Mar 19, 2015

Mulaqaatein zaroori hain , agar rishtay bachanay hain

Mulaqaatein zaroori hain , agar rishtay bachanay hain 

Laga kar bhool janay se to poday sookh jatay hain

Zinda hoon magar zindagi se door hoon main

Zinda hoon magar zindagi se door hoon main 
Aaj kiyon is qadar majboor hoon main 

Bina jurm kay hi saza milti hai mujhay 
Kis se kahoon keh aakhir be'qasoor hoon main

Meri khamoshiyon ka sabab hain yeh gham meray 
Phir kiyon duniya samjhti hai keh maghroor hoon main 

Aaj phir shiddat-e-gham ne rula diya mujh ko 
Aaj lagta hai keh zakhmon se choor choor hoon main

Eid kay roz bhi majboor thay taqdeer se hum

Eid kay roz bhi majboor thay taqdeer se hum 
Ro paray mil kay galay aap ki tasveer se hum 

Mera jo kuch hai tera hai , teray liye hi to hai 
Tu agar jaan bhi maangay to tujhay detay hain 

Hum ne kya kya na kiya pyaar main O meray sanam 
Phir bhi mehroom rahay teri wafaon se hum 

Teri yaadon ne shamma ban kay jalaya hai mujhay 
Parwano ki tarah is aag main jaltay rahay hum 

Tum ne kaha tha loat Aaon ga Eid pe 
Eid ka din hai loat aayo warna mar jayein gay hum

Koi mila hamein chand ki chandani ban kar

Koi mila hamein chand ki chandani ban kar
Koi mili pariyon ki kahan ban kar 

Par jis kisi ko palkon main basaya hum ne 
Woh nikal gaya aankh se pani ban kar 

Main shab ki bhi mujrim hoon , sheher ki bhi hoon mujrim

Main shab ki bhi mujrim hoon , sheher ki bhi hoon mujrim 

Yaaro mujhay is sheher kay adaab sikha do

Kaha us ne mujhay tum se mohabbat ho nahin sakti

Kaha us ne mujhay tum se mohabbat ho nahin sakti 

Kaha main ne zara bach kay dekho maan jaaon gi 

Kaha us ne bhout maghroor ho tum apnay lafzon main 

Kaha main ne keh lafzon ko sach kar dikhaa'on gi 

Kaha us ne agar na paa sakay mujh ko to phir bolo 

Kaha main ne qasam teri zamana chor jaaon gi 

Tarap kar kaha us ne keh suno youn nahin kehtay 

 Kaha main ne mohabbat ho to aisay chup nahin rehtay

Suno mohabbat youn nahin hoti

Suno mohabbat youn nahin hoti 
Kisi ka naam lenay se
Kisi ko thaam lenay se 
Kisi ko paa lenay se
Kisi kay door janay se
Mohabbat ka janam nahin hota 
Jab talak dilon ka milan nahin hota 

Suno mohabbat youn nahin hoti 
Yeh raabta hai dil se dil ka 
Yeh naam hai be'tarteeb
Dharkano ka 
Mohabbat to aankhon se biyaan hoti hai 
Yeh to dil ki zubaan hoti hai 
Mohabbat youn nahin hoti 

Apnay apnay hoslay, apni apni talab ki baat hai

Apnay apnay hoslay, apni apni talab ki baat hai 

Chun liya hum ne tumhain , sara jahan rehnay diya

Na peechay murr kay dekho , na awaz do mujhya

Na peechay murr kay dekho , na awaz do mujhya 

Bari mushkil se seekha hai main ne alwida kehna

Khuda karay keh salamat rahay dua ki tarah

Khuda karay keh salamat rahay dua ki tarah 

Aik tu aur doosra muskurana tera

Ab kay baar eid par mehandi lagao to mujhay yaad karna

Ab kay baar eid par mehandi lagao to mujhay yaad karna
Jo milnay jaao apni saheliyon se to mujhay yaad karna 

Eid to sab kay liye khushi lay kar aaye gi 
Tum jab tanha baitho gi to mujhay yaad karna 

Chand raat doosron ki tarah tum bhi masroof ho gi 
Kabhi tumhain fursat milay to mujhay yaad karna 

Eid ki chooriyan jab lay kar aayo gi 
Na ho koi pehnanay kay liye to mujhay yaad karna 

Teray haseen haathon pe rachi mehandi ko 
Koi thukra de to mujhay yaad karna 

Jala kay ik chragh eid par apni chokhat par rakh jana
Bujh gaya agar hawa se to mujhay yaad karna

Khol kar reshmi baalon ko eid kay roz jab baitho gi sab kay beech
Sanwaray ga nahin koi baal tab mujhay yaad karna 

Likhna naam mehandi se apnay haathon par mera 
Jab mittay ga nahin tab mujhay yaad karna 

Dekha hi nahin tum ko to kis kaam ki meri eid

Dekha hi nahin tum ko to kis kaam ki meri eid

Jis ne tumhain dekha ussay eid mubarak 

Aayen gay woh qareeb eid kay din

Aayen gay woh qareeb eid kay din 
Youn hon gay hum khush'naseeb eid kay din 

Husn walay sharab ya keh mout 
Koi to ho tabeeb eid kay din 

Ishq masloob honay main hai bas
Husn hai be'bas sailaab eid kay din 

Un se milnay ki saff main yaad aaya 
Yaar hi hon raqeeb eid kay din 

Sari duniay ko Rab naseeb karay 
Aap jaisa habib eid kay din 

Qeh'qahay baanta hai logon main 
Khubsurat khateeb eid kay din 

Duniya walo khuda le aayo 
Dil ko dil kay qareeb eid kay din

Zindagi main koi teray baad nahin aayi

Zindagi main koi teray baad nahin aayi
Ro ro kay thak gaye par daad nahin aayi 

Kiyon teri aankhon main ashk hain us kay liye 
Jis ko eid kay din bhi teri yaad nahin aayi

Dekha eid ka chand to maangi yeh dua Rab se

Dekha eid ka chand to maangi yeh dua Rab se

De de tera saath eid ka tohfa samjh kar

Kiyon tu acha lagta hai waqat mila to sochain gay

Kiyon tu acha lagta hai waqat mila to sochain gay 
Tujh main kya kya dekha hai waqat mila to sochain gay 

Sara sheher shana'sai ka dawe'dar to hai lakin
Kon hamara apna hai waqat mila to sochain gay 

Hum ne us ko likha tha kuch milnay ki taqdeer karo
Us ne likh kar bhaiga hai waqat mila to sochein gay 

Mousam-e-khushboo baad-e-saba chand shafaq aur taaron main 
Kon tumharay jaisa hai waqat mila to sochein gay 

Ya to apnay dil ki maano ya phir duniya walon ki 
Mashwara us ka acha hai waqat mila to sochein gay 

Ae ishq bas jaan gaya main teri pehchaan yahi hai

Ae ishq bas jaan gaya main teri pehchaan yahi hai 

Tu dil mainto aata hai samjh main nahin aata

Us ki zulfon ki jab chirri baatein

Us ki zulfon ki jab chirri baatein 
Subh-e-meh'shar se ja mili raatein 

Ittafaqan ho gayi thein kuch 
Ab kahan woh haseeb mulaqatein 

Kitni be'kaif hoti jaati hain 
Kaash mar jayein chandani raatein 

Woh jawani kay be'riya sajday
Woh saddaqat bhari mana'jatein 

Jab bhi bikhray hain un kay baal 
Aa gayi hain siyaah barsaatein

Hai koi ehal-e-dil jo khareeday hamaray mizaaj ko

Hai koi ehal-e-dil jo khareeday hamaray mizaaj ko 

Hum zakham khareed'tay hain , mohabbat karnay walon se

Laaon gi main kahan se judai ka hosla

Laaon gi main kahan se judai ka hosla 

Kiyon is qadar qareeb meray aa gaye ho tum

Ramoz-e-ishq-o-mohabbat se main nahin waqif

Ramoz-e-ishq-o-mohabbat se main nahin waqif 

Rahi hai us ki zaroorat mujhay hawa ki tarah

Sunna hai ishq ki saza yahan par mout hai

Sunna hai ishq ki saza yahan par mout hai

Lo maar do hamein , hum tum se pyaar kartay hain

Chaltay chaltay khud hi muskura rahay ho

Chaltay chaltay khud hi muskura rahay ho 

Pagal ho ya phir mohabbat ka aaghaz hua hai

Be'rukhi kabhi kisi ko jeet nahin sakti

Be'rukhi kabhi kisi ko jeet nahin sakti 

Mohabbat sachi ho to chor janay walay bhi loat aatay hain

Teri dosti kay liye rakhy hain hum ne do tohfay

Teri dosti kay liye rakhy hain hum ne do tohfay 

Dil ibtida kay liye aur jaan intihaa kay liye

Tujhay chahat ki kya khabar

Tujhay chahat ki kya khabar
Tu kiya janay mohabbat ?

Jab jaan paao to yaad rakhna 
Meri chahat bhi tum 
Meri mohabbat bhi tum

Log mujh se mil kay bichar jaatay hain

Log mujh se mil kay bichar jaatay hain 
Is liye main logon se door rehta hoon 

Mat samjho keh aati nahin adaab-e-mulaqaat mujhay 
Khaloos ka paikar hoon aadat se majboor rehta hoon 

Jin se barha mera raabta gham hi mila 
Ab raabta nahin barhaata bhout masroof rehta hoon 

Log mujhay kehtay hain be'murawat aur khud gharz
Kitnay achay naamo se mashoor rehta hoon 

Her waqat khoya rehta hoon khud ki talaash main 
Bhout toot gaya hoon ab apno se door rehta hoon

Yeh tera weham hai keh hum tujhay bhool jaayein gay

Yeh tera weham hai keh hum tujhay bhool jaayein gay 

Woh tera shaher ho ga jahan be'wafa log bastay hain

Tum to her eid pe saj dhaj kay raha karo

Tum eid manaao saj dhaj kay main jaisa hoon waisa hi sahi 
Jis haal main hoon main jaisa hoon waisa hi sahi 

Tum sinhaar karo jo tumhara haq hai 
Mera kiya hai main jaisa hoon waisa hi sahi 

Log to tera dam bhartay hain husan dekh kay 
Mera kon , mujhay kon jaanta hai main aisay hi sahi 

YEh eid tum ko khushiyan naseeb karay 
Main bad'naseeb hoon to aisa hi sahi

Tum to her eid pe saj dhaj kay raha karo
Main haal se be'haal hoon to aisa hi sahi

Zabt kay toot gaye aaj to bandhan saaray

Zabt kay toot gaye aaj to bandhan saaray 

Aaj tarpa hai woh dil jo kabhi dharka na tha

Hamari muntazir aankhon ko us ki deed kab ho gi

Hamari muntazir aankhon ko us ki deed kab ho gi 
Abhi se hum se mat poocho hamari eid kab ho gi 

Hum ek doosray kay saharay thay ussay yeh baat yaad kab ho gi 
Woh mehfilon main khush hai ussay hamari tanhai ki parwah kab ho gi 

Achay waqat main to her koi saath deta hai buray waqat ki ussay parwah kab thi 
Hamari aankhon ka woh chand hai jab woh nazar aaye ga to hamari eid tab ho gi

Hamari aankhon ka woh chand hai jab woh nzar aaye ga to hamari eid tab ho gi
Abhi hum se mat poocho keh hamari eid kab ho gi

Tujhay roz jee bhar kay dekhta ho ga

Tujhay roz jee bhar kay dekhta ho ga 

Teray ghar kay aainay ki ,,,, kiya baat hai

Main to awaara hoon bad'naam hoon zamanay main magar

Main to awaara hoon bad'naam hoon zamanay main magar 

Jo log muqaddas hain woh wafa kiyon nahin kartay

Kahin jaye ussay meri duaein yaad karti hain

Kahin jaye ussay meri duaein yaad karti hain 

Ussay kehna ussay meri wafaein yaad karti hain 

Main aksar aainay kay samnay be'chain rehti hoon 

Kisi ne khat main likha hai adayein yaad karti hain 

Ussay kehna khizaein aa gayi hain ab to loat aaye

Ussay kehna december ki hawaein yaad karti hain 

Ussay kehna keh aankhon main ghanni badli si chaai hai 

Jinhain dil pe bharosa hai ghatayein yaad karti hain 

GAya tha jab tu meri khwaishein bhi saath le jaata 

Lahoo main naachti kuch iltajaein yaad karti hain

Tum mera dard bhi gham bhi Alaam bhi tum

Tum mera dard bhi gham bhi Alaam bhi tum 

Tum mera chain ho jana mera araam bhi tum 

Kamyaabi ko nahin hum ne tumhain chaha hai 

Hum tumharay hain bhalay ho gaye na'kaam bhi tum 

Main maseeha hoon agar mera wazeefa tum ho

Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum 

Kya zaroorat hai mujhay dard kay meh'khano ki 

Tum hi nasha tum hi paimaana mera jaam bhi tum 

Mukhtalif se bahano se mujhay sochtay ho

Aik din khul kay pukaaro gay mera naam bhi tum 

Yeh siyasat bhi ajab khail hai bholay panchi 

Yahan siyaad bhi tum ho to tehdaam bhi tum 

Jis se roshan mera aangan hai tum hi ho woh chragh 

Sach to yeh hai keh tum hi ghar ho dar-o-baam bhi tum 

Raat din tum ko faqat tum ko mujhay sochna hai 

Meri fursat bhi tumhi aur mera her kaam bhi tum 

Bichartay waqat in aankhon ka bhar jaana zaroori tha

Bichartay waqat in aankhon ka bhar jaana zaroori tha 
Tumharay bin mera chup chaap mar jana zaroori tha

Main hans kar jhail leta dil pe saray waar qismat kay 
Mujhay ba'khabar kar deta agar jana zaroori tha 

Meri aankhon main apanay aks ko tum dekh na paye 
So mera be'niazi se guzar jana zaroori tha 

Qabal is kay dono bad'gumaani main ulajh jaatay 
Meray hum'dam mera tujh se bichar jana zaroori tha 

Main jeevan kay safar main hans kay sab kuch seh gaya 
Lakin jo tum bichray to phir mera bikhar jana zaroori tha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...