Mar 11, 2015

Chor diya hum ne Aitabaar qismat ki lakeeron pe "Wasi"


Chor diya hum ne Aitabaar qismat ki lakeeron pe "Wasi"

Jo dilon main bas jayein woh lakeeron main nahin mila kartay

Lay kar us ko baanhon main sochtay rahay Ae dost


Lay kar us ko baanhon main sochtay rahay Ae dost

Aag hai jahanum ki , , , , phir kiyon hai maza jannat sa ?

Wafa ki talaash to be'wafaon ko hoti hai "Faraz"


Wafa ki talaash to be'wafaon ko hoti hai "Faraz"

Hum ne to duniya hi chor di kisi ki wafa kay liye

Chalay bhi Aao Keh main to


Chalay bhi Aao

Chalay bhi Aao
Keh main to khud ko tumharay rangon main rang
Chuka hoon
Tumharay sanchon main dhal chuka hoon
Tumharay kehnay pe aa kay dekho
Main khud ko kitna badal chuka hoon

Kitnay baras lagay yeh jananay main


Kitnay baras lagay 
YEh jananay main
Keh meray andar tear hona kya hai 
Aisa hona bhi chahiye tha
Shaam hotay hi
Chand main roshni nahin aa jaati
Raat hotay hi
Raat ki raani mehak nahin uth'ti
Shaam aur khushboo kay beech
Aik aisa lamha hota hai 
Jis ka hamari zameen se koi taaluq nahin hota 
Is Aasmani lamhay ne 
Ab hamein choo liya hai

Parveen shakir

Jab tasawur mera chupkay se tujhay choo aaye


Jab tasawur mera chupkay se tujhay choo aaye 
Apni her saans se mujh ko teri khushboo aaye

Mashgala ab hai mera chand ko taktay rehna 
Raat bhar chain na mujh ko kisi pelu aaye

Jab kabhi gardish-e-doran ne sataya mujh ko 
Meri janib teray phailay huye baazu aaye 

Jab bhi socha keh shab-e-hijar na ho gi roshan
Mujh ko samjhanay teri yaad kay jugnoo aaye

Kitna hasaas meri Aas ka sanaata hai
Keh khamoshi bhi jahan baandh kay ghungaroo aaye

Mujh se milnay ko sar-e-shaam koi saaya sa
Teray aangan se chalay aur lab-e-ju aaye

Us kay lehjay ka asar to hai bari baat "Qateel"
Woh to aankhon se bhi karta huwa jaadu aaye

Baatein kartay huye hont achanak ruk jatay aur


Baatein kartay huye hont achanak ruk jatay aur 
Aankhein is kay peechay peechay chal parti thein 
Dhiyaan ka rasta kho jata tha 
Mehfil main jis simt woh jaati 
Kamray ka woh hissa jaisay yak'dam roshan ho jata tha 
Jadoo gar thein aankhein us ki 
Palkain thein ik raaz 
Rooh main jhil mil kar deti thi 
Aisi thi awaz
 

Di tisnagi khuda ne to chashmay bhi de diye


Di tisnagi khuda ne to chashmay bhi de diye 

Seenay main dasht, aankhon main dariya kiya mujhay 

MAin youn sambhal gayi keh teri be'wafai ne

Be'aitabariyon se shanasa kiya mujhay

Justagoo khoye huwon ki umar bhar kartay rahay


Justagoo khoye huwon ki umar bhar kartay rahay 
Chand kay hum'rah hum her shab safar kartay rahay 

Raaston ka ilm tha hum ko na simton ki khabar 
Shaher-e-na'maloom ki chahat magar kartay rahay 

Hum ne khud se bhi chupaya aur saray shaher se
Teray janay ki khabar dewaar-o-dar kartay rahay 

Woh na aaye ga hamein maloom tha is shaam bhi 
Intizaar us ka magar kuch soch kar kartay rahay 

Aaj aaya hai hamein bhi un uraano ka khayal 
Jin ko teray zoham main be'baal-o-par kartay rahay

Haan theek hai , main apni anaa ka mareez hoon


Haan theek hai , main apni anaa ka mareez hoon 

Aakhir meray mizaaj main kiyon dakhl de koi

Dasht-e-shab pe dikhai kya dain gi


Dasht-e-shab pe dikhai kya dain gi 
Salwetein roshni main ubhrain gi 

Ghar dewaarain meray janay par 
Apni tanhaiyon ko sochain gi 

Ungliyon ko taraash doon phir bhi
Aadatan us ka naam likhein gi 

Rang-o-boo se kahin pannah nahin 
Khwaishain bhi kahan amaan dain gi  

Aik khushboo se bach bhi jaaon agar 
Dosri nikhatein jakkar lain gi 

Khirkiyon par dabeez parday hon 
Baarishain phir bhi dastak dain gi

Jab shab kay shakista zeeno se Mehtaab ubharnay lagta hai


Jab shab kay shakista zeeno se Mehtaab ubharnay lagta hai
Jab gham kay sard Alaao main umeedain bujhnay lagti hain 
Jab dil kay shoreeda samandar main awazein marnay lagti hain 
Jab mousam haath nahin aatay jab titli baat nahin karti
Jab zinda rehna ik be'mehni kaam dikhai deta hai 
Jab aanay wala her lamha dishnaam dikhai deta hai 
Jab yaad kay gehray sanaatay main chehray gum ho jatay hain 
Jab dard se bojhal aankhon main gardaab se parnay lagtay hain
Jab shammein gul ho jati hain jab khwaab bikharnay lagtay hain 
Uss waqat agar tum aa jaao

Ussay taraash kay heera bana diya hum ne Faraz


Ussay taraash kay heera bana diya hum ne Faraz 

Magar ab yeh sochtay hain ussay khareedain kaisay

Intizar-e-umar-e-taweel kay baad bhaiga jo qasid ko un ki taraf


Intizar-e-umar-e-taweel kay baad bhaiga jo qasid ko un ki taraf 

Qasid palat kay khoon roya , keh ta'aaruf poochtay hain woh

Paas jab tak woh rahay dard thama rehta hai


Paas jab tak woh rahay dard thama rehta hai 

Phailta jaata hai phir aankh kay kajal ki tarah

Ek umar sunaein to hikayat na ho poori


Ek umar sunaein to hikayat na ho poori 

Do roz main hum par jo yahan beet gayi hai 

Habib Jalib

Gham-e-hayat ka jhagra mita raha hai koi


Gham-e-hayat ka jhagra mita raha hai koi 
Chalay bhi aayo keh duniya se ja raha hai koi 

Ajal se keh do keh ruk jaye do gharri 
Suna hai aanay ka wada nibhaa raha hai koi 

Woh iss naaz se baithay hain laash kay paas 
Jaisay roothay huye ko mana raha hai koi 

PAlat kar na aa jaye saans nabzoo'n main "Faraz"
Itnay haseen haathon se miyyat saja raha hai koi

Jin kay hamsafar rooth jaya kartay hain


Jin kay hamsafar rooth jaya kartay hain 
Woh chain se kab soya kartay hain 

Sunaatay nahin kisi ko dukh apna 
Bas akelay main chup kar roya kartay hain 

Bari khoon adaa hai yeh ehal-e-wafa ki 
Aankhon main nami aur honton se muskuraya kartay hain 

Bhalay hi hazaron shikwe hon mehboob se
Woh bas haal pooch lay to sab bhool jaya kartay hain 

Bari ajeeb hai duniya ehal-e-dard ki 
Tanhai main aksar mehfalon ko sajaya kartay hain

Aata hi nahin uss nadaan kay baghair jeena


Aata hi nahin uss nadaan kay baghair jeena 

Ae kaash us shakhs ne marna bhi sikha diya hota

Main anjaam-e-mohabbat sochta hoon


Main anjaam-e-mohabbat sochta hoon 

Dil-e-be'taab ko apni parri hai

Us ne jab se yeh kaha kon ho tum


Us ne jab se yeh kaha kon ho tum 

Tab se main kon hoon pata nahin mujhay

Ghazab ka pyaar tha us ki udaas aankhon main


Ghazab ka pyaar tha us ki udaas aankhon main 

Gumaan tak na hua keh woh bicharnay wala hai

Baray zor-o-shor se chal raha hai karobaar-e-mohabbat


Baray zor-o-shor se chal raha hai karobaar-e-mohabbat 

Kahin chahtain bik rahi hain , kahin log badal rahay hain

Nahin chor saktay hum doston kay haath main tum ko


Nahin chor saktay hum doston kay haath main tum ko 

Wapis loat aayo na keh hum abhi tak tumharay hain

Ehsaas to bhout hai us ko meri chahat ka


Ehsaas to bhout hai us ko meri chahat ka 

Woh mujh ko tarpaata hai is liye keh main aur bhi toot kar chahon ussay

Chand se chehray ka sadqa bhi utaara keejiye


Chand se chehray ka sadqa bhi utaara keejiye 
Mashwara hai yeh meri jaan gawara keejiye 

Roshni din ki Aandheron main simat jaati hai 
Ghar kay Aangan main na youn zulfain sanwara keejiye

Hum to jaan hatheli pe liye phirtay hain 
Bas kisi roz hamein halka sa ishaara keejiye

Aap to mehal nasheen naram mulaim se hain 
Jhompri hai yeh ghreebon ki guzaara keejiye

Hum to raahon main liye phirtay hain kaasa-e-dil
Haal kaisa hai mera kisi roz nazara keejiye

Main kya likhon Keh ab to thak chuka hoon likh likh kar


Main kya likhon 
Keh ab to thak chuka hoon likh likh kar 
Dard jo bhi sahay hain woh likhon?
Ya dard denay walay ka hosla likhon 
Ya apni be'basi ka fal'safa likhon ?
YA us kay door honay tak ka faasla likhon ?
Aakhir kya likhon ?
Ab to dard itna honay laga hai 
Keh dil phatta jaata hai 
Kiyon hota hai dard mujhay 
Kya woh haadsa likhon ?
YA kuch na likhon aur tor doon qalam ?
Ya yeh likhon keh ab mujhay marnay ka shouq hai 
LAkin maron bhi to kis kay liye ?
Kon hai jo mujhay kaandha dy ga ?
Kon hai jo mujhay yaad karay ga ?
Woh ?
Woh jo jeetay jee baat nahin kartay
Ya woh ?
Jo bhoolay se bhi yaad nahin kartay 

Khwaab saaray , khayal saaray


Khwaab saaray , khayal saaray 
Haqeeqat ka libaas orhay 
Tumhari hasti sanwaar jayein 

YEh chand suraj yeh saray taaray 
Chragh jitnay bhi jal rahay hain 
Tumharay chehray kay rang dekhein to haar jayein 

YEh behti nadiyan yeh charhtay dariya 
YEh gehra sagar yeh jheel jharnay yeh Aabsharein 
Yeh apna jeevan tumhari aankhon pe waar jayein 

Rang khushboo gulaab saaray 
Mohabbaton kay nisaab saaray 
Nazar tumhari utaar jayein

Ek khwaab ajab sa dekha tha


Ek khwaab ajab sa dekha tha 
Hum us din se be'zaar piya 

Ab neend bhi hum se rooth gayi 
Phir kaisay ho deedar piya 

Ab keh daalo to behtar hai 
Jo karna hai iqraar piya 

Dil gham se hi phatt jaye ga 
Kar dena na inkaar piya 

Un aankhon ko un aankhon ki 
Na rok sakay dewaar piya

Tumhain paa kay khona meray bas main nahin


Tumhain paa kay khona meray bas main nahin 

Ab koi aur zakham pirona meray bas main nahin 

Ek umar tak dhoya hai dil kay daaghon ko 

Ab yeh daagh dhona meray bas main nahin 

Jaag chukay hain bhout shab ki tanhaiyon main 

KEh ab raaton ko sona meray bas main nahin

Shouq-e-talab ko dard ki meezan main toliye


Shouq-e-talab ko dard ki meezan main toliye
Lakin kabhi Aarzoo kay dareechay na kholiye 

Shaher-e-wafa ki simt uthaya hi tha qadam 
Toofan Aafton kay maray saath ho liye 

Shana hila kay fikar ne baidaar kar diya 
Jab bister-e-Anaa pe bhout dair so liye 

Hum ko sata kay chain se woh bhi na reh saka
Kaantay khud apni raah main zaalim ne bo liye 

Aankhon se apni karb ka baadal barsa chuka
Jee khol kay hum apni tabahi pe ro liye 

Har koi jaati hui rutt ka ishaara janay


Har koi jaati hui rutt ka ishaara janay
Gul na janay bhi to kya , baagh to sara janay 

Kis ko batlaein keh ashoob-e-mohabbat kya hai 
Jis pe guzri ho wohi haal hamara janay 

jaan nikli kisi bismil ki na suraj nikla 
Bujh gaye kiyon shab-e-hijraan ka sitara janay 

Jo bhi milta hai hum hi se gila karta hai 
Koi to surat-e-halaat khudaara janay 

Dost ehbaab to reh reh kay galay miltay hain 
Kis ne khanjar meray seenay main utaara janay 

Tujh se barh kar koi nadaan nahin ho ga "Faraz"
Dushman-e-jaan ko bhi tu jaan se pyaara janay 

Kathan andheron ki raah'guzar pe chragh-e-subh jala jala kay


Kathan andheron ki raah'guzar pe chragh-e-subh jala jala kay 
Qasam se aankhein bhi thak gayi hain tum se aansoo chupa chupa kay 

Yeh kya khabar thi keh ek chehray se kitnay chehray kasheed hon gay 
MAin thak gaya hoon tumharay chehron ko aainay main saja saja kay 

Hum itnay sada mizaaj kab thay magar saraabon ki rah'guzar pe 
Faraib deta raha zamana , tumhari surat dikha dikha kay 

Ajab tanasub se zehan-o-dil main kahyal taqseem ho rahay hain 
Mujhay mohabbat si ho gayi hai , tumhain mohabbat sikha sikha kay

Aik ghazal teray liye zaroor likhon ga


Aik ghazal teray liye zaroor likhon ga 
Be'hisaab uss main tera qasoor likhon ga 

Tu guftaar ki maahir ti kirdaat ki maahir
Par husan ko teray , tera ghroor likhon ga 

Toot gaye bachpan kay teray saray khilonay 
Ab dilon se khailna tera dastoor likhon ga 

Raha ishq ka dawa tujhay tamaam umar kahan 
Wafa ki dehleez se tujhay mafroor likhon ga 

Khud shakista jo hai tera judai ka faisala 
Aisay her iqdaam ko na'manzoor likhon ga 

Hamain kehnay ki aadat nahin likhnay ka shouq hai 
JAzbon ko apnay qalam ki taseer likhon ga 

Tera wajood mera wajood mujhay ik se lagay 
Par tujhay main khud se bhout door likhon ga 

Kal teray shaher ka ek shakhs mila jo mujh se


Kal teray shaher ka ek shakhs mila jo mujh se
Baaton baaton main tera zikar bhi zaalim ne kiya 

Naam kya aaya tera uss kay labon par jana 
Jis tarah rooh kisi jism se khinch kar aaye 

Youn laga mout kay saaye meray sar pe aaye 
Phir teray pyaar ki pazaib  achanak chamki 

Phir mera weham dilaason ki haddon se nikla 
Phir meri aankh main sawan kay katoray chhalkay 

Phir meri jaan pe qayamat ki gharri aa tehri 
Phir meray dil ne ajab maangi dua Maalik se 

Aaj kay baad tera zikar karay na koi 
Aaj kay baad koi tera shanaasa na milay 


Suna tha jashan ho ga aur ghar ghar roshni ho gi


Suna tha jashan ho ga aur ghar ghar roshni ho gi 
Nahin maloom yeh taqreeb kab tak multavi ho gi 

Taluh-e-subh-e-sadiq ki chamak kuch aur hota hai 
Tumhain dhoka hua ho ga kahin bijli giri ho gi 

Meray jurm-e-wafa ka faisala kuch iss tarah ho ga 
Saza ka hukam fori aur sama'at sar'sari ho gi 

Yeh be'maqsad safar ab khatam ho jaye to acha hai 
Na tum se reh'bari ho gi na hum se pairwi ho gi 

Hamein darbaar-e-saahil tak na lay jaao to acha hai 
Hamara kuch na jaye ga , tumhain sharmindagi ho gi 

Anjaam-e-ishq , gardish-e-halaat daikh lay


Anjaam-e-ishq , gardish-e-halaat daikh lay
Aankhon se meri hasrat-e-na'kaam daikh lay 

Tujh ko kisi maqaam pe ruswa nahin kiya 
Sir pe liya hai main ne hi ilzaam daikh lay

Mero mohabbaton ka tujhay gar yaqeen nahin 
Yaadon kay jugno'on ko sar-e-shaam daikh lay 

Teray liye main mout kay munh main poonch gaya 
Aa meray intizaar ka anjaam daikh lay 

Teray baghair shaher hi sara ujar gaya 
Soonay paray huye hain dar-o-baam daikh lay 

Dil kay warq warq pe baray ehtraam se 
Ashkon se likh diya  hai tera naam daikh lay 

Youn to hai sara shaher teri zulf ka aseer 
Hoon teray ishq main badnaam daikh lay

Mil hi jaye ga kahin , dil ko yaqeen rehta hai


Mil hi jaye ga kahin , dil ko yaqeen rehta hai 
Woh is shaher ki galiyon main kahin rehta hai 

Ek zamana tha keh sab ik jaga rehtay thay 
Aur ab koi kahin , koi kahin rehta hai 

Jis ki saanson se Mo'atar tha dar-o-dewaar tera 
Ae makaan bol, Kahan ab woh makeen rehta hai 

Roz milnay pe bhi lagta hai keh jag beet gaye 
Ishq main waqat ka ehsaas kahan rehta hai 

Dil afsurda to hua , dekh kar us ko Mohsin 
Umar bhar kon jawaan , kon haseen rehta hai

Qurbaton kay sawan main hijar ki ghata ho ja


Qurbaton kay sawan main hijar ki ghata ho ja
Phir se tor dil mera , phir se be'wafa ho ja 

Mujh se kya tujhay haasil main nahin tera saahil 
Khud safeena ban apna khud hi na khuda ho ja 

Kal ko tu jo nochay gi apna chehra nochay gi 
Tab juda hona hai , ab hi tu juda ho ja 

Iss se barh kay dil joyi kar na paye ga koi 
Jurm jo kiya main ne us ki tu saza ho ja 

Bojh mujh se reh jaye baad-e-marg kiyon tera ?
Qarz agar hai tu mera , waqat par adaa ho ja
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...