Hont daanton se kaatna us ka

Na koi kisi se door hota hai

Na koi kisi se door hota hai 

Na koi kisi kay qareeb hota hai

Pyaar khud chal kar aata hai 

Jab koi kisi kay naseeb main hota hai

Hum ne us kay kehnay par

Hum ne us kay kehnay par

Ghar kay kachay raastay par 

Itnay deep jalaye 

Keh roshni ki had dekh kar woh 

Is parishaani main 

Wapis loat gaye 

Keh raat ka wada tha 

Magar 

Ab to din nikal aya hai 

Us ko chaha to izhaar na karna aya

Us ko chaha to izhaar na karna aya 

Kat gayi umar hamain pyaar na karna aya 

Us ne maanga bhi agar to judai maangi 

Aur hum thay keh hamain inkaar na karna aya

Sapurd kar kay ussay chandani kay haathon main

Sapurd kar kay ussay chandani kay haathon main 

Main apnay ghar kay andheron main loat aaon gi 

Badan kay karab ko woh bhi samjh na paye ga 

Main dil main ro'on gi , aankhon main muskuraaon gi

Parhtay parhtay so jaata hoon

Khud framoshi 

Parhtay parhtay so jaata hoon 

Sotay sotay kho jaata hoon 

Khwaish kay bazaaron main 

Jeevan kay azaaron main 

Khwabon kay ambaaron main

Smait kar apni dehleez ka pathar kar de

Smait kar apni dehleez ka pathar kar de

Ya khaak bana kar dar'ba'dar kar de

Us se door hain to baray karab main hain 

Ussay kaho meri azmaaish ko mukhtasir kar de

Ik ik phool bhout yaad aya

Ik ik phool bhout yaad aya 

Shaakh-e-gul jab woh jala di hum ne 

Koi to baat hai us main "Faiz"

Her khushi jis par kuta di hum ne

Suljha hua sa farad samjhtay hain mujh ko log

Suljha hua sa farad samjhtay hain mujh ko log 

Uljha hua sa mujh main koi doosra bhi hai 

Ajeeb hote hain aadaab-e-rukhsat-e-mehfil

Ajeeb hote hain aadaab-e-rukhsat-e-mehfil 

Woh bhi uth kar chala gaya jis ka koi ghar na tha

Bujh gaye thay diye bhi taaray bhi

Bujh gaye thay diye bhi taaray bhi 

Ik mera khwaab tha keh jalta raha 

Baat ka rukh , kabhi kabhi pehloo

Hijar ki shaam woh badalta raha 

NAhin fursat yaqeen maano hamain kuch aur karnay ki

NAhin fursat yaqeen maano hamain kuch aur karnay ki 

Teri yaadain , teri baatain , bhout masroof rakhti hain

Woh mila to sadiyon kay baad bhi mere lab pe koi gila na tha

Woh mila to sadiyon kay baad bhi mere lab pe koi gila na tha 

Ussay meri chup ne rulaa diya jissay guftagoo main kamaal tha 

Raat jab khud ko samait lay chand lamhon main

Raat jab khud ko samait lay chand lamhon main 

MAin samjh loon ga keh mere saath tum ho

Naya dard is dil main jaga kar chala gaya

Naya dard is dil main jaga kar chala gaya 

Kal phir woh mere shaher main aa kar chala gaya 

Jissay dhoondti rahi main logon ki bheer main 

Mujh se woh apna aap chupa kar chala gaya 

Main us ki khamoshi ka sabab poochti rahi 

Woh qissay ishar udhar kay suna kar chala gaya 

Yeh sochti hoon kaisay bhulaaon gi ab ussay 

Ik shakhs tha jo mujh ko bhulaa kar chala gaya 

Parveen Shakir

Yeh mizaaj-e-yaar ko kiya hua

Yeh mizaaj-e-yaar ko kiya hua 

Unhain mujh se pyaar hai aaj kal 

Meri justagoo meri guftagoo 

Mera intizaar hai aaj kal 

Woh teray khatoot nikaalana 

Kabhi dekhna kabhi choomna 

Yahi mashgala yahi silsala 

Yahi karo'baar hai aaj kal 

Ussay qatal kar , ussay qatal kar 

Tujhay saat khoon maaf hain 

Teri saltanat , tera dab'daba 

Tera iqtadaar hai aaj kal 

Aray kaif kal tak to tu rand tha 

Mere yaar tujh ko yeh kiya hua 

Bara mazhabi , bara paarsa 

Bara deen'daar hai aaj kal 

Unhain mujh se pyaar hai aaj kal

Yeh mizaaj-e-yaar ko kiya hua 

Unhain mujh se pyaar hai aaj kal 

Meri justagoo meri guftagoo 

Mera intizaar hai aaj kal 

Woh teray khatoot nikaalana 

Kabhi dekhna kabhi choomna 

Yahi mashgala yahi silsala 

Yahi karo'baar hai aaj kal 

Ussay qatal kar , ussay qatal kar 

Tujhay saat khoon maaf hain 

Teri saltanat , tera dab'daba 

Tera iqtadaar hai aaj kal 

Aray kaif kal tak to tu rand tha 

Mere yaar tujh ko yeh kiya hua 

Bara mazhabi , bara paarsa 

Bara deen'daar hai aaj kal 

Meri zindagi kay raaz main ik raaz tum bhi ho

Meri zindagi kay raaz main ik raaz tum bhi ho 

|Meri bandagi ki aas main ik aas tum bhi ho 

Tum kiya ho mere kuch ho , ya kuch bhi nahin magar 

Meri zindagi kay kaash main ik kaash tum bhi ho

Dil se wisaal-e-yaar ka armaan bhi gaya

Dil se wisaal-e-yaar ka armaan bhi gaya 
Dekha jo ghar udaas to mehmaan bhi gaya 

Kar li hai us ne phir gham-e-jana se dosti 
Lo apnay haath se dil-e-nadaan bhi gaya 

Mushkil tha apni raah pe laana ussay magar 
Tha baat main khloos to woh maan bhi gaya 

Dikhlaye kiya bahaar ne josh-e-junoon kay rang 
Daman bacha rahay thay giribaan bhi gaya 

Us ki wafa "Mohsin" na hasil hui mujh ko 
Main us kay dar par le kar dil-o-jaan bhi gaya 

Ik haseen khwaab ban kar tum

Ik haseen khwaab ban kar tum 
Mujhay her pal apni nigahon main rakhna 
Choo na sakain mujhay yeh hawain behki si 

Mujhay qaid apni wafaon main rakhna 
Main khaak hoon bikhar na jaaon kahin 
Mujhay samait kar apni baanhon main rakhna 

Jo karo tum mohabbat haddon se guzar kar 
Mera naam tum apni wafaon main rakhna 
Main karta hoon ehsaas tumhara 

Tum bhi mujhay yaad apni duaon main rakhna 
Kabhi bikhar na saka 
Az gardish-e-zamana 
Mujhay apnay pyaar ki pana'hon main rakhna 

Khushiyon se naraaz hai meri zindagi

Khushiyon se naraaz hai meri zindagi 

Pyaar ki motaaj hai meri zindagi 

HAns leta hoon logon ko dikhanay kay liye 

Warna dard ki kitaab hai meri zindagi

Dil ki kitaab ka pnna churanay gaya koi

Dil ki kitaab ka pnna churanay gaya koi 

Neend aankhon se uraa lay gaya koi 

Peenay ki aadat nahin thi hamain 

Jaam aankhon se pilaa gaya koi

Shakista dil hai magar milta hoon

Shakista dil hai magar milta hoon

Her ik se hans kar 

Yahi to fun hai jo aya hai 

Bhout kuch kho janay kay baad

Main ab soney se darta hoon

Kaha tha na Keh youn sotay huaye chor ke mat jana

Mujhay be-shak jaga dena bata dena

Tumhain rasta badalna hai

Meri had se nikalna hai

Tumhain kis baat ka dar tha

Keh main janey nahin doon ga

Kahin pe qaid kar loon ga

Aray pagli ! mohabbat ki tabiyat main 

Zabardasti nahin hoti

Jissat rasta badalna ho

Ussay rasta badalney se

Jissay had se nikalna ho

Ussay had se nikalney se

na koi roak paya hai

Na koi roak paye ga

Magar aik baat keh doon

Tumhain khoney de darta hoon

Main ab soney se darta hoon

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...