Apr 7, 2015

Tumharay naam se ab intisaab kya ho ga


Bikharta jism meri jaan , kitab kya ho ga

Tumharay naam se ab intisaab kya ho ga

Tum apni neend bharay sehra main talash karo

Jo aankh raakh hui , us main khawab kya ho ga

Woh meri tohmatein , apnay badan pe kiyon orhay

Meray gunnah ka , us ko sawab kya ho ga

Milay ga doobnay walon ko ajar , jo bhi milay

Samandron ka magar , ehtisaab kya ho ga

Hamaray baad hamein , yaad kiyon karay ga koi

Huwa na naqsh , sar-e-sat'tah-e-aab kya ho ga

Bikhartay toot'tay mohsin ko , aur kya kehna

Kharab aur , woh khana'kharaab kya ho ga

Aarzoo dil main yahi thi kabhi aisa kartay


Aarzoo dil main yahi thi kabhi aisa kartay 
Thaam kar haath tera shaam ko ghooma kartay 

Main baharon se sajaata tera daman her roz
Mil kay hum phoolon kay rukh'saar ko chooma kartay 

Sari khushiyan teray qadmon pe nichawar karta 
Ashk khushiyon kay meri aankh main aaya kartay 

Khawaish-e-wasal hamein ghar main na tiknay deti
Ghar kay logon se naya roz bahana kartay 

Jab thakan loriyaan dy dy kay sulaati hum ko 
Aik doojay ko hi bas khawab main daikha kartay 

Meri qismat jo ussay mera banaati 
Zindagi bhar kabhi chahat ko na ruswa kartay 

Bikharta jism meri jaan , kitab kya ho ga


Bikharta jism meri jaan , kitab kya ho ga 
Tumharay naam se ab intisaab kya ho ga 

Tum apni neend bharay sehra main talash karo 
Jo aankh raakh hui , us main khawab kya ho ga 

Woh meri tohmatein , apnay badan pe kiyon orhay 
Meray gunnah ka , us ko sawab kya ho ga 

Milay ga doobnay walon ko ajar , jo bhi milay 
Samandron ka magar , ehtisaab kya ho ga 

Hamaray baad hamein , yaad kiyon karay ga koi 
Huwa na naqsh , sar-e-sat'tah-e-aab kya ho ga 

Bikhartay toot'tay mohsin ko , aur kya kehna 
Kharab aur , woh khana'kharaab kya ho ga 

Socha tha uss se bichrein gay to mar jayein gay


Socha tha uss se bichrein gay to mar jayein gay 

Jaan leva khouf tha hua kuch bhi nahin aur raha kuch bhi nahin

Dil ko kaghaz samjh rakha hai kya


Dil ko kaghaz samjh rakha hai kya 

Aatay ho jalatay ho aur chalay jatay ho

Tujhay choron to mar na jaaon


Tujhay choron to mar na jaaon 

Us ki yeh baat bhulaai nahin jaati 

Tumhein maloom hai jana keh tum bhi aik qatil ho


Tumhein maloom hai jana keh tum bhi aik qatil ho 

Meray andar ka ik hansta hua insaan tum ne maara hai

Jeevan raah pe chaltay chaltay murr kay dekha barson baad


Jeevan raah pe chaltay chaltay murr kay dekha barson baad 
Kya khoya kya paya hum ne aaj yeh jana barson baad 

Aik zara si dair main barson ki khamoshi toot gayi 
Kis ne samay ki jheel main pehla pathar phainka barson baad 

Baithay baithay aaj kisi ki yaad ne youn angraai li
Ashkon ka be'mousam badal toot kay barsa barson baad 

Muddat baad milay hum dono to aisa mehsos hua
Waqat ne ik tasveer kay do tukron ko jora barson baad 

Raat meray kamray main koi saya sa lehraya tha 
Neend urri aankhon ne shayed sapna dekha barson baad 

Tabeeron ki khoj main aakhir apna aap ganwa baithay 
Sagar apna her ik sapna jhoota nikla barson baad

Yeh udasiyon ka mousam meri zindagi na le le


Yeh udasiyon ka mousam meri zindagi na le le

Mera dam nikal na jaye ussay yaad kartay kartay

Kya milay ga tujh ko zanjeer-e-rafaqat tor kar


Kya milay ga tujh ko zanjeer-e-rafaqat tor kar 

Main bhi tanha , tu bhi tanha aur tamashai bhout

Na tang kar janay de ghar mujhay


Na tang kar janay de ghar mujhay 

Ishq teri qasam main teray aagay haar gaya

Meray muqaddar ko bhi gila raha mujh se


Meray muqaddar ko bhi gila raha mujh se 

Keh kisi aur ka hota to sanwar gaya hota

Tum kahan jaao gay socho


Tum kahan jaao gay socho 

Log thak haar kay ghar jatay hain

Sirf aik hi baat dekhi in husn walon main hum ne


Sirf aik hi baat dekhi in husn walon main hum ne 

Jis ki jitni adaa ho , woh utna hi be'wafa hota hai

Tum ko de di hai ishaaron main ijazat main ne


Tum ko de di hai ishaaron main ijazat main ne 

Maangnay se na milon agar to churaa lo mujh ko

Udasi aankh se chalak parri thi


Udasi aankh se chalak parri thi 

Main tera naam lay kar khoob roya

Awaaz main thehraao tha , Aankhon main nami thi


Awaaz main thehraao tha , Aankhon main nami thi 

Aur keh raha tha main ne sab kuch bhulaa diya

Yeh eid bhi guzar jaye gi sanam teri judai main


Yeh eid bhi guzar jaye gi sanam teri judai main 
Koi tujh sa phir na mila mujhay itni bari khudaai main 

Us ne dil tora tha Aainay ki tarah her baar mera 
Yeh fun to ghazab ka tha meray harjaai main 

Main qaidi hoon ab bhi teri mohabbat ka sanam 
YEh aur baat tu ne , kami kar di meri paziraai main

Miltay hain taanay her eid pe mujhay teri be'rukhi kay 
Gham se ja girta hoon main main andheri khaai main 

Zabt itna nahin mujhay ashkon par abr
Dard chhupta nahin meri aankhon main

Eid aayi to khayal aaya hamein


Eid aayi to khayal aaya hamein 
Janay kab bichray huye log milein 

Jee main aata hai abhi tum se kahein 
Eid ka chand mubarak tumhein 

Hum hain khamosh hamein dar hai yahi 
Lab khulein gay to pukarein gay tumhein 

Tum ko dekhye huye sadiyan beetein 
Tum se kehna hai yahi aaj hamein 

Maangna bhool na jana hum ko 
Chaand ko dekh kay gar haath uthein

Din raat chala be'wajah paikar kay peechay


Din raat chala be'wajah paikar kay peechay
Halaat bigartay gaye kuch pyaar kay peechay 

Jaisay hi giri beech ki dewaar to dekha 
Khatraat ki yalghaar thi dewaar kay peechay 

Ab shikwa yahi dost bhi kar jatay hain meray 
Her raat tarapta hai kiyon yaar kay peechay 

Yak-tarfa mohabbat ki saza kitni karri hai 
Sadmaat hi sadmaat hain inkaar kay peechay 

Sar kaat kay nezay pe sajaye ga mera 
Thi maat magar kon tha talwaar kay peechay 

Dil hijar ki raaton main hua dard ka paikar 
Lamhaat-e-wasal chhup gaye Ashaar kay peechay 

Guftaar se ho jaati ahi insaan ki pehchaan 
Her zaat ka kirdaar hai guftaar kay peechay 

Dekha tha mujhay pyaar se phir hosh kahan tha 
Jazbaat ka toofan tha iqraar kay peechay 

Dukh dard ki aatish ko barhaya hai dukhon ne 
Aur baar bigarti rahi do chaar kay peechay 

Rota hai tarapta hai sisakta hai "Naseem" ab
Is baat ka hi khouf tha is haar kay peechay

Aaya jo tera naam to aankhein chalak parein "sagar"


Aaya jo tera naam to aankhein chalak parein "sagar"

Hum sochtay hain aaj achanak yeh kya huwa

Marna to hai Ooper walay kay hukam se "Wasi"


Marna to hai Ooper walay kay hukam se "Wasi"

Asool-e-mohabbat main ek naam "Intizaar" bhi hota hai 

Hai teri jins-e-husn main taseer zehar ki


Hai teri jins-e-husn main taseer zehar ki 

Jiss ki nazar parri woh kharidaar mar gaya

Ae ishq yeh kesa adal-o-insaaf hai tera


Ae ishq yeh kesa adal-o-insaaf hai tera 

Khata lamhon ki hoti hai saza sadiyon ki milti hai 

Aqal walon kau muqaddar main yeh zouq-e-junoon kahan Ghalib


Aqal walon kau muqaddar main yeh zouq-e-junoon kahan Ghalib

Yeh ishq walay hain jo her cheez luta detay hain

Jissay samjhtay thay zindagi woh meri dharkano ka faraib tha


Jissay samjhtay thay zindagi woh meri dharkano ka faraib tha 

Hamein muskurana sikha kay woh hamari rooh tak ko rula gaya

Ae parindo , kisi shaam urrtay huye


Ae parindo ! 
kisi shaam urrtay huye 
Raastay main agar woh nazar aaye to 
Geet baarish ka koi sunana ussay 

Ae sitaro !
Youn hi jhil'milatay huye 
Us ka chehra dareechay main aa jaye to 
Baadlon ko bula kar dikhana ussay 

Ae Hawa !
Jab ussay neend aanay lagay 
Raat apnay thikanay pe janay lagay 
Us kay chehray ko choo kar jagana ussay 
Phool baalon main apnay pironay lagay 
Meray baaray main kuch na batana ussay 
 

Tum bin na guzray gi zindagi


Tum bin na guzray gi zindagi 

Main kya karon ga zamanay ki dosti lay kar

Hum se juda honay ka tasawur bhi na karna


Hum se juda honay ka tasawur bhi na karna 

Hum aisay sitam'gar hain keh manaya bhi nahin kartay

Apnay qadmon kay nishaan meray raastay se haata de


Apnay qadmon kay nishaan meray raastay se haata de

Kahin yeh na ho keh main chaltay chaltay phir teray paas aa jaaon

Hamesha khouf kay saaye main rehta hoon main


Hamesha khouf kay saaye main rehta hoon main 

Woh mujhay chor sakti hai larki ka Aetabaar hi kya

Meri zar'khaiz aankhon par faqat is liye zawaal aaya


Meri zar'khaiz aankhon par faqat is liye zawaal aaya 

Ek khawab dekh baitha tha apni Auqaat se barh kar

Dekh kar jissay dil ko qaraar aaye ga


Dekh kar jissay dil ko qaraar aaye ga 
Loat kar kabhi to mera woh yaar aaye ga 

Woh mujhay bhool bhi gaya hai to koi baat nahin 
Magar khayal us ko mera baar baar aaye ga

Main jaanta hoon us kay dil main meray liye nafrat hai magar
Ek din woh meray paas ho kay sharam'saar aaye ga 

Woh bhi ro de ga meri halat dekh kar 
Mohabbat pe meri phir us ki Aetibaar aaye ga 

Kehta phiray ga woh logon se bhout acha tha mera yaar 
JAb miyyat pe meri woh ho kay ashk'baar aaye ga

Hai ikhtiyaar main teray to moujza kar de


Hai ikhtiyaar main teray to moujza kar de

Woh shakhs mir inhain ussay mera kar do

Bar'baad kar jaati hain her qalb-o-jiger ko


Bar'baad kar jaati hain her qalb-o-jiger ko 

Kis darja hain duniya main fasaadi teri aankhein

Talaash karo tumhein mil jaye ga koi mohabbat karnay wala


Talaash karo tumhein mil jaye ga koi mohabbat karnay wala

Hum to hum hi nahin rahay , hum main mohabbat kahan

Meray etimaad ki is se barh kar aur kya daleel ho gi


Meray etimaad ki is se barh kar aur kya daleel ho gi 

Jo tumhari la'taluqi ko masroofiyat samjh baitha hoon

Meray zakhmon ki dawa kon banay ga teray baad


Meray zakhmon ki dawa kon banay ga teray baad 

Hum ne apnay bhi khoye thay tujhay panay kay liye

Doobtay doobtay awaz us ki sun jaaon


Doobtay doobtay awaz us ki sun jaaon 

Aakhri baar woh saahil se sada de mujh ko

Bhatkay huye phirtay hain kai lafz jo dil main


Bhatkay huye phirtay hain kai lafz jo dil main 

Duniya ne diya waqat to likhein gay kisi din

Shareek-e-gul bhi raha awara saba bhi raha


Shareek-e-gul bhi raha awara saba bhi raha 
Aur apni zaat kay sehra main la'pata bhi raha 

Milay her ik se taanay salamati kay mujhay 
Kissay khabar keh main andar se toot'ta bhi raha 

Hui ajeeb zamanay main parwarish meri 
Kamar tani bhi rahi haath main Asaa bhi raha 

Woh mujh se chahta kya tha , mujhay khabar na hui 
Main bikharta raha aur khud ko samit'ta bhi raha 

Kaati hai umar ajab do'rahay par 
Main apnay aap se khush bhi raha aur khafa bhi raha

Guftagoo jab se huwi hai meri us kay saath par


Guftagoo jab se huwi hai meri us kay saath par 
Wog bigarnay lag gaya hai meri her baat par 

Kaisay jungal aa basay meray hanstay shaher main
Kaisi veerani se chai hai meray dehaat par

Lafz murjhanay lagay hain shiddat-e-tapp se meray
Sawano ki phir koi baarish meray naghmaat par 

Jhonk kar wadon ko majboori kay aatish'daan main 
Daal de ga woh koi ilzaam meri zaat par 

Meray chehray par meri apnai malaamat chaa gayi
Tabsira karnay laga tha surat-e-halaat par 

Meray hi ashkon ne meray ghar ko roshan kar diya 
Chand ka ehsaan kiya , meri kaali raat par 

Us ne kha'mukha aankhon main aansoo bhar liye 
Muskurana itna mushkil to nahin tha maat par

Saal bhar eid ka raasta nahin dekha jata


Saal bhar eid ka raasta nahin dekha jata 

Woh galay mujh se kisi aur bahanay lag jaye 

Hamaray shaher aa jaao sada barsaat rehti hai


Hamaray shaher aa jaao sada barsaat rehti hai 

Kabhi badal barastay hain , kabhi aankhein barasti hain

Ek naaz sa rehta hai khud par jis din se bataya logon ne


Ek naaz sa rehta hai khud par jis din se bataya logon ne 

Woh jaan-e-ghazal tasveer meri seenay se laga kar sotay hain

Dekha hai faqat tujh ko khawabon main abhi tak


Dekha hai faqat tujh ko khawabon main abhi tak 
Aaya nahin tu meray hawalon main abhi tak 

Duniya kay liye tera taaruf nahin kaafi 
Hota hai tera zikar sawalon main abhi tak 

Ek baar teray dhiyaan se aaya tha achanak 
Roshan hain sitaray se khayalon main abhi tak 

Unwaan badal denay se kya farq parra hai 
Mazmoon puarnay hain  risaalon main abhi tak 

Roshan hain dil main umeedon kay saweray 
Zinda hoon bahar-haal ujaalon main abhi tak

Afsana-e-hasti hoon haqeeqat ki zubaan hoon


Afsana-e-hasti hoon haqeeqat ki zubaan hoon 
Suntay nahin meri keh main sehra ki Azaan hoon 

Her chand keh main seena-e-arzi pe giraan hoon 
Haq yeh hai keh insaan ki azmat ka nishaan hoon 

Makhfi kahin hoon to kahin sab pe ayaan hoon 
Emaan-o-yaqeen hoon to kahin weham-o-gumaan hoon 

Be'kaif chalay aayein musafir meray peechay 
Gum gashta-e-manzil hoon magar phir bhi rawan hoon 

Dekho jo mera haal to hoon zarah-e-khaaki
Socho to khud apni jagah kon-o-makaan hoon 

Her simt hoon phaila hua simta hua kab hoon 
Her ik dil main hoon agarchay dhuwaan hoon

Hum to samjhay thay hum bhool gaye un ko


Hum to samjhay thay hum bhool gaye un ko 

Kya hua aaj yeh kis baat pe rona aaya

Itni jaldi kya hai mujhay chornay ki


Itni jaldi kya hai mujhay chornay ki 

Abhi to hadd baqi hai mujhay tornay ki

Na janay kon sa sitam hona hai ab


Na janay kon sa sitam hona hai ab

Shakistagi meri haal sanwarnay lagi hai

Main jo mehka to meri shaakh jala di us ne


Main jo mehka to meri shaakh jala di us ne 
Sabz mousam main mujhay zard hawa di uss ne 

Pehlay ik lamhay ki zanjeer main baandha mujh ko
Aur phir waqat ki raftaar barhaa di uss ne 

Jaanta tha keh mujhay mout sakoon bakhshay gi
Woh sitam'gar tha so jeenay ki dua di uss ne 

Us kay honay se thein saansein meri dug'nee shayed
Woh jo bichra to meri umar ghata di uss ne

Maghroor meri chashm-e-tamasha hai in dino


Maghroor meri chashm-e-tamasha hai in dino
So baar un ko door se dekha hai in dino

Aaraishon se husn mubbarra hai in dino
Shayed keh aainay se bhi parda hai in dino

Pinhaan hai zulf sar pe duppata hai in dino
Main kya shab-e-firaaq bhi tanha hai in dino

Jis ko ghroor-e-husn ho aa jaye samnay 
Apni nazar pe mujh ko bharosa hai in dino 

Daaman se khushk deeda-e-pur'nam na keejiye 
Muddat ka yeh jaam hai jo chalka hai in dino

Hai janab-e-haram daar-e-kaashaana-e-sanam 
Suraj khilaaf-e-simt nikalta hai in dino

Thokrein maar kay mehfil se uthatay hain mujhay


Thokrein maar kay mehfil se uthatay hain mujhay 

Aur aik paaon se daman bhi daba rakha hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...