Lagay na kiyon khud se mujh ko piyara , kabhi samandar kabhi sitara
Meri musaafat ka ista'ara , kabhi samandar kabhi sitara
Teri meri qurbaton ka mousam bikhar kay samtay , simat kay bikhray
Isi liye aankh main utaara , kabhi samandar kabhi sitara
Naya naya ishq karnay walo , hami se is ka ziyaan bhi poocho
Bisaat-e-hasti pe hum ne maara , kabhi samandar kabhi sitara
Teray liye jaagnay ko mehkain kabhi gulistaan kabhi chraghan
Meray liye khwaab ka ishara , kabhi samandar kabhi sitara
Woh kehkashaan zad-o-sail-e-nikhat hamaray hamraah chal para
Kahan tha warna hamin gawara , kabhi samandar kabhi sitara
Meray bhataknay pe jaan-e-"Mohsin" yeh tanz kaisa hai is jahan main
Huye hain be'simat-o-be kinara , kabhi samandar kabhi sitara
Poet : Mohsin Naqvi