Mar 10, 2014

Aahat se koi aye to lagta hai keh tum ho



Aahat se koi aye to lagta hai keh tum ho
Saya koi lehray to lagta hai keh tum ho

Jab shaakh koi hath lagatay hi Chaman main
Sharmaye , lachak jaye to lagata hai keh tum ho

Rastay ke dhundlakay main , kisi mor pe kuch door
Ik lo se chamak jaye to lagta hai keh tum ho

Sandal se mehakti hui pur kaif hawa ka
Jhonka koi takraye to lagta hai keh tum ho

Orhay huye taron ki chamkati hui chadar
Nadi koi bal khaye to lagta hai keh tum ho

Jab raat gaye koi kirin meray barabar
Chup chaap se so jaye to lagta hai keh tum ho


Apney hathon se youn chaheray ko chupatay kyn ho



Apney hathon se youn chaheray ko chupatay kyn ho 
Mujh se sharmatay ho to samney atay kyn ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqrar-e-wafa
Piyar kartay ho to phir chupatay kyn ho

Ashak ankhon main meri dekh ke rotay kyn ho
Dil bhar ata hai to phir dil dukhatay kyn ho

Un se wabasta hai Jab mera muqadar phir tum
Meray shano se yeh zulf apni hata'ty kyn ho

Roz mar mar ke mujhay jeenay ko kehtay kyn ho
Milney atay ho to phir loat ke jatay kyn ho

Ussay apney farda ki fikar thi jo mera waqif-e-haal tha


Ussay apney farda ki fikar thi jo mera waqif-e-haal tha 

Jo us ki subha-e-urooj thi whi mera waqat-e-zawal tha

Jo log door thay woh sada hi door rahay

Jo log door thay woh sada hi door rahay

Jo paas thay so un se tabiyat na mil saki

Mohabbat thi ussay lakin mera aflaas jab dekha


Mohabbat thi ussay lakin  mera aflaas jab dekha

Parishaan se nazar ayi woh nazon ki pali mujh ko

Woh mera masla hal kar gaya hai

 
Woh mera masla hal kar gaya hai
Tabiyat aur meri boujhal kar gaya hai

Main jaisay aur adhoora ho gaya hoon
Mujhay woh youn mukamal kar gaya hai

Thora thora jhoot mila le apni sachi baton main


Thora thora jhoot mila le apni sachi baton main
Warna jhootay logon main tu kaisay umar guzaray ga
Shaher ke chorahay pe aina le ke mat jana
Apna chahera dekh ke tujh ko her koi pathar maray ga

Kahan jayo ge mujhay chor kar main pooch pooch kar thak gaye


Kahan jayo ge mujhay chor kar main pooch pooch kar thak gaye
Woh jawaab mujh ko kiya deta , woh khud sarap-e-sawal tha

Woh mila to sadiyon ke baad, meray lab par koi gila na tha
Ussay meri chup ne rula diya, jissay guftagoo main kamaal tha

Itna asaan bhi nahin apni hasti se guzar jana


Itna asaan bhi nahin apni hasti se guzar jana 
Utra jo samandar main dariya bhout roya

Jo shaks na roya tha tapti hui raahon main
Dewaar ke saye main beitha to bhout roya

Tumhain jab kabhi milain furstain , Meray dil se boujh utar do


Tumhain jab kabhi milain furstain , Meray dil se boujh utar do
Main bhout dino se udaas hoon Mujhay koi shaam udhaar do

Mujhay apney roop ki dhoop do Keh chamak sakain meray khado-khaal
Mujhay apney rang main rang do, meray saray rang utaar do

Kisi aur ko meray haal se na gharz hai na koi wasta
Main bikhar gaya hoon mujhay samait lo Main bigar gaya hoon mujhay sanwaar do

Meri wehsaton ko barha diya hai  Judaei'on ke azaab ne
Meray dil pe hath rakho zara , Meri dharkano ko qarar do

Tumhain subha kaisi lagi kaho meri khwaishon key diyar ki
Jo bhali lagi to yahin raho, issay chahton se nikhaar do

Main kush-naseebhi hoon teri Mujhay bhi raas hai tu

Main kush-naseebhi hoon teri Mujhay bhi raas hai tu
Tera libas hoon main aur mera libas hai tu

Ajeeb shai hai mohabbat bhi door hai lakin 
Teray qareeb hoon main meray ass paas hai tu

Kiya hai khud ko faramosh main ne taray liye
Bhout he Aam hai duniya Bhout hi khaas hai tu

Zamana hum ko juda kar sakay nahin mumkin
Mohabbton main jo na'khun hoon main to maas hai tu

Yeh rait se meray honthon pe jam gaye kaisay
Mujhay gumaan tha Dariya hoon main aur piyaas hai tu

 

Aag ke shaher main tinkay ki haqeeqat kiya thi



Aag ke shaher main tinkay ki haqeeqat kiya thi
Dasht pe phool ka saya tha mohabbat kiya thi
Zakham thay , dard tha, tanhai thi , verani thi
Kiya batayon teray ishaq main rahat kiya thi
Tujh ko chaha hi nahin teri ibadat ki thi
Ik pathar ko magar us ki zaroorat hi kiya thi
Ik mudat hui izha-e-mohabbat kar ke
Aj tak soch rahi hoon keh hamaqat kiya thi
Kiya batyon keh yahan pooch rahay hain sab log
Woh jo guzri hai meray dil pe qayamat kiya thi
 

Meri ankhon pe marta tha , meri baton pe marta tha

Meri ankhon pe marta tha
Meri baton pe hansta tha
Na janey shaks tha kaisa mujhay khoney se darta tha
Mujhay jab bhi woh milta tha
Yahi her baar kehta tha
Agar main rooth jayon to
Kabhi wapis na ayon to
Bhula pa ge kiya mujh ko
Youn hi hanstay raho ge kiya
Youn hi sajtay raho ge kiya
Yahi batain thi bas us ki
Yahi yadain hain bas us ki
Mujhay bas yaad hai itna
Mujhay woh piyaar karta tha
Mujhay khoney se darta tha

Dasht-dariya ke us paar kahan tak jati

Dasht-dariya ke us paar kahan tak jati
Ghar ki dewaar thi dewaar kahan tak jati

Mit gaye hasrat-e-dedaar bhi rafta rafta 
Hijar main us ke hasrat-e-dedaar kahan tak jati

Thak gaye honth  tera naam bhi latay latay
Aik hi lafaz ki takraar kahan tak jati

Reh'bar us ko serabo'an main liye phirtay thay
Khalqat-e-shaher bemaar kahan tak jati

Tu door bhout door gaya tha mujh se
Meri awaz meray yaar kahan tak jati

Mujhay mat chahyo us asmaan ki tarah

Mujhay mat chahyo us asmaan ki tarah
 jo sab kay liye meherbaan
khoobsurat aur dilkash hai
 magar sab ki poonch se bhout door hai
Mujhay mat chayo us phool kitarah 
Jo chand hi lamhon main apni taro-tazgi kho beth'ta hai
Mat chayo us zameen ki tarah
Jo kabhi zarkhaiz aur kabhi banjar hai
Mat chayo buat ki tarah 
Jo kabhi bhi kisi ko kuch nahin diya kartay
Mat chayo barshon ki tarah 
Jo na barsain to qahat aur barsain to tabahi ho
Mujhay mat chayo hawa ke jhonkay ki tarah
Jo pass se guzray to chand lamhon kay liye behka de
Mujhay may chayo khawabon ki tarah
Jo kabhi bhi haqeeqat pe mabni nahin hotay
Mujhay mat chayo lehron ki tarah
Jo kabhi kabhi le daboti hain ya sirf paon cho kar loat jati hain
Mujhay mat chayo seep ki tarah
Keh her seep ke naseeb main mooti kahan
Mujhay mat chayo chand ki tarah
Jo thandak aur khoobsurti to luta sakta hai
Magar zindagi ke asaar se mehroom hai
Mujhay mat chahyo suraj ki tarah
Jo qurbat par apni tapash se jhulsa kar rakh de
Mujhay mat chahyo shaam ki khoobsurti ki tarah 
Keh jis ke baad andehra hi andhera hai
Mujhay mat chahyo kushboo ki tarah
Jo pal bhar kay liye apney sehar main ja'karti hai
 Aur phir yeh sehar toot jata hai
Mujhay mat chahyo doulat ki tarah
Jo sachay rishton ko bhi thukra dati hai
Mujhay mat chahyo sehra ki tarah 
Jahan her taraf rait hi rait hai aur koi gulaab nahin
Mujhay mat chahyo rangon ki tarah
Keh her rang hi aik se barh kar aik hai 

Her aik tadbeer apni raigaan theh'ri Mohabbat main


Her aik tadbeer apni raigaan theh'ri Mohabbat main

Kisi bhi khwaab ko Tabeer ka rasta nahin maila

Woh aik baat bhout talkh kahi thi us ne



Woh aik baat bhout talkh kahi thi us ne

Baat to yaad nahin , yaad hai lehja us ka

Tujhe chahte hai be-inteha



Tujhe chahte hai be-inteha
 Parr chahna nhi aata
 Yeh kesi muhabbat hai 
keh  hamein kehna nhi aata 
zindgi mein aa jao
 Hamari zindgi ban kr 
k tere bin hamein zinda rehna nhi aata
 hr pal tujhay bus tujhay duaon mein mangte hai
 kia krein k tumhare siwa kuch mangna nhi ata 

Dil soch ka Pinjra hai ik baar hi khulta hai


dil soch ka pinjra hy
ik baar hi khulta hy
dil pyar ka soda hy
ik baar hi tulta hy
dil yaad ka badal hy
bus itna barasta hy
dil pyar ka bhooka hy
apnon ko tarasta hay
dil moj ka darya hy
seenay se nikalta hy
dil barf ka touda hai
jamta nai pighalta hy
dil seep ka moti hy
nazron me chamakta hy
dil pyas ka drya hy
bas simt hi behta hy
dil dard ka tukra hy
be chain sa rehta hy

mujh mein doob jao keh


mujh mein doob jao keh
 meri gehraiyon ka pata chale
 mere dard ki shiddat
 meri tanhayon ka pata chale
 aise to har roz wafa k naam par toota hon
 dil mujh ko b chaho k meri bewafaiyon ka pata chale 
ye or baat k lafz mere ho kar nahi rehte
 phir b pucho koi sawal k meri sachaiyon ka pata chale

muhabbat naam hai mera


muhabbat naam hai mera 
agar chaho jo tum mujh ko
 tumhari sans se pehle tumhari jan ban jaon
 agar dekho jo tum mujh ko
 tumari aankh se pehle tumhare khawab ban jaon
 agar socho jo mujh ko
 tumhare paon se pehle tumhari rah ban jaon
 muhabbat naam hai mera
 agar chaho jo tum mujh ko
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...