Sep 8, 2014

Hamara dil sawairay ka sunehra jaam ho jaye


Hamara dil sawairay ka sunehra jaam ho jaye 

Chragon ki tarah aankhain jalain jab shaam ho jaye 

Samandar kay safar main is tarah awaaz dy hum ko 

Hawaein tez hon aur kashtiyon main shaam ho jaye

Us ka malaal kiya jo nahin ikhtayaar main


Us ka malaal kiya jo nahin ikhtayaar main 

Itna bhi kiya yeh kam hai keh woh apna lagay mujhay 

Wehshat kahin ussay ya meray paaon ki talab 

Us ki taraf hi lay gaya her raasta mujhay

Aankh main be'karaan malaal ki shaam


Aankh main be'karaan malaal ki shaam 

Dekhna ishq kay zawaal ki shaam 

Meri qismat hai teray hijay ka din 

Meri hasrat teray wisaal ki shaam

Door ufaq ki tareeki main


Door ufaq ki tareeki main

Bijli jab bhi lehraati hai

Shamma jalaatay lamhay aksar

Kamray ky ghup andheray main

Pehli mohabbat yaad aati hai

Auto'graph talb karnay jab

Koi haseena ghar aati hai

Bari bari aankhon se woh jab

Dekh kay mujh se sharmaati hai

Maazi main kho jaata hoon main

Pehli mohabbat yaad aati hai

Shaam khizaan jab tanha tanha

Baagh main sair ko jaata hoon

Kisi udaas se larki ko jab

Bench pe tanha paata hoon

Jaanay kiyon yaad aa jaata hai

Aik khizaan ki shaam ka manzir

Jab hum dono juda huye thay

Mat is khwaab kay peechay bhaago


Mat is khwaab kay peechay bhaago

Pathar ban kar reh jaao gi

Tez bhout hai waqat ka dariya

Tum bhi is main beh jaao gi

Yeh nashtar jaye ruswaai

Bolo, kaisay seh paao gi

Kiya bachon jaisi baaton se

Tum sab ko behlaa sakti ho

Kiya tum apnay mann ki mantiq

Duniya ko samjhaa sakti ho

Khwaabon jaisi baatein kar kay

Kiya tabeerain paa sakti ho

Baap ki shafqat , maa ki mamtaa

Kiya savh much thukra sakti ho

Jis ghar main parwaan charhi tum

Us ko chor kay aa sakti ho

Aisi baatain na'mumkin hain

Bas tum apni tanhai main

Hijar kay geet hi gaa sakti ho

Tum ne hi majboor kiya hai



 Tum ne hi majboor kiya hai

Mujh ko raayh badalnay par

Jeevan kay be'ant safar main

Ghair ka ho kar chalnay par

MAin ne tumhri aashaaon ka

Her her roop sraaha tha

MAin ne apna aap bhulaa kar

Tum ko toot kay chaha tha

Umar ki uljhi dewaaron par

Qismat ka anshyaara tha

Aur bhout thay suraj lakin

Tum sa chraagh hi pyaara tha

Lakin tum hi mere maseeha

Nafrat kay saanchay main dhal kar

Ik din mere samnay aa gaye

Qatil ka behroop badal kar

Ab kiya shikwa, kaisi shikayat

Chahat kay sab rishtay kachay

Main bhi aur tum bhi harjaai

Main bhi theek aur tum bhi sachay

Kal yeh likhti thi bicharna tumhain manzoor nahin


Kal yeh likhti thi bicharna tumhain manzoor nahin

Ab yeh kehto ho " mere khat mujhay wapis kar do

Main safaai koi doon ga na wazahat doon ga

Tum ko wapis main tumhari yeh amaanat doon ga

Phir kabhi tum se na milnay ki zamanat doon ga

Bas tumhain tark-e-marasam pe yeh zehmat doon ga

Tum bhi be'chain to main bhi koi masroor nahin

Kal yeh likhti thi bicharna tumhain manzoor nahin

Ab yeh kehto ho " mere khat mujhay wapis kar do

Yeh raat yeh tanhai


Yeh raat yeh tanhai
Yeh dil ki dharaknay ki
Awaaz aur snaata
Yeh doobay taaron ki
Khamosh ghazal khwaani

Yeh waqat ki palkon par
Soti hui veeraani
Jazbaat-e-mohabbat ki
Yeh aakhri aangraai

Bajti hui her jaanib
Yeh mout ki sehnaai
Sab tum ko boltay hain
Pal bhar ko tum aayo na

Band hoti meri aankhon main
Apni mohabbat ka
Ek khwaab saja jaao
Ek baar tum aa jaao

Ussay yeh kon samjhaye


Ussay yeh kon samjhaye

Woh dasht-e-khamoshi main

Ungliyon main seepiyaan pehnay

Kisi sookhay samandar ki

Adhoori pyaas ki baatain

Bhout chup chaap sunta hai

Bhout khamosh rehta hai

Ussay yeh kon samjhaye

Khushi kay ik aansoo se

Samandar bhar bhi jaatay hain

Bhout khamosh rehnay se

Taaluq mar bhi jaatay hain

Koi sakoon ki jga Tlaash krein


Koi sakoon ki jga Tlaash krein

Aa mil kay wafa Tlaash krein

Jurm donon ka hy ek sa

Aa ek jesi sza Tlaash krein

Gham sine mein Jo kabhi ruk na pae

Aa aisi Aab-o-Hwa Tlaash krein

Donon apni ana mein na mit jaein kahein

Aa koi drmiyani C raah Tlaash krein

Zindagi apni kabhi duri mein na beet jae

Aa ham apni apni khta Tlaash krein

Dekhte hi Dekhte jo Dil mein Utar jae

Muhabbat ki wo pehli Nigaah Tlaash krein

Pehli mohabbat yaad aati hai


Door ufaq ki tareeki main 

Bijli jab bhi lehraati hai

Shamma jalaatay lamhay aksar 

Kamray ky ghup andheray main 

Pehli mohabbat yaad aati hai 

Auto'graph talb karnay jab 

Koi haseena ghar aati hai 

Bari bari aankhon se woh jab 

Dekh kay mujh se sharmaati hai 

Maazi main kho jaata hoon main 

Pehli mohabbat yaad aati hai 

Shaam khizaan jab tanha tanha 

Baagh main sair ko jaata hoon 

Kisi udaas se larki ko jab 

Bench pe tanha paata hoon 

Jaanay kiyon yaad aa jaata hai 

Aik khizaan ki shaam ka manzir 

Jab hum dono juda huye thay 


Tez bhout hai waqat ka dariya


Mat is khwaab kay peechay bhaago 
Pathar ban kar reh jaao gi
Tez bhout hai waqat ka dariya
Tum bhi is main beh jaao gi
Yeh nashtar jaye ruswaai
Bolo, kaisay seh paao gi 
Kiya bachon jaisi baaton se 
Tum sab ko behlaa sakti ho
Kiya tum apnay mann ki mantiq
Duniya ko samjhaa sakti ho 
Khwaabon jaisi baatein kar kay 
Kiya tabeerain paa sakti ho 
Baap ki shafqat , maa ki mamtaa
Kiya savh much thukra sakti ho 
Jis ghar main parwaan charhi tum 
Us ko chor kay aa sakti ho 
Aisi baatain na'mumkin hain 
Bas tum apni tanhai main 
Hijar kay geet hi gaa sakti ho

Main bhi theek aur tum bhi sachay


Tum ne hi majboor kiya hai 
Mujh ko raayh badalnay par
Jeevan kay be'ant safar main 
Ghair ka ho kar chalnay par 
MAin ne tumhri aashaaon ka 
Her her roop sraaha tha 
MAin ne apna aap bhulaa kar 
Tum ko toot kay chaha tha 
Umar ki uljhi dewaaron par 
Qismat ka anshyaara tha 
Aur bhout thay suraj lakin 
Tum sa chraagh hi pyaara tha 
Lakin tum hi mere maseeha 
Nafrat kay saanchay main dhal kar 
Ik din mere samnay aa gaye 
Qatil ka behroop badal kar 
Ab kiya shikwa, kaisi shikayat 
Chahat kay sab rishtay kachay 
Main bhi aur tum bhi harjaai 
Main bhi theek aur tum bhi sachay 

Ab yeh kehto ho " mere khat mujhay wapis kar do


Kal yeh likhti thi bicharna tumhain manzoor nahin 

Ab yeh kehto ho " mere khat mujhay wapis kar do 

Main safaai koi doon ga na wazahat doon ga 

Tum ko wapis main tumhari yeh amaanat doon ga 

Phir kabhi tum se na milnay ki zamanat doon ga 

Bas tumhain tark-e-marasam pe yeh zehmat doon ga 

Tum bhi be'chain to main bhi koi masroor nahin 

Kal yeh likhti thi bicharna tumhain manzoor nahin 

Ab yeh kehto ho " mere khat mujhay wapis kar do


 


Ek baar tum aa jaao


Yeh raat yeh tanhai 
Yeh dil ki dharaknay ki 
Awaaz aur snaata 
Yeh doobay taaron ki
Khamosh ghazal khwaani 

Yeh waqat ki palkon par 
Soti hui veeraani 
Jazbaat-e-mohabbat ki 
Yeh aakhri aangraai 

Bajti hui her jaanib 
Yeh mout ki sehnaai 
Sab tum ko boltay hain 
Pal bhar ko tum aayo na

Band hoti meri aankhon main 
Apni mohabbat ka 
Ek khwaab saja jaao
Ek baar tum aa jaao 
 

Taaluq mar bhi jaatay hain


Ussay yeh kon samjhaye

Woh dasht-e-khamoshi main

Ungliyon main seepiyaan pehnay

Kisi sookhay samandar ki

Adhoori pyaas ki baatain

Bhout chup chaap sunta hai

Bhout khamosh rehta hai

Ussay yeh kon samjhaye

Khushi kay ik aansoo se

Samandar bhar bhi jaatay hain

Bhout khamosh rehnay se 

Taaluq mar bhi jaatay hain 



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...