Jan 30, 2015

Hum apni shaam ko jab nazar-e-jaam kartay hain


Hum apni shaam ko jab nazar-e-jaam kartay hain 
Adab se hum ko sitaray salaam kartay hain

Galay lagatay hain dushman ko bhi saroor main hum 
Bhout buray hain magar naik kaam kartay hain 

Sajaayen kiyon na issay yeh saraaye hai dil ki 
Yahan haseen musafir qayaam kartay hain 

HAyat baich di thoray se pyaar kay badlay 
Yeh karo'baar bhi teray ghulaam kartay hain 

Hamain bhi ek nazar  se nawaz de saqi 
Hum apnay hosh-o-khird teray naam kartay hain 

Qateel kitnay sukhan saaz hain yeh sanaatay 
Sakoot-e-shab main jo hum se kalaam kartay hain

Us ki kaali aankhon main hain yeh antar mantar sab


Us ki kaali aankhon main hain yeh antar mantar sab 

Chaaku waaku 
Churiyaan wuriyaan 
Khanjar wanjar sab 

Jis din se tum roothay mujh se , yeh bhi rootay roothay hain 

Chaadar waadar 
Takiya wakiya 
Bistar wistar sab 

Aakhir main kis din doobon ga , fikar main dooba rehta hoon 

Yeh dariya wariya 
KAshti washti 
Langar wangar sab 

Dukh kay chaman kay baasi hain yeh , dard kay shaher kay baani sab 

Yeh mohsin wohsin 
Ghalib shalib 
Sagar wagar sab 


Dil jo toota to nigahon ne bahaye aansoo


Dil jo toota to nigahon ne bahaye aansoo 
Qatra qatra meri palkon ne giraye aansoo 

Tishna lab is ne mera naam liya hai jab bhi 
Jaam bhar bhar kay mujhay is ne pilaye aansoo 

JAhan kuch bholi wafaon kay nishaan baaqi hain 
Hum ne un raahon pe ruk ruk kay bahaye aansoo 

Dard ka bojh zara kam to hua hai mera 
Surat-e-shair jo lafzon main sajaye aansoo 

MAin nahin dekh saka dard kisi ka 
Meri aankhon main to aaye hain paraye aansoo

Kis qadar ehtamam kartay ho


Kis qadar ehtamam kartay ho 

Dil dukhaana sawaab ho jaisay

Meri soch kay tehray pani main


Meri soch kay tehray pani main 
Teray nain kanwal jab hanstay hain 
Meray dhyaan kay uljhay aangan main 
JAb subha sitaaray chunti hain 
Jab shaam koi sur bunti hai 
Main sochta hoon in raaston main 
Hum kitni dair kay baad milay 

JAb kitnay mousam beet gaye 
Is karb kathor musafat main 
Dil sadiun chakna choor hua 
Is hijar kay taptay sehra main 
Kya ghazlein thein jo raakh hui 
Kya neendain thein jo khaak hui
Hum kitni dair kay baad milay 
Kiyon itni dair kay baad milay 

Ussay main kiyon bataon main ne us ko kitna chaha hai


Ussay main kiyon bataon main ne us ko kitna chaha hai

Bataya jhoot jaata hai

Keh sachi baat ki khushboo to

Khud mehsoos hoti hai

Meri baatein meri sochein

Ussay khud jaan janay do

Abhi kuch din

Mujhay meri mohabbat azmaanay do

Agar woh ishq kay ehsaas ko pehchaan na paye

Mujhay bhi jaan na paye

To phir aisa karo ae dil

Khud gum'naam ho jaao

Magar us be'khabar ko zindagi bhar muskuranay do

Abhi kuch din mujhay meri mohabbat azmanay do ...?

Ojhal sahi nigah se , dooba nahin hoon main


Ojhal sahi nigah se , dooba nahin hoon main

Ae raat khabardaar keh haara nahin hoon main

Dar'paish subh-o-shaam yahi kash'makash hai ab

US ka bano main kaisay keh apna nahin hoon main

Mujh ko farishta honay ka dawa nahin magar

Jitna bura samjhtay ho , utna nahin hoon main

IS tarah phair phiar kay baatain na keejiye

Lehjay ka rujh samjhta hoon bacha nahin hoon main

Mumkin nahin hai mujh se yeh tarz-e-munafqat

Duniya teray mizaaj ka banda nahin hoon main

Ghazab tha aaj gulshan main yeh hasrat khaiz nazara


Ghazab tha aaj gulshan main yeh hasrat khaiz nazara 

Idhar bulbul ka dam toota , udhar fasal-e-bahaar aayi

Haath main haath un ka youn aaya


Haath main haath un ka youn aaya 

Zindagi haath lag gayi jaisay

Ek tasveer jo kamray main lagai hui hai



Ek tasveer jo kamray main lagai hui hai 
Ghar ki tooti hui dewaar chupai hui hai 

Dhol ka shor qayamat hai keh teri baraat 
Doosray gaa'on se is gaa'on main ayi hui hai 

Aankh pe sheesha lagaya hai keh mehfooz rahay 
Teri tasveer jo paani main banai hui hai 

Takhat aur taaj to paa'on main paray rehtay hain 
Woh gadai teray darwaish ne pai hui hai 

Qabar par deep na rakh naam ka kutba na laga 
Hum ne mushkil se yeh tanhai kamai hai

Kitab-e-ishq likhnay ki mujhay fursat nahin


Kitab-e-ishq likhnay ki mujhay fursat nahin 

Abhi tak be'wafai par meri tehqeeq jaari hai

Dil-e-masoom pe teray qaatlaana hamlay


Dil-e-masoom pe teray qaatlaana hamlay 

Apnay naino se kaho zara tameez se

Bana kar dil ka wazir mujhay


Bana kar dil ka wazir mujhay 

Torr daali Asembliyan tu ne

Jab bhi miltay ho muskuraatay ho


Jab bhi miltay ho muskuraatay ho 

Itni khushiyan kon deta hai

Meri mohabbtein bhi ajeed thein


Meri mohabbtein bhi ajeed thein 
Mera faiz bhi tha kamaal par 

Kabhi sab kuch mila bina talab 
Kabhi kuch na mila sawaal par

Doob kar suraj ne mujhay aur bhi tanha kar diya


Doob kar suraj ne mujhay aur bhi tanha kar diya 

Mera saaya bhi chup gaya meray apno ki tarah

Aankh se lahoo na bahaya kar


Aankh se lahoo na bahaya kar 
Ae dil ussay kabhi to bhool jaya kar 

Dekhna woh ik din tujhay chor jaye ga 
Na tu ussay itna sataaya kar

Itna Aetabaar bhi acha nahin hota 
Ussay her ik baat na bataya kar 

Shiddat-e-gham se seena phat jaye ga 
Aankh se kuch aansoo bahaya kar   

Us jaisa tujhay kahin mil nahin sakta 
Hazaar baar roothay hazaar baar manaya kar 

Bas ik baar dard-e-dil ko khatam kar do Ae tabeeb


Bas ik baar dard-e-dil ko khatam kar do Ae tabeeb 

Wada kartay hain phir kabhi pyaar nahin karain gay

Jalta huwa diya dekh kar khush honay ki aadat thi us ki


Jalta huwa diya dekh kar khush honay ki aadat thi us ki 

Bas us ko khush dekhnay kay liye hum ne khud ko aag laga di

Bhout umeed rakhna aur phir be'aas hona bhi


Bhout umeed rakhna aur phir be'aas hona bhi 
Bashar ko maar deta hai bhout hasaas hona bhi 

Sunno ik kaan se aur doosray se phaink do baahir 
Bhout takleef-de hai sahib-e-ehsaas hona bhi 

Youn hi to abr-e-rehmat ki talab karta nahin koi 
Zaroori hai muqaddar main zara si pyaas hona bhi 

Bhout se qalb ruk jaatay hain khushiyon ki khabar paa kar 
Hamein to khoob jajta hai ghamon ka raas hona bhi

Bikhri taman'nao ka gham hai aur kuch bhi nahin


Bikhri taman'nao ka gham hai aur kuch bhi nahin 
Meri udaasi hi mera hum dam hai aur kuch bhi nahin 

Pathar numa shakhs ko ek phool ki maanind samjha 
Meri ek yeh hi khoobi kam hai aur kuch bhi nahin 

Log kehtay hain keh main taras shanas hoon 
Han yeh dil hi thora narm hai aur kuch bhi nahin 

Karri dhoop main jal jal kay mujhay manzil phir na mili 
Aur paaon main meray zakham hain aur kuch bhi nahin 

Main is dil ko cheer kay tujhay kiya dikhaon Ae jan-e-ghazal
Bas ek bara hi bewafa sanam hai aur kuch bhi nahin

Chashm-e-num teri rawaani se alag rehta hoon


Chashm-e-num teri rawaani se alag rehta hoon
Aag hi aag hoon pani se alag rehta hoon

Gumshuda hoon dhoond mat meray naam-o-nishaan
Main to her yaad dehani se alag rehta hoon 

Tu meray tazkara-e-ishq main kiyon rehta hai 
Main to khud apni kahaani se alag rehta hoon 

Phool se tark-e-taaluq ko zamana guzra
Ab to main teri her nishaani se alag rehta hoon 

Aik shakhs se mila hai mujhay sab dhoka-o-faraib 
Main ab aalam-e-faani se alag rehta hoon

Jab waqat aaya to woh bik chuka tha


Jab waqat aaya to woh bik chuka tha 

Mujh ko ameer honay main zara dair ho gayi

Ae dil qarz chukaanay hain umar bhar kay mujhay



Kabhi bhula kay kabhi yaad kar kay ussay 
Ae dil qarz chukaanay hain umar bhar kay mujhay 

Abhi to manzil-e-jana se koson door hoon main 
Abhi to raastay hain yaad apnay ghar kay mujhay 

Jo likhta phirta hai dewaar-o-dar pe naam mera 
Bakhair na dy kahin harf harf kar kay mujhya 

Mohabbaton ki bulandi pe hai yaqeen to koi 
Galay lagaya meray miyaar par utaar kay mujhay 

Chraagh ban kay jala jis kay wastay ik umar 
Chala gaya woh hawa kay sapurd kar kay mujhay

Kabhi bhula kay kabhi yaad kar kay ussay


Kabhi bhula kay kabhi yaad kar kay ussay 
Ae dil qarz chukaanay hain umar bhar kay mujhay 

Abhi to manzil-e-jana se koson door hoon main 
Abhi to raastay hain yaad apnay ghar kay mujhay 

Jo likhta phirta hai dewaar-o-dar pe naam mera 
Bakhair na dy kahin harf harf kar kay mujhya 

Mohabbaton ki bulandi pe hai yaqeen to koi 
Galay lagaya meray miyaar par utaar kay mujhay 

Chraagh ban kay jala jis kay wastay ik umar 
Chala gaya woh hawa kay sapurd kar kay mujhay

Mousam-e-wisaal guzar gaya to khayal ban kar mila karain gay


Mousam-e-wisaal guzar gaya to khayal ban kar mila karain gay 

Bichar gaye to hum ik maah-o-saal ban kar mila karain gay 

Kitab-e-ehad-o-wafa kay ik ik warq pe apni khabar milay gi 

Hum ehal-e-ulfat mohabbaton ki misaal ban kar mila karain gay 

Hazaar lamhon ki ho musaafat dilon ki dharkan sunaai dy gi 

Guzartay lamhon ki her sadaa main dhamaal ban kar mila karein gay 

Abhi to lamhon ki dooriyon par bhatak rahay hain magar kabhi hum 

Falak ki gardish main aa gaye to hilaal ban kar mila karein gay 

 

Aankhon se nikaltay huye ashkon ko sambhalo


Aankhon se nikaltay huye ashkon ko sambhalo 

Behtay huye paani pe safar kon karay ga

Kati hai gham ki raat baray ehtaraam se


Kati hai gham ki raat baray ehtaraam se
Aksar bhujha liya hai chraghon ko shaam se 

Roshan hai apni bazam aur is ehtraam se
Kuch dil bhi jal rahay hain chraghon kay naam se 

Muddat hui hai khoon-e-tamana kiye magar
Hum khailtay rahay kisi zulfon ki shaam se 

Her saans par hai mout ka pehraa laga hua 
Aahista ae hayaat guzar is maqaam se 

Kaati tamaam umar faraib-e-bahaar main 
Kaantay samit'tay rahay pholon kay naam se 

Yeh aur baat hai keh hum na sun sakay 
Awaaz us ne di hai hamein her maqaam se 

Tujhay chor bhi nahin saktay , teray ho bhi nahin saktay


Tujhay chor bhi nahin saktay , teray ho bhi nahin saktay 
Yeh kaisi be,basi hai aaj hum ro bhi nahin saktay 

Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai 
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahin saktay 

Chupa saktay hain aur na hum dikha saktay hain logon ko 
Kuch aisay daagh hain dil par jo hum dho bhi nahin saktay 

KAha tha chor dain gay yeh nagar , phir ruk gaye lakin 
Tumhain paa to nahin saktay magar kho bhi nahin saktay

Tum bhool jaao gay pal bhar main kabhi socha na tha


Tum bhool jaao gay pal bhar main kabhi socha na tha 

Agar hota maloom to tumharay qareeb aanay ka tasawur bhi na kartay

Woh to pani kay qatray hain jo aankhon se beh jatay hain


Woh to pani kay qatray hain jo aankhon se beh jatay hain 

Ansoo to woh hotay hain jo dard ban kay aankhon main hi reh jatay hain

Ek teri khamoshi jala deti hai dil ko


Ek teri khamoshi jala deti hai dil ko 

Baqi sab hi baatein achi hein teri tasveer main

Ho saza-e-mout to kiya lamha ho ga woh


Ho saza-e-mout to kiya lamha ho ga woh 

Keh hum qazi se aakhri khwaish teri mulaqaat mangein

Woh jo roop zair-e-niqaab tha


Woh jo roop zair-e-niqaab tha 
Ussay dekhna mera khwaab tha 

Jo mila tha hijar ki shakal main 
Meri chahaton ka azaab tha 
Yeh sawal tha keh mila karo 
Na mila karo yeh jawaab tha 
Jissay dekh kar main tarap utha 
Teri aankh main woh hijaab tha 
Teray paas thi meri tishnagi 
Meray paas jam-e-shrab tha 
Tera pyaar tha meri shairy 
Tera ishq meri kitaab tha 

Woh jo roop zair-e-niqaab tha 
Ussay dekhna mera khwaab tha


Us kay dil main jaga maangi thi musafir ki tarah


Us kay dil main jaga maangi thi musafir ki tarah 

Us ne tanhaiyon ka ek sehraa meray naam kar diya

Bhout juda hai auron se meray dard ki kefiyat


Bhout juda hai auron se meray dard ki kefiyat 

Zakham ka koi nishaan nahin , aur takleef ki koi intihaa nahin

Mousam-e-karb-e-intizaar bhi jhoot


Mousam-e-karb-e-intizaar bhi jhoot 

Dil na manay to wisaal-e-yaar bhi jhoot 

Ay mout teri talab bhi lghzish-e-lab

Ay zindagi tera aaitabar bhi jhoot

Meri taqdeer se pooch meri qismat ka faisala


Meri taqdeer se pooch meri qismat ka faisala 

Meri muskurahat pe na ja mera dard talaash kar 

Aankhon se pooch meray intizaar ki had 

Itminaan pe na jaa meray sabar ko talaash kar 

Meray doston se pooch meri dosti ka aalam 

Surat pe na jaa meri seerat talaash kar 

Jo mil jayein tum ko meri baaton kay jawaab 

To phir tu zara sa kaam kar 

Mujhay aas paas na dekh mujhay khud main talaash kar

Mana keh bhout qeemti hai waqat tera


Mana keh bhout qeemti hai waqat tera 

Magar hum bhi nayaab hain baar baar nahin miltay

Meri zindagi mujhay bata bhool kar tujhay kiya mila


Meri zindagi mujhay bata bhool kar tujhay kiya mila 

KAhan doob gayi kashti meri wafa ki 

Kiyon meri chahaton ko kinara na mila 

Mohabbat main hum bhi thay wafa daar dost

Par hamein aaj tak koi sahara na mila 

Jis shakhs ko bhi paanay ki tamana ki hum ne 

Woh hi shakhs phir hum ko dobara na mila 

Meri zindagi mujhay bata mujhay bhool kar tujhay kiya mila
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...