Mar 9, 2015

Her ek rut main tera gham hai salamat


Her ek rut main tera gham hai salamat
Yeh mousam aik jaisa reh gaya hai 

Baras kuch aur Ae awara badil
Keh dil ka shaher piyasa reh gaya hai

Khwaab ki musaafat se hijar ki riyazat tak


Musaafat 

Khwaab ki musaafat se 
Hijar ki riyazat tak
Sirf Aansoo paya tha 
Dil se aankhon ki 
Is musaafat main
Bas us ki yaadon main 
Woh bhi ab ganwaya hai !!!

Kitna khush feham hai woh shakhs keh her mousam main


Kitna khush feham hai woh shakhs keh her mousam main 

Ek naye rukh, nayi surat se mujhay sochta hai

Hamein tum se mohabbat hai


Hamein tum se mohabbat hai


Hamein tum se mohabbat hai 
Hamara dosh hai mana 
Tumhain apna jo hai jana 
Tumharay bin yeh jeevan marg jaisa hai 
Hamein jannat ka her gosha bhi goya narg jaisa hai 
Haqeeqat main agar socho
Mohabbat main Anaa ka kaam hi kya hai 
Chalo ab maan bhi jaayo
Keh tum ko hum manaatay hain
Hamein tum se mohabbat hai

Khushi bhi ek udaasi hai


Khushi bhi ek udaasi hai


Khushi bhi ek udaasi hai
Suno ! !
Yeh ik haqeeqat hai 
Tumhari shairy kay saray harfon main 
Jigar ka khoon jalta hai 
Sisaktay ,bain kartay aur sulagtay saaray lafzon se 
Tum apnay shair buntay ho 
Tumharay saaray shairon main 
Udaasi apni aankhein chor kar 
Khud Aaina khaano main jaa kar sar patakhti hai 
Youn hi dar dar bhatakti hai 
Khushi ko bhi kabhi likho gulaabon ki kitaabon main 
Khushi bhi ek udaasi hai !!!!

Koi ab tak jaag raha hai


Koi ab tak jaag raha hai 

Dheeray dheeray raat ne palkain 
Mond lein apni 
Aur sitaaron ki wadi main 
Khoya khoya sa sanaata 
Khwaab nagar main gum lagta hai 
Chand kay chehray par raqsan hai 
Thakan , wichora aur tanhai
Be'kal sa , madham lagta hai 
Lakin jaana !
Dekh lo aa kar 
Koi ab tak jaag raha hai 

Mujhay ek baat kehni hai


Mujhay ek baat kehni hai 


Mujhay ek baat kehni hai 
Jo tum hotay ho mujh se door
Udaasi ki siyaah chadar 
Na janay kis tarah , kiyon kar 
Meray sar par
Kahin se aan girti hai

Haath ki lakeeron main kya talaash kartay ho ?


Haath ki lakeeron main kya talaash kartay ho ?

Haath ki lakeeron main 
Kya talaash kartay ho 
In fazool baaton main 
Kis liye ulajhtay ho
Jis ko milna hota hai 
Bin lakeer dekhye hi 
Zindagi kay raaston par 
Saath saath chalta hai 
Phir kahan bicharta hai 
Jo nahin muqaddar main 
Kab hamein woh milta hai 
Kab woh saath chalta hai 

Gulaabi phool dil main khil chukay thay


Gulaabi phool dil main khil chukay thay


Gulaabi phool dil main khil chukay thay
Hum is mousam main tujh se mil chukay thay 

Tawajo se teri phir khil rahay hain 
Wagarna zakham to yeh sil chukay thay 

Satoon kitna sahara in ko detay 
Jo ghar buniyaad se hi hil chukay thay 

Puraani ajnabiyat phir loat aayi !
Hum in se aur woh hum se mil chukay thay 

Tar-o-taaza thi jaan raah-e-junoon main !
Agarcha paaon apnay chhill chukay thay 

Parveen Shakir

Chaara gar haar gaya ho jaisay


Chaara gar haar gaya ho jaisay 

Chaara gar haar gaya ho jaisay 
Ab to marna hi dawa ho jaisay 

Mujh se bichra tha woh pehlay bhi magar 
Ab kay yeh zakham naya ho jaisay 

Meray maathay pe teray pyaar ka haath
Rooh par dast-e-saba ho jaisay 

Youn bhout hans kay mila tha lakin 
Dil hi dil main woh khafa ho jaisay 

Sar chupaein to badan khulta hai 
Zeest muflis ki rida ho jaisay 

Parveen shakir



Saahil pe ik tanha larki sard hawa ka bazu thamay


Aanchal aur baad'baan 

Saahil pe ik tanha larki 
Sard hawa kay baazoo thaamay 
Geeli rait pe ghoom rahi hai 
Janay kis ko dhoond rahi hai 
Bin kajal , haickal aankhon se 
Khulay samandar kay seenay par 
Faraatay bharti kashti kay baad,baan kay lehraanay ko 
Kis hairat se dekh rahi hai !
Kis hasrat se apna aanchal massal rahi hai !

Parveen shakir

Hum se ziyada agar toot kay chahye to us kay ho jana



Hum se ziyada agar toot kay chahye to us kay ho jana 
Hum ne tumhari yaad main Aansoo kay dariya baha diye 

Uss ki aankh main narmi bhi aa jaye to uss kay ho jana 
Hum ne tumhari khaatir khud ko jala diya 

Uss ne agar chragh bhi jala diya to uss kay ho jana 
Hum ne tumharay liye apni neend qurbaan kar deen 

Woh ik shab bhi teray liye jaagay to tum uss kay ho jana 
Bas agar koi mujh se ziyada tum ko chaahy to us kay ho jana

Saleeqa deed ka kab tha teray deedaar se pehlay


Saleeqa deed ka kab tha teray deedaar se pehlay 
Zameen abaad hi kab thi diyaar-e-yaar se pehlay 

Gulon ne muskurana aur hawa ne bolna seekha 
Kissai idraak haasil tha teri guftaar se pehlay 

Chaman main is baras yaaro qayamat kya ajab dekhi
Fiza Kaanton ne mehkaai gul-o-gulzaar se pehlay 

YEh meri bad'naseebi hai , ya meri khush naseebi hai 
Keh meray paaon hain zakhmi raah-e-pur'khaar se pehlay 

Yahan aa kar milaye khaak main naam-o-nasab hum ne 
Hamein bikna kab aata tha teray bazaar se pehlay

Raat din hijar ki wehshat bhi nahin rakhni


Raat din hijar ki wehshat bhi nahin rakhni 
Ab kisi se itni mohabbat bhi nahin rakhni 

Jis ka jee chahye hamein tor kar tukray kar de 
Is qadar narm tabiyat bhi nahin rakhni 

Ik do saal kay rishton se hamaein kya haasil 
Ik do pal ki rafaqat bhi nahin rakhni

Jin se bichrain to sambhalnay main zamanay lag jayein 
Aisay logon se murawat bhi nahin rakhni 

Kya ajeeb haal hai chahat kay talab'gaaron ka 
Shouq mohabbat ka hai aur jhuknay ki aadat bhi nahin rakhni

Ajeeb logon ka basaira hai teray shaher main


Ajeeb logon ka basaira hai teray shaher main 

Ghroor main mitt jatay hain magar yaad nahin kartay

Uss kay aanay ki khabar suntay hi tayari ki


Uss kay aanay ki khabar suntay hi tayari ki 
Main ne jee bhar kay gulaabon ki kharidaari ki 

Haalat-e-hijar main  filhaal sakoon milnay laga 
Nasha-e-dard ne awaz nahin bahaari ki 

Ishq main mera bhi dewaangi maslak hai yahan 
MAin ne is wastay majnoo ki taraf'daari ki 

Warna yeh log mujhay tujh se juda kar detay 
MAin ne danasta mohabbat main adakaari ki 

Phool khiltay hi koi bichra hua yaad aaya 
Main khush honay kay mousam main azadaari ki

Deepak , jugnoo , chand , sitaray , aik se hain


Deepak , jugnoo , chand , sitaray , aik se hain 
Yehni saaray ishq kay maaray , aik se hain 

Hijar ki shab main dekh to aa kay meray chand ?
Meray aansoo aur yeh "taaray " aik se hain 

Meri kashti kis ne dabooi , kiya maloom ?
Saari lehrain , saray dhaaray , aik se hain 

Kuch apnay aur kuch be'gaanay aur main khud 
Meri jaan kay dushman saaray , aik se hain 

Ab batlaao kis se hum fariyaad karain ?
Qaatil, haakim , munsif saaray , aik se hain  
 
 

Teray harf-o-Lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya


Teray harf-o-Lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya 
Woh kisi gulaab ka jism tha jo meri kitaab main reh gaya  

Meri baat baat main roshni , meray harf harf main dil'kashi 
Tu meri shareek-e-wisal-e-jan , meri her kitaab main reh gaya 

Koi phool ban kay bikhar gaya , koi baat ban kay bigar gaya 
Na sawal koi labon pe hai , na gila jawaab main reh gaya 

Tujhay kya bataein keh kya hua , woh saroor-e-raqs-e-wafa gaya 
NA gunnah main rahi baat woh , Na maza sawaab main reh gaya

Uljhi hui nigahon se mujhay musal'sal dekhta raha


Uljhi hui nigahon se mujhay musal'sal dekhta raha 

Aainay main kharra parishaan tha ik shakhs

Hamaray baad safeer-e-sabaa hai aakhir kon


Hamaray baad safeer-e-sabaa hai aakhir kon
Talaash-e-manzil-e-jana main hai aakhir kon 

 Rehn-e-khilwat-e-shab , chandani se pooch kabhi 
Keh shajar shajar bhatka hai teri khaatir kon 

Hamain aziz thi maqtil ki Aabroo warna 
Bharay jahan main hai apnay lahoo ka taajir kon 

Hum ne shaikh ka pindhaar-e-khud saari tora 
Wagarna us ki nazar main nahin tha kaafir kon 

Sukhan'wari hamain wajah-e-sharf nahin "Mohsin 
Magar hamaray siwa shaher main hai shair kon

Woh kitnay Itminaan se thukra gaye mujhay


Woh kitnay Itminaan se thukra gaye mujhay
Aansoo bana kay aankh se tapka gaye mujhay 

Kaisi rehbari thi , yeh kaisa faraib tha
Manzil dikha kay raah se bhatkaa gaye mujhay 

Khamosh nigahon se kahani suna kar
Lafzon kay hair phair main atkaa gaye mujhay 

Mujh ko bhi bachpan ka ek mazaaq samjh kar 
Choti si ik hansi main urra gaye mujhay 

Do din main us kay dil se mohabbat utar gayi 
Aur do hi din main yaad se bhi mita gaye mujhay  

Woh bhool jaye ga is tarah se


Woh bhool jaye ga is tarah se 

Yaqeen maano , yaqeen nahin hota

Kaha tha na hamein bhool jaao gay ?


Kaha tha na hamein bhool jaao gay ?

Meri iss baat pe aksar lara kartay thay tum

Teri awaz aaj bhi meray kaano main raqs karti hai


Teri awaz aaj bhi meray kaano main raqs karti hai 

Woh tera ik baar ka kehnakeh tum sirf meray ho

Apnay aapay main nahin shouq kay maaray gaisoo


Apnay aapay main nahin shouq kay maaray gaisoo
Phailay jaatay hain rukh-e-yaar pe saaray gaisoo

Nppr-e-emaan kay Mu'aawan hain tumharay Aariz
Kufr ushhaaq kay haami hain tumharay gaisoo

Kaam aayi gi woh un ki pareshaani main 
Chasham-e-be'maar kay dhoondain na saharay gaisoo

Maa'il-e-shouq mujhay paa kay woh bolay hans kar 
Dekho tum ne jo chhuye aaj hamaray gaisoo  

Zulmat-e-zulf se noor-e-rukh-e-khubaan na dbaa
Jeet Aariz ki hui , shart main haaray gaisoo

Faatiha parhnay chalay marqad-e-hasrat pa jo woh 
Pehlay kis naaz se ro ro kay sanwaray gaisoo

Honton se phisalti hui her baat ghaneemat


Honton se phisalti hui her baat ghaneemat 
Jitni bhi hui uss se mulaqaat ghaneemat 

Tanhai bhi jis dour main tanhai nahin milti 
Uss Aalam-e-hangaam main yeh zaat ghaneemat 

Her chaar qadam door , nayi ghaat lagi hai 
Jitna bhi phirain shaher main mohtaat ghaneemat 

Uss banda-e-gustaakh se ab dil nahin lagaana 
Guzri hai jo na'qadri-e-jazbaat ghaneemat 

Qismat main likha tha jo bar'haal hua hai 
Jaisay bhi hon dosto ab halaat ghaneemat

Kab tak bhugtun main ab saza teri


Kab tak bhugtun main ab saza teri


Ae ishq maaf kar de ghalti ho gayi

Tum ho , Raqeeb saath ho , Phir raat ka safar


Tum ho , Raqeeb saath ho , Phir raat ka safar 
Hai wadi-e-yaqeen main shubhaat ka safar 

Mumkin agar ho dost ! Qayamat se kam nahin 
Karna khird kay dosh pe jazbaat ka safar 

Hum to kisi kay aankh kay taaray , na mahtaab 
Phir kar rahay hain kiyon , hamein din raat ka safar 

Itna taweel keh umar bhar teh na ho saka 
Seenay se lay kay hont aik aik baat ka safar 

Wapis huye , to apna bhi pehchaanana mohaal
Hum ne kiya tha dosto ! jab zaat ka safar 

Jalta hai apni zaat main , roshan hai is liye 
Yeh kehkashaan kay naam se zaraat ka safar

Hum Aam se log


Hum Aam se log 
Hamara Aam sa lehja 
Hamara Aam sa chehra 
Aam si baatein 
Aam si chahatein 
Aam se din 
Aam si raatein 

Hum main to kuch bhi khaas nahin 

Phir 
Phir
Tum kaisay hamein yaad rakh paao gay ?
Shayed is tarah keh 
Kitna Aam sa banda tha main !

Dil na toro hasrat-e-na'kaam


Dil na toro hasrat-e-na'kaam 

Zulf to phir bhi bana li jaye gi

Ishq sufi hai , na mufti hai , na Aalim hai Ghalib


Ishq sufi hai , na mufti hai , na Aalim hai Ghalib

Ishq zalim hai faqat zaalim hai bas zaalim

Parda daari kay saath hum dono


Parda daari kay saath hum dono 
Kitnay khaakon main rang bhartay hain 

Naam letay huye Mohabbat ka 
MAin bhi darta hoon , woh bhi dartay hain

Kitni dil'kash hai uss ki khamoshi


Kitni dil'kash hai uss ki khamoshi 

Saari baatein fazool hon jaisay

Laa'haq hai yahan marz mohabbat ka sabhi ko


Laa'haq hai yahan marz mohabbat ka sabhi ko 
Iss shaher kay logon main waba aam bhout hai 

Her darja sharafat ka libaas hai orha 
Aur dil main haqaarat ki bala aam bhout hai 

Rishton kay yahan paas to rakhtay hain sabhi par 
Hairat hai keh lutnay ki sada aam bhout hai 

Daawa hai keh her fard wafadaar hai yahan 
HAi darj kitaabon main jafa aam bhout hai 

Tum naik tamana'ein to rakhtay ho bhout "Qateel"
Iss shaher main naiki ki saza aam bhout hai 

Na'janay kya kaha tha doobnay walay ne samandar se


Na'janay kya kaha tha doobnay walay ne samandar se 

Keh lehrain aaj tak saahil pe aa kay sar patkhti hain

Hawa Aansoo bahaati hai iss se poocho


Hawa Aansoo bahaati hai 
Iss se poocho 
Issay bhi kya meri surat 
Kisi ki yaad aati hai ?
Kasak koi staati hai 
KAhin andar 
Bhout andar 
Koi shai tilmalaati hai 
GAye lamhon ka koi gham 
Koi be'dard sa humdam 
Bhout dil ko jalaata hai 
Youn hi shab bhar jagaata hai 
Naye sapnay dikhaata hai 
Issay poocho 
Issay kisi ne 
Wafa ka zakham bakhsha hai 
Issay kis ne 
Koi charkhaa lagaaya hai 
Issay rogi banaya hai 
Jo is ki gungunahat thi 
Woh komal si jo Aahat thi 
Woh gham se choor kaisay hai ?
Hawa ranjoor kaisay hai 
Issay poocho
Hawa kiyon nohay gaati hai ?
Bhout Aansoo bahaati hai 

Haath baalon main phairay to main so jaayon


Haath baalon main phairay to main so jaayon 
Koi Qissa woh sunaye to main so jaayon 

Uss se kehna keh mujhay neend nahin aati 
Apni baanhon main sulaye to main so jaayon 

Meri palkon pe sajay hain kahim raaton se diye 
Koi palkon se bujhaye to main so jaayon 

Aakhri saans mujhay moka de de yeh zara 
Mera wada hai keh woh aaye to main so jaayon 

Baad ki baad main dekhein gay us se kaho 
Aaj ki raat na jaye to main so jaayon

Phir ussi be'wafa se pyaar bara mushkil hai


Phir ussi be'wafa se pyaar bara mushkil hai 
Phir mohabbat kai Aetabaar bara mushkil hai 

Dil ka her zakham to paband-e-wafa hai ab bhi 
Bas yeh ronay pe ikhtiyaar bara mushkil hai 

Zindagi maang loon tujh se , khushiyaan lakin 
Phir chukaana tera udhaar bara mushkil hai 

Rooth kar tum ne meray , Qissa-e-ulfat main sanam 
Ab kay likha hai jo kirdaar bara mushkil hai 

Zard chehray pe yeh kajal se bharri aankhein 
Hum ne kehtay thay yeh singhaar bara mushkil hai 

Dil to raaghib hai mohabbat ki taraf kya keejiye 
Iss kay iqraar ka izhaar bar mushkil hai 


Geeli zulfon ko jab chehray pe sajaya us ne


Geeli zulfon ko jab chehray pe sajaya us ne 
Jaisay mehtaab ko badal main chupaya us ne 

Ruk gayi gardish-e-duniya bhi us kay jalwey ki khatir
Jaisay hi baalon ko chehray se hataya uss ne 

Moo-e-be'niaz jabeen par bikhray jis waqat 
Chaand roshan ko girhan jaisay lagaya uss ne 

Woh jo rukhsaaron pe gaysoo se giri thi shabnam 
Boond ko moti ki surat main banaya uss ne 

Tab mera hosla-e-emaan dag'magaata raha 
Jab bhi zulfon ki chaaon main sulaya uss ne 

Lay chali aankhon se neendain woh churra kar "Hasrat"
Jab baalon ko gira kay meray chehray par , jagaya uss ne

Sahib-e-izzat ho to phir zara soch kay karna


Sahib-e-izzat ho to phir zara soch kay karna 

YEh ishq aksar Maqaam-e-zillat par lay jata hai

Mehtaab wohi gul wohi barsaat wohi hai


Mehtaab wohi gul wohi barsaat wohi hai 
Ik tu hi nahin warna her ik baat wohi hai 

Badla hi nahin dil main teri yaad ka mousam 
TAnhai wohi dard wohi raat wohi hai 

Mehfil main teri shor bhout hai magar ab bhi
Pabandi-e-izhaar-e-khiyalat wohi hai 

Saanson main basi rehti hai ik yaad ki khushboo
Mehsoos yeh hota hai meray saath wohi hai

Meri soch mera gumaan adhoora reh gaya


Meri soch mera gumaan adhoora reh gaya 
YEh bhola bhaala sa insaan adhoora reh gaya 

Uss ne kaha tha keh ek ehsaan karna mujhay bhula dena 
Mujhay her pal woh yaad aaya mera ehsaan adhoora reh gaya 

Bula liya ussay kahin zamanay ki gardish ne 
Uss shakhs ka mozu-e-biyaan adhoora reh gaya 

Woh jo paas tha to mujhay koi kami na thi jaana 
Woh jo bichra to mera sara jahan adhoora reh gaya

Phir bhi bethi hai khizaan baagh ki dewaar kay saath


Phir bhi bethi hai khizaan baagh ki dewaar kay saath 
JAb keh patta bhi nahin hai koi ashjaar kay saath 

Aik hai meri anaa, Aik anaa kis ki hai 
Kis ne dewaar bana di meri dewaar kay saath 

Tum baray log ho seedhay hi guzar jaatay ho
Warna kuch tang si galiyaan bhi hain bazar kay saath 

Mustaqil dard ka soda hai zara narmi se 
Kuch riayat bhi to kartay hain kharidaar kay saath

MAin ne pehchaan liya door se ghar tera hai
Phool liptay huye dekhye jahan dewaar kay saath

Saqi kisi madhosh jaam ka intizaam kar dy


Saqi kisi madhosh jaam ka intizaam kar dy 

Uss ne aana hai aaj jaam sar-e-aam kar dy 

Sab kay haath main ho jaam ussi kay naam ka 

Aaj sara meh'khana nelaam kar dy 

Tu rakh lay meri dosti ka bharram saqi 

Botal bhi jhoom uthaye aaj kuch aisa ehtamaam kar dy

Ujra chehra bikhri zulfain be'jaan aankhein "Faraz"


Ujra chehra bikhri zulfain be'jaan aankhein "Faraz"

Mujhay to tum bhi kisi ki chahat kay maqrooz lagtay ho

Ab itni mukhtasir ho gayi hai guftagoo-e-yaran


Ab itni mukhtasir ho gayi hai guftagoo-e-yaran 

Jo raat hui to subha bakhair , jo subha hui to bas ik salaam

Hum haath barhaein to teray oonchay dar-o-baam


Hum haath barhaein to teray oonchay dar-o-baam 

Ehsaas dila detay hain Aoqaat main rehna

Ahmed Faraz, Parveen Shakir, Bushra rehman , Wasi shah


Ahmed Faraz Says :~

Ussay hum yaad aatay hain magar fursat kay lamhon main 
Magar yeh baat bhi sach hai ussay fursat nahin milti

 Parveen Shakir Says :~

Hum tasleem kartay hain hamein fursat nahin milti 
Magar yeh bhi zara socho tumhain jab yaad kartay hain zamana bhool jatay hain 

Bushra Rehman Says :~

Zamana bhool jatay hain teri ik deed ki khaatir
Khayalon se nikaltay hain to sadiyan beet jaati hain 

Wasi Shah Says :~

Mana keh sadiyan beet jaati hain teray khayalon se nikalnay main 
Lakin phir jab teri yaad aati hai to aanhkein bheeg jaati hain 



Rukhsaar aisay tim'timatay hain janab kay


Rukhsaar aisay tim'timatay hain janab kay
Pehnay hon jaisay chand ne gajray gulab kay 

Likha tera naam hi chahat kay khoon se 
Ayo warq dikhaon main dil ki kitab kay 

Pila dy aaj keh jee bhar kay royein 
Niklain hamari aankh se Aansoo shahrab kay 

Mil kay raat bhar phir bhi nahin mila
Suraj bata gaya keh yeh dhokay thay khwaab kay

Utra woh is tarah se samandar ki goad se 
Jitnay bhanwar thay so gaye pehlu main aap kay 

Deedar un ka kaisay ho aaj kal 
Pehray hain chand kay chehray pe kaalay niqaab kay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...