Showing posts with label Sahir Ludhianvi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sahir Ludhianvi Poetry. Show all posts

Feb 3, 2017

Bujha diye hain khud apnay haathon


Bujha diye hain khud apnay haathon 
Mohabbaton kay diye jala kay 
Meri wafa ne ujaar di hain 
Umeed ki bastiyan basa kay 
Tujhay bhulaa dain gay apnay dil se
Yeh faisala to kiya hai lakin 
Na dil ko maloom hai na hum ko 
Jeeyein gay kaisay tujhay bhulaa kay 
Kabhi milein gay jo raastay main 
To munh phair kar palat parein gay 
Kahin sunein gay jo naam tera to 
Chup rahein gay nazar jhukaa kay 
Na sochnay par bhi sochta hoon 
Keh zindgani main kya rahay ga ?
Teri tamana ko dafan kar kay 
Teray khayalon se door jaa kay 



Jun 10, 2016

Chalo aik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono




Khoobsurat morr

Chalo aik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono 
Na main tum se koi umeed rakhon dil'nawazi ki 
Na tum meri taraf daikho ghalt andaaz nazron se
Na meray dil ki dharkan larr'kharaye teri baton se
Na zahir ho tumhari kash'ma'kash ka raaz nazron se
Tumhein bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi se 
Mujhay bhi log kehtay hain keh yeh jalway par'raiye hain 
Meray hum'raah bhi ruswaiyan hain meray mazi ki 
Tumharay saath bhi guzri hui  raaton kay saye hain 
Ta'aruf rog ho jaye to is ka bhoolna behtar 
Taluq bojh ban jaye to is ka torna acha 
Woh afsana jissay anjaam tak laana na ho mumkin 
Ussay aik khoobsurat morr de kar chorna acha 
Chalo aik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono 

Fiza'ein soch rahi hain keh ibn-e-adam ne


Fiza'ein soch rahi hain keh ibn-e-adam ne 
Khird ganwa kay junoon aazma kay kya paya 

Wohi shakist-e-tamana wohi gham-e-ayaam 
Nigaar-e-zeest ne sab kuch luta kay kya paya 


Faraib-e-jannat farda kay jaal toot gaye


Faraib-e-jannat farda kay jaal toot gaye 
Hayat apni umeedon pe sharam'saar si hai 

Chaman main jashan-e-darood-e-bahar ho bhi chuka 
Magar nigah-e-gul-o-lala so'gawar si hai 

Fiza main garam bagulon ka raqs jaari hai


Fiza main garam bagulon ka raqs jaari hai 
Ufaq pe khoon ki meena chalak rahi hai abhi 

Kahan ka mehar munawar , kahan ki tanveer'ein 
Keh baam-o-dar pe siyahi jhalak rahi hai abhi 

Umar bhar reengtay rehnay se kahin behtar hai


Umar bhar reengtay rehnay se kahin behtar hai 
Aik lamha jo teri rooh main wusat bhar de 

Aik lamha jo teray geet ko shokhi de day 
Aik lamha jo teri lay main mussarat bhar de 

Zakham khurda hain takhyul ki uranein teri


Zakham khurda hain takhyul ki uranein teri 
Teray geeton main teri rooh kay gahm paltay hain 

Sar'mageen aankhon main youn hasratein lo deti hain 
Jaisay veeran mizaron pe diye jaltay hain 

Teray nazuk se paron par yeh zar-o-seem ka bojh


Teray nazuk se paron par yeh zar-o-seem ka bojh 
Teri parwaz ko azaad na honay de ga 

Tu ne rahat ki tamana main jo gham pala hai 
Woh teri rooh ko abaad na honay de ga 

Ae tarb zaar-e-jawani ki parishan titli


Ae tarb zaar-e-jawani ki parishan titli 
Tu bhi ik bu-e-giraftaar hai maloom na tha 

Teray jalwon main baharein nazar ati thein mujhay 
Tu sitam khurda-e-adbaar hai maloom na tha 

Main ne jis waqat tujhay pehlay pehal daikha tha


Main ne jis waqat tujhay pehlay pehal daikha tha 
Tu jawani ka koi khawab nazar aayi thi 

Husan ka naghma-e-javed hui thi maloom 
Ishq ka jazba-e-be'taab nazar aayi thi 

Jun 9, 2016

Meri dar'manda jawani ki tamana'on kay


Meri dar'manda jawani ki tamana'on kay 
Muz'mahil khawab ki tabeer bata de mujh ko 

Teray daman main gulistan bhi hain veeranay bhi 
Mera hasil , meri taqdeer bata de mujh ko 

Kon janay meray amroz ka farda kya hai


Kon janay meray amroz ka farda kya hai 
Qurbatein barh kay pash-e-maan bhi hi jati hain 

Dil kay daman se lipat'ti hui rangeen nazrein 
Daikhtay daikhtay anjaan bhi ho jati hain 

Tera andaz-e-karam aik haqeeqat hai magar


Tera andaz-e-karam aik haqeeqat hai magar 
Yeh haqeeqat bhi haqeeqat ka fasana hi na ho 

Teri manoos nigahon ka yeh motaat payam 
Dil kay khoon karnay ka aik aur bahana hi na ho 


Teray hathon ki hararat teray sanson ki mehak


Teray hathon ki hararat teray sanson ki mehak 
Tairati rehti hai ehsaas ki pinhaai main 

Dhoondti rehti hain takhiyul ki baanhein tujh ko 
Sard raton ki sulagti hui tanhai main 

Tu kisi aur kay daman ki kali hai lakin


Tu kisi aur kay daman ki kali hai lakin 
Meri raatein teri khushbu se basi rehti hain 

Tu kahin bhi ho teray phool se aariz ki qasam 
Teri palkein , mei aankhon main jhuki rehti hain 

Pyar par bas to nahin hai mera lakin phir bhi


Pyar par bas to nahin hai mera lakin phir bhi 
Tu bata de keh tujhay pyar karon ya na karon 

Tu ne khud apnay tabasam se jagaya hai jinhein 
In tamana'on ka izhaar karon ya na karon 

Meri ujri hui neendon kay shabistano main



Meri ujri hui neendon kay shabistano main 
Tu kisi khawab kay paikar ki tarah aayi hai 

Kabhi apni si , kabhi ghair nazar aayi hai 
Kabhi ikhlaas ki moorat kabhi harjaai hai 


Meray khawabon kay jharokon ko sajanay wali


Meray khawabon kay jharokon ko sajanay wali 
Teray khwabon main kahin mera guzar hai keh nahin 

Pooch kar apni nigahon se bata de mujh ko 
Meri raton kay muqaddar main sehar hai keh nahin 

Chaar din ki yeh rafaqat , jo rafaqat bhi nahin 
Umar bhar kay liye Azaar hui jati hai 

Zinfagi youn to hamesha se parishan si thi 
Ab to her saans garaan baar hui jati hai 


Main ne her chand gham-e-ishq ko khona chaha


Main ne her chand gham-e-ishq ko khona chaha 
Gham-e-ulfat gham-e-duniya main samona chaha 

Wohi afsanay meri simat rawan hain ab tak 
Woh sholay meray seenay main nihan hain ab tak 

Wohi be'sood khalish hai meray seenay main hanooz
Wohi be'kaar tamana'ein jawan hain ab tak 

Woh hi gaisu meri raaton pe hain bikhray bikhray 
Wohi aankhein meri janib nigran hain ab tak 

Kasrat-e-gham bhi meray gahm ka madawa na hui 
Meray be'chain khayalon ko sakon mil na saka 

Dil ne duniya kay her aik dard ko apna to liya 
Muz'mahil rooh ko andaz-e-junoon mil na saka 

Meri takhiyul ka sheeraza barham hai wohi 
Meray bujhtay huye ehsaas ka aalam hai wohi 

Wohi be'jaan iraday wohi be'rang sawal 
Wohi be'rooh kasha'kash wohi be'chain khayal 

Aah isi kash mukash subha-o-masa ka anjaam 
Main bhi na'kaam meri saa'ei amal bhi na'kaam 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...