May 25, 2014

kabhi is tor se hansana keh duniya ko rula dena


kabhi is tor se hansana keh duniya ko rula dena

kabhi is rang main rona keh khud par mukura dena

is dil ke chand asason main ik mousam hai barsaton ka



is dil ke chand asason main ik mousam hai barsaton ka 

ik sehra hijar ki raton ka , ik jungle wasal ke khwaabon ka

hum log junoon ke aalam main manzil ki talab bhi bhool gaye

ab dil ko bhala sa lagta hai sehra main aks sarabon ka

phir youn hua keh tera sath chorna para



phir youn hua keh tera sath chorna para

sabat hua keh laazim-o-malzoom kuch nahin

Her simat main kati pari phoolon ki grdan'ein


Her simat main kati pari phoolon ki grdan'ein

ab ke saba hi baagh main sham'sheer ban gayi

jis simat woh uthi hai udhar murr gayi hayat

us ki nazar hi gardah-e-taqdeer ban gayi

pyaar ki raah main dar lagat hai


pyaar ki raah main dar lagat hai 

bara mushkil yeh safar lagta hai

yeh udasi ka fasoon hai shayed

pheeka pheeka sa qamar lagta hai

tanhai ki shab kat jaye gi , itnay bhi hum majboor nahin



tanhai ki shab kat jaye gi , itnay bhi hum majboor nahin 

dohra kar is ki baton ko kabhi hans lein ge kabhi ro lain ge

Ussay kehna agar aye , to sath apny


Takeed

Ussay kehna 

Agar aye , to sath apny

koi jugnoo , koi tara bhi le aye

Keh mera dil

Meray ghar ki tarah 

Tareek rehta hai

qariya qariya pooch rahi hai khalqat ik sawal


qariya qariya pooch rahi hai khalqat ik sawal 

kab tootay ga sar se hamaray lohay ka yeh jaal 

lohay ka yeh jaal keh jis main

60 baras se qaid hain apnay saray khaab-o-khyal

banjar maah-o-saal

banjar maah-o-saal keh jin ke

chaheray haray kachoor hain lakin aankh laal-o-laal

aankhain laal-o-laal keh jin ke main

hole hole te'har rahay hain pheekay zard mal'laal

qariya qariya pooch rahai hai khalqat ik sawal 

kab tak is matti ke baitay hon ge youn be'haal

kab tak hum ko banan ho _ neelami ka maal

Poet : Amjad Islam Amjad


shab-e-tareek main roshan sitary meray ansoo hain


shab-e-tareek main roshan sitary meray ansoo hain
tabhi to jaan-e-jaan tujh ko bhi piyare meray ansoo hain

meray seenay ke pathar se koi chashma nahin phoota 
meri num'naak aankhon ke kinaray meray ansoo hain

rukain to aankh jal jaye , beh'hain to aag lag jaye
inhain pani nahin samjho , shar'raray meray ansoo hain

tumhari aankh bhi nam hai , meri bhi chashme num deeda 
to qadr-e-mushtarik bas ik tumharay aur meray ansoo hain

sehar-e-dam choomtay hain jo gulon ko phool paton ko 
woh tabas'sum ke nahin qatray woh saray meray ansoo hain

palat ke us ne dekha to woh wapis loat aya hai
zaban-e-khamshi ke ista'aaray meray ansoo hain

sun ae uzma mohabbat bhi to karo'baar hai jis main
munafah teri kushiyan hain ,khsaray meray ansoo hain

koi baat na sahari jaye


koi baat na sahari jaye
zindagi kaisay guzari jaye

ab tamasha nahin dekha jata
note phenko keh madari jaye

ishq bazi bhi ajab bazi hai 
jeeti jaye hai na hari jaye

jheel , badal ya koi moj-e-khraam 
teri tasveer utari jaye

meri qismat to nahin zulf teri
jab sanwaro , yeh sanwari jaye

cheez hoti hai usi ki jana
jaisay aik pairr main aari jaye

jis ki jhankaar main dil ka araam tha woh tera naam tha


jis ki jhankaar main dil ka araam tha woh tera naam tha
meray honton pe raqsan jo naam tha woh tera naam tha

dost jitny thay na'ashna ho gaye , parsa ho gaye
sath meray ruswa jo sar-e-aam tha woh tera naam tha

subha se shaam tak jo meray pass thi woh teri aas thi
shaam ke baad jo kuch lab-e-baam tha woh tera naam tha

mujh pe qudrat rahi hamesha mehar'baan de diya sara jahan 
par jo sab se bara inaam tha woh tera naam tha

chup chup rehna kuch na kehna yeh bhi aik udasi hai



chup chup rehna kuch na kehna yeh bhi aik udasi hai
hans ke saray sadmy sehna yeh bhi aik udasi hai

baithay baithay kho sa youn hi door khyalon main 
chalty chalty hanstay rehna yeh bhi aik udasi hai

dil ki batain sun kar hansna yeh to sab ki aadat hai
in bataon pe hantay rehna yeh bhi aik udasi hai

maar ke kankar lehrein gin'nana , baith ke jheel kinay par
 kuch logon ka hai yeh kehna , yeh bhi aik udasi hai

kuch pehlay in aankhon aagay kiya kiya na nazara guzray tha


kuch pehlay in aankhon aagay kya kya na nazara guzray tha
kiya roshan ho jati thi gali , jab yaar hamara guzray tha

thay kitney achay log keh jin ko apnay gham se fursat thi
sab poochain thay ahwaal jo koi dard ka mara guzray tha

ab ke to khizaan aisi tehri , woh saray zamaney bhool gaye
jab mousam-e-gul her phairay main a a ke dobara guzray tha

thi yaron ki bohtaat to hum ayaar se bhi be'zaar thay
jab mil baithay to dushman ka bhi sath gawara guzray tha

ab to hath sujaei na devey lakin ab se pehlay to
Aankh uthtay hi aik nazar main aalam sara guzray tha

khaali hath ka dukh aisay kyn tarpata


khaali hath ka dukh aisay kyn tarpata 
sehra tah woh shaks to piyaas hi de jata

hijar ki dhoop main chob-e-kushak huye hum
raakh na karta to woh phir sadiyon sulgata

sood-o-ziayan ka roz hisaab kiya jaye
apno main kab khulta hai aisa khata

jabar main sari baat ana par ati hai
chahat main to jee chahaye manwata 

meray sath uljh kar baat barha baitha
jo uljhan thi dheeray dheeray suljata 

mehfil main jis baat par barham ho baitha 
dheeraj se tanhai main woh samjhata

sab se achi baat tumhari hai mola
sab se acha rang tumhara hai data

karay dariya na pul msmaar meray



karay dariya na pul msmaar meray

abhi kuch log hain uss par meray

juda kab se hon ab dekh ayon ghar ko

kahan gaye kiya dar-o-dewaar meray

wahin suraj ki nazrain thein ziada

jahan thay pairr saya daar meray

wahin yeh shaher hai to shaher walo !

kahan hain koocha-o-baazaar meray

tum apna haal mej'joori batayo

mujhay to kha gaye azaar meray

jinhain samjha tha jaan parwar ab tak

woh sab niklay kafan bardaar meray

guzartay ja rahay hain din hawa se

rahain zinda salamat yaar meray

Awargi main had se guzar jana chahiye


Awargi main had se guzar jana chahiye

lakin kabhi kabhaar to ghar jana chahiye

mujh se bichar ke in dino kis rang main hai woh

yeh dekhny raqeeb ke ghar jana chahiye

is buut se ishq kejiye lakin kuch is tarah 

poochay koi saaf mukar jana chahiye

afsos apnay ghar ka pata hum se kho gaya 

ab sochna hai yeh keh kidhar jana chahiye

baithay hain her faseel pe kuch log taaq main

acha hai thori der se ghar jana chahiye

nadaan jawani ka zamana guzar gaya

ab aa gaya burhapa sudhar jana chahiye

baithay raho ge dasht main kab tak hassan raza

jeena agar nahin hai to mar jana chahiye

Poet : Hasan raza


kabhi tum ne yeh bhi socha


kabhi tum ne yeh bhi socha

keh tumharay dil girifta

tumhain kitna chahtay hain

tumhain zindagi se barh kar

jo aziz hum ne jana so koi sabab to ho ga

kabhi tum ne yeh bhi socha 

tumhain roz-o-shab ke dukh main

kabhi bhoolna bhi chayein 

to kabhi bhi na bhool payein

keh yeh ehad-e-zindagi hai 

jissy torna bhi chahein 

to kabhi na tor payein

jab tawaqo hi uth gayi ghalib



jab tawaqo hi uth gayi ghalib

kyn kisi ka gila karay koi

mantay hain keh jag main hai rawaaj aur tarah ka



mantay hain keh jag main hai rawaaj aur tarah ka

paya hai magar hum ne bhi mizaaj aur tarah ka 

us se apni bni hai na kabhi banay gi

hum aur tarh ke hain samaaj aur tarah ka

zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat par


zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat par

dard bhool jatay hain abhi bhi teri aahat par

shabnami sitaron main phool khilney lagtay hain

chaand muskuratay hain ab bhi teri aahat par

umar kaat di lakin bachpana nahin jata 

hum deay jalatay hain ab bhi teri aahat par

ghantiyaan bajti hain raqas honey lagat hai 

dard jagmagatay hain ab bhi teri aahat par

teri yaad aye to need jati rehti hai

khwaab toot jatay hain ab bhi teri aahat par 

ab bhi teri aahat par aas loat ati hai

hum deay jalatay hain ab bhi teri aahat par


aapis main baat cheet ki zehmat kiye bagair



aapis main baat cheet ki zehmat kiye bagair 
chal rahay hain sath shakiyat kiye bagair

aankhon se kar rahay hain biyaan apni kaifiat
honthon se haal-e-dil ki wazahat kiye bagair

dono ko apni apni anaein aziz hain
lakin kisi ko nazr-e-malamat kiye bagair

tehra hua hai waqt-e-marasam ke darmiyaan 
behr-e-khleej main koi wusaat kiye bagair

hairaan hain keh itnay baras kaisay kat gaye
rasmi sa koi ehad-e-rafaqat kiye bagair

woh ja nahin chukay hain magar is ke ba'wajood
tanha kharay hain hum ussay rukhsat kiye bagair

chaara garon ko 2no se partah hai wasata
lakin kisi ke haq main kiyanat kiye bagair

Gosha-e-zehan main be'rabat khayalon ka hajoom


Gosha-e-zehan main be'rabat khayalon ka hajoom

chashm-e-tanhai se chun kar wohi be'baak se aashk

lamha-e-wasal ke is ahed-e-framoshi ko

yaad karta hai siskata hai bilakata hai bhout

aaj bhi dasht-e-musafat ke khatan raston main

jalti bujhti hui be'naam rafaqat ki shuaa

aarz-e-waqat ki surkhi pe chalak parti hai

phir se milnay ki yeh mahoom-e-talab aur tarap

aaj bhi zehan ke gooshon main chamak uthti hai

aaj bhi soch ke angaar jazeeray main tu

aankh ke noor main tu dil ke sawaray main tu

ajnabi shaam ki dam torti barsaat main tu

hai lakeeron ki tarah sibat meray hathon main

meray honthon ka tabussam meray din raat main tu

ham'kalami ka koi waqia guzar bhi nahin

phir bhi lagta hai moujood hai her baat main tu

mujh se waqif hi nahin teri tabiyat lakin

tarz-e-afkaar main tu shava-e-guftaar main tu

tu hi tu hai meray her atraaf ki her sha main pinhan

kabhi iqraar ka hasil kabhi inkaar main tu

kabhi saya  kabhi sehra kabhi nazron ka sarab

kabhi shabnam kabhi nighat kabhi raang-o-kushboo

tu meri neend mera khwaab meri subho shaam

tu musarat tu mera dukh tu mera sab kuch hai

tu mera kuch bhi nahin phir bhi mera sab kuch hai

Poet : Mohsin changaizi


kabhi ban sanwar ke jo aa gaye to bahar-e-hussan dikha gaye


kabhi ban sanwar ke jo aa gaye to bahar-e-hussan dikha gaye
meray dil ko daagh laga gaye woh naya shagufa khila gaye

koi kyn kisi ka dil lubhaye dil koi kyn kisi se lagaye dil
woh jo bachtay thay dawa-e-dil , woh dukaan apni bharha gaye

meray paas atay thay dam-ba-dam woh juda na hotay thay aik dam
yeh dikhaya charkh ne kiya sitam keh mujhi se aankhain chura gaye

yahi shauq tha hamain dam-ba-dam keh bahaar dekhain ge ab ke hum
joun hi chootay qaid-e-qafas se hum to suna khizaan ke din aa gaye

Poet : Bahadur Shah Zafar

hamaray baad safeer-e-saba aakhir kon


hamaray baad safeer-e-saba aakhir kon 
talaash-e-manzil-e-janaa main hai musafir kon

rahein khilwat-e-shab , chandani se pooch kabhi
keh shaher shaher bhatak'ta hai teri khatir kon

hamain aziz thi maqtal ki abroo warna
meray jahan main hai apney lahoo ka tajir kon

hami ne sheikh ka pindaar khud sari tora 
wagarna us ki nazar main nahin tha kaafir kon

sukhan wari hamain waja-e-sharaf nahin mohsin 
magar hamaray siwa shaher main hai shaair kon

Poet : mohsin naqvi

Adhoora hai her ik sapna hamara


Adhoora hai her ik sapna hamara

kabhi jhooly , kabhi sawan nahin hai

yeh mar jati hai apni mout khud hi

mohabbat ka koi dushman nahin hai

meray khwaab matti ke ghar thay , jo pehli barish main beh gaye


Jo baat kabhi na kehni thi , woh baat munh se nikal gai

jo lafz tujh se kehney thay woh dil ke goshay main reh gaye

khwaab khwaab thi zindagi, khwaab khwaab thi her kushi

meray khwaab matti ke ghar thay , jo pehli barish main beh gaye

hazaar jaam-e-tasaduq hazaar mae'khaney



hazaar jaam-e-tasaduq hazaar mae'khaney

nigha-e-yaar ki lazat shraab kiya janey

Usi ka shaher ,wohi mudaei, wohi munsif



Usi ka shaher ,wohi mudaei, wohi munsif

mujhay yaqeen tha mera hi qasoor niklay ga

dil tha akela aur gham hain hazaron


dil tha akela aur gham hain hazaron

akelay ko mil kar hazaron ne loota

Kaisay mumkin tha kisi shaks ko apna karty


Kaisay mumkin tha kisi shaks ko apna karty

aaina log thay , kiya logon se dhoka kartay

hanstay phirtay thay sar-e-bazam ana ki khatir

warna halaat to aisay thay keh roya kartay

Zindagi bhar udaas rehna hai


Zindagi bhar udaas rehna hai

sochta hoon to muskurata hoon

Hum ajeeb tarz ke log thay, hamaray aur hi rog thay


Hum ajeeb tarz ke log thay, hamaray aur hi rog thay

main khizaan main us ki muntazir , ussay intizaar bahaar ka tha

meri lamhay bhar ki bhi guftagoo us se na ho saki kabhi

mujhay fursatein na mil sakien , woh hawa kw rath pe sawaar tha

tafteesh choro bas itna suno


tafteesh choro bas itna suno

tum bichar gaye , hum bikhar gaye

Youn mujh ko nigha'on ke tarazoo main na tolo


Youn mujh ko nigha'on ke tarazoo main na tolo

hai shauq to be'sakhta aankhon main samo lo

ab ke dil ko main laya hoon hathali pe saja ke

is husan ke baazar main kiya daam hain bolo

Ik hijar tha jis ne bita di tamam umar


Ik hijar tha jis ne bita di tamam umar

ik pal tha hum ne jis ko zamana bana liya

badal utar ke aa gaye aankhon ke aas paas

barish ne meray dil ko nishana bana liya

Ajab hijar parasti thi us ki fitrat main


Ajab hijar parasti thi us ki fitrat main

shajar ke tooty patay talash karta tha 

tamam raat parday hata kar chaand ke sath

jo kho gaye woh lamhay talash karta tha

Her roz meray aangan main ik matam barpa hota hai


Her roz meray aangan main ik matam barpa hota hai

ik khwaab toot janey par , koi sari raat rota hai

Hukam wohi jo hum de na sakay


Hukam wohi jo hum de na sakay

araz wohi jo aap suntay nahin

yeh jo sar'gashta se phirtay hain kitabon wale


yeh jo sar'gashta se phirtay hain kitabon wale !!!!!

in se mat pooch keh inhain rog hain khwabon wale

hayee ik shaks jissy hum ne bhulaya bhi nahin


hayee ik shaks jissy hum ne bhulaya bhi nahin

yaad any ki tarh yaad woh aya bhi nahin

jany kis mor pe le ayi hamain talab teri

sar pe suraj bhi nahin , raah main saya bhi nahin

hum ko to umar kha gayi khair hamain gila nahin


hum ko to umar kha gayi khair hamain gila nahin

dekh to kiya se kiya huye yaar ke khad-o-khaal bhi

ab ke faraz woh hua jis ka na tha gumaan tak

pehli si dosti to kiya , khatam hai bol chaal bhi

jee uthay hashar main phir jee se guzarney walay



jee uthay hashar main phir jee se guzarney walay 

yaan bhi paida huye phir aap pe marney wale

hai udasi shab-e-maatam ki suhani kaisi

chayon main taroon ki niklay hain sanwarney wale

Bheegi aankhon wali larki


janay kyn raat ke kisi lamhay

kisi wah'my se achanak

meri aankh khul jati hai

woh bheega hua chahera janey kyn

yaad anay lagta hai

woh sahil ke kinay baithi 

bheegi aankhon wali larki

muskuratay huye

raat ke us lamhay mujh se

kehti hai

chah'hatain kabhi raigaan nahin jaten

suno

tum haar gaye

us ka inkaar bhi haq tha sar-a-sar meray


us ka inkaar bhi haq tha sar-a-sar meray
yeh jo halaat huye jatay hain behtar meray

woh koi chaand ka tukra bhi nahin tha lakin
chandani us ki bichi rehti hai andar meray

main akela tha so us maarakay main kaam aya
aur peechay hi kahin reh gaye lashkar meray

doobta bhi nahin sahil pe utra bhi nahin
naaz karta hai safeeny pe samandar meray

roshni main jo musalsal nahin reh sakta main
sath hoti hai koi shaam bhi din bar meray

sookh jata hai yeh behta hua pani aksar
aur her baar nikal atay hain pathar meray

dehaan rekta hoon zafar zakham-e-tamasha ka bhout
pahir bhi tankay kai khul jatay hain aksar meray

Poet : Zafar Iqbal

khwaishon ke ghanay gungle main



khwaishon ke ghanay gungle main 

intizaar ke qayamat lamhon main

thak haar kar hazaar baar dil poochay

aur kitn aintizaar karna hai

aur kitna tanha chalna hai

manzil kahan hai

justagoo main jis ki jiye ja rahay hain

hijar ka zehar , judai ka qehar 

tanha sahay ja rahay hain

kiya khabar hai ussay

kiya aye ga waqat-e-milan 

tabeer paney ko

umeed bar anay ko

aur kitna waqat chayea

kitna waqat chayea



Na manzalon ko, na hum raah guzar ko dekhtay hain


Na manzalon ko, na hum raah guzar ko dekhtay hain
ajab safar hai keh bas hum safar ko dekhtay hain

na pooch jab woh guzarta hai be'niazi se
to kis malaal se hum naam-e-bar ko dekhtay hain

teray jamaal se hat kar bhi aik duniya hai
yeh sar'chasam magar kab idher ko dekhtay hain

woh be'khabar meri aankhon ka sabar bhi dekhein
jo tanz se meray damaan-e-tar ko dekhtay hain

yeh jaan kani ki ghari kiya tah'er gai hai keh hum
kabho qaza ko kabhi chara gar ko dekhtay hain

hamari dar badri ka yeh majra hai keh hum
musafaron ki tarah apney ghar ko dekhtay hain

Poet : Ahmed Faraz 

woh rangon main dhali larki


Woh rangon main dhali larki

woh rangon main dhali larki

tumhain kitna  yeh bola tha 

keh meri zindagi main is tarah shamil nahin hona

jab aankhain subha ko kholon , pukaron naam main tera

kabhi jo aaina dekhon 

tumhara aks meri aankh ki puttli main jam jaye

kushi mujh ko milay koi 

tumhara sath main dekhon

dekhon main bhi yahi chahon keh meray pass bas tum ho

tumhain kitna yeh bola tha

mujhay badal se , barish se mohabbat hai hamesha se

magar tum ne mohabbat ko junoon main kyn badal dala?

main ab barish ke mousam main tumhi ko dhoondta kyn hoon

inhi sochon main bheegta hon , main tanha bheegta kyn hoon

tumhain kitna yeh bola tha 

meri aadat nahin badlo

meri khatir nahin badlo

magar tum ne badal dala

mera sab kuch badal dala

main ab jo khud ko takta hoon , mujhay tum yaad ati ho

tumhain kitna yeh bola tha mujhay tum yaad mat ana

keh tum ko bhoolna waisay hi meray bas se bahir hai

mujhay jab yaad ati ho to yeh mehsoos hota hai

mujhay tum yaad karti ho

tumhain kitna yeh bola tha mujhay tum yaad mat karna

mujhay tum yaad mat ana

meri iss zindagi main iss tarah shamil nahin hona

tumhain kitna yeh bola tha

woh rangon main dhali larki

kabhi jab baat karti hai

to us ke lafaz kushboo ki tarah mehsoos hotay hain

woh hansti hai to jaisay

sara aalam uss hansi main doob jata hai

woh lab us ke woh aankhain aur woh chaheray ki shadabi

keh jaisay apsara koi

woh mera naam lati hai to

meri rooh main jaisay nasha sa utar'ta hai

mera mann jhoom uth'ta hai 

woh rangon main dhali larki

jhukaye apni palkon ko kabhi jo mujh se kehti hai

mujhay tum se mohabbat hai

to us ka shar'mageen lehja yaqeen mujh ko dilata hai

keh duniya khoobsurat hai

woh rangon main dhali larki

udasi ke saay'on ko jab oorh leti hai

mera dil khoon rota hai

main uss ki sharbati aankhon ki numi se bheeg jata hoon

woh rangon main dhali larki

jissay mujh se mohabbat hai

mera izhaar sunti hai to sab bhool jati hai

jhukaye apni palkon ko woh aisay muskurati hai

keh jaisay apsara ho

woh rangon main dhali larki

meray lafzon main rehti hai

mujhay aksar yeh kehti hai

mujhay tum se mohabbat hai.....!!!


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...