Mar 21, 2015

Kuch khwaab thay meri aankhon main


Kuch khwaab thay meri aankhon main

Tujhay paa lenay ki chahat thi

Chand lafzon main hi kehta hoon

Mujhay tum se bhout mohabbat thi

Par tu kya janay chahat ko

Tujhay ho jaati to poochtay hum

Dil jab jab toot kay rota hai

Kiya dard tumhain bhi hota hai

YEh khwaab haqeeqat ho jaye

Kisi apnay jaisay sang'dil se

Tujhay kaash mohabbat ho jaye

Abhi tum nazuk phool ho , sambhalo apnay jazbon ko


Abhi tum nazuk phool ho , sambhalo apnay jazbon ko 

Yeh titliyan , kachay phoolon ka bhout nuksaan karti hain

Toot kar bhi yeh kambakht dharakta rehta hai


Toot kar bhi yeh kambakht dharakta rehta hai 

Main ne is duniya main dil sa koi wafadaar nahin dekha

Zameen pe chal na saka aur aasmaan se bhi gaya


Zameen pe chal na saka aur aasmaan se bhi gaya 
Katwa kay par woh parinda uraan se bhi gaya 

Bhula diya to bhulanay ki intiha kar di 
Ab main us shakhs ky weham-o-gumaan se bhi gaya 

Kisi kay haath se nikla hua teer hoon main 
Jo hadaf ko choo na saka aur kamaan se bhi gaya 

Tabah kar gayi mujhy pakkay makaan ki khwaish 
Main apnay gaaon kay kacchay makaan se bhi gaya 

Paraai aag main kooda to kiya mila tujh ko Wasi 
Ussay bacha na saka aur apni jaan se bhi gaya 

Apnay matlab kay ilawa kon kisi ko poochta hai


Apnay matlab kay ilawa kon kisi ko poochta hai 

Bina rooh kay to ghar walay bhi miyyat ko nahin rakhtay

Aankhein ro pari na koi peghaam aaya


Aankhein ro pari na koi peghaam aaya 
Bhool gaya woh hamein na koi salam aaya 

Meri tanhai mujh se boli 
Ab bata ? ab meray siwa  kon teray kaam aaya

Main mar jaaon to meray sirhanay na bithana us ko


Main mar jaaon to meray sirhanay na bithana us ko 
Bhout tasali dena bhout pyaar se samjhana us ko 

Ghoomnay ka bahana kar kay door fizaon main kahin le jana us ko 
Woh be'wafa hai us waqat yeh ehsaas na dilaana us ko 

Us kay samnay na karna baatein aisi keh meri yaad aa jaye
Meray tafreeh kay mashgalay suna suna kay hansana us ko 

Woh roye gi bila'wajeh to meri rooh tarap uthaye gi 
Tum aisa karna meri mout ka hi na batana us ko
 

Main ne ro kar kaha mujhay chor do ya tor do


Main ne ro kar kaha mujhay chor do ya tor do

Woh be'wafa hans kar bolay itnay na'yaab khilonay roz kaha miltay hain

Main mar jaaon to ussay khabar bhi na honay dena


Main mar jaaon to ussay khabar bhi na honay dena

Masroof sa shakhs hai woh kahin us ka waqat bar'baad na ho jaye

Na rang aankhon ka laal rakhna


Na rang aankhon ka laal rakhna 
Na veeran veeran sa haal rakhna 

Jo chahaton main likhay thay hum ne 
Woh lafz saray sambhaal rakhna 

Machal machal kay adaa dikhana
Adaa kay andar kamaal rakhna 

Tujhay dilon ki mili hakoomat 
To shahon jaisa jalaal rakhna 

Meri duaein hain saath teray 
Bas apna thora khayal rakhna 

Akelay chor jatay ho , yeh tum acha nahin kartay


Akelay chor jatay ho , yeh tum acha nahin kartay 
Hamara dil jalatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Kaha bhi tha mohabbat hai mohabbat hi issay rakho 
Tamasha jo baantay ho yeh tum acha nahin kartay 

Utha'tay ho sar-e-mehfil falak tak tum hamein lakin 
Utha kar jo giraatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Koi jo pooch lay tum se keh rishta kiya hai ab un se 
To nazron ko jhukaatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Bikhar jayein andheron main sahara tum hi detay ho 
Magar phir chor jatay ho yeh tum acha nahin kartay

Ussay kehna abhi tak mojood hain is dil pe teray qadmon kay nishan


Ussay kehna abhi tak mojood hain is dil pe teray qadmon kay nishan 

Hum ne teray baad kisi ko is raah se guzarnay nahin diya

Mujhay koi jeenay ki hasrat nahin hai


Mujhay koi jeenay ki hasrat nahin hai 
Agar tum ko mujh se mohabbat nahin hai 

Bhula do yeh ranjish ki baatein 
Mujhay gham uthanay ki aadat nahin hai

Mujhay qurbaton ki saza na de


Mujhay qurbaton ki saza na de 

Meri chahaton ka gila na kar 

Meri hasraton pe na muskura 

Meri zindagi teray naam hai

Meri be'basi pe na khil'khila 

Mera pyaar tha teray wastay 

Mera pyaar tha teray wastay 

Main ne pyaar kar kay bura kiya

Mujhay kya pata main ne kya kiya 

Meri jaan main ne kaha tujhay 

Meray haal par mujhay chor de 

Mera jurm hai to bata mujhay

Koi zakham hai to dikha mujhay 

Meri jaan aisay khafa na ho 

Main ne kab kaha mujhay pyaar de

Ek tamana si hai is dil-e-nadan ki kaash


Ek tamana si hai is dil-e-nadan ki kaash 

Aaj Aansoo kay saath her khwaab bhi beh gaye

Duniya main to koi aur bhi ho ga teray jaisa


Duniya main to koi aur bhi ho ga teray jaisa

Par hum tujhay chahtay hain teray jaison ko nahin

Kaash meri zindagi se koi is tarah bhi waqif ho


Kaash meri zindagi se koi is tarah bhi waqif ho 

Keh main baarish main bhi ro'on to woh meray aansoo pehchaan lay

Darust kar hi liya main ne kal raat nazriya apna


Darust kar hi liya main ne kal raat nazriya apna 

Keh dard na ho to mohabbat mazaaq lagti hai

Tumhain jo meray gham-e-dil se Aagahi ho jaye


Tumhain jo meray gham-e-dil se Aagahi ho jaye 
Jigar main phool khilein , aankh shabnami ho jaye 

Ajal bhi us ki bulandi ko choo nahin sakti 
Woh zindagi jissay ehsaas-e-zindagi jo jaye 

Yeh hi hai dil ki halakat, yehi hai ishq ki mout 
Nigah-e-dost pe izhaar-e-be'kasi ho jaye

Zamana dosy hai kis kis ko yaad rakho gay 
Khuda karay tumhain mujh se dushmani ho jaye 

Siyah khana-e-dil main hai zulmaton ka hajoom 
Chragh-e-shouq jalao keh roshni ho jaye 

Ajal ki goud main qabil huwi hai umar tamaam 
Ajab nahin keh meri mout zindagi ho jaye

Jaagein gay kisi roz to is khawab -e-tarab se


Jaagein gay kisi roz to is khawab -e-tarab se 
Hum phool hi chuntay rahay , baghicha-e-shab se

Phir aik safar aur wohi harf-e-rafaqat 
Samjhay thay guzar aayein hain hum , teri talab se 

Khush dil hai agar koi to , kiya us ka yahan kaam 
Yeh baargaah-e-gham hai , qadam rakho adab se

Ab mousam-e-jaan se bhi yaqeen uthnay laga hai 
Dekha hai tujhay rang badaltay huwey jab se

Yahan bhi wohi begana rawi apni khuda si
Mangi jo kabhi koi dua shehar kay Rab se

Chonki hoon to dekha keh woh ham'raaz nahin hai 
Uljhan main hoon kis baat pe kis mor pe , kab se 

Yeh darkhor-e-hangama to pehlay bhi kahaan thi 
Hol aayi magar aaj to veeran-e-shab se

Kuch dost bhi ziada masroof huwey aur kuch 
Hum door hain , afsurdagi-e-dil kay sabab se

Main be'qasoor hoon , qudrat ka faisala hai yeh


Main be'qasoor hoon , qudrat ka faisala hai yeh 
Lipat kay mujh se bas woh itna bata kar royi 

Mujh pe ik qurb ka toofan ho gaya hai 
Jab meray samnay meray khat jala kar royi

Meri nafrat aur adawat pighal gayi ik pal main 
Woh be'wafa hai to kiyon mujhay rula kar royi

Sab shikwey meray ik pal main badal gaye 
Jheel si aankhon main jab aansoo saja kar royi

Jee to halka hua magar


Jee to halka hua magar 

Ro kar lutf-e-gham ganwa bethay

Zar parasti hayaat ho jaye


Zar parasti hayaat ho jaye 
Iss se behtar wafaat ho jaye 

Phir main duniya main ghoom sakta hoon 
Jism se gar nijaat ho jaye 

Aik devi ki aankh aisay lagi 
Jaisay mandir main raat ho jaye 

Dil kisi khel main nahin lagta 
Jab mohabbat main maat ho jaye 

But'shikan kiya bigaar sakta hai 
Dil agar som'naat ho jaye 

Kitnay beemar-e-ishq bach jayein 
Husn par gar , zakaat ho jaye 

Mehavar-e-ishq se zara hatay 
Muntashir kaainaat ho jaye 

Aankh parhna jissay bhi aa jaye 
Mahir-e-nafsiyaat ho jaye 

Aks-e-laila se , Qais baat to kar 
Ain mumkin hai , baat ho jaye 
 


Shamil tha yeh sitam bhi kisi nisaab main


Shamil tha yeh sitam bhi kisi nisaab main 
Titli mili hanoot purani kitaab main 

Dekhon ga kis tarah se kisi ko azaad main 
Sab kay gunnah daal de meray hisaab main 

Phir be'wafa ko behr-e-mohabbat samjh liya 
Phir dil ki naao doob gayi hai saraab main 

Pehlay gulaab us main dikhai diya mujhay 
Ab woh mujhya dikai diya hai gulaab main 

Woh rang-e-Aarasheen , woh dehakta hua shabaab 
Chehray ne jaisay aag laga di naqaab main 

Baarish ne apnay aks kahin dekhna na ho 
Kiyon aainay ubharnay lagay hain habaab main 

Gardish ki teziyon ne ussay noor kar diya 
Matti chamak rahi hai yehi aftaab main 

Us sang'dil ko main ne pukaara to tha "Adeem"
Apni sada hi loat kar aayi jawaab main

Bhala kya parh liya apnay haathon ki lakeeron main


Bhala kya parh liya apnay haathon ki lakeeron main
Keh us ki bakhshish kay itnay charchay hain faqeeron main 

Koi suraj se seekhay , adal kya hai , haq rasi kya hai 
Keh yaksaan dhoop batti hai , sagheeron main , kabeeron main 

Abhi ghairon kay dukh pe bheegna phooli nahin aankhein 
Abhi kuch roshni baaqi hai logon ki zameeron main 

Na woh hota , na main aik shakhs ko dil se laga rakhta 
MAin dushman ko bhi ginta hoon , mohabbat kay safeeron main 

Sabeelein jis ne apnay khoon ki her su lagi hon 
Main sirf aisay ghani ka naam likhta hoon ameeron main 

Badan azaad hai , andar meray zanjeer bajti hai
Keh main mukhtaar ho kar bhi gina jaaon aseeron main 


Karay ga qadar zamana hamari bhi ek din


Karay ga qadar zamana hamari bhi ek din 

Bas wafa ki buri aadat choot janay do

Teri yaad hai keh jaisay kisi ghreeb ki ghurbat


Teri yaad hai keh jaisay kisi ghreeb ki ghurbat 

Barhti hi chali jaa rahi hai

Ishq ne teri aankhon ki bee'nai cheen li


Ishq ne teri aankhon ki bee'nai cheen li 

Muddat se aarzoo thi deedar-e-yaar ki

Ishq ne teray sab bal nikal diye


Ishq ne teray sab bal nikal diye 

Muddat se aarzo thi seedha karay koi

Samnay aa kay na baitho youn Khudaara


Samnay aa kay na baitho youn Khudaara 

Sabar to sabar hai her baar nahin hota

Tu to meri jaan hai phir kiyon


Tu to meri jaan hai phir kiyon 

Teri hi yaad meri jaan le rahi hai

Khushboo gayi na dil se na yaadon se be'rukhi


Khushboo gayi na dil se na yaadon se be'rukhi 

Zaalim kay saray naqsh baray paai'daar thay

Main khud karon pehal , ya udhar se ho ibtida


Main khud karon pehal , ya udhar se ho ibtida

Barson guzar gaye isi intizaar main

Woh mujhay aziz thi , main bhi ussay pasand


Woh mujhay aziz thi , main bhi ussay pasand 

Phir janay kiya hua keh mohabbat nahin rahi 

Lipti rahi wajood se khushboo tamam raat


Lipti rahi wajood se khushboo tamam raat 
Aata raha hai yaad mujhay tu tamam raat 

Us ne baray khaloos se mangi thi roshni 
Girtay rahay makaan pe jugno tamam raat 

Rota raha woh aap hi apnay naseeb par 
Apnay galay main daal kay baazu tamam raat 

Fursat na thi tabeeb ko apnay hi kaam se 
Peetay rahay mareez bhi Aansoo tamam raat

Mili saza jo mujhay kisi khata pe na thi


Mili saza jo mujhay kisi khata pe na thi 

Mujh pe jurm jo sabit hua woh wafa ka tha

Faaslay itnay barhay hijar main Aazaar kay saath


Faaslay itnay barhay hijar main Aazaar kay saath
Ab to woh baat bhi kartay nahin gham-khwaar kay saath 

Ab to hum ghar se nikaltay hain to rakh detay hain 
Taaq pe izaat-e-sadaqat bhi dastaar kay saath 

Ik to tum khwaab liye phirtay ho galiyon galiyon 
US pe takraar bhi kartay ho kharidaar kay saath 

Hum ko us shaher main jeenay ka soda hai jahan 
Log mai'maar ko chun detay hain dewaar kay saath

Khouf itna hai teray shaher ki galiyon main "Faraz"
Chaap suntay hain to lag jaatay hain dewaar kay saath 

Junoon ko zabt sikha loon to phir chalay jana


Junoon ko zabt sikha loon to phir chalay jana
Main apna aap sambhaal loon phir chalay jana

Usi tarah hai abhi tishnagi in aankhon main 
Main in ki pyaas bujha loon to phir chalay jana

Dil ko yeh weham keh tum loat kar na aayo gay 
Yeh weham dil se nikaalon to phir chalay jana

Biyaz-e-dil pe jo utri hai surat-e-ilhaam 
Woh ghazal tum ko suna loon to phir chalay jana

Nisaar hotay hain shamma pe kaisay parwanay 
Yeh jashan tum ko dikha loon to phir chalay jana

Umeed kay sehraa main jo barson se kharra hai


Umeed kay sehraa main jo barson se kharra hai 
Halaat ki be'reham hawaon se larra hai 

Ruswai se bhaagay to yeh mehsoos hua hai 
Tanhai ki manzil ka safar kitan karra hai 

Heeray ki kani ho to , tabasum bhi bhout hai 
Lo samnay ik kaanch ka minaar kharra hai 

Youn zehan pe barsa hai teri yaad ka badil 
Jaisay keh koh-e-Alam toot parra hai 

Guzray huye lamhay kabhi wapis nahin aatay 
Kiyon surat-e-dewaar andheray main kharra hai 

Ik wajah-e-mubhim hoon ba'zahir main ufaq par 
Kehtay hain mera naam , meray qad se bara hai 

Ek main hi akela nahin is dast-e-khalish main 
JAlta hua suraj bhi meray sar pe kharra hai 

Na qadri-e-jazbaat kay is ehad main 
Aa jaaye raas pathar bhi barra hai 

 

Funkaar hai to haath pe suraj saja kay laa


Funkaar hai to haath pe suraj saja kay laa
Bujhta hua diya na muqabil hawa kay laa

Dariya ka intiqaam dabo de na ghar tera
Saahil se roz roz na kankar utha kay laa

Thori se aur moj main aa Ae hawa-e-gul
Thori si us kay jism ki khushboo chura kay laa

Samaan wafa ka baandh magar soch soch kar 
Is ibtidaa main youn na sakhat intihaa kay laa

Gar dekhna hai ehal-e-mashiyat ka hosla 
MAidaan se ghar main ek miyat utha kay laa

Mohsin ab us ka naam hai sab ki zubaan par 
Kis ne kaha tha us ko ghazal main saja kay laa

Bisat-e-umar par mujh ko khasara ho raha tha


Bisat-e-umar par mujh ko khasara ho raha tha 
Main suraj reh chuka tha , ab sitara ho raha tha 

Ba'zahir khaak uraanay ki baatein ho rahi thein 
Haqeeqat main meri jaanib ishaara ho raha tha 

Guzray jaa rahay thay meri aankhon se manzir
Aur is tarteeb se mera nazaara ho raha tha

Hum raaz khaal-o-khad ne teri aankhein dekh li thein 
So aainay main pathar Aashkaara ho raha tha

Bulandi ki sadaein door hoti jaa rahi thein
Naseebon se mujhay aisa ishaara ho raha tha 

Bhari mehfil main tujhay dekhtay rahay kisi ko shak bhi na hua


Bhari mehfil main tujhay dekhtay rahay kisi ko shak bhi na hua

Tera jatay huye mur mur kay dekhna mujhay bad'naam kar gaya 

Ek yeh khouf keh koi zakham na dekh lay dil kay


Ek yeh khouf keh koi zakham na dekh lay dil kay 

Aur ek yeh hasrat keh kaash ! koi dekhnay wala hota

Aakhri saans tak mujh se wabasta rahein gi teri yaadein


Aakhri saans tak mujh se wabasta rahein gi teri yaadein 

Shayed keh teray kahyalon main kal tak mera naam bhi na ho

Tujhay roz dekhon qareeb se


Tujhay roz dekhon qareeb se 
Meray shouq bhi hain ajeeb se 

Mujhay maangna hai tujhi ko bas
Apnay Rab aur us kay Habeeb se

Meri aankh main bhi hai Aajzi 
Meray khwaab bhi hain ghreeb se

Meray sab dukhon ki dawa ho tum 
Milay kya sakoon phir tabeeb se

Main bhout khush hoon jorr kay 
Naseeb apna teray naseeb se

Woh kitnay chain se soya hai aaj mujhay bhula kay


Woh kitnay chain se soya hai aaj mujhay bhula kay 

Jo kehta tha teray baazo'on kay bina neend nahin aati mujhay

Suna hai mil kay chalnay se muqaddar jaag jaatay hain


Suna hai mil kay chalnay se muqaddar jaag jaatay hain 

Yehi baat azmaanay ko chalo ik saath chaltay hain

Paaon rakhnay par cheekh uth'tay hain


Paaon rakhnay par cheekh uth'tay hain 

Khushk patton main bhi kitni anaa hoti hai

Kitni chahat se hum ne us ki chah ki thi


Kitni chahat se hum ne us ki chah ki thi
Mohabbat ussay khud se bhi ziyada ki thi 

Yeh afsoos kay ghalat thay hum 
Hum ne ik be'wafa se wafa ki thi 

Jis ne kiya samaan hamari mout ka 
Hum ne her saans kay saath us ki zindagi ki dua ki thi 

Jis ne kaantay bichaye hamari raahon main 
Hum ne uss kay liye her khushi fanaa ki thi

Woh nahin chahta hamein to na chahay
Hum ne to us se mohabbat be'panah ki thi

Hai numayaan teray jazbaat ki sadaaqat "Mohsin"


Hai numayaan teray jazbaat ki sadaaqat "Mohsin"

Aik hi shakhs ka barson tujhay pagal rakhna 

Dewaar par larza hai to dar kaamp raha hai


Dewaar par larza hai to dar kaamp raha hai 
Bichray ho to ujjra ghar kaamp raha hai 

Tum aankh ki putli main chupay sach ko bhi dekho 
Mujrim to nahin hai magar woh kaamp raha hai 

Veeran hai  is darja teray baad mera dil
Iss shaher main aatay huye darr kaamp raha hai 

Ik main keh judai ne mujhay kar diya sakhat 
Ik tu hai keh sadmay se udhar kaamp raha hai 

Aangan ko palat jaaon na main chor kay us ko 
Sehraa main mera khawaab-e-safar  kaamp raha hai 

Ya to meri beenai par khouf musallat hai 
Ya nehar kay pani main shajar bkaamp raha hai

Bujhnay nahin doon ga main kabhi hijar kay sadmay 
Dil main teri yaadon ka sharar kaamp raha hai

Bhout bheegay teri yaadon main


Bhout bheegay teri yaadon main 

Magar dil kay daagh nahin dhultay

Kisi ki yaad ko hum dil main basa kay roye


Kisi ki yaad ko hum dil main basa kay roye
Kisi ki tasveer ko hum seenay se laga kay roye

Jo wada kiya th ahum ne kisi se 
Hum us waday ko nibha kar roye

Jis shakhs ko hamari zaroorat bhi nahin thi 
Hum us ko apni aarzoo bana kay roye

Ji sne hamein apnay qadmon talay bhi jaga na di
Hum ussay apni palkon pe bitha kay roye

Jo samjh na saka hamari dil'lagi ko 
Hum us se dil laga kay roye

Un kay aanay ka hai imkaan Khuda khair karay


Un kay aanay ka hai imkaan Khuda khair karay 
Dil pe guzray ga yeh toofan Khuda khair karay 

Woh to hain oonchay mehlon kay rehnay walay 
Aur mera ghar biya'baan Khuda khair karay 

Un ka kehna hai keh mehfil main uthein gay naqaab 
Mera kho jaye na Emaan Khuda khair karay 

Woh yeh kehtay hain is baar judai ho gi 
Main yeh kehta hoon meri jaan Khuda khair karay 

Main ne maangi hai wafa aur wafa kay badlay 
Uss ne maangi hai meri jaan Khuda khair karay  


Main Eid main mehandi lagaon gi , mera sajan zaroor aaye ga


Main Eid main mehandi lagaon gi , mera sajan zaroor aaye ga 

Ab soch kay rakha hai hai keh youn Eib manaon gi

Dard se dil , tanhaiyon se ghar sajaon gi 

Log hain muntazir chaand kay mujhay intizaar tumhara hai 

Logon ki eid chand se

Main tumhain dekh kar Eid manaon gi

Log mil kar galay muskuratay hain 

Khil'khilaatay hain 

Main tujhay baanhon main lay kar ashk bahaon gi

Sajan ab to aa jaao keh main bhi eid mana loon 

Tum agar na aaye to main shaher hi chor jaaon gi 

Main Eid main mehandi lagaon gi 

Mera sajan zaroor aaye ga 

Mera sajan zaroor aaye ga 
 


Thokar lagi to muqaddar pe ja gira


Thokar lagi to muqaddar pe ja gira 
Phir huwa youn aaina pathar pe ja gira 

 Ehsaas-e-farz jab bhi hua neend aa gayi 
Chalna tha pul-e-siraat pe bister pe ja gira 

Bazi mohabbaton ki jahalat ne jeet li 
Woh ban gaya khateeb jo nunabar pe ja gira 

Khushboo qasoor waar nahin ussay chor do 
Main phool torta hua  kaanton pe ja gira 

Sehraaon main liye phira "Iqbal" pani ki justagoo
Jab pyaas mar gayi to samandar pe ja gira

Ek shakhs ki chahat ka armaan raha aksar


Ek shakhs ki chahat ka armaan raha aksar 
Jo jaan kar bhi sab kuch anjaan raha aksar 

Yeh pyaar mohabbat ka hai khel khuda janay kaisa
Keh jis ne wafa ki us ko nuksaan raha aksar 

Aata hai woh neendon main rehta hai woh khwabon main 
Ek yahi to us ka mujh pe ehsaan raha aksar

Jis din un ka deedar ho jaata hai


Jis din un ka deedar ho jaata hai 

US din sona dushwaar ho jaata hai

Mangtay hain log , hum se teri mohabbat ka saboot


Mangtay hain log , hum se teri mohabbat ka saboot

Meri mehandi ka laal rang teri chahat ki gawahi deta hai

Ghar aa kay bhout roye Maan baap akelay main


Ghar aa kay bhout roye Maan baap akelay main 

Matti kay khilonay bhi sastay na thay melay main

Sun Aray O-Be'wafa


Sun Aray O-Be'wafa 

Aaj se hum bhi tum jaisay

Waqat-e-rukhsat ponch raha tha meray aansoo apnay aanchal se


Waqat-e-rukhsat ponch raha tha meray aansoo apnay aanchal se

Us ko gham tha itna keh woh khud rona bhool gaya

Zamana hamein itna ghreeb kiyon samjhta hai


Zamana hamein itna ghreeb kiyon samjhta hai 

Un ko maloom nahin keh hum dard ki doulat se maala maal hain

Aaghaz-e-ishq to khoob tha , anjaam kya kahon


Aaghaz-e-ishq to khoob tha , anjaam kya kahon 

Pehlay to thi dil'lagi, ab dil ko ja lagi

Hum to nadaan hain , kya samjhein gay Asool-e-Mohabbat


Hum to nadaan hain , kya samjhein gay Asool-e-Mohabbat 

Bas tujhay chaha tha tujhay chahtay hain aur tujhay hi chahein gay

Meray jan-o-dil meray hamsafar main udaas hoon koi baat kar


Meray jan-o-dil meray hamsafar main udaas hoon koi baat kar 

Teray lab hilein to kattay safat main udaas hoon koi baat kar 

Koi bojh hai to utaar de , koi khouf hai to nikal de 

Mera haath hai teray haath par main udaas hoon koi baat kar 

Nahin yaad kitnay baras gaye , teri guftagoo ko taras gaye 

Meri khirkiyan meray dewaar-o-dar , main udaas hoon koi baat kar 

Tujhay chup hai kaisi lagi hui , abhi umar to hai pari hui 

Abhi muskura , abhi gham na kar , main udaas hoon koi baat kar

Mohabbat main be'sabri kiyon ?


Mohabbat main be'sabri kiyon ?

Teray hi hain tasali rakh 

Misaal-e-Aatish hai yeh rog-e-mohabbat


Misaal-e-Aatish hai yeh rog-e-mohabbat 

Roshan to khoon karti hai magar jala jala kar

Pareshan raat saari hai sitaro tum to so jaao


Pareshan raat saari hai sitaro tum to so jaao 
Sakoot-e-marg taari hai sitaro tum to so jaao 

Hanso aur hanstay hanstay doob jaao khayalon main 
Hamein yeh raat bhaari hai sitaro tum to so jaao 

Tumhain kya aaj bhi koi agar milnay nahin aaya
Yeh baazi hum ne haari hai sitaro tum to so jaao 

Kahay jaatay ho ro ro kay hamara haal duniya se 
Yeh kaisi raaz-daari hai sitaro tum to so jaao 

Hamain to aaj ki raat shab po phatnay tak jaagna hai 
Yeh hi qismat hamari hai , sitaro tum to so jaao

Hamein bhi neend aa jaye gi hum bhi so hi jayein gay 
Abhi kuch be'qaraari hai sitaro tum to so jaao 




Kuch us ko bhi aziz thay apnay sakht Usool


Kuch us ko bhi aziz thay apnay sakht Usool

Kuch hum bhi ittifaq se zid kay mareez thay 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...