May 12, 2015

Insha ji utho ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya


Insha ji  utho ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya
Vehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya

Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi
Jis jholi mein sau chhed huhe us jholi ko phailana kya

Shab beeti, chaand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya

Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya

Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya

Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare
Divanoon ki si na baat kare, to aur kare divana kya

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

 

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa


Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou

rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa


Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham

tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa


kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh

tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa


ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum

aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa


ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden

ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa 

Ab ky hum bichray to shayed kabhi khwabon main milein

 
Ab ky hum bichray to shayed kabhi khwabon main milein 
Jis tarah sookhay huwey phool kitabon main milein

Dhoond ujray huwey logon main wafa ky moti 
Yeh khazaney tujhay mumkin hai khrabon main milein 

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar main shamil kar lo 
Nasha barhta hai shrabain jo shrabon main milein 

Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa 
Dono insaan hain to kiyon itney hijaabon main milein 

Aaj hum daar pe kheenchay gaye jin baaton par 
Kiya ajab kal woh zamaney ko nisabon main milein 

Ab na woh main hoon na tu hai na woh mazi hai faraz 
Jaisay do saye tamana ky saraabon main milein
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...