Aug 26, 2014

Ishq main bhi marna itna asaan nahin

Ishq main bhi marna itna asaan nahin 

Zaat ko radd karna itna asaan nahin 

Mujh main aisi hi koi kami dekhi ho gi us ne 

Tark-e-wafa warna itna asaan nahin 

Aik dafa tu paas-e-maseeha kar jaye

Zakhmon ka phir bharna itna asaan nahin 

Jaanay kab shorat ka zeena dy jaye 

Paaon yahan dharna itna asaan nahin 

Marnay ki dehshat to sab ne dekhi hai 

Jeenay se darna itna asaan nahin 

Haakim-e-shaher bata

Haakim-e-shaher bata 
Waqat kay shikanjon ne 
Khwaishon kay phoolon ko 
Noch noch tora hai 

Kiya yeh zulam thora hai 

Dard ki zanjeeron ne 
Aarzoo kay jeewan ko 
Maqbaroon main dala hai 
Zulmaton kay daairay hain 

Log sab lutaray hain 

Mout rooth baithi hai 
Zaat raiza raiza hai 
Zindagi teray haathon 
Pa'maal hai jana 

Ik sawaal hai jana 

Kaisay maan loon jeewan 
Saans hi nahin koi 
Karb karb lamhay yeh 
Baar baar dastay hain 

Log hum pe hanstay hain 

Taar taar aanchal hai 
Dard dard jeewan hai 
Shabnami si palkain hain 

Qurb hai na doori hai 
Zindagi adhoori hai 
Ab yaqeen aya hai 
Mout bhi zaroori hai 

Waqat kay shikanjon ne waqat kay shikanjon ne

Haakim-e-shaher bata 
Waqat kay shikanjon ne 
Khwaishon kay phoolon ko 
Noch noch tora hai 

Kiya yeh zulam thora hai 

Dard ki zanjeeron ne 
Aarzoo kay jeewan ko 
Maqbaroon main dala hai 
Zulmaton kay daairay hain 

Log sab lutaray hain 

Mout rooth baithi hai 
Zaat raiza raiza hai 
Zindagi teray haathon 
Pa'maal hai jana 

Ik sawaal hai jana 

Kaisay maan loon jeewan 
Saans hi nahin koi 
Karb karb lamhay yeh 
Baar baar dastay hain 

Log hum pe hanstay hain 

Taar taar aanchal hai 
Dard dard jeewan hai 
Shabnami si palkain hain 

Qurb hai na doori hai 
Zindagi adhoori hai 
Ab yaqeen aya hai 
Mout bhi zaroori hai 

Bhout masroof lamhon main kabhi ikpal ko socho to

Bhout masroof lamhon main 

Kabhi ik pal ko socho to

Koi kitna akela hai

Kisi ki zindagi tum ho 

Kisi ki bandagi tum ho 

Kisi ko teri khwaish ho

Kisi ki chahat tum ho 

Kabhi ek pal ko socho to

Tumharai la'parwaahi ne 

Tumhari be'niazi ne 

Kisi ko maar daala hai 

Koi zinda to hai lakin 

Faqat woh saans leta hai 

Zara ik pal ko socho to 

Koi kitna akela hai 

Kisi ki zindagi tum ho 

Kisi ki bandagi tum ho 

Kisi ki zindagi tum ho

Bhout masroof lamhon main 

Kabhi ik pal ko socho to

Koi kitna akela hai

Kisi ki zindagi tum ho 

Kisi ki bandagi tum ho 

Kisi ko teri khwaish ho

Kisi ki chahat tum ho 

Kabhi ek pal ko socho to

Tumharai la'parwaahi ne 

Tumhari be'niazi ne 

Kisi ko maar daala hai 

Koi zinda to hai lakin 

Faqat woh saans leta hai 

Zara ik pal ko socho to 

Koi kitna akela hai 

Kisi ki zindagi tum ho 

Kisi ki bandagi tum ho 

Tujhay yaad kartay hain her pal

Tujh ko khaber nahin 
Tujhay yaad kartay hain her pal
Tujhay hi apnay khyalon main 
Tashkeel kartay hain 
Teray hi khwaab buntay hain 
Zindagi kay safar main 
Tujhay hi apna hamsafar maantay hain 
In un'dekhi raahon main tujhay hi 
Meharbaan paatay hain 
Kiya tujhay nahin maloom 
Keh tum hi meri zindagi ho

Tujh ko khaber nahin

Tujh ko khaber nahin 
Tujhay yaad kartay hain her pal
Tujhay hi apnay khyalon main 
Tashkeel kartay hain 
Teray hi khwaab buntay hain 
Zindagi kay safar main 
Tujhay hi apna hamsafar maantay hain 
In un'dekhi raahon main tujhay hi 
Meharbaan paatay hain 
Kiya tujhay nahin maloom 
Keh tum hi meri zindagi ho

Woh husan-e-mujasam kamaal us ki aankhain

Woh husan-e-mujasam kamaal us ki aankhain 

Sraapa-e-mohabbat jamaal us ki aankhain 

Main jab bhi poochon sawaal su se koi 

Mujhay roz deti hain taal us ki aankhain

Jo baichay to do jahan dy kay le loon 

Woh chehra , woh zulfain , woh gaal us ki aankhain 

Agar koi poochay keh duniya main kiya hai 

Zamana dy ga misaal us ki aankhain 

MAin tum se bichar kar nahin fariyaad karon ga

MAin tum se bichar kar nahin fariyaad karon ga 
Yeh bhool jaao keh main tumhain yaad karon ga 

Iss shaher-e-be'wafa main wafa ki qadar kahan 
Aa jaa kay main saharon ko aabaad karon ga 

Gar dil kay taaluq se hai inkaar woh karta 
MAin rooh kay rishtay se bhi azaad karoon ga 

Shayed khushi sakoon main raahat na mili ho 
Gham dy kay apne dil ko ab main shaad karoon ga 

Dil bhi udaas reh kay ab uktaa sa gaya hai 
Ab to naya hi shughal main ijaad karoon ga 

Hai mera zarf teri wafa se kahin barh kar
Ae be'wafa tujhay main kiyon bar'baad karoon ga 

Tu bhi bichar gaya hai , dil bhi udaas hai 
Kis se biyaan apni main roo'daad karoon ga 
 
Bhanwar main doob kar ubhroon kinaaray mil hi jaatay hain

Bhanwar main doob kar ubhroon kinaaray mil hi jaatay hain 
Agar justagoo ho sachi Sahaaray mil hi jaatay hain 

Tamana chaand ki karti hoon kiyon tareekh raaton main 
Meri jab aankh ko ashkon kay taray mil hi jaatay hain 

Mundairon pe nazar rehti hai garchay koi mousam ho 
Bahaar aanay na aanay kay saharay mil hi jaatay hain 

Woh aanso hain jo aankho main palat kar hi nahin aatay 
Magar bichray huye sachay saharay mil hi jaatay hain 

Nahin hai phool chahat ka koi bhi us kay pehlu main 
Magar nafrat kay jaltay sangpare mil hi jaatay hain 

NAhin hai tishnagi ab zindagi main koi sawan ki 
Humraahi aankh se aankhon kay dhaaray mil hi jaatay hain 

Nahin gul'faam yeh lazim keh royein hum muqadar ko 
Kabhi shaahon ko bhi to kuch khsaray mil hi jaatay hain

barsoon ki chahat ko ek pal main badaltay dekha hum nay

barsoon ki chahat ko ek pal main badaltay dekha hum nay
toot ker chahnay waalon ko baat say mukartay dekha hum nay

naaz kertay thay jo apni wafaon per
unhi ko bewafai kertay dekha hum nay

kaisay saja lon sapnay apni udaas ankhon main
her khuwab ko toot ker bikhartay dekha hum nay

kertay thay jo wada hamaray sath chalnay ka
phir unhi ko rasta badaltay dekha hum nay

aitbar nahi raha kissi per ab kya karain
is aitbaar ko kaye baar toottay dekha hum nay

barsoon ke chahat ko ek pal main badaltay dekha hum nay
toot ker chahnay walay ko baat say mukartay dekha hum nay

naaz kertay thay jo apni wafaoon per
unhi ko bewafai kertay dekha hum nay

kaisay saja lon sapnay apni udaas ankhon main
her khuwab ko tooth ker bikhartay dekha hum nay

Tere liye duniya main aye hain

Tere liye duniya main aye hain 
Teray pyaar main hi rukhsat ho jayein gay

Tere liye khushiyan payi hain
Teray pyaar main sab gham bhool jayein gay 

Teri yaad khushboo ban kar aati hai 
Teray pyaar main hi khud ko bhool jayein gay 

Teray liye hi yeh dharkanain hain 
Teray pyaar main hi dharaktay reh jayein gay 

Teray liye hi aankhain dekhti hai 
Teray pyaar main hai sari duniya daikh jayein gay 

Teray liye jism main jaan rehti hai 
Teray pyaar main hi ik din fanaa ho jayein gay 
Teray pyaar main ik din fanaa ho jayein gay 

So gai hai dua hathaili par

So gai hai dua hathaili par 
Ik nazar ae khuda hathaili par 

Woh bhi taqdeer se guraizan hain 
Main bhi takta raha hathaili par 

De gaya umar bhar ky andheray 
Aik bujhta diya hathaili par 

Keh gaya kitni un'kahi baatein 
Phool rakha hua hathaili par 

Kho gaya mukhtalif lakeeron main 
Jab bhi gira aansoo hathaili par 

Zindagi kay zaa'eef lamhon ko 
Youn na saathi saja hathaili par 

Daikh le khud bhi apni aankhon se
Apnay rab ki atta hathaili par

Ik nazar ae khuda hathaili par

So gai hai dua hathaili par 
Ik nazar ae khuda hathaili par 

Woh bhi taqdeer se guraizan hain 
Main bhi takta raha hathaili par 

De gaya umar bhar ky andheray 
Aik bujhta diya hathaili par 

Keh gaya kitni un'kahi baatein 
Phool rakha hua hathaili par 

Kho gaya mukhtalif lakeeron main 
Jab bhi gira aansoo hathaili par 

Zindagi kay zaa'eef lamhon ko 
Youn na saathi saja hathaili par 

Daikh le khud bhi apni aankhon se
Apnay rab ki atta hathaili par

Chaha hai tujh ko chaah'on ga her dam

Chaha hai tujh ko chaah'on ga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 
Teri yaad jo aati hai mere aansoo behtay hain 
Apna to milan ho ga pal pal yeh kehtay hain 
Kiya yeh zindgaani hai bas teri kahaani hai 

Bas teri kahaani hai yeh jo zindgaani hai 

Chaha hai tujh ko chaah'on ga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Teri woh baatein , woh chahat ki rasmain 
Jhootay thay waday kiya jhooti thi qasmain 
Jaan-e-tamana kiya yeh sach hai bas itna keh day 
Toot jaye na lamha aaitabaar ka 
Dy koi sila mere intizaar ka 

Chaha hai tujh ko chaah'on ga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Teri hoon teri jo chahye qasam le lay 
Mujh ko hamraahi tu apnay gham de dy
Saari umar mujh ko dard judaai ka sehna 
Raastay main khoi hai manzil meri 
Mere saath jayein gi mushkilain meri 

Chaha hai tujh ko chaah'on ga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Tu samnay hai mere phir kiyon yeh doori hai 
Tujhay kaisay bataon main hai kiya majboori hai 
Yeh bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai 
Sirf aansoo peena hai yeh bhi koi jeena hai

Mujhay dua'on main yaad rakhna

Mujhay dua'on main yaad rakhna 
MAin woh musafir hoon jis ka raasta bhout kathan hai 

Main hoon woh raahi keh jis ki manzil kahin nahin hai 

Mera thikaan akoi nahin hai 
Mera asaasa hi dosti hai 

Jo maal-o-zar se bhi qeemti hai
yeh ghup andheray main roshni hai 

Ya kaali raaton main chandani hai 
Yeh meri izzat 
Yeh meri shorat 

Hai doston ki dua ka haasil 
Mujhay duaon ka asar hai 
Mujhay duaon main yaad rakhna 
 
Kaisa sang'dil hai us par kuch asar nahin karta

Kaisa sang'dil hai us par kuch asar nahin karta 
Mohabbat kiya kare ga woh meri qadar nahin karta 

Ek hum hain jo rakhtay hain khabar un ki her baat ki 
Ek woh hai jo hamari khaber nahin karta 

Sab kuch lutaye baithay hain hum jin ki chah main 
Ek nigah-e-ulfat bhi woh hamain nazar nahin karta 

Keh diya keh na guzrain un kay koochay se hum 
Dar se panay koi aisay be'dar to nahin karta 

Maanga hai khuda se us ko khudai ka wasta dy kar 
Suna hai aisi dua khuda be'asar nahin karta

Dard de kar mohabbat ki adaa bhool gaya

Dard de kar mohabbat ki adaa bhool gaya 
Dil main thi qaid magar rasm-e-wafa bhool gaya 

Jin aankhon main chalaktay thay saraab her dam youn 
Kiya ghula zehar, meh'kaday ka nasha bhool gaye 

Zakham detay rahay lawa bhi ugalta hi raha 
Guzray hain ishq main par rooh-e-wafa bhool gaye 

Shumaar rehti kabhi thi aziz logon main 
Ab khyalon main bhi woh dil ka pata bhool gaye 

BE'piye musafir gunaah karnay ko manzoor hua 
Saza to yaad rahi aur khatta bhool gaye

Kabhi dil ne tujh ko ganwaa dia

KAbhi zid main hi tere ho gaye 
Kabhi dil ne tujh ko ganwaa dia

Isi kash'makash main jiye hain hum 
Tu ne yaad rakha ya bhula diya 

Kabhi be'basi main hans diye 
Kabhi hansi ne bhi rulaa diya 

Kabhi phool se rahi be'rukhi
Kabhi kaanton se haath mila liya 

Kabhi tujh ko apna na bana saka 
Kabhi khud ko tara bana diya 

Jo mila nahin woh mera hua 
Jo paa liya ussay kho diya 

Yeh ajeeb khail hai pyaar ka 
Ek khyaal se hai nibhaa liya 

Hai ajeeb apni zindagi jaisay 
Tum ne mazaaq bana diya

Kabhi dil ne tujh ko ganwaa dia

KAbhi zid main hi tere ho gaye 
Kabhi dil ne tujh ko ganwaa dia

Isi kash'makash main jiye hain hum 
Tu ne yaad rakha ya bhula diya 

Kabhi be'basi main hans diye 
Kabhi hansi ne bhi rulaa diya 

Kabhi phool se rahi be'rukhi
Kabhi kaanton se haath mila liya 

Kabhi tujh ko apna na bana saka 
Kabhi khud ko tara bana diya 

Jo mila nahin woh mera hua 
Jo paa liya ussay kho diya 

Yeh ajeeb khail hai pyaar ka 
Ek khyaal se hai nibhaa liya 

Hai ajeeb apni zindagi jaisay 
Tum ne mazaaq bana diya

Meri arzoo hai tujhay pyaar doon

Meri arzoo hai tujhay pyaar doon 
Tujhay chahaton se nikhaar doon 

Kahin aanso'on main doob kar 
Tujhay her gharri main qaraar doon 

Main junoon-e-ishq main jhoom kar 
Tujhay qurbaton ka hisaar doon 

Mujhay tum se kitna pyaar hai 
Taaron ka kaisay shumaar doon 

Mere her taraf teri soch hai 
Kaisay main khud ko faraar doon 

Aa kar tum phir kho jaao na 
Tumhain apni rooh main main utaar doon

Tujhay chahaton se nikhaar doon

Meri arzoo hai tujhay pyaar doon 
Tujhay chahaton se nikhaar doon 

Kahin aanso'on main doob kar 
Tujhay her gharri main qaraar doon 

Main junoon-e-ishq main jhoom kar 
Tujhay qurbaton ka hisaar doon 

Mujhay tum se kitna pyaar hai 
Taaron ka kaisay shumaar doon 

Mere her taraf teri soch hai 
Kaisay main khud ko faraar doon 

Aa kar tum phir kho jaao na 
Tumhain apni rooh main main utaar doon

Taraash kar mere bazoo uraan chor gaya

Taraash kar mere bazoo uraan chor gaya 
Hawa kay paas woh barhana makaan chor gaya 

Rifaaqaton ka meri us ko dihaan kitna tha 
Zameen le li magar asmaan chor gaya 

Ajeeb shakhs tha baarish ka rang dekh kar bhi 
Khulay dareechay pe aik gul'daan chor gaya 

Jo baadlon se bhu mujh ko chupa kar rakhta tha 
Barhi hai dhoop to be'saiybaan chor gaya 

Uqaab ko thi gharz fakhta pakarnay se 
Jo gir gayi to youn hi neem jaan chor gaya 

Na janay kon sa asaib dil main basta hai 
Keh jo bhi tehra woh aakhir makaan chor gaya

Khud se bhi pyaar tumharay liye kiya

Khud se bhi pyaar tumharay liye kiya

Raaton ko intizaar tumharay liye kiya

Tum loat kar na aye kisi shaam ko magar

Her shaam intizaar tumharay liye kiya

Yeh jaan kar bhi duniya kisi ki nahin hoti

Duniya pe aaitabaar tumharay liye kiya

Jo dil kisi kay wastay roya na tha kabhi

Us dil ko be'qaraar tumharay liye kiya

Kisi ka saath nibhaana kamaal hota hai

Kisi ka saath nibhaana kamaal hota hai 
Kisi ko phir se bulaana kamaal hota hai 

Kuhd apnay dard ko her koi jhail leta hai 
Kisi ka dard batana kamaal hota hai 

Koi pahaar giraana nahin hai na'mumkin 
Giray huye ko uthaana kamaal hota hai 

Kisi andheray ko sehna kamaal lagta hai 
phir is main deep jalana kamaal hota hai 

Bahaar rut main to ugtay hain phool baaghon main 
Khizaan main phool ugaana kamaal hota hai 

Kisi ki aankh se doori to zulam hai 
Kisi kay dil main samaana kamaal hota hai 

Faisala mohkam nahin bigri hui taqdeer ka

Faisala mohkam nahin bigri hui taqdeer ka 
Doora rukh bhi to hota hai kisi tasveer ka 

Naram lehjay se dilon par hukam'raani ka amal 
Ek naya shaakaar ho ga aalam-e-taskheer ka 

Log sab apni anaa kay khoal main mashoor hain 
Kon samjhay ga yahan lehja teri tahreer ka 

Zarab kaari jab lagataa hai koi kirdaar par 
Rukh badal jaata hai us dam saahib-e-toqeer ka 

Hum nasheen bas hab ba najib faisalay ki dair hai 
Toot jaana hai yaqeeni aahani zanjeer ka

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...