Mar 13, 2016

Meray soz-e-dil kay jalway yeh makaan makaan ujaalay


Meray soz-e-dil kay jalway yeh makaan makaan ujaalay 
Meri Aah-e-pur asar ne kai aftaab dhaalay 

Mujhay gardish-e-falak se nahin ehtijaaj koi 
Keh mata-e-dil-o-jaan hai teri zulf kay hawalay 

Yeh samaan bhi hum ne dekha sar-e-khaak rul rahay hain 
Gul-o-angbeen kay maalik meh-o-keh'kishan kay paalay 

Abhi rang aanso'on main hai teri aqeedat ka 
Abhi dil main bas rahay hain teri yaad kay shawalay 

Meri aankh ne suni hai kai zam'zamon ki aahat 
Nahin bar'baton se  kam'tar may'naab kay piyalay 

Yeh tajaliyon ki mehfil hai isi kay zer-e-saya 
Yeh jahan-e-kaif us ka jissay woh nazar sambhalay 

Yeh hayat ki kahani hai fana ka aik "Saghar"
Tu labon se muskura kar isi jaam ko laga lay 



Qaid-e-tasawuraat main muddat guzar gayi



Qaid-e-tasawuraat main muddat guzar gayi 
Saqi gham-e-hayat main muddat guzar gayi 

Mujh ko shakist-e-jaam kay naghmon se wasta 
Meh'khana-e-sabaat main muddat guzar gayi 

Kuch bhi nahin hai gaiso-e-kham'daar kay siwa 
Tafseer-e-kainaat main muddat guzar gayi 

Paband-e-harf'daar-o-rasan daastan-e-ishq
Arz-o-guzaar'shaat main muddat guzar gayi 

Roothay to aur ban gaye tasveer-e-iltafaat 
Kaif-e-nawaz'shaat main muddat guzar gayi 

Her haadsa hayat ki ru'daad ban gaya 
Duniya-e-haadsaat main muddat guzar gayi 

"Saghar" kahan majaal keh aankhein milaein hum 
Ruswaiyan hain ghaat main muddat guzar gayi

Jabar-e-hasti main khudi ka naam lo


Jabar-e-hasti main khudi ka naam lo 
Zulmaton main roshni ka naam lo 

Pathron ko chaand kay tukray kaho 
Mar rahay hain zindagi ka naam lo 

Her shagufa hai chaman main na'tawan 
Ehtiyatan tazgi ka naam lo 

Wehshat-o-dewangi kay baab main 
Be'takaluf aadmi ka naam lo 

Main hoon mur'jhaai baharon ka naqeeb 
Tum fiza-e-shabnami ka naam lo 

Raah-o-manzil kay taqazay hain naye 
Reh'bari ya rah'zani ka naam lo 

Kuch to ho "Saghar" waqar-e-shaam-e-gham 
Muskura kar be'kasi ka naam lo 
 

Tehzeeb-e-be'niqaab ki aankhein nikaal do


Tehzeeb-e-be'niqaab ki aankhein nikaal do 
Is qoam kay shabaab ki aankhein nikaal do 

Jis ki sada ne waqat ko be'daar kar diya 
Us saahib-e-kitab ki aankhein nikaal do 

Ab manzil-e-wafa ki zaroorat nahin rahi 
Her azam-e-kamyaab ki aankhein nikaal do 

Jis ne sama'aton ko diya dars-e-be'khudi 
Us naghma-e-rubaab ki aankhein nikaal do 

Jis main na ho baseerat-e-insaan ki chandani 
Us sheesha-e-sharab ki aankhein nikaal do 

Makh'moor gaiso'on ki ghattaon ka wazan hai 
Pur'noor mehtaab ki aankhein nikaal do 

"Saghar" nikhar sakay na jahan nikhat-e-khudi 
Us qariya-e-gulaab ki aankhein nikaal do

Yeh jo dewane se do chaar nazar aatay hain


Yeh jo dewane se do chaar nazar aatay hain 
In main kuch sahib-e-israar nazar aatay hain 

Teri mehfil ka bharram rakhtay hain so jatay hain 
Warna yeh log to be'daar nazar aatay hain 

Meray daman main shara'ron kay siwa kuch bhi nahin 
Aap phoolon kay kharidaar nazar aatay hain 

Door tak koi sitara hai na koi jugnoo
Marg-e-umeed kay Aasaar nazar aatay hain 

Kal jinhein chu nahin sakti thi farishton ki nazar 
Aaj woh ronaq-e-bazar nazar aatay hain 

Hashar main kon gawahi meri de ga "Saghar"
Sab tumharay hi taraf'daar nazar aatay hain

Taron se mera jaam bharo ! main nashay main hoon


Taron se mera jaam bharo ! main nashay main hoon 
Ae saaknan-e-khuld suno ! main nashay main hoon 

Kuch phool khil rahay hain sar-e-shaakh-e-meh'kada 
Tum hi zara yeh phool chuno ! main nashay main hoon 

Thehro ! abhi to subha ka taara hai zu'fishan 
Dekho ! mujhay faraib na do ! main nashay main hoon 

Nasha to mout hai gham-e-hasti ki dhoop main 
Bikhraa kay zulf saath chalo ! main nashay main hoon 

Mela younhi rahay yeh sar-e-rag'guzar-e-zeest 
Ab jaam samnay hi rakho ! main nashay main hoon 

Payal chanak rahi hai nigar-e-khayal ki 
Kuch ehtamam-e-raqs karo ! main nashay main hoon 

Main dag'maga raha hoon biya'ban-e-hosh main 
Meray abhi qareeb raho ! main nashay main hoon 

Hai sirf ik tabasum-e-rangeen bhout mujhay 
"Saghar" badosh lala rukhu ! main nashay main hoon

Tumhari bheegti palkon se main ne baar'ha poocha


Tumhari bheegti palkon se main ne baar'ha poocha 
Keh dil kay khel main jeetnay walay bhi rotay hain 

Woh jin ki chashm-e-khud'been ko dekha nahin karti 
Bhala kis dil se gham kay taar main moti piroye hain 

Tumhari bheegti palkon se main ne baar'ha poocha 
Keh jalnay aur jalanay main bhala kya lutf aata hai 

Bas ik jhooti ana kay wastay bar'baad ho jana 
Khudi kay zoham main insaan kitnay dukh utha'ta hai 


Phool maslain to unhein naghma-o-jhankar milein


Phool maslain to unhein naghma-o-jhankar milein 
Main ne kaantay to nahin boye keh angaar milein 

Aankh larzan hai sar-e-mehfil-e-hasti ae dost !
In ki chilman kay qareen tishna-e-deedar milein 

Us ko idraak ki pur'noor zuban kehtay hain 
Jis main insan ki tazeem kay atwaar milein 

Aisi majrooh tamana hi saleeb-e-gham hai 
Jis ko ghunchay bhi baharon main giriftaar milein 

Khoon-e-dil shart hai ae yaar ! baseerat kay liye 
Yeh bhi mumkin hai keh sehra'on main gulzar milein 

Heef us chara'gar-e-waqat ki qismat 
"Saghar" jis ko her gaam pe taqdeer kay beemar milein 

Chragh-e-toor jalao , bara andhera hai


Chragh-e-toor jalao , bara andhera hai 
Zara niqaab uthaao , bara andhera hai 

Woh jin kay hotay hain khorasheed aasteeno main 
Unhein kahin se bulaao , bara andhera hai 

Mujhay tumhari nigahon pe Aaitamaad nahin 
Meray qareeb na aayo , bara andhera hai 

Faraz-e-arsh se toota hua koi tara 
Kahin se dhoond kay laao , bara andhera hai 

Abhi to subha kay maathay ka rang kala hai 
Abhi faraib na khaao , bara andhera hai 

Baseeraton pe ujaalon ka khouf taari hai 
Mujhay yaqeen dilaao , bara andhera hai 

Jissay zuban-e-khird main sharab kehtay hain 
Woh roshni si pilaao , bara andhera hai 

Be'naam-e-zohra jabeenan-e-khitha-e-firdos 
Kisi kiran ko jagao , bara andhera hai

Main keh Aashafta-o-ruswa sar-e-bazar hua


Main keh Aashafta-o-ruswa sar-e-bazar hua 
Chaak-e-damaan ka tamasha sar-e-bazar hua 

Teri asmat ki tijarat pas-e-dewaar sahi 
Meri taqdeer ka soda sar-e-bazar hua 

Phir koi ehal-e-junoon daar pe charh jaye ga 
Phir teray husan ka char'cha sar-e-bazar hua 

Hum ne rakha ussay dil kay makan main barson 
Jo kabhi hum se sha'nasa sar-e-bazar hua 

Marhalay deed kay dushwaar thay lakin "Saghar"
Manzil-e-toor ka jalwa sar-e-bazar hua

Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin


Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin 
Meray naghmaat ko andaz-e-nawa yaad nahin 

Hum ne jin kay liye rahon main bichaya tha lahu 
Hum se kehtay hain wohi ehad-e-wafa yaad nahin 

Zindagi jabar-e-musal'sal ki tarah kaati hai 
Janay kis jurm ki paai hai saza yaad nahin 

Main ne palkon se dar-e-yaar pe dastak di hai 
Main woh saa'il hoon jissay koi sada yaad nahin 

Kaisay bhar ayein sar-e-shaam kisi ki aankhein 
Kaisay tha'raai chraghon ki zia yaad nahin 

Sirf dhund'laey sitaron ki chamak dekhi hai 
Kab hua , kon hua , mujh se khafa yaad nahin 

Ayo ! ik sajda karein Aalam-e-madhoshi main 
Log kehtay hain keh "Saghar" ko Khuda yaad nahin 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...