Jun 20, 2014

Meri bar'badion ky afsanay


Meri bar'badion ky afsanay

Meray yaron ky naam letay hain 

Bas yahi ik juram hai apna

Hum mohabbat se kaam letay hain

Lohay-e-mizaar dekh ky jee dang reh gaya


Lohay-e-mizaar dekh ky jee dang reh gaya 

Her aik sar ky sath faqat sang reh gaya

Be'zubaan badalon ko de raha hai apni zubaan koi


Be'zubaan badalon ko de raha hai apni zubaan koi

Lagta hai asmaan ko suna raha hai dard ki dastaan koi

Yaad kisi ki chaa jati hai jab nain'on main


Yaad kisi ki chaa jati hai jab nain'on main 

Koi bhi mousam ho sawan ban jata hai

Woh shakhs to zara si baat pe youn rooth ky chal dia


Woh shakhs to zara si baat pe youn rooth ky chal dia

Jaisay sadiyon se ussay kisi bahanay ki talaash thi

Meri aankhon main ab bhi chubhta hai


Meri aankhon main ab bhi chubhta hai

Tu ne jo khwaab tor dala tha

Main hi main tha wajood main apnay


Main hi main tha wajood main apnay 
Meray hony main phir kami kiya thi

Noor hi noor tha andheray main 
Woh sar-e-daar roshni kiya thi 

Dono gham thay alag alag yehni 
Mera maatam , teri hansi kiya thi

Woh hum se bichar kar kaisay jeeta ho ga


Woh hum se bichar kar kaisay jeeta ho ga 

Bas yahi sochtay sochtay umar guzar gayi apni

Apni aankhon main meray khwaab rehnay do


Apni aankhon main meray khwaab rehnay do 

Kuch un'kahay sawalon kay jawaab rehnay do

Meri taqdeer ban gaye hotay


Meri taqdeer ban gaye hotay 

Meri taqdeer ban gayi hoti

Teri yaadon ki baarish barasti hai mujh par jab bhi


Teri yaadon ki baarish barasti hai mujh par jab bhi 

Main bheeg zaroor jaati hoon magar palkon ki had tak

Roz-o-shab ky melay main


Roz-o-shab kay melay main 

Ghaflaton kay maaray log 

Shayed yahi samjhtay hain 

Hum ne jis ko dafnaya tha 

BAs usi ko marna tha

Khair ho moula


Khair ho moula
Waqat ki tez hawa main Moula
Yeh gulnaar si titli aakhir
Urtay urtay thak jaye gi
Issay uraan ki khoo na dy
Ya is kay paron ki khush rangi ko wapis lay lay
Khair ho moula
Kahin kisi nigaah ki koi maili baarish
Roop ka aanchal
Rangon se mehroom na kar dy

Woh jin main chamaktay thay wafa ky moti


Woh jin main chamaktay thay wafa kay motti 

YAqeen jaano woh aankhain hi be'wafa niklein

Haan yaad aya us ky aakhri alfaaz yahi thay


Haan yaad aaya us kay aakhri alfaaz yahi thay

Ab jee sako to jee lena , par mar jaao to behtar hai

Ijazat ho to kuch arz karon



Ijazat ho to kuch arz karon ?

Khail chukay ho to dil wapis kar do !

Ishq karna hai to phir chaak giribaan kar le


Ishq

Ishq karna hai to phir chaak giribaan kar lay

Hosh walon se kahan raqs-e-junoon hota hai

Her her dil her thaan ich ishq smaya Ae


Her her dil her thaan ich ishq smaya Ae
Arsh farsh tay ishq ne qadam tikaya Ae
Ain chodan tabaq andar thwaan ishq diyaan 
Okhay painday lambiyaan rahwaan ishq diyaan 
Ain baatin Ain-ul-haq sadawaan ishq diyaan 
Okhay painday lambiyaan rahwaan ishq diyaan 
Dard jigar wich sakhat sazwaan ishq diyaan 

Jab bhi eid qareeb ati jati hai


JAb bhi eid qareeb aati jaati hai 
Dil main tumharay saath beeti eid ki 
Yaad bhout aati hai 
JAb tum muskuraatay lehjay main kehtay thay 
Eid mubarak ho 
Woh eid bhout yaad aati hai 
Ab baithay jab bhout door ho tum 
Tumhain sochtay her roz hain hum 
Aur yaad tumhari tarpaati hai 
Phir chaand ko dekh letay hain 
Ik pal ko hum duniya se be'khabar 
Be'parwa se ho kar 
Aahista se yeh kehtay hain 
Tum ko eid bhout bhout mubarak ho 
Phir tumhari yaad ko seenay se lagaye
Sapno ki duniya main kho jaatay hain 

Tujh ko Ehsaas kiyon nahin hota


Tujh ko ehsaas kiyon nahin hota 

Chahatein kis qadar zaroori hain 

Aao do chaar mil kay poori karain 

Khwaishein sai'karon adhoori hain

Ussay yeh shouq keh mohabbat ki bheek main mangoon


Shouq aur Zid


Ussay yeh shouq keh mohabbat ki bheek main mangoon 
Meri yeh zid keh taqaza mera asool nahin 

Ussay yeh shouq keh us ki sari zidain hon poori 
Mujhay yeh zid keh ruswai mujhay qabool nahin 

Ussay yeh shouq keh sari chahatein ussay doon aur woh luta de 
Meri yeh zid keh meri chahat itni bhi fazool nahin 

Ussay yeh shouq keh kaantay na lagain hathon main 
Meri yeh zid keh qisamat main sirf phool nahin 

Ussay yeh shouq keh hans ky sahoon main sari takleefain 
Meri yeh zid keh mera pyaar koi urti hui dhool nahi

Be'sabab na raat ko nikla karo


Be'sabab na raat ko nikla karo 
Tum to meray chaand ho samjha karo

Dekhtay ho tum zamanay bhar ko jaan
Meri janib bhi kabhi dekha karo

Kiya guzarti hai tumhari raat bhi 
Sach mohabbat main kabhi bola karo

Tum ko phoolon ki nazar lag jaye na 
Tum chaman main paiir na rakha karo

Main tumhara hoon tumhari jaan hoon 
Meray baray main kabhi socha karo 

Bant'tay ho sab ko zara roshni 
Apnay ghar bhi ik dia rakha karo

Haan main ne tujhay chaha inkaar nahin mujh ko


Haan main ne tujhay chaha inkaar nahin mujh ko 

Yeh jurm to saabit hai kya is ki safaai doon

Kuch zakham sadiyon baad bhi taza rehtay hain Faraz


Kuch zakham sadiyon baad bhi taza rehtay hain Faraz 

Waqat kay paas bhi her marz ki dawa nahin hoti

Shaam ayi hai Tara tara jaltay bujhtay , khawaab liye


Shaam aayi hai 
Tara tara jaltay bujhtay , khawaab liye 
Phir shaam aayi hai 
Her ik khawaab kay sar'namay par 
Apnay jag mag haath se tu ne 
Meray naam kay harf likhay hain 
Aur meri aankhon ka qariya 
Un ki manzil daj kiya hai 
Lakin pyaaray 
Ab kay phir tu tabeeron ka khana bharna 
Bhool gaya hai

Ab hussan ka rutba aali hai


Ab husan ka rutba aali hai 

Ab husan se sehraa khaali hai 

Chal basti main banjara ban 

Chal nagri main soda gar ho
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...