Dec 9, 2017

Rehnay ki to bhout jag'hein hain lakin


Rehnay ki to bhout jag'hein hain lakin 

Apni oqaat main rehna mujhay pasand hai 

Chara sazon ki chara sazi se


Chara sazon ki chara sazi se

Dard bad'naam to nahin ho ga 

Haan , dawa do magar yeh batloo do 

Mujhay Aaraam to nahin ho ga 


Kuch is adaa se aaj woh pehlu nasheen rahay


Kuch is adaa se aaj woh pehlu nasheen rahay 

Jab tak hamaray paas rahay , hum nahin rahya 

Abhi pehli mohabbat kay bhout se qarz baqi hain


Abhi pehli mohabbat kay 
Bhout se qarz baqi hain 
Abhi pehli musafat ki 
Thakan se choor hain paaon 
Abhi pehli rafaqat ka 
Her ik ghaao salamat hai 
Abhi maqtool khawabon ko 
Bhi dafnaya nahin hum ne 
Abhi aankhein hain Id'dat main 
Abhi yeh sog kay din hain 
Abhi iss gham ki kafiyat se 
Baahir kis tarah aayein 
Abhi is gham ko bharnay do 
Abhi kuch din guzarnay do 
Yeh gham kay neel'goon dariya 
Utar jayein to sochein gay 
Abhi yeh zakham taza hain
Yeh bhar jayein to sochein gay 
Dobara kab ujarna hai ???? 

Mohabbat rait jaisi thi


Mohabbat rait jaisi thi 
Mujhay yeh ghalat fehmi thi 
Keh mohabbat dhair sari thi 
Main dono haath bhar bhar kar 
Mohabbat ko sambhalon gi 
Zamanay se chup'pa loon gi 
Kabhi khonay nahin doon gi 
Magar , main ne isi darr se 
Keh mohabbat hi na kho jaye 

Yeh muthiyan band rakhi thein 
Magar , jab muthiyaan kholi 

To dono haath khaali thay 
Mohabbat kay sawali thay 
Kiyon keh ,,,
Mohabbat rait jaisi thi 



Roz gir jati hai , dewaar-e-ehad-e-wafa


Roz gir jati hai , dewaar-e-ehad-e-wafa 

Roz umeedein nayi , tameer karta hoon 

Yeh lamhay ishq-o-masti kay kabhi pa'band nahin rehtay


Yeh lamhay ishq-o-masti kay kabhi pa'band nahin rehtay 

Sada khushiyan nahin rehti , hamesha gham nahin rehtay 

Zara dekho darwaze pe dastak kon deta hai 

Mohabbat ho to keh dena , yahan ab hum nahin rehtay 

Meray alfaaz be'asar hain


Meray alfaaz be'asar hain 

Thehro ! dharkanein sunata hoon 

Main ne Aaitraaf-e-mohabbat kay baad


Main ne Aaitraaf-e-mohabbat kay baad 

Mohabbaton ko pheeka partay daikha hai 

Haqeeqat to ban na sakay hum


Haqeeqat to ban na sakay hum 

Chalo ab daastaan hi sahi 

Kuch to teray mousam hi mujhay raas kam aaye


Kuch to teray mousam hi mujhay raas kam aaye 

Aur kuch meri matti main baghawat bhout thi  

Ab tak junoon hi apna asaasa raha magar


Ab tak junoon hi apna asaasa raha magar 

Tujh se milay to saahib-e-adraak ho gaye 

Woh jo dharkan ki awaz sunta tha


Woh jo dharkan ki awaz sunta tha 

Aaj sunta hi nahin siskiyaan meri 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...