Jun 1, 2014

Whenever i think of you


Whenever

I can't hold back my tears
Whenever i think of you

I know you won't miss me ever
Whenever i think of you

I feel I lost you for good
Whenever i think of you

Wish this had never happened
Whenever i think of you

I know you won't read this 
If  did , wont know its me

Iwanted to say I miss you
Whenever i think of you  

Dream on


Dream on

go on and on
and on to dream

rest in the sea 
swim in the air
go deep and deep
through earth barriers

go on and on
and on to dream

Feel joy forever
Leave back grief
Dry tears of remorse 

go on and on
and on to dream

I am with you
Just cheer up 
If i were you 
I would go berserk

go on and on
and on to dream

Don't just yet freak
May be hallucination
Or a great fantasy

go on and on
and on to dream

sands of love


sands of love 

I want to walk with you
Hand in hand , along the soft sand.
holding you tightly to me ,as we softly caress.
to be into you, and you into me
To a depth neither wants controlled.
Tasting you, inhailing your breath as we kiss,
to l9ove as we never knew.
Along so carring, passionate, tender and true,
as we lay on the soft sand

Puranay khwaab ka tawaan


Puranay khwaab ka tawaan

meray charon taraf kitna
haseen khawabon sa manzar hai
magar yeh kushnuma manzar
meri aankhon ko ranai nahin
takleef deta hai
koi kushboo bhara jhonka
mujhay choona agar chahaye
meray zindaan ki na'deeda dewarain
rok deti hain
hamari rooh ky jaltay huye sehra pe
koi mehrbaan badal

Side table pe chahey(tea) ka cup


Side table pe chahey(tea) ka cup

haath main ishq pe likhi gayi ik dastaan ki kitaab 

aur dil yeh bhi chahye keh chhat pe ja ke 

raat ki tanhai 

chaand ki udasi 

aur lamhon ki be'basi ko 

apnay andar utaar ky 

khud ko ishq-e-la'hasil main qaid kar liy ajaye

aur aisay main kisi ki yaad nahin aaye

na'mumkin 

Raat ka aakhri pehar tha



Raat ka aakhri pehar tha 

mujh se chand ne kaha 

hamnasheen alwida 

mujh ko neend aa rahi hai 

kal milain gy isi jaga 

sun kar main muskura diya

us ko bataya 

janay walay lot'ty nahin hain

tum nahin ayo gy mujhay yaqeen ahi 

meri baat sun kar chaand ruk gaya 

aur kehnay laga

tum se wada karon , aur poora na karon 

aisa mumkin nahin 

suno , hamnasheen 

main insaan nahin

tum hi meri pasandeeda kitaab ho


Aksar sochti rahi

Main tumhari sab se ziada 

pasandeeda kitaab ki tarah hoon 

jo neend main bhi 

tumharay seenay main khul kar rehti hai

tum mujhay parhtay ho

harf harf samjhtay ho

sparsh kartay ho

main aur bhi gehray utar jati hoon 

tumharay ghar ke

konay konay main dekh jati hoon 

wahan wahan jahan jahan 

tum mujhay dhoondtay rahay 

phir achanak kyn 

seenay main rakhi kitaab ko 

dhairon kitaab ke beech rakh diya

ek baar bhi nahin chaha 

kitaab par jami dhool ko 

hata doon 

ussy usi jaga rakh doon 

thora parh loon 

aur keh doon 

tum hi meri pasandeeda kitaab ho

Kitna sehal jana tha kushbo'on ko choo lena


Kitna sehal jana tha kushbo'on ko choo lena 
barishon ke mousam main shaam ka her ik manzar 
ghar main qaid kar lena
roshni sitaron ki muthiyon main bhar lena 


Kitna sehal jana tha kushbo'on ko choo lena 
jugnoo'on ki baton se phool jaisay aangan main 
roshni si kar lena
is ki yaad ka chahera khaab'naak aankhon ki 
jheel ky gulabon par der tak saja lena 

Kitna sehal jana tha kushbo'on ko choo lena 
Ae nazar ki kush'fehami , is tarah nahin hota
Titliyaan pakarney ko door jana parta hai



Aaj bhi ik muddat se jissay dekha nahin


Aaj  bhi 
ik muddat se jissay dekha nahin 
Aaj bhi
woh zehan se utra nahin
aaj bhi 
woh toot kar ata hai yaad 
aaj bhi 
hum raat bhar sotay nahin
aaj bhi 
sachay hain apnay ishq-o-wafa main 
aaj bhi 
wada mera jhoota nahin
aaj bhi
qaim hoon apnay zabat par 
aaj bhi 
hum siraf uske hain magar

sawal ab itna hai keh 
woh mara hai ya nahin ,,,?

tumhain kis se mohabbat hai


Bhout muddat se aisa hai
keh tum khamosh rehtay ho
koi gehra hai gham shayed
jissay chup chup sehtay ho
youn hi chaltay huye tanha
koi ghamgeen sa naghma
tum aksar gungunatay ho
doran-e-gutagoo youn hi
milain nazron se jab nazrain
to batain bhool jatay ho
kisi gum sum si halat main
ya phir barish ke mousam main
faqat itn ahi kehtay ho
udasi be'waja si hai
bhout bojhal tabiyat hai
bhala sach kyn nahin kehtay
tumhain kis se mohabbat hai 

Aakhiri baar milo aisay keh jaltay huye dil


Aakhiri baar milo aisay keh jaltay huye dil 
raakh ho jayein koi aur taqaza na karain 
chaak wada na silay , zakham-e-tamana na khilay
saans hamwaar rahay shama ki lu tak na hily 
baatain itni keh lanhay inhain aa kar gin jayein 
aankh uthay koi umeed to , aankahin chhin jayen 
iss mulaqat ka is baar koi weham nahin 
jis se ik aur mulaqaat ki surat niklay 
ab na heejan-o-junoon  , na hikayat ka waqat
ab na tajdeed-e-wafa ka , na shikayat ka waqat 
lut gayi shaher-o-hawadis main mata-e-alfaaz 
ab jo kehna hai to kaisay koi noh kahay 
aaj tak tum se rag-e-jaan ky kai rishtay hain 
kal se jo hoga ussay kon sa rishta kahain 
phir na dekhain gy kabhi Aariz-o-ruksaar , milo
matami hain dam-e-rukhsat dar-o-dewaar milo
phir na hum hon gy , na iqrar , na inkaar , milo
 Aakhri baar milo............................!!!!!

Agar ho saky to meray hamsafar


Agar ho saky to meray hamsafar

sabhi chahatein meray naam kar

aa kabhi to kahin 

koi shaam meray naam kar 

aa kabhi to dil ky saye main 

aa kabhi to dharkano se khyaam kar 

yeh meray lafaz nahin phool hain

teray rastay ki dhool hain

aa kabhi sun to in se meri dastaan 

aa kabhi to in se kalam  kar

agar ho sakay to meray hamsafar 

sabhi chahtein meray naam kar 

Mohabbat ke mousam zindagi ke sab mousamon se niralay


Mohabbat ke mousam 

zindagi ke sab mousamon se niralay 

bahar-o-kizaan in ki sab se juda 

alag in ka sookha alag in ki ghatta

mohabbat ky khit'tay ki aab-o-hawa 

mawara un anasar se jo

mousamon ke taagiyr ki buniyaad hain

yeh zamaan-o-makaan ke kam-o-baish se 

aisay azaad hain

jaisay subha-e-azal , jaisay shaam-e-fanaa 

shab-o-roz-e- aalam ke ahkaam ko 

yeh mohabbat ke mousam nahin mantay

zindagi ki musafat k anjaam ko 

yeh mohabbat ky mousam nahin mantay 

rafaqat ki kushboo se khali ho jo

yeh koi aisa manzar nahin dekhtay 

wafa ky ilawa kisi kaam ko 

yeh mohabbat ke mousam nahin mantay


Tujhay ishq ho khuda karay


Tujhay ishq ho khuda karay 

koi tujh ko is se juda karay

teray hont hansana bhool jayein 

teri aankh pur'nam raha karay 

tu ussi ki batain kiya karay 

tu ussi ki batain suna karay

ussay dekh kar tu rukk paray

woh nazar jhuka kar chala karay 

teray khwaab bikhrain toot kar

tu kirchi kirchi chuna karay 

tu nagar nagar phira karay 

tu gali gali sad'da  karay

tujhay hijar ki woh ghari lagay 

issay tasbiyon pe parha karay 

main kahon keh ishq to dhong hai

tu nahin nahin kiya karay

Raat hui hai dil basti main


Raat hui hai dil basti main
weham ne dairay daal diye hain
youn lagta hai
jaisay aik awara panchi 
par katwa ke baith gaya hai
jaisay kushboo qaid hui ho
phool mehak'na bhool gaya ho
raat hui hai 
dukh ka badal baras raha hai 
ik udasi chai hai 
mera dard barha denay ko 
yaad tumhari ayi hai
muddat se yeh jagti aankhain 
jee bhar ke rona chahti hain
shayed
ab sona chah'ti hain

Meray dil se aakhir kyn teri yadain nahin jatein


Meray dil se aakhir kyn teri yadain nahin jatein
tujhay bhoolney ki koshis kyn na'kaan hoti hai
lagta hai keh tu sama gayi meray jism-o-jaan main ab 
na tujh bin din guzarta hai n ameri shaam hoti hai

teray milney se pehlay aisa to bilkul nahin tha main
teray baad phir kyn aisi halat ho gayi aakhir
aisa tujh main kiya hai jo main hoon is qadar be'chain
kyn ik be'wafa ki itni chahat ho gayi aakhir

bhout sochney par meray dil se ik awaz ai hai 
tu hai shid'dat pasand aur yeh jahan harjai hai 
us ne mohabbat ke badlay diye hain sirf zakham tujh ko
tu ne zakham kha kar bhi us se ulfat nibhai hai 

ajab duniya hai is ko mohabbat ka saliqa nahin hai 
hazaron shai hain is main lakin kyn wafa nahin hai
lagi jab thokar mohabbat main tab hum ne yeh jana 
kisi bhi cheez main had se barhna acha nahin hai 

Meray dil se aakhir teri yadain nahin jatein

agar mout ani hoti to bhout pehlay hi aa jati

agar mout ani hoti to bhout pehlay hi aa jati 

ja janay kis kashish ne mujhay is jahan main rokey rakha hai

jis ne mout ki tarreki ka hisaar tor diya

woh chamak kis ki thi  janay woh ziaa kiya thi

bhout socha magar koi sabab na mil saka is ka

jis din main is waja ko jaan jayon ga

meri zindagi ki haqeeqat koi main pechaan jayon ga

shayed ussi din mera dil mut'ma'en ho ga

aur wohi din meri zindagi ka aakhri din ho ga

Main jism-o-jaan ke tamaam rishton se usay chahta hoon


Main jism-o-jaan ke tamaam rishton se usay chahta hoon

nahin samjhta keh aisa kyn hai 

na khaal-o-had ka kamaal us main 

na zindagi ka kamaal koi

jo koi us main hunar bhi ho ga

to mujh ko is ki khabar bhi nahin hai

na janay phir kyn

main waqat ke da'iron se bahair kisi tasawar main urr raha hoon 

khyal main 

khwaab main 

khilwat main 

jalwat main

shabo roz mera lahoo 

apni gardish main 

us ki tasbeeh parh raha hai 

jo meri chahat se be'khabar hai

Tumhari aur meri zindagi main


Tumhari aur meri zindagi main 

yahi to almiya hai

keh tum shair ki zubaan nahin samjhtay 

aur

mujhay koi doosri zubaan nahin ati

Main jo arzoo ke safar main hoon


Main jo arzoo ke safar main hoon

na nazar main hoon na khabar main hoon

kat'tay kis tarah yeh safar mera

main hoon manzalon se pur-e-kahiyan

kisi dasht main kisi roz main

teri raah ki urri gard main 

mujhay baksh do woh kra'matein 

jo hain muntazir meray khwaab ki

mujhay apney kal ki khabar kahan 

mujhay fikar hai teray haal ki


mousam-e-gul ka aakhri paigham


jab yeh socho keh bhar chuka hai dil

meri chahat meri rafaqat se

khud ko waqif-e-azaab mat karna

lamba chora khitaab mat karna

card bhi intikhaab mat karna

ik sookha hua gulaab ka phool 

bas lifa'fay main bhaig dena tum

meri tishna mohabbat ke naam 

mousam-e-gul ka aakhri paigham

Meri duniya hai kaghaz ki


Meri duniya hai kaghaz ki

kisi din aag na lag jaye

khud meray hi hathon se

keh hathon main meray

machis ki dibia rakhi rehti hai

agarcha main bhout mohtaat hoon 

machis ke jalaney main  , bujhaney main

magar 

barood to barood hai 

kab maaf karta hai 

na dil ko saaf karta hai

Kis qadar pur'sakoon zabat ki jheel hai


Kis qadar pur'sakoon

zabat ki jheel hai 

jis main khiltay nahin 

dard ke dariya

aur meray hathon main 

teri yaad ky

kankar bhi baqi nahin rahay

Na wada hai koi tum se


Na wada hai koi tum se

na koi irada nibhanay ka

na koi aur hi dil main tahiyaa ya irada hai

kai din se magar dil main

ajab uljhan si rehti hai

na tum is dastaan ke sar'sari kirdaar ho koi

na qissa itna sada hai

ta'aluq jo main samjha tha

kahin us se ziada hai

Gosha aankhon kay dareechon main jo num sa ho ga


Gosha aankhon kay dareechon main jo num sa ho ga 
Dil ki gehraai main rista hua gham sa ho ga 

Yaad ayein jo kabhi dhoondna veerano main 
Hum na mil payein gay shayed koi hum sa ho ga 

Ro'ey gi subha hamein shaam bhi muztar ho gi 
Kuch bhatakti hui raaton ko bhi gham sa ho ga 

Waqat ki dhoop to jhulsanay pe amada rahay 
Jaan sambhalay huye rakhay woh jo hum sa ho ga 

Hum samjh letay hain daghon kay sulagnay pe khalish 
Dard jab had se guzar jaye to kam sa ho ga

Aadhi raat ke snatay main


Aadhi raat ke snatay main
kisi ne phone kiya hai mujh ko
phone utha ke yeh lagta hai
us janib koi
ukhra ukhra aahista aahista kaanp raha hai 
mehki hui si aik khamoshi hai
lakin us khamoshi main bhi goonj rahi hain
thandi saansain , barish , ansoo 
khamoshi se thak kar us ne 
saans liy ato churri khanki 
uff yeh khann khann saray badan main phail gayi hai
teray ilawa koi nahin hai 
lakin itnay barson baad  

Abhi yeh baat kal ki hai



Abhi yeh baat kal ki hai 

abhi yeh baat kal ki hai 
keh main aur tu kisi lamhay
milain ajnabi ban kar
kahein anjaan rahon par

abhi yeh baat kal ki hai
kia tha sath denay ka 
tumhi ne mujh se wada
magar
kuch din hi guzray thay
khilay thay jo phool dil amin 
mehak jin ki tumhi se thi
khizaan ke ah'hani hathon
sabhi murjha gaye aakhir
dil-e-be'taab ki dharkan 
chaman , shokhi , saba, bhanwar
tumhain sab yaad kartay hain
magar
tum aankh se oojhal 
bhout hi door ho hum se
mera yeh almiya dekho 
chaman ke beech tanha khara
umeed ke us aakhri patay k jharney ka 
aziyat naak manzar
khuli aankhon se bari hi be'bas sy tak raha hoon
soch main gum sum 
achanak khud se kehta hoon
abhi yeh baat kal ki hai
abhi yeh baat kal ki hai
keh main aur tu kisi lamhay 
mile thay ajnabi ban kar
kahin anjaan rahon par
 

ayo khuli hawa main saans lain


Ab tak kon jeeta hai 
wohi rastay wohi manzer
wohi batain wohi yadain
jin se hum bichar to gaye hain
magar
jinhain dekhtay to hum roz hain

ab tak kon jeeta hai aisay
woh wadon ki saa'atein
woh be'sabab mulaqatein
wohi kuch kehti teri aankhain
aur
wohi chaand taron ki ratein
ati to roz hain magar
na tum ho yahan 
na hum hain yahan
bas ik ghutan'zada mahol hai
be'sabab si udasi hai
jaisay zindgi pyasi hai
ayo phir ik baar milain
doji na ab koi baat karain
bundhan jo saray baandhay thay
ayo unhain azaad krain
ayo khuli hawa main saans lain
Aaj khuli hawa main saans lain

goosha aankhon ke dareechon main jo nam sa ho ga


goosha aankhon ke dareechon main jo nam sa ho ga

dil ki gehrai main rista hua gham sa ho ga

yaad ayein jo kabhi dhoondna veerano main

hum na mil payein gy shayed koi hum sa ho ga

roi gi subha hamain  shaam bhi muztar ho gi

kuch bhatakti hui raaton ko bhi gham sa ho ga

waqat ki dhoop to jhulsaney pe amada rahay

jaan sambhalay huye rakhay woh jo hum sa ho ga

hum samjh letay hain daghon k sulagney pe khalish

dard jab had se guzar jaye to kam sa ho ga

Sham dhalay jab deep jalay ik bhuli kahani yaad aati hai


Sham dhalay jab deep jalay 
Ik bhuli kahani yaad aati hai 
Hook uthti hai dil jalta hai 
Pareet purani yaad aati hai 
Jhil'mil taray nadia kinaray 
Chan'chal lehrein , mehki hawaein 
Chand ki kashti , gaat maanjhi
Rut woh sohani yaad aati hai 
Kajal se likhi hui chit'ti
Mela kaghaz , ujlay aansoo
Jalti bujhti tehreeron ki 
Bheegi nishani yaad aati hai 
Aankhon ki jheelon main zameer ab 
Khawab kay panchi doob gaye 
Rait se kab tak seep chuno gay 
Kiyon anjani yaad aati hai

Woh kahan chor gaya yaad nahin


Woh kahan chor gaya yaad nahin 

Us ki chahat ka sila yaad nahin 
Yaad hai jurm , saza yaad nahin 
Tor kar humsafri ka rishta 
Woh kahan chor gaya yaad nahin 
Apnay girnay ka sabab yaad to hai 
Kis bulandi se gira yaad nahin 
Yaad hai us ka bicharna hum ko 
Phir hamein jo mila yaad nahin

Bhoolta kon hai waqat ke ghayo ko


Bhoolta  kon hai 

waqat ke ghayo ko

hijar ke tund toofan ki

be'yaqeen lehar main 

wasal ke khwaab ki doobti nayo ko

bhulta kon hai

Woh to youn the keh hum apni apni zaroorat ki khatar milay


Woh to youn the keh hum 
apni apni zaroorat ki khatar milay !
Apnay apnay taqazon ko poora kiya 
Apnay apnay iradon ki takmeel main 
Teera-o-taar khwaish kay sang'lakh
Rahon pe chaltay rahay 
Phir bhi raahon main kitna shagufay khilay 
Woh to youn tha keh barhtay gaye sil'salay 
Warna youn hai keh hum 
Ajnabi kal bhi thay 
Ajnabi ab bhi hain 
Ab bhi youn hai keh tum 
Her qasam tor do 
Sabzidein chor do 
Aur agar youn na tha 
To youn hi soch lo 
Tum ne iqraar hi kab kiya tha 
Keh main tum se mansoob hoon 
Main ne israar hi kab kiya tha 
Keh tum yaad aayo mujhay 
Bhool jaao mujhay !!!

hamaray aur tumharay darmiyaan aik rabta ho ga


hamaray aur tumharay darmiyaan aik rabta ho ga

phir us ko kon toray ga yeh kis main hosla ho ga

tumhari ankh se dil tak safar karna hai bas hum ko

yeh kitni khoobsurat manzalon ka rasta ho ga

yeh tum theekh kehtay ho guzar jaye gi apni bhi

magar tum ne yeh socha hai yeh kaisa saneha ha ga

agar tum rooth jayo to hamari jaan nikal jaye

magar yeh khud hi socho tum main itna hosala ho ga

Naatay bantay aur toot'ty rehtay hain


Naatay bantay aur toot'ty rehtay hain
gar rooh ka rishta ban kar toot'ty to
dukh to hota hai
musafir atay jatay rehtay hain
gar, hamsafar roothay to
dil khoon ke ansoo rota hai
adawatein , mohabbatein , qurbatein , dooriyan 
to lazim zindagi ka hissa hain
par agar... mohabbat hi rukh morr le 
aur samjh na paye haal-e-dil .. to dukh hota hai
woh shakhs jo meray lab khulney ka intizaar karta tha 
choomta tha meray honthon ko sar-e-shaam 
zam zam samjh kar apney honthon par mask karta tah 
aisa shaks raah badlay gar sanam 
dil main dard to hota hai
gar rooh ka rishta ban kar tootay
dukh to hota hai

Kiya andheron ke dukh , kiya ujalon ke dukh


Kiya andheron ke dukh , kiya ujalon ke dukh
jab hara dain muqadar ki chalon ke dukh

jin ki aankhain nahin woh na ro'ein
jaan ja'ein agar aankh walon ke dukh

meri manzal hai kahan , mera hamsafar hai kahan 
maar dalain ge ab in sawalon ke dukh

tum mile ho tumhari mohabbat nahin 
hijar se barh gaye hain wisalon ke dukh

do ghari kay liye paas baith jayo agar 
bhool jayein gy hum kitnay hi salon ke dukh

Kabhi tammana ke raaston par


Kabhi tammana ke raaston par 

nikal paro

to khyal rakhna 

kahin se khali palat ke ana 

bhout khatan hai

Bhula to de ga magar abhi kuch


Bhula to de ga 
magar abhi kuch 
Guzishta lamhon ka zikar le kar
Khizan ki rut main 
Awara paton kay sang chalay ga 
Hawa ki lehron pe chupkay chupkay 
Azaab-e-jaan kay sitam likhay ga 
Abhi to woh bhi aseer-e-gham hai 
Usi musafat pe gaamzan hai 
Abhi to kuch din meri tarah woh 
Shakista khawabon ki kirchiyon ko 
Woh narm hathon ki ungliyon kay 
Haan zakhmi poron sejab chunay ga 
To kya karay ga , ,, , ,
Gumaan kay raston pe aatay jatay 
Kisi tajas'sus main jab rukay ga 
Mera yaqeen hai 
Keh ro paray ga 
Magar kahan tak 
Naye dino ko gaye dino pe 
Woh taal rakhay 
Guzishta lamhon ki titliyon ko 
Bhala kahan tak sambhal rakhay
Abhi to kuch din 
Gayi ruton ka bharam rakhay ga 
Seham seham kar qadam rakhay ga 
Bhula to de ga ,
Magar abhi kuch ,,,,,,,

Bhula to de ga


Bhula to de ga
magar abhi kuch
guzishta lamhon ka zikar le ke 
khizaan ki rut main
awara paton ke sang chalay ga
hawa ke lehron , pe chupky chupky
azaab-e-jaan ke sitam likhay ga
abhi to woh bhi , aseer-e-gham hai 
usi musafat pe gaam'zan hai
abhi to kuch din , meri tarah woh bhi
shakista khwabon ki kirchiyon ko
woh naram hathon ki ungliyon ke 
haan zakhmi pooron se jab chunay ga
to kiya karay ga
gumaan ke raston pe atay jatay
kisi tajas'sus main jab rukay ga
mera yaqeen hai
keh ro paray ga
magar kahan tak
naye dino ko gaye dino pe 
woh taal rakhay
guzishta lamhon ki titliyon ko
bhala kahan tak sambhaal rakhay
abhi to kuch din
gayi ruton ka bharam rakhay ga
seham seham ke qadam rakhay ga
bhula to de ga 
magar abhi kuch .... 

 

Ik raah to woh ho gi tum tak jo ponchti hai


Is mor se jatay hain 
kuch susat qadam rastay
kuch tez qadam rahain 
pathar ki havaili ko 
sheeshay ke ghrondon main
tinkon ke nasheman tak
aandhi ki tarah urr kar 
ik raah guzrti hai 
sharmati hui koi
qadmon se utarti hai
in reshmi raahon main 
ik raah to woh ho gi
tum tak jo ponchti hai
ik door se ati hai
paas aa kar palati hai
ik raah akaili si
rukti hai na chalti hai
yeh soch ke baitha hoon
ik raah to woh ho gi
tum tak jo ponchti hai

Woh silsala rehnay bhi doon


Dil ki
sab batain likhon
aur
parda para rehnay bhi doon
khatam karon
dil ka ghubaar
tum se gila rehnay bhi doon
itna chahyon
her taraf
kushboo mehkay chaar soo
aaina ban kar 
zaat main sun
gul khila rehnay bhi doon
yeh bhi chahon
sochon main hi
meray siwa dooja na ho
jab bhi waqt-e-aakhir aye 
lab sila bhi rehnay doon
jab koi poochay yeh tum se
kon tha kyn mar gaya
dain gawahi teray aanso
woh
silsla bhi rehnay doon

Dil ki sab batain likhon



Dil ki
sab batain likhon
aur
parda para rehnay bhi doon
khatam karon
dil ka ghubaar
tum se gila rehnay bhi doon
itna chahyon
her taraf
kushboo mehkay chaar soo
aaina ban kar 
zaat main sun
gul khila rehnay bhi doon
yeh bhi chahon
sochon main hi
meray siwa dooja na ho
jab bhi waqt-e-aakhir aye 
lab sila bhi rehnay doon
jab koi poochay yeh tum se
kon tha kyn mar gaya
dain gawahi teray aanso
woh
silsla bhi rehnay doon

Main janti hoon ke mout ke kai rastay hain


Raasta 

Main janti hoon ke mout ke kai rastay hain

jaisay 

rail ki pattri 

samandar 

aur teri badli hui jheel si aankhain 

magar zindagi ka aik hi rasta hai 

khamoshi

Ta'aluq toot jaye jab mohabbat rooth jaye jab


Ta'aluq toot jaye jab 
mohabbat rooth jaye jab
to phir rasm-e-dua kaisi 
milan ki iltija kaisi 
bhanwar main dolti kashti pe sahil ki taman'na kiya 
ukhrartay saans hon to zindagi aarzo bhi kiya
jo manzil kho chuki ho , us ki phir se justagoo bhi kyn
magar dil main tumhain , kis wastay se yaad rakha hai 
abhi tak main ne khud ko 
bhout barbaad rakha hai 
hawa ke dosh par 
kyn naghma , fariyaad rakha hai 
judai denay wale , aashnai ki qasam tum ko 
tumhari be'wafai , kaj adai ki qasam tum ko
mujhay itna bata dena 
wafa ki
chahaton ki
mish'alain ! kaisay bujhtay hain ?
nishaan kaisay mita'ty hain 
bhulana ho jinhain 
un ko bhala 
kaisay bhulatay hain ???

Woh kehti hai sabhi ghazlain mujhay kaaghaz pe likh bhajo


Woh kehti hai
sabhi ghazlain mujhay kaaghaz pe likh bhajo

main kehta hoon 
meri ghazlain to sab teri hi batain hain

woh kehti hai 
koi din main milan ka din bhi aye ga 

main kehta hoon 
keh kiya behtar nahon woh aaj ka din ho

woh kehti hai 
tumhain kyn is qadar jaldi hai milnay ki

main kehta hoon 
mujhay her pal azaab-e-jaan sa lagta hai 

woh kehti hai 
mohabbat se musarat bhar gayi dil main

main kehta hoon 
abhi kuch gham bhi niklain gy ta'aqub main

woh kehti hai 
mohabbat main bhout nadaan ho tum

main kehta hoon 
ms'saail se bhout anjaan ho tum

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...