Mar 25, 2016

Barishon main bheeg kar sab pairr ujlay ho gaye


Barishon main bheeg kar sab pairr ujlay ho gaye 
Raat bhar ronay ne kuch mujh ko bhi halka kar diya 

Roz milta tha main tum se , roz hota tha juda 
Is tarah kay haadson ne zakham gehra kar diya

Ik tumharay payar ne jadoo yeh kaisa kar diya


Ik tumharay payar ne jadoo yeh kaisa kar diya 
Chaar su meray ujaala hi ujaala kar diya 

Kon kehta hai mohabbat naam hai ruswai ka 
Kab suna hai phool ko shabnam ne meila kar diya 

 Dhoondta phirta hai ab woh doston ko her taraf 
Dosti kay shouq ne us ko akela kar diya 

Cheekh sun kar bhi kisi ne murr kay dekha hi nahin 
Be'hissi ne shaher kay logon ko behra kar diya

Baarishon main bheeg kar sab pairr ujlay ho gaye
Raat bhar ronay ne kuch mujh ko bhi halka kar diya 

Roz milta tha main tum se, roz hota tha juda 
Is tarah kay haadson ne zakham gehra kar diya 

Ae meri soch kay mehwar , tum apnay saray dukh ro lo


Ae meri soch kay mehwar , tum apnay saray dukh ro lo 
Samjh lo mujh ko chara gar , tum apnay saray dukh ro lo 

Issay tum mashwara samjho ya mera tajarba samjho !
Yeh dil ho jaye ga pathar , tum apnay saray dukh ro lo 

Mujhay khamosh ashkon se bhout hi khouf aata hai 
Na rakho aankh youn banjar , tum apnay saray dukh ro lo 

Tumhein is ki khabar ho gi , yeh ik din khoon rula'iye ga 
Bhula kar khawab ka paikar , tum apnay saray dukh ro lo 

Meri jaan! yeh nahin socho , samaiton ga inhein kaisay 
Meray shanay pe sar rakh kar , tum apnay saray dukh ro lo 

Suan hai us ki aankhon main tumharay zakham khiltay hain 
Tumhein kehta hai jo aksar , tum apnay saray dukh ro lo 

Suno ! ne'meharban aankhein tumhein aisay hi daikhein gi 
Nahin badlay ga yeh manzir , tum apnay saray dukh ro lo 

Agar youn ashk ronay se anaa par chot parti hai 
Hansi ki orh kar chadar , tum apnay saray dukh ro lo 

Bata dena yeh mera dil tumharay gham se bojhal hai 
Ussay kehna yeh nama bar , tum apnay saray dukh ro lo

Ae meray kam sukhan sathi


Ae meray kam sukhan sathi
Meri banjar si aankhon se
Koi dhoka nahin kaao 
Keh tum kab dekh sakti ho 
Meray dil main chuppay ghaao
Ae meray kam sukhan sathi !
Tumhein shayed khabar ho gi 
Mohabbat main jo behtay hain 
Woh aansoo khushak hotay hain

Aainay se rihaa karay koi


Aainay se rihaa karay koi 
Mujh ko mujh se juda karay koi 

Be'basi jaan lenay lagti hai 
Jo na roye to kya karay koi 

Shiddat-e-gham ko jan'nanay kay liye
Kaash aankhein parha karay koi 

Ab yeh dil hai keh main rahoon khush aur
Meray gham main raha karay koi 

Main bhi thehron kisi kay honton par
Meri khatir dua karay koi 

Rokti hai anaa yeh kehnay se
"Meray dukh ki dawa karay koi "

Be'wafai kay surkh mousam main 
Kya kisi se wafa karay koi

Mujhay is zindgani se koi shikwa nahin lakin zara si be'sakooni hai


Zara si be'sakooni hai 

Mujhay is zindgani se koi shikwa nahin lakin 
Zara si be'sakooni hai 
Na janay kiyon meray dil main 
Ajab ik khouf rehta hai 
Mujhay mehsoos hota hai 
Keh meray dil kay darwaze pe 
Teri yaad ki dastak main woh shiddat nahin baqi 
Bhout si khaas baatein hain 
Jo mujh ko aam lagti hain 
Meray dil main inhein sun kar koi toofan nahin uthta 
Teri aankhein , tera chehra 
Teri awaaz ki rim jhim 
Sabhi kuch khawab lagta hai 

Mujhay mehsoos hoat hai 
Sunehri titliyon jaisay 
Woh sab khush rang se sapnay 
Meray lafzon kay phoolon par 
Bhout din se nahin baithay 

Mujhay mehsoos hota hai 
Samay ki tez lehron ne 
Hamaray rait kay kacchay gharonday tor dalay hain 
Mujhay in tez lehron se
Sunehri titliyon jaisay 
Sabhi khush rang sapno se
Koi shikwa nahin lakin 
Zara si be'sakooni hai 

Mujhay mehsoos hota hai 
Tumharay dil kay darwaze pe meri yaad ki dastak 
Meri jaan ab nahin hoti 

Meri jaan ab nahin hota 
Keh meri yaad aaye to 
Tumhari aankh bhar aaye 
Duaein maangtay lamhay 

Mujhay tum bhool jati ho
Magar phir bhi mujhay tum se
Koi shikwa nahin lakin 
Ajab si be'sakooni hai 
Ajab ik khouf hai dil main 
Main tum ko bhool jaaon ga 

Duriyan muqaddar hain




Duriyan muqaddar hain 

Sogawaar lehjay main 
Pairr khushk patton se 
keh rahay hain patt jhar hai 
Duriyan muqaddar hain

Chupana raaz is dil kay agar tum chor do jana


Chupana raaz is dil kay 
Agar tum chor do jana
Tumhein mujh se mohabbat hai 
Agar tum bol do jana 
To jeewan kay safar main 
Raasat asaan ho jaye 
Hamaray paas bhi jeenay ka kuch samaan ho ajye 
Wagarna hum 
Tumharay dil kay darwaze kay baahir
Aas main baithay rahein gay 
Tum kabhi to band darwaze ko kholo gi 
Meray shanay pe sar rakh kar
Kabhi dheeray se bolo gi 
"Mujhay tum se mohabbat hai "

Mujhay tum kya batao gi keh jab se mujh se bichri ho




Mujhay tum kya batao gi ?

Keh jab se mujh se bichri ho 
Bhout be'chain rehti ho 
Meri baatein sata'ti hain 
Meray lafzon kay jugnoo !
Aik pal ojhal nahin hotay 
Meri nazmein rulati hain Meri aankhein jagati hain 

Mujhay tum kya batao gi 
Keh tum ne baar ha in ajnabi chehron kay jungle main 
Meray chehray ko dhoonda hai 
Kisi manoos lehjay par 
Kisi manoos aahat par 
Palat kar aisay dekha hai 
Keh jaisay tum meri mojoodagi mehsoos karti ho !

Mujhay tum kya batao gi !
Keh kitni shabnami shamein
Tehaltay , sochtay guzrein 
Keh kitni chandni raatein 
Dua'ein maangtay guzrein 
Keh kitnay ashk aisay thay 
Jo girtay hi rahay dil main 

Mujhay tum kya batao gi 
Meri jaan ! main samjhta hoon 
Tumhari un'kahi baatein 
Keh main in mousamon kay aik ik rastay se guzra hoon 
Main ab bhi lafz chunta hoon 
Main ab bhi ashk bunta hoon  
Keh jab se tum se bichra hoon 
Tumhari zaat par guzray 
Main her mousam main rehta hoon 

To phir kya sunao gi
Mujhay tum kya batao gi


Mujhay kuch dair sonay de


Mujhay kuch dair sonay de 

Suno ! 
Main thak gaya hoon 
Meri palkon pe ab tak kuch adhuray khawab jaltay hain 
Meri neendon main teray wasal ka resham ulajhta hai 
Meray aansoo , meray chehray pe teray gham ko likhtay hain 
Meray andar kai sadiyon kay sanaton ka daira hai 
Meray alfaaz baanhein waa kiye mujh ko bulatay hain 
Magar main thak gaya hoon 
Aur main ne khamoshi ki goad main sar rakh diya hai 
Main baalon main tumharay hijar ki narm ungliyan mehsoos karta hoon 
Meri palkon pe jaltay khawab hain ab raakh ki surat 
Tumharay wasal ka resham bhi ab neendein nahin buntein 
Meri aankhon main jaisay thar kay mousam ka basera hai 
Mujhay andar kay sanaton main gehri neend aayi hai 
Suno !
Is yaad se keh do 
Mujhay kuch dair sonay de

Suno main thak gaya hoon


Mujhay kuch dair sonay de 

Suno ! 
Main thak gaya hoon 
Meri palkon pe ab tak kuch adhuray khawab jaltay hain 
Meri neendon main teray wasal ka resham ulajhta hai 
Meray aansoo , meray chehray pe teray gham ko likhtay hain 
Meray andar kai sadiyon kay sanaton ka daira hai 
Meray alfaaz baanhein waa kiye mujh ko bulatay hain 
Magar main thak gaya hoon 
Aur main ne khamoshi ki goad main sar rakh diya hai 
Main baalon main tumharay hijar ki narm ungliyan mehsoos karta hoon 
Meri palkon pe jaltay khawab hain ab raakh ki surat 
Tumharay wasal ka resham bhi ab neendein nahin buntein 
Meri aankhon main jaisay thar kay mousam ka basera hai 
Mujhay andar kay sanaton main gehri neend aayi hai 
Suno !
Is yaad se keh do 
Mujhay kuch dair sonay de

Meray aansoo meray andar girtay hain


Meray aansoo meray andar girtay hain 
Jaisay dariya beech samandar girtay hain 

Teri yaadein woh toofan uthati hain 
Ik ik kar kay saray manzir girtay hain 

Kitni lehrein shairon main dhal jati hain 
Soch kay pani main jab pathar girtay hain 

Hum ne thokar kha kar chalna seekha hai
Aur hain woh jo thokar kha kar girtay hain 

Ronay walay ! yeh tujh ko maloom nahin 
Teray aansoo , meray dil pe girtay hain 

Tum bas us ka rog laga kar baithay ho 
Sapno kay yeh ghar to aksar girtay hain

Mujhay tum is tarah sotay huye mat chor kar jana




Kaha tha na !

Mujhay tum is tarah sotay huye mat chor kar jana
Mujhay be'shak jaga dena 
Bata dena 
Mohabbat kay safar main saath meray chal nahin sakti 
Judai main , hijar main , saath meray jal nahin sakti 
Tumhein rasta badalna hai 
Meri had se nikalna hai 
Tumhein kis baat ka dar tha 
Tumhein janay nahin deta ?
Kahin pe qaid kar leta ?
Aray pagli !
Mohabbat ki tabiyat main 
Zabardasti nahin hoti 
Jissay rasta badalna ho , ussay rasta badalnay se 
Jissay had se nikalna ho , ussay had se nikalnay se 
Na koi rok paya hai 
Na koi rok paye ga 
Tumhein kis baat ka dar tha 
Mujhay be'shak jaga detay 
Main tum ko dekh hi leta 
Tumhein koi dua deta 
KAm az kam youn to na hota !
Meray saathi haqeeqat hai 
Tumharay baad khonay kay liye kuch bhi nahin baaqi 
Magar khonay se darta hoon 
Main ab sonay se darta hoon

Judai kay baad pehli nazam




Judai kay baad pehli nazam 

Shafaq roi hui aankhon ki maanind 
Sitaray mujh ko aansoo dikh rahay hain 
Mujhay in patiyon ki sar'sarahat 
Dabi aahon ki maanind lag rahi hai 
Prinday boltay hain to !
Mujhay lagta hai keh jaisay 
Yeh saray bain kartay hon
Main murjhaai hui , nochi hui 
Mujhay us dam khili kaliyaan 
Youn lagti hain !
Keh jaisay in ki be'bas zindagi par muskurati hon 
Na janay kiyon 
Meri aankhon ko her manzir bhout tareek lagta hai 
Mujhay sab gham to dikhtay hain 
Magar khushiyon bharay mousam 
Na janay kiyon nahin dikhtay 
Na janay woh shafaq , woh chand taray 
Phool aur kaliyan 
Jo in khushiyon bharay sab mousamon main 
Roshni kay ista'aray thay 
Kahan par chup kar baithay hain 
Dikhaai kiyon nahin detay ?
Prinday cheh'chahatay hain
Ya pattay sar'saratay hain
To woh naghmay !
Jo in khushiyon bharray sab mousamon ki 
Goonj hotay thay 
Kahan par kho gaye hain 
Sunaai kiyon nahin detay ?
Na janay kiyon 
Meri aankhon ko her manzir
Bhout tareek lagta hai 

Shafaq roi hui aankhon ki maanind


Judai kay baad pehli nazam 

Shafaq roi hui aankhon ki maanind 
Sitaray mujh ko aansoo dikh rahay hain 
Mujhay in patiyon ki sar'sarahat 
Dabi aahon ki maanind lag rahi hai 
Prinday boltay hain to !
Mujhay lagta hai keh jaisay 
Yeh saray bain kartay hon
Main murjhaai hui , nochi hui 
Mujhay us dam khili kaliyaan 
Youn lagti hain !
Keh jaisay in ki be'bas zindagi par muskurati hon 
Na janay kiyon 
Meri aankhon ko her manzir bhout tareek lagta hai 
Mujhay sab gham to dikhtay hain 
Magar khushiyon bharay mousam 
Na janay kiyon nahin dikhtay 
Na janay woh shafaq , woh chand taray 
Phool aur kaliyan 
Jo in khushiyon bharay sab mousamon main 
Roshni kay ista'aray thay 
Kahan par chup kar baithay hain 
Dikhaai kiyon nahin detay ?
Prinday cheh'chahatay hain
Ya pattay sar'saratay hain
To woh naghmay !
Jo in khushiyon bharray sab mousamon ki 
Goonj hotay thay 
Kahan par kho gaye hain 
Sunaai kiyon nahin detay ?
Na janay kiyon 
Meri aankhon ko her manzir
Bhout tareek lagta hai 

Aaj baad muddat kay main ne us ko dekha hai


Aur kuch nahin badla

Aaj baad muddat kay 
Main ne us ko dekha hai
Woh zara nahin badli 
ab bhi apni aankhon main 
so sawal rakhti hai 
Choti choti baton par 
Ab bhi khul kay hansti hai 
Ab bhi us kay lehjay main 
Woh hi khan'khanahat hai 
Woh zara nahin badli 
Ab bhi us ki palkon kay 
Sa'iye geelay rehtay hain 
Ab bhi us ki sochon main 
Mera naam rehta hai 
Ab bhi meri khatir woh 
Us tarah hi pagal hai 
Woh zara nahin badli !
Aaj baad muddat kay 
Main ne us ko dekha ahi 
To mujhay bhi lagta hai 
Main bhi su ki cahhat main 
Us tarah hi pagal hoon 
Baad itni muddat kay 
Aur kuch nahin badla
Juz hamaray raaston kay 
Aur kuch nahin badla
 

Is tarah hoon teray khayal main gum


Is tarah hoon teray khayal main gum 
Aaina , Aainon kay jaal main gum 

Woh bhi deta nahin khabar apni 
Main bhi rehta hoon apnay haal main gum 

Main ne poocha bichar kay jee lo gay ?
Aur woh ho gaya sawal main gum 

Waqat ne to samait li baazi ! 
Aur woh reh gaya hai chaal main gum 

Yaad aayi to dil hua roshan 
Main raha phir usi ujaal main gum 

Mujh se nazrein chura kay woh guzra 
Aur main ho gaya malaal main gum 

Jis ko "Atif" yeh ishq nachwaiye 
Kiyon woh rehta hai is dhamaal main gum 



Ik dukh se bhari yaad




Ik dukh se bhari yaad 

Kaha us ne 
Zara tehro !
Mujhay kuch sochnay to do 
Main ab tak sochta hoon us kay baaray main 
Keh us ne kiyon kaha tha youn 
Keh us ki umar main socha nahin kartay

Itni si to baat hai bas Khud se mohabbat mat karna


Khud se mohabbat mat karna 

Itni si to baat hai bas 
Khud se mohabbat mat karna 
Itni si to baat hai bas 
Mujh se nafrat mat karna 
Itni si to baat hai bas 
Pyar main kasrat mat karna 
Itni si to baat hai bas 
Khud se wehshat mat karna 
 

Mohabbat main yeh hota hai


Pyar kay din 

Mohabbat main yeh hota hai 
Kabhi insan hansta hai 
Kabhi insan rota hai 
Mohabbat main yeh hota hai 
Keh woh lamha bhi aata hai 
Jab uthtay baith'tay insan 
Kisi nashay main rehta hai 
Phir ik ik se woh be'maqsad
Bas apnay dil ki kehta hai 
Zameen par paaon rakhna bhi 
Ussay dushwaar hota hai 
Woh shab bhar khud se larta hai 
Woh din bhar khwaar hota hai 
Koi kaisay samjh paaye 
Keh kaisay payar hota hai 
Yeh aisa teer hai goya 
Jo dil kay paar hoat hai

Itna rona theek nahin


Itna rona theek nahin 
Warna tum in aankhon main 
Khud hi doobtay jaao gay 
Us ko dhoondnay niklay ho 
Khud ko bhi kho aayo gay 
Mat do pani jazbon ko 
Warna phir pachtaao gay 
Dil ki dewaron tak tum 
Ik jungle ho jao gay 
Dard hi dard ugaao gay 
Itna rona theek nahin 
Khud ko khona theek nahin 
Niklo apnay khawabon se
Aitna sona theek nahin 
Poonjho apni aankhon ko 
Aansoo bona theek nahin 
Apnay dil kay haathon youn 
Be'bas hona theek nahin

Dekho toot'tay paton ko kaisay girtay jatay hain


Dekho toot'tay paton ko 
Kaisay girtay jatay hain 
Khaak main miltay jatay hain 
Haan haan theek kaha tum ne 
Phool bhi khiltay jatay hain 
Haan haan aisa hota hai 
Kal bhi patay tootay thay 
Sari baatein sachi thein 
Saray sapnay jhootay thay 
Ayo aaj ik ehad karein 
Tootay rishton ko jorein 
Aur ana ka butt torein 
Idher udher yeh jo kuch hai 
Aik hi khel ka hissa hai 
Bhout purana qissa hai 

Kaho ab kya kahon tum se batao kya likhon tum ko


Kaho ab kya irada hai 

Kaho ab kya kahon tum se
Batao kya likhon tum ko 
Mujhay tamheed do koi 
Mujhay umeed do koi 
Naya ik lafz ho koi 
Jahan se baat chal niklay 
Meri mushkil ka hal niklay
Batao lehja kaisa ho !
Keh tum se baat karni hai 
Mujhay thora ujala do 
Basar ik raat karni hai 
Zara bolo to main likhon 
Tum apni roshan aankhon ko 
Agar kholo to main likhon 
Tumharay lab se aaye ga 
Sukhan main ik kateela pan 
Tumhari aankh de day gi 
Takhatab ko nasheela'pan 
Kaho ab kya irada hai 
Mujhay izhaar karna hai 
Keh be'tabi ziyada hai

Mohabbat maar deti hai


Mohabbat maar deti hai 

Mohabbat bhi ajab shay hai 
Keh jab bazi pe aati hai 
To sab kuch jeet leti hai 
Ya sab kuch haar deti hai 
Mohabbat maar deti hai 

Mohabbat bhi ajab shay hai 
Keh jab aayi pe aa jaye 
To sab kuch cheen leti hai 
Ya sab kuch waar deti hai 
Mohabbat maar deti hai 

Mohabbat bhi ajab shay hai 
Keh kar-o-bar-e-hasti main 
Kabhi yeh phool banti hai 
Kabhi yeh khaar deti hai 
Mohabbat maar deti hai

Woh jo aik lamha hai deed ka


Woh jo aik lamha hai deed ka 

Husan keh jab bhi zaahir hota hai 
Ik lamhay ki khatir hota hai 
Is kay baad yeh manzir muddat tak 
Apnay aap main sota rehta hai 
Lakin yeh ehsaas mohabbat ka 
Koi mann main bota rehta hai 
Aur phir yeh dil rota rehta hai 
Yehni anjanay main kaisay yeh 
Ishq ka daman dhota rehta hai 
Husan keh jab bhi zaahir hota hai 
Ik lamhay ki khatir hota hai 
Lakin woh ik lamha dekho to 
Kitnay lamhay gum kar deta hai 
Aur hamari spochon ko 
Kaisay wehmon se bhar deta hai

 
 

Abhi mousam nahin aaya


Abhi mousam nahin aaya 

Main barfon se bharri choti baharon ki 
Meray andar khazana hai 
Meray pehlu main woh dil hai 
Keh jsi main khamoshi orhay huye poora zamana hai 
Meri aankhon se roshan hai 
Keh jo kuch main ne haal apna batana hai 
Wisal-e-mehar honay tak 
Meray aansoo paronay tak 
Hamein khud ko bachana hai , bulandi tak uthana hai 
Phir is kay baad hona hai jo hona hai 
Hamein to barf chandi hai 
Hamein to dhoop sona hai 
Utarna hai samandar bhi meri chaati se aakhir ko 
Abhi pani pe nasha hai 
Keh soya hai woh yakh-basta 
Woh jab chahye ga chupkay se bana lay ga koi raasta 
Uchaltay koodtay pani ki qismat main 
Abhi araam kay din hain 
Yahi kuch kaam kay din hain 
Abhi suraj nikalnay do 
Phir is kay baad baithein gay 
Isi pani se khelein gay

Mar 23, 2016

Bhout masroof rehta hoon


Bhout masroof rehta hoon 

Kabhi paniyon ko uchalna 
Kabhi barf rut ko ujaalna 
Kabhi badalon ki rida liye 
Ussay kohsaaron pe dalna 
Kabhi dhaampna ussay dhund main 
Kabhi manzaron se nikalna 
Hai ajeeb sa mera mashghala  
Keh hamesha chahatein paalna 
Kabhi dekhan ussay khawab main 
Kabhi rat'jagon kay azaab main 
Kabhi harf harf bakhair kar 
Ussay jama karna kitab main 
Kabhi mousamon se nikal kar 
Ussay lana apnay hisaab main 
Hai ajeeb sa mera shouq bhi 
Keh hamesha rehna saraab main

Go meri aankh se badal barsay


Go meri aankh se badal barsay 
Lakin bojh to utraa sar se

Dil main phir ik khamoshi si 
Toofan guzra hai is ghar se

Saahil ho ya ik samnadar 
Meri tarah se koi na tarsay 

Pyar main janay kya keh jaaon 
Chup rehta hoon apnay dar se

Aag lagaai hum ko hawa ne 
Aagay thay hum baal-o-par se 

"Saad" Oqaat hi kya hai apni 
BAch na sakay hum apnay shr se

Mujh ko Ae dost bachanay ki zaroorat kya thi


Mujh ko Ae dost bachanay ki zaroorat kya thi 
Kuch nahin tha to mitanay ki zaroorat kya thi 

Jab yeh matti hi muqaddar hai zameen zaadon ki 
Aasman sar pe uthanay ki zaroorat kya thi 

Aisa hota hai keh bas main nahin rehta kuch bhi 
Warna ghar baar lutanay ki zaroorat kya thi 

Dil ujarta hai to phir kuch nahin rehta baqi 
Bastiyan is main basanay ki zaroorat kya thi 

Tu bichar jata bataye bina ae dost meray 
Mujh ko ehsaas dilanay ki zaroorat kya thi 

Ab to yeh neend bhi sapnay ki tarah hai goya 
Khawab ko aankh bananay ki zaroorat kya thi 

Apna sar tu ne uthaya to bhout khoob kiya 
Haan magar is ko jhukanay ki zaroorat kya thi 

Aik ujri hui surat kay siwa kuch bhi nahin 
"Saad" is dil ko basanay ki zaroorat kya thi  

Thi haqeeqat to fasanay ki zaroorat kya thi


Thi haqeeqat to fasanay ki zaroorat kya thi 
Hum se larnay ko bahanay ki zaroorat kya thi 

Hum na kehtay thay keh phir loatna mushkil ho ga 
Yeh raah-o-rasam barhanay ki zaroorat kya thi 

Woh samajhta hai chraghan ka hai mela koi 
Is qadar deep janalay ki zaroorat kya thi 

Us ko maloom nahin rog sadaf ka shayed 
Warna zaahir ko chupanay ki zaroorat kya thi 

Aisa pani ka dabaao hai keh jee phat'ta hai 
Itni gehraai main janay ki zaroorat kya thi 

Aik pathar pe kiya naqsh hawa ne  mujh ko 
Her taraf khaak uraanay ki zaroorat kya thi 

"Saad" kaanton se rafu karna hai daman apna 
Raah main phool bichanay ki zaroorat kya thi




Dard ko ashk bananay ki zaroorat kya thi


Dard ko ashk bananay ki zaroorat kya thi 
Tha jo is dil main dikhanay ki zaroorat kya thi 

Hum ne jo kuch bhi kiya apni mohabbat main kiya 
Go samajhtay hain zamanay ki zaroorat kya thi 

Ho jo chahat to tapak parti hai khud aankhon se 
Ae meray dost batanay ki zaroorat kya thi 

Itnay hasaas hain saanson se pighal jatay hain 
Bijliyan hum pe giranay ki zaroorat kya thi 

Hum to pehlay hi teray haq main tahi dast huye 
Aisay ghayal pe nishanay ki zaroorat kya thi 

Aisay lagta hai keh kamzor bhout hai tu bhi 
Jeet kar jashan mananay ki zaroorat kya thi 

"Saad" aankhon se hai shikwa na hi dil se koi 
Naqsh pani pe bananay ki zaroorat kya thi

Mujh se youn aankh churanay ki zaroorat kya thi


Mujh se youn aankh churanay ki zaroorat kya thi 
Apni pehchaan ganwanay ki zaroorat kya thi 

In khatton ko kahin dariya main bahaya hota 
IS tarah khud ko jalanay ki zaroorat kya thi 

Phir se tasveer bana daali hai us ki tum ne 
Guftagoo main issay lanay ki zaroorat kya thi 

Yeh zaman aik samndar hai makaan saahil hai 
Rait par pair jamanay ki zaroorat kya thi 

Sun'nanay walay to haqeeqat hi badal detay hain 
Daastan apni sunanay ki zaroorat kya thi 

Yaas aata hai to aanay do yahi behtar hai 
Phir kaho gay keh bhulanay ki zaroorat kya thi 

Kya mila tum ko bata aik nadamat kay siwa 
"Saad" ehsaan jatanay ki zaroorat kya thi 

Harf-e-sheerin hai tarasheeda labon kay andar


Harf-e-sheerin hai tarasheeda labon kay andar
Dil kay katnay ka hai ehsaas ragon kay andar

Kya bataon keh meray payar kay din kaisay hain
Chand utarnay ka sama bhi hai shabon kay andar 

Us ki aankhon se hain roshan meri sochon kay chragh 
Ae hawa in ko chupa lay tu paron kay andar 

Aag lagti hai jo jazbon ko to ro leta hoon 
Warna jal jaye yeh dil mera palon kay andar 

Jo bhi likhta hoon woh shairon main dhala aata hai 
Mud'dua apna likhon kaisay khatton kay andar 

Baat kartay huye dar lagta hai us shakhs se "Saad"
Kon rakh paye wahan khud ko hadon kay andar

Pairon talay zameen to sar par gagan bhi hai


Pairon talay zameen to sar par gagan bhi hai
Baitha hoon gham zada keh yeh tera shagan bhi hai 

Mehav-e-gham-e-hayat hain aur khouf mout ka 
Lakin hamaray dil main kisi ki lagan bhi hai 

Jhulsaa rahi hai Manzaron ko dhoop mehar ki 
Lakin woh Aftaab keh saya fagan bhi hai 

Tujh se mohabatein to bhout ho chukiein ae dost 
Is ghoomti zameen kay ooper gagan bhi hai 

Main hoon keh bad'gumaan hoon us ki taraf se "Saad"
Woh hai keh meri zaat main yaksar magan bhi hai


Hum mukamal ghubaar main hain


Hum mukamal ghubaar main hain 
Yehni apnay hisaar main hain 

Tootnay ki yeh kaifiyat hai 
Hum hayat-e-khumaar main hain 

US ki baatein hain dil main aisay 
Rang jaisay anaar main hain 

Kohsaaron ko kya khabar hai 
Dariya apnay utaar main hain 

Weham hai yeh zameen sari 
"Saad" hum kis shumaar main hain

Raas aaya nahin insan hona


Raas aaya nahin insan hona 
Koi dekhye mera veeran hona 

Kis tarah sirf-e-nazar karta main 
Dil-e-kam'bakhat ka hairan hona 

Kitna Aasaab shikan hai jeena 
Is pe marnay ka bhi imkaan hona 

Tu haqeeqat sahi lakin phir bhi 
Hai fasana tera armaan hona 

Yeh to qismat ka ulat phair hua 
Ik pathar ko tha marjaan hona

Apni mehrumiyon pe rona kiyon


Apni mehrumiyon pe rona kiyon 
Is tarah se waqar khona kiyon 

Kis liye jaagna hai raaton ko 
Aur din bhar youn hi hai sona kiyon 

Ghar basaana to theek hai lakin 
Is main youn dar'badar sa hona kiyon  

Wapisi bhi ti Aain mumkin hai 
Apnay rastay main kaantay bona kiyon 

Ik nishani hai bash'shariyat ki yahan 
"Saad" daman ko apnay dhona kiyon

Mar 20, 2016

Shikway bhi hazaron hain shikayat bhi bohat hai




Shikway bhi hazaron hain shikayat bhi bohat hai
Is dil ko magar us se mohabbat bhi bohat hai

Aa jata hai milne wo tassawur me sar-e sham
Ek shaks ki itni si inayat bhi bohat hai

Ye bhi hai tamanna keh usey dil se bhula dein
Is dil ko magar us ki zaroorat bhi bohat hai

Dekhein to zara pee k yeh zeher-e-mohabat
Kehte hain kay is zeher me lazzat bhi bohat hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...