Sep 24, 2014

Ae meharbaan hawa kiyon chalti hai itni tez


Ae meharbaan hawa

Kiyon chalti hai itni tez

Aik payaam bhaiga hai sanam kay naam

KAhin gum na ho jaye teri tezi main

Tham tham kar chal

Keh payaam hai payaam-e-wasal

NA poncha to hijar ki yeh lambi raat

Aur gehri ho jaye gi

Phir

Na janay

KAb wasal kay mousam ayein gay

Kab shab-e-hijar ki sawair ho gi

Aye meharbaan hawa

Zara tham tham kar chal

Keh wasal ka her lamha

Tujhay duaein dy ga

Teri madaah srai main aik umar guzaar dy ga

JAb jab teri raah dekhi jab jab tujhay talaasha


JAb jab teri raah dekhi

Jab jab tujhay talaasha

Jab jab teri sadaa ko pukaara

Loat kar her nazar her sadaa her talaasha

Meray ujjaray aangan main misl-e-khaak

Bikhar gaye

Aur

Faqat itna kaha

Tera mehboob aasmaan ki wusa'aton mainnahin

Zameen ki pa'taal gehraiyon main nahin

Shabnam ki oos qatron main nahin

Sagar kay motiyon main nahin

Haan

Woh tujhay mile ga

Fajar ki thandi hawa main

Asr kay dhaltay suraj main

Shab-e-aakhir kay chragh-e-sehar main

Chaand ki chaandni main

Sawan ki pehli boond main

Woh milay ga tujhay teri apni nigahon main

Meray zakham bhout piyaaray hain mujh ko jaana


 Meray zakham bhout piyaaray hain mujh ko jaana

Kiyon keh

Yeh atta hain teray

Jo faqat aakhri soghaat hain

Teri ulfat main jo mile

MAin seenchta hoon inhain apnay lahoo se

Aur

Sajata hoon inhain gulaabon se

Bacha kar rakhta hoon inhain tapti hawaon se

Keh

Jab tu loatay

To paish kar sakon

Teray aagay keh aakhir yeh teri atta hain Jaana

Suna hai woh shaher main aya hai


Suna hai woh shaher main aya hai

Suna hai woh saath wafa laya hai

Suan hai woh phool sang apnay chand murjhaye laya hai

Suan hai woh ashk bhari muskuraahatain bhi laya hai

Uss se kaho

Yahan koi kharidaar nahin

Yahan koi be'qaraar nahin

Yahan koi sogwaar nahin

Us se kaho

Lout jaye

Keh

Yeh shaher-e-khamoshaan hai

Yahan sab basi khamosh hain

Yahan koi dard nahin koi chubhan nahin

YAhan bas meethi neend sotay hain

Teray chahnay wale

Ab nahin rotay hain

Ab nahin rotay hain

Aye Chaand tu kiyon tanha safar karta hai


Aye Chaand tu kiyon tanha safar karta hai

Sang sitaaron kay rehta hai

Phir bhi tu is qadar kiyon akela hai

Kiyon teri chaandni bhi udaas udaas lagti hai

Jaisay bheegi hon palkain kisi ki

Na janay kiyon yeh akela pan

Hum ehal-e-wafaNa janay kiyon yeh akela pan

Ki taqdeer tehra hai

Na janay kiyon

Suna hai zakhm harey hon to dard detay hain


Suna hai zakhm harey hon to

Dard detay hain

Kaanta ban kar chubhtay hain

Her pal aik mout martay hain

per

Jaana

Jo zakham tu ne diye

Woh to

Jaltay hain shama ki maanind

Ehsaas shabnam ka ban kar rehtay hain meray mann main

Jab main tanha hota hoon to kalaam kartay hain

Jab main rota hoon to tera aks ban kar dil lubhaatay hain

To janaa

Yeh teh hai

Jo hum suntay thay

Woh sab harf-e-ghalat tehray

Sirf harf-e-ghalat

Youn bhi tum ne juda hona hi tha


 Youn bhi tum ne juda hona hi tha

Youn bhi tum ne khafa hona hi tha

Phir janaa

Kiyon woh ehad-e-wafa kiya tha

Kiyon khwaab firdos ka dikhaya tha

Tum ne

Hum to mit hi chukay thay

Teri raah-e-wafa main

Phir kiyon

Tasveer bana kar mita hi di tum ne

Saahil pe likh kar naam mera ruswai di tum ne

Kiyon kiyon

Suno janaa sargoshiyaan kiya keh rahi hain


Suno janaa sargoshiyaan kiya keh rahi hain

Dil-e-be'taab ki

Tarasti hain tarapti hain siskati hain

Machalti hain

Un lamhon ko

Jo guzray thay

Teri saya-e-zulf main

Teri madhosh si nazron main

Teri mehakti saanson main

Loat aao

Keh sargoshiyaan thaknay lagi hain

Dharkanain dam-e-aakhir pe tehrien hain

Loat aao

Keh sargoshiyaan thaknay lagi hain

Dharkanain dam-e-aakhir pe tehrein hain

Loat aao

Keh phir woh bahaar aye

Jis main juda huye thay

Main aur tum

Raat ussay dekha talaash main thi kisi ki


Raat ussay dekha

Talaash main thi kisi ki

Poocha kiya kho gaya

Bola wafa

MAin hansa aur kaha

Pagal wafa kho jaye

To

Be'wafa ban kar nafraton kay dasht main

Misl-e-khaak urti hai

Zakhmi wafa ab nahin milti

Us ki talaash main zakham miltay hain

Sirf zakham

Dehaktay siskatay taraptay

Zakham

Yeh meray aangan main kaisi chaap hai


Yeh meray aangan main kaisi chaap hai

Kiya teray qadmon ki hai

Ya

Meray khyaal-e-peham ki

Aangan ki zameen kuch to hai

Magar

Khyaal ho teray qadam

Dono hi sunai detay hain

Barson se yeh azaab sehtay hain

Barson se yeh ashk behtay hain

Na janay

Kiyon phir tera khyaal

Qaba-e-weham orh kar

Chupkay se meray aangan main utar aata hai

Na janay kiyon

Na janay kiyon

Kuch raatain sulagti si kuch baatain bilakti si


Kuch raatain sulagti si

Kuch baatain bilakti si

Kuch moti bikhray say

Kuch khatt jalay se

Kuch khwaab tootay say

Kuch azaab roothay se

Yeh sab sambhaal rakhain hain

Teray jaanay kay baad jaana

Teri yaad kay jazeeron se

Aati hain ajab sar'goshiyaan si

Kiya tujhay yaad aye ga koi fasaana adhoora sa

Ya

Yaad aa gayi woh soghatain jo

Sambhaal rakhi hain

Teray jaanay kay baad jaana

Teray janay kay baad jaana

Silsala wafa ka wahein se jorain gay jaana


Silsala wafa ka wahein se jorain gay jaana

Jahan se mor tum murr gayein thein

Aftaab ki pehli kiran ko

Tanha tum chor gayein thein

Kalaam-e-ishq kay

Be'karaan tasalsul ko tum tor gayein thein

Silsala wafa ka waheen se jorrain gay jaana

Tumhari yaad hai woh

Samandar ka kinaara

Chaand tanha aur sitaara

Meray haathon main haath tumhara

Phir

Hathaili pe meri Ashk gira kar janaa tumhara

Chalo ab kay december main jaana

Jo zindagi ne ki wafa

to

Silsala wafa ka waheen se jorain gay jaana

Ghar ki chhat pe leta youn hi aasmaan ko takta rehta hoon


Ghar ki chhat pe leta youn hi aasmaan ko takta rehta hoon

Taaron se tera naam

Likhta rehta hoon

Kaisa pagal hoon main

Hawaon se tera pata poochta rehta hoon

Yaadon kay kai jhonkay

Chalay aatay hain

Bazam-e-khilwat main

Saja kar un ko taaq-e-dil main

Tujhay sochta rehta hoon

Ghar ki chhat pe leta

MAin aksar

Teray aangan ki

Surmai shaam

Main dhalta rehta hoon

Lafz gum ho jaatay hain youn aksar janaa


Lafz gum ho jaatay hain youn aksar janaa

Jaisay sagar main chaa jaye sakoot achanak

Jaisay mouj-e-rawaan tham jaye yak'dam

Jaisay koi chup ho jaye kuch kehtay kehtay

Lafz to lafz hain jaan-e-bahaaran

Teray hon ya meray

Chalo aaj in munjamind jazbon ko kuch lafz ata karain

Lafz aisay jo pighla dain un'dekhi zanjeeron ko

Aur

Gira dain dewaar

Chalo ab kay jana kuch aisa karain

Keh

Yeh lafz gum hi na hua karain

Chalo apnay ehad-o-paimaan ko

Yeh lafz ata karain

Larki woh aik masoom si bholi bhaali si


 Larki woh aik masoom si
Bholi bhaali si
Komal komal haathon se
Saahil ki rait pe
Sapno'on kay gharonday bana rahi hai
Un ko phir saja kar muskuraa rahi hai
Be'khabar hai pagli
Nahin jaanti
Mouj-e-sagar aik pal main
Sab sapnay us kay
BAha lay jaye gi
Aur
Phir dair talak
Yeh pagli
Ashk bahaye gi
Aur thak kar
Ghar loat jaye gi
Kiya yahi kahaani us ki zindagi
Ka hissa ban jaye gi

Woh do haath bhout yaad aatay hain



Woh do haath bhout yaad aatay hain

Sambhaala tha jinhon ne

Mera bachpan

Sakht dhoop jab bhi pari

Saya ban kar chaa gaye meray sar par

MAin roya jab bhi

Ashk meray lay liye hathali pe apnay

Mujh ko

Woh do haath bhout yaad aatay hain

JAb yaad aatay hain

Ashk aankh se nikal kar

Chashm-e-tasawur main

Jo girtay hain un

Do haathon par

Na janay kiyon

Woh do haath bhout yaad aatay hain

Bhout yaad aatay hain 
 

Kal raat youn hi nikal gaya tha raaston ki bhool bhuliyon main


Kal raat youn hi nikal gaya tha

Raaston ki bhool bhuliyon main

Uljha gaya tha bisaat-e-waqat ki

Uljhano main

Uktaa gaya tha mera mann

Mehfilon main

Isi liye nadaan mujhay le aya

Veeraniyon main

Had-e-nigah thak thay faaslay hi faaslay

Door talak phailay thay dhund'lakay

Yeh faaslay yeh dhund'lakay

Sab chuneda raahain

Hain meri apni

Main kaisay na chunta

YEh zehmatain

Keh adhoori reh gayi hain

Meri chahatein

Subh-e-zulmat ka andhera barh raha hai


Subh-e-zulmat ka andhera barh raha hai

Talaash-e-maseeha ka

Shor uth raha hai

Khalqat-e-khudawand main

Toofan-e-karb-o-bala hai

Aye Rab-e-Mohammad " yeh kaisa

Shor-e-mehshar teray koochay main

Macha hai

Khair-e-ummat jissay quraan ne

Pukaara hai

Woh aaj kiyon duniya main

Be'sahara hai

Aye rab-e-kainaat

Kashti-e-islaam ko aap bacha

Keh is kay na'khuda bhi doob gaye hain

Aur

Patwaar bhi toot gaye hain

Sun le hum gunah'gaar ummat ki

Fariyaad aye moula

Keh tujh ko phir zakhmi rooh se pukaara hai 

Kabhi jo tum loat kar aa sako to sang apnay


Kabhi jo tum loat kar aa sako

To sang apnay

Woh madaaratein

Woh rat jagon ki subhain

Woh adhoori si mohabbatain

Woh lahoo lahoo chandani raatain

Woh zakham hoti qurbatain

Woh paniyon pe likhi

Wafa ki daastaan

Woh teray lams ki sar goshiyaan

Woh teri muskaan ki jhil milaati roshniyaan

Woh baad-e-saba ki udaasiyaan

Woh meray aks ki kirchiyaan

Woh lamhon main guzri hui sadiyaan

Woh hashar barpa karti hui

Teri nazron ki mastiyaan

Woh meray qadmon ki larkhraahatein

Woh teri saanson ki dabi dabi si aahatain

Woh meray muqadar ki vasal subhatain

Woh wafa pe lagi tohmatain

La sako to khudara

Letay aana

Main muntazir milon ga

Saahil kay usi kinaaray par

Jahan toot gaya tha

Hamaray rishtay ka

Kacha dhaaga

KAbhi tum loat kar aa sako

Piyaas meri rooh ki jo tum bhujha sako

Kal shab aik hawa ka jhonka aya


Kal shab aik hawa ka jhonka aya

Phir se us ki aahat ka dhoka aya

Aanso'on ki baaris thi shayed

Jo hawa kay sang koi

Lamha rota aya

Shayed

Naag-e-tanhai ne dassa hai ussay

Khushboo-e-zehar main mehka

Woh jhonka aya

Kitna tanha ho gaya ho ga woh

Jo her sandesa us ka tanha sa aya

Silsala-e-rafaqat to khud hi

Qatta kar gaya tha woh

Kiyon phir hawa ka her pehlu

Khwaish-e-wasal main behta aya

Chalo raat kay daman se neendain churaatay hain


Chalo raat kay daman se

Neendain churaatay hain

Phir kuch khwaab buntay hain

Khwaab

Woh saray jinhain hum ne

Saahil ki rait pe likha tha

Baarish ki nanhi nanhi boondon main dekha tha

Khwaab woh

Jissay un qatron

main piroya tha

Un khwaabon ko amar to karna ho ga

Yehni

Tabeer ko un ki sab khona ho ga

Dekho

Ehtiyaat ka daaman na chootay

Un khwaabon main kahin koi

Shab-e-wasal

Ehad-e-wafa

Adhoori baat

Aankh ka kajal

Urrta hau aanchal

Yeh sab bhi rakha hai

Inhain zad na ponchay

Chalo saray khwaab amar kar lain 

Yeh piyaas jo labon pe tehri hai


Yeh piyaas jo labon pe tehri hai

Kis qadar yeh piyaasi hai

Honton par dariya

Rakh kar bhi dekhay

PAr yeh waisi ki waisi hai

Yeh piyaas

Jis ka zahoor lamhon main nahin hua

Barson ki kathnon se

Guzar kar janam pazeer hui hai

Shiddat-e-ehsaas-e-tishnagi se

Bhout muztarib rehti hai

Kabhi dareecha-e-dast se

Sawan nagri main jo

Jhaank leti hai

Piyaas ki yeh

Tarapti

Bilakti

Siskati

Piyaas mazeed barh jaati hai

Janay kis qadar yeh piyaas hai 
 

Aik payaam bhaiga hai sanam kay naam


Ae meharbaan hawa 

Kiyon chalti hai itni tez

Aik payaam bhaiga hai sanam kay naam 

KAhin gum na ho jaye teri tezi main 

Tham tham kar chal

Keh payaam hai payaam-e-wasal

NA poncha to hijar ki yeh lambi raat 

Aur gehri ho jaye gi 

Phir 

Na janay 

KAb wasal kay mousam ayein gay 

Kab shab-e-hijar ki sawair ho gi

Aye meharbaan hawa

Zara tham tham kar chal

Keh wasal ka her lamha 

Tujhay duaein dy ga 

Teri madaah srai main aik umar guzaar dy ga

Woh milay ga tujhay teri apni nigahon main


JAb jab teri raah dekhi

Jab jab tujhay talaasha

Jab jab teri sadaa ko pukaara

Loat kar her nazar her sadaa her talaasha

Meray ujjaray aangan main misl-e-khaak 

Bikhar gaye

Aur

Faqat itna kaha 

Tera mehboob aasmaan ki wusa'aton mainnahin 

Zameen ki pa'taal gehraiyon main nahin 

Shabnam ki oos qatron main nahin 

Sagar kay motiyon main nahin 

Haan 

Woh tujhay mile ga 

Fajar ki thandi hawa main 

Asr kay dhaltay suraj main 

Shab-e-aakhir kay chragh-e-sehar main 

Chaand ki chaandni main 

Sawan ki pehli boond main 

Woh milay ga tujhay teri apni nigahon main

MAin seenchta hoon inhain apnay lahoo se


Meray zakham bhout piyaaray hain mujh ko jaana
Kiyon keh 
Yeh atta hain teray 
Jo faqat aakhri soghaat hain 
Teri ulfat main jo mile
MAin seenchta hoon inhain apnay lahoo se
Aur
Sajata hoon inhain gulaabon se
Bacha kar rakhta hoon inhain tapti hawaon se
Keh 
Jab tu loatay 
To paish kar sakon 
Teray aagay keh aakhir yeh teri atta hain Jaana

Suna hai woh saath wafa laya hai


Suna hai woh shaher main aya hai 

Suna hai woh saath wafa laya hai

Suan hai woh phool sang apnay chand murjhaye laya hai

Suan hai woh ashk bhari muskuraahatain bhi laya hai

Uss se kaho

Yahan koi kharidaar nahin 

Yahan koi be'qaraar nahin 

Yahan koi sogwaar nahin 

Us se kaho 

Lout jaye

Keh

Yeh shaher-e-khamoshaan hai

Yahan sab basi khamosh hain 

Yahan koi dard nahin koi chubhan nahin 

YAhan bas meethi neend sotay hain 

Teray chahnay wale

Ab nahin rotay hain 

Ab nahin rotay hain

Yeh shaher-e-khamoshaan hai


Suna hai woh shaher main aya hai 

Suna hai woh saath wafa laya hai

Suan hai woh phool sang apnay chand murjhaye laya hai

Suan hai woh ashk bhari muskuraahatain bhi laya hai

Uss se kaho

Yahan koi kharidaar nahin 

Yahan koi be'qaraar nahin 

Yahan koi sogwaar nahin 

Us se kaho 

Lout jaye

Keh

Yeh shaher-e-khamoshaan hai

Yahan sab basi khamosh hain 

Yahan koi dard nahin koi chubhan nahin 

YAhan bas meethi neend sotay hain 

Teray chahnay wale

Ab nahin rotay hain 

Ab nahin rotay hain

Na janay kiyon yeh akela pan


Aye Chaand tu kiyon tanha safar karta hai 

Sang sitaaron kay rehta hai 

Phir bhi tu is qadar kiyon akela hai

Kiyon teri chaandni bhi udaas udaas lagti hai

Jaisay bheegi hon palkain kisi ki 

Na janay kiyon yeh akela pan 

Hum ehal-e-wafaNa janay kiyon yeh akela pan

Ki taqdeer tehra hai

Na janay kiyon

Woh sab harf-e-ghalat tehray


Suna hai zakhm harey hon to 

Dard detay hain 

Kaanta ban kar chubhtay hain 

Her pal aik mout martay hain 

per

Jaana

Jo zakham tu ne diye

Woh to

Jaltay hain shama ki maanind

Ehsaas shabnam ka ban kar rehtay hain meray mann main 

Jab main tanha hota hoon to kalaam kartay hain 

Jab main rota hoon to tera aks ban kar dil lubhaatay hain 

To janaa

Yeh teh hai 

Jo hum suntay thay 

Woh sab harf-e-ghalat tehray

Sirf harf-e-ghalat


Youn bhi tum ne khafa hona hi tha


Youn bhi tum ne juda hona hi tha 

Youn bhi tum ne khafa hona hi tha 

Phir janaa

Kiyon woh ehad-e-wafa kiya tha 

Kiyon khwaab firdos ka dikhaya tha 

Tum ne 

Hum to mit hi chukay thay 

Teri raah-e-wafa main 

Phir kiyon 

Tasveer bana kar mita hi di tum ne 

Saahil pe likh kar naam mera ruswai di tum ne 

Kiyon kiyon

Loat aao


Suno janaa sargoshiyaan kiya keh rahi hain 

Dil-e-be'taab ki

Tarasti hain tarapti hain siskati hain 

Machalti hain 

Un lamhon ko

Jo guzray thay 

Teri saya-e-zulf main 

Teri madhosh si nazron main 

Teri mehakti saanson main 

Loat aao

Keh sargoshiyaan thaknay lagi hain 

Dharkanain dam-e-aakhir pe tehrien hain 

Loat aao

Keh sargoshiyaan thaknay lagi hain 

Dharkanain dam-e-aakhir pe tehrein hain 

Loat aao

Keh phir woh bahaar aye

Jis main juda huye thay 

Main aur tum 


Talaash main thi kisi ki


Raat ussay dekha

Talaash main thi kisi ki 

Poocha kiya kho gaya 

Bola wafa

MAin hansa aur kaha 

Pagal wafa kho jaye

To

Be'wafa ban kar nafraton kay dasht main 

Misl-e-khaak urti hai

Zakhmi wafa ab nahin milti

Us ki talaash main zakham miltay hain 

Sirf zakham

Dehaktay siskatay taraptay

Zakham

Chupkay se meray aangan main utar aata hai


Yeh meray aangan main kaisi chaap hai 

Kiya teray qadmon ki hai 

Ya 

Meray khyaal-e-peham ki 

Aangan ki zameen kuch to hai 

Magar

Khyaal ho teray qadam

Dono hi sunai detay hain 

Barson se yeh azaab sehtay hain 

Barson se yeh ashk behtay hain 

Na janay

Kiyon phir tera khyaal

Qaba-e-weham orh kar 

Chupkay se meray aangan main utar aata hai 

Na janay kiyon 

Na janay kiyon

Teray jaanay kay baad jaana


Kuch raatain sulagti si 

Kuch baatain bilakti si

Kuch moti bikhray say

Kuch khatt jalay se

Kuch khwaab tootay say

Kuch azaab roothay se

Yeh sab sambhaal rakhain hain 

Teray jaanay kay baad jaana

Teri yaad kay jazeeron se 

Aati hain ajab sar'goshiyaan si 

Kiya tujhay yaad aye ga koi fasaana adhoora sa

Ya

Yaad aa gayi woh soghatain jo

Sambhaal rakhi hain 

Teray jaanay kay baad jaana 

Teray janay kay baad jaana

Meray haathon main haath tumhara


Silsala wafa ka wahein se jorain gay jaana

Jahan se mor tum murr gayein thein 

Aftaab ki pehli kiran ko

Tanha tum chor gayein thein 

Kalaam-e-ishq kay 

Be'karaan tasalsul ko tum tor gayein thein 

Silsala wafa ka waheen se jorrain gay jaana 

Tumhari yaad hai woh 

Samandar ka kinaara 

Chaand tanha aur sitaara 

Meray haathon main haath tumhara 

Phir

Hathaili pe meri Ashk gira kar janaa tumhara 

Chalo ab kay december main jaana 

Jo zindagi ne ki wafa 

to

Silsala wafa ka waheen se jorain gay jaana 


Taaron se tera naam likhta rehta hoon


Ghar ki chhat pe leta youn hi aasmaan ko takta rehta hoon 

Taaron se tera naam 

Likhta rehta hoon

Kaisa pagal hoon main 

Hawaon se tera pata poochta rehta hoon 

Yaadon kay kai jhonkay

Chalay aatay hain 

Bazam-e-khilwat main 

Saja kar un ko taaq-e-dil main 

Tujhay sochta rehta hoon 

Ghar ki chhat pe leta 

MAin aksar 

Teray aangan ki 

Surmai shaam 

Main dhalta rehta hoon

Chalo ab kay jana kuch aisa karain

 

Lafz gum ho jaatay hain youn aksar janaa

Jaisay sagar main chaa jaye sakoot achanak

Jaisay mouj-e-rawaan tham jaye yak'dam

Jaisay koi chup ho jaye kuch kehtay kehtay 

Lafz to lafz hain jaan-e-bahaaran 

Teray hon ya meray

Chalo aaj in munjamind jazbon ko kuch lafz ata karain 

Lafz aisay jo pighla dain un'dekhi zanjeeron ko

Aur

Gira dain dewaar

Chalo ab kay jana kuch aisa karain 

Keh

Yeh lafz gum hi na hua karain 

Chalo apnay ehad-o-paimaan ko

Yeh lafz ata karain

 

Kiya yahi kahaani us ki zindagi ka hissa ban jaye gi


Larki woh aik masoom si

Bholi bhaali si 

Komal komal haathon se

Saahil ki rait pe

Sapno'on kay gharonday bana rahi hai

Un ko phir saja kar muskuraa rahi hai

Be'khabar hai pagli

Nahin jaanti

Mouj-e-sagar aik pal main 

Sab sapnay us kay 

BAha lay jaye gi

Aur

Phir dair talak

Yeh pagli

Ashk bahaye gi

Aur thak kar 

Ghar loat jaye gi

Kiya yahi kahaani us ki zindagi

Ka hissa ban jaye gi

Bhout yaad aatay hain


Woh do haath bhout yaad aatay hain 

Sambhaala tha jinhonne

Mera bachpan 

Sakht dhoop jab bhi pari

Saya ban kar chaa gaye meray sar par 

MAin roya jab bhi

Ashk meray lay liye hathali pe apnay 

Mujh ko 

Woh do haath bhout yaad aatay hain 

JAb yaad aatay hain 

Ashk aankh se nikal kar 

Chashm-e-tasawur main 

Jo girtay hain un 

Do haathon par 

Na janay kiyon 

Woh do haath bhout yaad aatay hain 

Bhout yaad aatay hain 

Keh adhoori reh gayi hain meri chahatein



Kal raat youn hi nikal gaya tha 

Raaston ki bhool bhuliyon main 

Uljha gaya tha bisaat-e-waqat ki

Uljhano main 

Uktaa gaya tha mera mann

Mehfilon main 

Isi liye nadaan mujhay le aya

Veeraniyon main 

Had-e-nigah thak thay faaslay hi faaslay 

Door talak phailay thay dhund'lakay 

Yeh faaslay yeh dhund'lakay

Sab chuneda raahain 

Hain meri apni 

Main kaisay na chunta

YEh zehmatain 

Keh adhoori reh gayi hain 

Meri chahatein 


Yeh faaslay yeh dhund'lakay


Kal raat youn hi nikal gaya tha 

Raaston ki bhool bhuliyon main 

Uljha gaya tha bisaat-e-waqat ki

Uljhano main 

Uktaa gaya tha mera mann

Mehfilon main 

Isi liye nadaan mujhay le aya

Veeraniyon main 

Had-e-nigah thak thay faaslay hi faaslay 

Door talak phailay thay dhund'lakay 

Yeh faaslay yeh dhund'lakay

Sab chuneda raahain 

Hain meri apni 

Main kaisay na chunta

YEh zehmatain 

Keh adhoori reh gayi hain 

Meri chahatein 


Aye Rab-e-Mohammad



Subh-e-zulmat ka andhera barh raha hai 

Talaash-e-maseeha ka 

Shor uth raha hai 

Khalqat-e-khudawand main 

Toofan-e-karb-o-bala hai 

Aye Rab-e-Mohammad " yeh kaisa

Shor-e-mehshar teray koochay main 

Macha hai 

Khair-e-ummat jissay quraan ne 

Pukaara hai 

Woh aaj kiyon duniya main 

Be'sahara hai 

Aye rab-e-kainaat

Kashti-e-islaam ko aap bacha 

Keh is kay na'khuda bhi doob gaye hain 

Aur

Patwaar bhi toot gaye hain 

Sun le hum gunah'gaar ummat ki 

Fariyaad aye moula

Keh tujh ko phir zakhmi rooh se pukaar ahai 

Piyaas meri rooh ki jo tum bhujha sako



Kabhi jo tum loat kar aa sako 

To sang apnay 

Woh madaaratein 

Woh rat jagon ki subhain 

Woh adhoori si mohabbatain 

Woh lahoo lahoo chandani raatain 

Woh zakham hoti qurbatain 

Woh paniyon pe likhi 

Wafa ki daastaan 

Woh teray lams ki sar goshiyaan 

Woh teri muskaan ki jhil milaati roshniyaan 

Woh baad-e-saba ki udaasiyaan 

Woh meray aks ki kirchiyaan 

Woh lamhon main guzri hui sadiyaan 

Woh hashar barpa karti hui

Teri nazron ki mastiyaan 

Woh meray qadmon ki larkhraahatein 

Woh teri saanson ki dabi dabi si aahatain 

Woh meray muqadar ki vasal subhatain 

Woh wafa pe lagi tohmatain 

La sako to khudara 

Letay aana

Main muntazir milon ga 

Saahil kay usi kinaaray par 

Jahan toot gaya tha 

Hamaray rishtay ka 

Kacha dhaaga 

KAbhi tum loat kar aa sako 

Piyaas meri rooh ki jo tum bhujha sako

Phir se us ki aahat ka dhoka aya


Kal shab aik hawa ka jhonka aya

Phir se us ki aahat ka dhoka aya 

Aanso'on ki baaris thi shayed

Jo hawa kay sang koi 

Lamha rota aya 

Shayed

Naag-e-tanhai ne dassa hai ussay 

Khushboo-e-zehar main mehka

Woh jhonka aya 

Kitna tanha ho gaya ho ga woh 

Jo her sandesa us ka tanha sa aya

Silsala-e-rafaqat to khud hi

Qatta kar gaya tha woh 

Kiyon phir hawa ka her pehlu

Khwaish-e-wasal main behta aya 

 

Phir kuch khwaab buntay hain



Chalo raat kay daman se

Neendain churaatay hain

Phir kuch khwaab buntay hain 

Khwaab 

Woh saray jinhain hum ne 

Saahil ki rait pe likha tha 

Baarish ki nanhi nanhi boondon main dekha tha 

Khwaab woh 

Jissay un qatron 

main piroya tha 

Un khwaabon ko amar to karna ho ga 

Yehni 

Tabeer ko un ki sab khona ho ga 

Dekho

Ehtiyaat ka daaman na chootay

Un khwaabon main kahin koi 

Shab-e-wasal

Ehad-e-wafa

Adhoori baat 

Aankh ka kajal

Urrta hau aanchal

Yeh sab bhi rakha hai 

Inhain zad na ponchay

Chalo saray khwaab amar kar lain 

Janay kis qadar yeh piyaas hai


Yeh piyaas jo labon pe tehri hai 
Kis qadar yeh piyaasi hai
Honton par dariya 
Rakh kar bhi dekhay
PAr yeh waisi ki waisi hai 
Yeh piyaas
Jis ka zahoor lamhon main nahin hua
Barson ki kathnon se 
Guzar kar janam pazeer hui hai 
Shiddat-e-ehsaas-e-tishnagi se
Bhout muztarib rehti hai
Kabhi dareecha-e-dast se 
Sawan nagri main jo 
Jhaank leti hai 
Piyaas ki yeh 
Tarapti 
Bilakti 
Siskati
Piyaas mazeed barh jaati hai 
Janay kis qadar yeh piyaas hai 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...