Dec 23, 2014

Dil'lagi main waqat-e-tanhai aisa bhi aata hai


Dil'lagi main waqat-e-tanhai aisa bhi aata hai 

Keh raat chali jaati hai magar andheray nahin jaatay

Woh kehta tha tujh se bichar kar veeran ho jayein gay


Woh kehta tha tujh se bichar kar veeran ho jayein gay 

Aaj pooray shaher main sab se abaad ghar usi ka mila

Jin kay dil pe lagti hai woh aankhon se nahin rotay


Jin kay dil pe lagti hai woh aankhon se nahin rotay 

Jo apno kay nahin huye woh kisi kay nahin hotay 

Waqat ne mujhay aksar yeh sikhaya hai 

Sapnay toot jaatay hain par pooray nahin hotay

Socha tha teri saadgi pe likhon ga ik ghazal


Socha tha teri saadgi pe likhon ga ik ghazal

Afsoos keh teray mayaar kay alfaaz na mil sakay

Yeh baarish ka mousam , yeh thanda sama


Yeh baarish ka mousam , yeh thanda sama

Batao , yeh koi waqat hai hum se door rehnay ka

Mohabbat main sab fanaa nahin hota


Mohabbat main sab fanaa nahin hota 

Kisi ko chahna koi gunnah nahin hota 

Log poochtay hain unhain kitna pyaar kartay ho 

Par woh kiya jaanay pyaar lafzon main biyaan nahin hota

Seekh lo kisi kay pyaar ki qadar karna


Seekh lo kisi kay pyaar ki qadar karna 

Kahin koi mar na jaye tumhain yaad kartay kartay

Kahan hain woh log jo kehtay thay keh gunnah hai


Kahan hain woh log jo kehtay thay keh gunnah hai 

Mujhay to is ishq ne khuda yaad karwa diya

Mat pooch kay kis tarah say katt rahi hai zindagi


Mat pooch kay kis tarah say katt rahi hai zindagi 

Us dour se guzar rahay hain jo guzarta hi nahin

Kitnay aasaan lafzon main keh gaya mujh se woh


Kitnay aasaan lafzon main keh gaya mujh se woh 

Keh sirf dil hi to tora hai kon si jaan lay li hai

Dil ki tanhai main ,Yaad kay zakham bhout gehray hain


Dil ki tanhai main 

Yaad kay zakham bhout gehray hain 

Ae dost

Koi paas nahin 

Jo haath pakar kar itna keh day 

Aaj se teray saaray dukh meray hain

Tum kiya jaano hum apnay aap main kitnay akelay hain be'wafa


Tum kiya jaano hum apnay aap main kitnay akelay hain be'wafa

Pooch un dewaaron se jo kehti hain khuda kisi ko itna tanha na karay

Mohabbat kiya hai mat poocho , issay bas raaz rehnay do


Mohabbat kiya hai mat poocho , issay bas raaz rehnay do 

Yeh aisa lafz hai jis ki wazahat dard deti hai

Aabaad rahay gi yeh duniya hamaray baad bhi Ae dost


Aabaad rahay gi yeh duniya hamaray baad bhi Ae dost 

Hum nahin hon gay to koi aur hum sa ho ga

Dar nahin lagta mujhay haar jaanay se


Dar nahin lagta mujhay haar jaanay se 

Haaro gay tum meray door jaanay se 

Aaj paas hoon to qadar nahin kartay 

Toot jaao gay tum meray chalay jaanay se

Bari talab hai teray deedaar ki be'chain nigahon ko


Bari talab hai teray deedaar ki be'chain nigahon ko 

Kisi shaam chalay aao in aankhon main raat ka khwaab ban kar 

 

Is zindagi ka kiya bharosa jo 2 pal ki hai


Is zindagi ka kiya bharosa jo 2 pal ki hai

Hum bhi lamhon ki tarah guzar jayein gay jo loat kar nahin aatay

Tum ne to phir bhi seekh liya zamanay kay saath jeena


Tum ne to phir bhi seekh liya zamanay kay saath jeena 

Hum to kuch bhi na kar sakay tujhay chahnay kay siwa

Us se wabasta , kush fehmi ka yeh aalam tha


Us se wabasta , kush fehmi ka yeh aalam tha 

Hichki mout ki aayi aur hum samjhay keh us ne yaad kiya

Hamaray chahnay walay hamain bhool gaye to kiya hua


Hamaray chahnay walay hamain bhool gaye to kiya hua 

Jab mousam badalta hai to pattay jhar hi jaatay hain

Kon poochta hai pinjray main band in panchiyon ko


Kon poochta hai pinjray main band in panchiyon ko 

Yaad woh hi aatay hain jo urr jaatay hain

Main apni mohabbat main bachon ki tarah hoon


MAin apni mohabbat main bachon ki tarah hoon 

Jo mera hai main kisi aur ko kiyon doon

Hum to aaye thay teray shaher main dil kay zakhmon ki dawa lenay


Hum to aaye thay teray shaher main dil kay zakhmon ki dawa lenay 

Hamain kiya khabar thi keh yahan to dil hi nikal letay hain

Agar tum bhi chor gaye to mohabbat phir na karain gay kisi se


Agar tum bhi chor gaye to mohabbat phir na karain gay kisi se

Thori si to umar hai kis kis ko azmaatay phirain

Ab acha nahin lagta baar baar kisi ko apni yaad dilaana


Ab acha nahin lagta baar baar kisi ko apni yaad dilaana 

Jin main pyaar hota hai woh khud hi yaad kar letay hain 

Mujhay to aata hai lutf ab raaton ko jaagnay main Ae dost


Mujhay to aata hai lutf ab raaton ko jaagnay main Ae dost

Tanhaiyaan dost ban jayein to andheray bhi achay lagtay hain

Qaid-e-tanhai se hamain chutkaara nahin milta


Qaid-e-tanhai se hamain chutkaara nahin milta 
Ab kisi se bhi andaaz hamara nahin milta 

Qismat main hi na ho wafa to kisi se kiya gila 
Ishq main doobnay walon ko kinaara nahin milta 

Kiyon rota hai akela baith kar kisi ki khatar
Jo ik baar bichar jaye dobara nahin milta

Kuch logon ka kehna hai keh mil jaati hai her cheez
Lakin jo asmaan se toot jaye woh sitaara nahin milta 

Kiyon talaash karta hai wafa duniya main 
Yahan to apno se bhi sahara nahin milta

Jab mehndi walay haathon se adaab kiya us ne





Kuch aur bhi jazbon ko be'taab kiya us ne 
JAb mehndi walay haathon se adaab kiya us ne 

Surkh kapron main kuch ziada hi haseen lag rahi thi 
Jab mehandi us kay haathon pe chamak rahi thi 
Us ko dekh kar meray dil ki dharkan youn tham rahi thi 
JAb us ki doli meri miyat kay saath nikal rahi thi 
Dekhnay walon ko la'jawaab kiya us ne 
Jab mehndi walay hathon se adaab kiya us ne 

Jis kay liye zindagi ganwa betha hoon 
Apni aankhon ko be'intiha rula baitha hoon 
Us ki be'wafai kiya rang layi hai 
Kisi aur kay liye apnay haathon pe mehndi lagayi hai 
Meri aankhon ko ik haseen khwaab diya us ne 
JAb mehndi walay haathon se adaab kiya us ne 

So baar marna chaha us ki nigahon main doob kar


So baar marna chaha us ki nigahon main doob kar 

Woh nigahein jhuka leta hai , magar hamain marnay nahin deta

Bura nahin socha kabhi bhi main ne kisi kay liye


Bura nahin socha kabhi bhi main ne kisi kay liye 

Jis ki jaisi soch thi us ne waisa hi jaana mujhay

Na samjh sakay tum hamari mohabbat ki intiha ko


Na samjh sakay tum hamari mohabbat ki intiha ko 

Samjh jaatay agar to hum se ziada tum hamaray talab'gaar hotay

Haal poochti nahin yeh be'wafa duniya , zinda logon ka


Haal poochti nahin yeh be'wafa duniya , zinda logon ka 

Chalay aatay hain tayaar ho kar janazay pe baraat ki tarah

Tum agar kisi ki chahat paanay kay liye jee rahay ho


Tum agar kisi ki chahat paanay kay liye jee rahay ho 

To apnay dil ki baat ussay bata do 

Kiyon keh 

Zindagi moqa kam aur dhokha ziyada deti hai

Faqat hum hi be'taab nahin hain dard-e-judai ki qasam faraz


Faqat hum hi be'taab nahin hain dard-e-judai ki qasam faraz 

Kabhi to woh bhi roye ga tanhai main hamain yaad kar kay

Tera maqaam meray dil main is qadar buland hai meray dost


Tera maqaam meray dil main is qadar buland hai meray dost 

Agar mehsoos kar lo to kisi aur kay ho na paao gay 

Dil kay ghar main basnay walay ajnabi nahin hotay


Dil kay ghar main basnay walay 

ajnabi nahin hotay 

Her waqat yaad aanay walay

ajnabi nahin hotay hain par 

gham denay walay bhi 

ajnabi nahin hotay

Umeed na rakhna kisi se sachay pyar ki Ae dost


Umeed na rakhna kisi se sachay pyar ki Ae dost

Baray pyaar se dhoka detay hain , shiddat se chahnay walay

Hairaan na hau kar youn meray yaad karnay par


Hairaan na hau kar youn meray yaad karnay par 

Taaluq jin se dil ka ho woh aksar yaad aatay hain

Ishq kay nashay main doobay to yeh jaana hum ne


Ishq kay nashay main doobay to yeh jaana hum ne 

Keh dard main tanhai nahin hoti magar tanhai main dard bhout hota hai

Ussay main somp doon apni yeh muntazir aankhein


Ussay main somp doon apni yeh muntazir aankhein 

Woh meri khoj main jaanay ka tazkara to karay 

Anna ki qaid se muqaabla to karta hai 

Woh mera saath nibhaanay ka hosla to karay 

KAbhi na tootnay wala hisaar ban jaaon 

Woh meri zaat main rehnay ka faisala to karay 
 


Kitni ajeeb hai is shaher ki tanhai bhi


Kitni ajeeb hai is shaher ki tanhai bhi 

Hazaron log hain magar phir bhi koi teray jaisa nahin

Dekh kay duniya ko hum bhi badlain gay ab apna mizaaj-e-mohabbat sagar


Dekh kay duniya ko hum bhi badlain gay ab apna mizaaj-e-mohabbat sagar 

Raabta sab se ho ga lakin wasta kisi se nahin

Jissay chaha kaash woh hamara hota


Jissay chaha kaash woh hamara hota 

Meri khwaish ka bhi koi kinaara hota 

Yeh soch kar main ne us ko roka nahin 

Door hi kiyon jaata agar woh hamara hota

Jab dil tumhara apna ho par baatain saari us ki hon


Jab dil tumhara apna ho

Par baatain saari us ki hon

JAb saansain tumhari apni hon

Aur khushboo us ki aati ho

Jab her darja masroof ho tum

Woh yaad achanak aaye to

Jab aankhain neend se bojhal hon

Tum paas ussay hi paao to

Phir khud ko dhokha mat dena

Aur us se jaa kar keh dena

Is dil ko Mohabbat hai tum se

yeh pehlay hijar ka qissa hai


yeh pehlay hijar ka qissa hai

Go aaj kay din ki baat nahin

Kuch umar bhi thi dewano si

Kuch chaal bhi thi mastaani si

Haathon main phool sajaatay thay

Saj dhaj kay college jaatay thay

Kab itnay seedhay saadhay thay

Us waqat to hum shehzaday thay

Phir ik chehra bhaa sa gaya

Nazdeek woh dil kay aa sa gaya

Phir woh tha aur baatain us ki

Din sab us kay raatain us ki

Phir aisa bichra mila nahin

Is dil ka phool khila nahin

 Phir us kay baad jo log milay

Is dil ko jitnay rog milay

Her saans usi kay naam rahi

Her shaam usi ki shaam rahi

Yeh pehlay hijar ka qissa hai

Jo aaj bhi hum par taari hai

Yeh hijar abhi tak jaari hai

Ae halat-e-khamoshi main doobi raat alwida


Ae halat-e-khamoshi main doobi raat alwida 

Agar zindagi rahi to kal dekhain gay teray urooj-e-aftaab ka ik aur manzar

Ilzaam-e-mohabbat kay dar se chor diya apna watan


Ilzaam-e-mohabbat kay dar se chor diya apna watan 

Warna yeh choti si umar pardes kay qabil na thi

Apnay lehjay pe ghour kar kay bata


Apnay lehjay pe ghour kar kay bata 

Lafz kitnay hain ? Aur teer Kitnay ?

Kabhi aanso chupa chupa kay roye, kabhi dastaan-e-gham suna suna suna kay roye


Kabhi aanso chupa chupa kay roye 

Kabhi dastaan-e-gham suna suna suna kay roye 

Raat kaati hai intizaar-e-yaar main 

Hum raat bhar taaron ko jaga jaga kay roye

Phir woh na aaye raat ka wada kar kay 

Hum tamaam raat shama jala jala kay roye 

Aaj raat un kay aanay ki umeed thi hamain 

Woh na aaye aur hum ghar saja saja kay roye


 
 


Main ne ehsaas kay dhaagay main piroya hain tujhay


Main ne ehsaas kay dhaagay main piroya hain tujhay

Toot agar main gaya to bikhar tum bhi jaao gay

Mujh main khushboo basi usi ki hai ,jaisay yeh zindagi usi ki hai


Mujh main khushboo basi usi ki hai 

Jaisay yeh zindagi usi ki hai 

Woh kahin aas paas hai meray 

Ho na ho yeh hansi usi ki hai 

Ab to yeh khwab bhi nahin meray 

Ab to yeh neend bhi usi ki hai 

Ya to koi kami nahin mujh main 

Ya phir mujh main kami usi ki hai

Karo phir se koi wada kabhi phir na bicharnay ka


Karo phir se koi wada kabhi phir na bicharnay ka 

Tumhain kiya farq parta hai chalo phir se mukar jaana

Is dil ko Mohabbat hai tum se


Jab dil tumhara apna ho 

Par baatain saari us ki hon 

JAb saansain tumhari apni hon 

Aur khushboo us ki aati ho 

Jab her darja masroof ho tum 

Woh yaad achanak aaye to 

Jab aankhain neend se bojhal hon 

Tum paas ussay hi paao to 

Phir khud ko dhokha mat dena 

Aur us se jaa kar keh dena 

Is dil ko Mohabbat hai tum se

Woh meray ghar se guzri to bhout royi


Woh meray ghar se guzri to bhout royi

Duniya kay dard main bikhri to bhout royi

Woh kehti thi keh main teri nahin hoon 

Par jab woh mujh se bichri to bhout royi

Woh kehti thi keh main teri nahin hoon 

Jab mujh ko yaad kar kay soyi to bhout royi 

Kabhi to mujh ko yaad bhi na kiya karti thi 

Ab jo meray khayalon main khoyi to bhout royi

Meri chahat ko woh samjh na payi 

Jab woh kisi aur ki hui to bhout royi

Ussay keh do keh woh mera hai begana ho nahin sakta


Ussay keh do keh woh mera hai begana ho nahin sakta 

Bhout na'yaab hai us jaisa zamana ho nahin sakta 

Tumharay saath jo guzra woh mousam yaad aata hai 

Tumharay baad koi mousam sohaana ho nahin sakta 

Chupaanay se nahin chupta dikhawey se nahin dikhta 

Yeh aatish-e-ishq hai is main bahaana ho nahin sakta 

Tu dil pe naqsh ho jaye nigahon main sama jaye 

Keh is dil main kisi ka phir se aana ho nahin sakta 

Bhout hain chahnay walay teray ae jaan magar 

Yeh yaad rakh keh hum sa dewana ho nahin sakta

Tujhay bhool jaana nahin mumkin mat kar is ka takaza


Tujhay bhool jaana nahin mumkin mat kar is ka takaza

Aankhein andhi bhi ho jayein to aansoo bahaana nahon chorti

Yeh aur baat hai woh nibha na saka mohsin


Yeh aur baat hai woh nibha na saka mohsin 

Magar jo kiye thay us ne woh waaday ghazab kay thay

Tumhain is baat pe hai hairat keh toota hai hamara dil


Tumhain is baat pe hai hairat keh toota hai hamara dil 

Muqabal jab hon pathar to sheeshay toot hi jaatay hain

Tumhari be'rukhi par bhi luta di zindagi hum ne


Tumhari be'rukhi par bhi luta di zindagi hum ne 

Agar tum meharbaan hotay hamara haal kiya hota

Tu kiya jaanay hamaray pyaar ki gehraai ko


Tu kiya jaanay hamaray pyaar ki gehraai ko 

Hum saath hotay hain to wafa kartay hain 
Aur jab door hotay hain to dua kartay hain

Kon kehta hai keh mohabbat barbaad karti hai


Kon kehta hai keh mohabbat barbaad karti hai 

Agar koi karnay wala ho to duniya yaad karti hai

Agar teray bina jeena asaan hota


Agar teray bina jeena asaan hota 

To qasam hai mohabbat ki tujhay yaad karna bhi gunnah samjhtay

Ab siskiyon se aasman sar pe mat utha


Ab siskiyon se aasman sar pe mat utha 

KAha bhi tha keh mohabbat teray bas ka kaam nahin

Khaloos ki baarish se kaho zara zor se barsay


Khaloos ki baarish se kaho zara zor se barsay 

Nafraton kay aaino pe bari dhool jami hai

MAin tum se mohabbat karon ya kinaara kar lon


MAin tum se mohabbat karon ya kinaara kar lon 

Zara sa tehar jaa dil main istakhaara kar lon

Saari raat takleef deta raha yehi ik sawal mujhay


Saari raat takleef deta raha yehi ik sawal mujhay 

Wafa karnay walay hamesha akelay kiyon reh jaatay hain

Na roya kar sari sari raat kisi be'wafa ki yaad main


Na roya kar sari sari raat kisi be'wafa ki yaad main 

Woh khush hai apni duniya main teri duniya ujaar kar

Apno kay sitam un ki jafa yaad karain gay


Apno kay sitam un ki jafa yaad karain gay 

Hum jurm-e-mohabbat ki saza yaad karain gay 

MAin ne dam-e-rukhsat jo kaha bhool na jaana 

Yeh sun kar rukay aur kaha yaad karain gay 

Abhi har-e-tasali ka ta'kaluf na karain gay 

Jo dil se bhula baithay woh kiya yaad karain gay 

Hum bhool  kay ab naam bhi lain gay na wafa ka 

Woh chot lagi hai keh sada yaad karain gay 

Hum tasawur main saja lain gay woh aankhain 

Youn peenay pilaanay ka maza yaad karain gay

Ussay kehna keh dil tor kar jaanay walay zara itna to bata dy


Ussay kehna keh dil tor kar jaanay walay zara itna to bata dy 

Yeh saza pyaar karnay ki hai ya wafa karnay ki

Ussay kaho kuch raaz hain meray seenay main


Ussay kaho kuch raaz hain meray seenay main 
Din kam hain meray jeenay main 
Mujhay dheeray dheeray kehnay do 
Teray dil main mujh ko rehnay do 
Meri bojhal palkain kehti hain 
Yeh tujh ko takti rehti hain 
Main sab kuch khona chahta hoon 
Bas tera hona chahta hoon 
Ajeeb khwaish main kho jaaon 
Teri goad main sar rakh kar so jaaon 
Phir na loat kar aaon ga 
NA tujh ko kabhi staa'on ga 
Yeh mera tujh se wada hai 
Ab keh do jo tera iraada hai

Udaas mat raha karo hum se bardaash nahin hota


Udaas mat raha karo hum se bardaash nahin hota 

Tumharay chehray ko khush dekh kar to hum apnay gham bhula detay hain

Rishton ki keh'kishaan sar-e-bazaar baich kar


Rishton ki keh'kishaan sar-e-bazaar baich kar 
Ghar ko bacha liya dar-o-dewaar baich kar 

Shohrat ki bhook hum ko kahan lay kar aa gayi 
Hum mohtaram huye bhi to kirdaar baich kar 

Woh baap surmaa hai magar baap bhi to hai 
Roti khareed laya hai talwaar baich kar 

Jis kay qalam se muddaton huye hain inqalaab
Ab pait paalta hai woh kirdaar baich kar 

Kaampi zara zameen to sab khaak ho gaya 
Hum ne mehal banaya tha meenaar baich kar

Yeh hijar abhi tak jaari hai


yeh pehlay hijar ka qissa hai 
Go aaj kay din ki baat nahin 
Kuch umar bhi thi dewano si 
Kuch chaal bhi thi mastaani si 
Haathon main phool sajaatay thay 
Saj dhaj kay college jaatay thay 
Kab itnay seedhay saadhay thay 
Us waqat to hum shehzaday thay 
Phir ik chehra bhaa sa gaya 
Nazdeek woh dil kay aa sa gaya 
Phir woh tha aur baatain us ki 
Din sab us kay raatain us ki 
Phir aisa bichra mila nahin 
Is dil ka phool khila nahin 
 Phir us kay baad jo log milay 
Is dil ko jitnay rog milay 
Her saans usi kay naam rahi 
Her shaam usi ki shaam rahi 
Yeh pehlay hijar ka qissa hai 
Jo aaj bhi hum par taari hai 
Yeh hijar abhi tak jaari hai

Lipat kar apni tanhai se jaagta rehta hoon


Lipat kar apni tanhai se jaagta rehta hoon 

Tamaam raat kisi ki yaad mujhay sonay nahin deti 

US ki koi masoom se shararat jab bhi aati hai yaad 

Udaas to kar jaati hai par ronay nahin deti 

Log kehtay hain bhool kar ussay nayi zindagi shuru kar 

Woh rooh par qabiz hai mujhay kisi aur ka honay nahin deti

Mohabbat hum bhi kar lain gay


Mohabbat hum bhi kar lain gay 

Yeh ghalti tum bhi kar lena 

Chalo tum hi se kar lain gay 

Kisi se tum bhi kar lena

Tumhain hum dost kehtay hain 

Kiya ik baat maano gay 

Mohabbat tum ne karni hai 

Suno , hum hi se kar lena

Tum bin jiya jaye kaisay


Tum bin jiya jaye kaisay 
KAisay jiya jaye tum bin 
Sadiyon se lambi hain raatain 
Sadiyon se lambay huye din 
Aa jaao loat kar tum 
YEh dil keh raha hai 

Phir shaam-e-tanhai jaagi hai 
Phir yaad tum aa rahay ho 
Phir jaan nikalnay lagi hai 
Phir mujh ko tarpaa rahay ho 
Aa jaao loat kar tum 
YEh dil keh raha hai 
IS dil se toofan guzartay hain 
Tum bin to na jeetay na martay hain 
Aa jaao loat kar tum 
Yeh dil keh raha hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...